![]() |
W r o n g Exit !
Magar ye Zindagi ke highway per chalnay walay kab Samjhtey hain Ghalat exit se murh jayien to Manzil Chhoot jaati hai mujhe bhi ek exit Pehle murhney ki Azziyat hai mere paish-e-nazr bhi ek un-deakhi musaafat hai yahaan se loutna ya aur manzil tak Pahonch-pana mere bas mein nahe Shayad mein phir bhi ja rahi hoon, ek un-deakhy baya-baano mein yahaan koi parinda hai na sayaa hai na paani hai Musalsal Rayegaani hai... yahaan kis ko Pukaaroon mein ke ab apni saada bhi apney kaano'n mien nahe aati balaa ki sargiraani hai... yahaan koi bhi nahe Shaayad mien kis se raasta Pooch'on yahan to nau so giyarah(911) ki sahoolat bhi nahe haasil mien Jis Duniya ki hoon us ki hakoomat bhi nahe haasil bataa Katbi Sitaray! ye kahaan ki besabati hai na mujh ko Chain partaa hai, na mujh ko Neend aati hai . . . Ghalat Exit se murh jaayien to Manzil Chhoot jaati hai |
Re: W r o n g Exit !
meray dil k nehaan khanon main kitney lafz.. chilatey huwey, yuN ba’in kertay haiN.. keh meray her taraf cheekho’n ka wehshatnaak shorish.. phail jata hai, satata hai.. magar jab siskiyaaN letay huwey yeh lafz maiN.. kaghaz ki aghosh-e-meherbaaN meiN chupaanay k liye, tarteeb deti hoon.. achanak ye sabhi alfaaz yu’n chup sadh letay hain, k goya boltey na hon.. meiN khaali warq pe nazrein jamaaey qarb ki gehri andheri khamoshi ko.. apnay ander yun chupaati hooN.. k jesay koi apnay zakhm ko un se chuhpata hai jo ussay pyar kertay hain! magar is aik koshish say, na dil ka dard jata hai na koi hal nikalta hey bus ik wehshat ka saaya hai jo har suu phail jata hai |
Re: W r o n g Exit !
:bu:
rani how was my sharing ??? :0026: |
Re: W r o n g Exit !
Quote:
|
Re: W r o n g Exit !
Quote:
|
Re: W r o n g Exit !
Quote:
|
Re: W r o n g Exit !
Old One But My fav One
Aaj Kaafi Arsay Baad Perhna Hua Is Nazam Ko Aap Ki Badolat Share Kernay K Liye Aap Ka Bay-haD Shukriya |
Re: W r o n g Exit !
Nice Post
thanks for sharing |
All times are GMT +5. The time now is 01:48 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.