Banned
|
|
Posts: 407
Country:
Join Date: Oct 2011
Location: home sweet home
Gender:
|
|
Here is an urdu poem that i wrote recently:
1. Hum shakl-e-nabi, hum nam-e-ali, hum umr-e-syeda
pisr-e-hussain, baradar-e-zain, ali akbar sa jawan
2. mard-e-momin tow aur bhee thai, hain, hotay rahain gay
misl-e-akbar mujahid-e-islam zamanay may kahan
3. karoon jo tazkara shadat-e-ali akbar ka
jigar phatta hai seenay may, ankhon say hon ashk rawan
4. jis dam kia hussain nai baitay ko sawar-e-faras
aik ajeeb manzar tha karbal mai, kaisay karoon biyan
5. ruktay thay, chaltay thay hussain, jawan baitay kee janib
goya ho qadmon pay na ikhtiyar-e-syed-e-zaman
6. daikhee jo akbar nay baap kee yeh haalat-e-muztarib
ghoray ko dee lagam rukh-e-imam-e-do jahan
7. kia baat hoi baba, kion paraishan haal ho
kion hain ankhain pur num, chehra howa dhowan
8. bolay hussain tu nahin janta gham-e-aulad kia hai
hai waqt-e-rukhsati yeh, Allah ho nighiban
9. akbar gai maidan mai baatil kai roobaroo
tasveer-e-rasool daikh kar hoay ashkiaa hairan
10. misl-e-haider thay sarapa maidan mai ali akbar
atee thee fauj-e-yazeedi say sada-e-alamaan
11. keya tha buzdilan-e-shaam nai ghairay mai jawan ko
seenay pay sina khai hoay deen pay qurban
12. thi kaanp uthi zameen-e-maidan-e-karbala
laga lahoo ronay jo daikha yai manzar, asmaan
13. woh ashoor ka din, karbala ka woh ajeeb manzar
khaimay mai ik khatoon mehaw-e-talawat-e-quran
14. poocha jo falaq nai kaun hain yeh aajiz bibi
boli zameen zara ghaur say daikh, akbar(as) kee hain yeh maan
|