![]() |
my poetry
Here is an urdu poem that i wrote recently: 1. Hum shakl-e-nabi, hum nam-e-ali, hum umr-e-syeda pisr-e-hussain, baradar-e-zain, ali akbar sa jawan 2. mard-e-momin tow aur bhee thai, hain, hotay rahain gay misl-e-akbar mujahid-e-islam zamanay may kahan 3. karoon jo tazkara shadat-e-ali akbar ka jigar phatta hai seenay may, ankhon say hon ashk rawan 4. jis dam kia hussain nai baitay ko sawar-e-faras aik ajeeb manzar tha karbal mai, kaisay karoon biyan 5. ruktay thay, chaltay thay hussain, jawan baitay kee janib goya ho qadmon pay na ikhtiyar-e-syed-e-zaman 6. daikhee jo akbar nay baap kee yeh haalat-e-muztarib ghoray ko dee lagam rukh-e-imam-e-do jahan 7. kia baat hoi baba, kion paraishan haal ho kion hain ankhain pur num, chehra howa dhowan 8. bolay hussain tu nahin janta gham-e-aulad kia hai hai waqt-e-rukhsati yeh, Allah ho nighiban 9. akbar gai maidan mai baatil kai roobaroo tasveer-e-rasool daikh kar hoay ashkiaa hairan 10. misl-e-haider thay sarapa maidan mai ali akbar atee thee fauj-e-yazeedi say sada-e-alamaan 11. keya tha buzdilan-e-shaam nai ghairay mai jawan ko seenay pay sina khai hoay deen pay qurban 12. thi kaanp uthi zameen-e-maidan-e-karbala laga lahoo ronay jo daikha yai manzar, asmaan 13. woh ashoor ka din, karbala ka woh ajeeb manzar khaimay mai ik khatoon mehaw-e-talawat-e-quran 14. poocha jo falaq nai kaun hain yeh aajiz bibi boli zameen zara ghaur say daikh, akbar(as) kee hain yeh maan |
Re: my poetry
eini difficult poetry mere te sir tu opr guzr gai :p
but nice keep it up |
Re: my poetry
this is an Islamic poetry read this u will understand ..
12. thi kaanp uthi zameen-e-maidan-e-karbala laga lahoo ronay jo daikha yai manzar, asmaan |
Re: my poetry
good shairing
keep shairing |
Re: my poetry
thanks ...
|
Re: my poetry
yea toh pari b nahi ja re
pata nahi kia lekha hai :p |
Re: my poetry
buhat khoob..
|
All times are GMT +5. The time now is 05:41 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.