MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - lahoo rang asmaan
View Single Post
(#1)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Loading lahoo rang asmaan - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-23-2011, 10:36 AM

lafzo ka apna maan hota hai - mei ne chaltey huway usko dekh kar kaha
humei dilo ka haal nazar nahi ata lafz hi hotey hain jin per yaqeen kartey hain . alfaaz ka bharam rakhna hi parta hai warna kuch toot jata hai.

magr tum tou mujhey samjhtey ho - us ne ahista sei kaha

: ) ye sawal me karoo tou ? -

khamoshi uljhan me mubtila karti hai. ek fasla barh jata hai.

tum jantey ho me aisy nahi - us ne phir sei apnei tilismaati hont waa kiye.

kabhi kabhi mujhey lagta hai ke jaiesy me mentally sick hoo. ya phir mujhey samjh nahi aya ke me kia hoo tumharei lia. ya phir allah ne tumhari itni shadeed muhabbat isi lia is dil me daali ke me dunya sei shadeed bezaar hojaoon. jo ke nazar araha hai - me zer e lab muskuraya.

me kia kahoo - wo dunya ki tamaam tar masoomyat apne lehjey me samait kar boli.

me nei ek nazar doobtey huway sooraj ko dekha. aur phir asmaan pe nazar daali....aaj aasmaan kitna lahoo rang hai.

kuch doob raha hai ? us ne ahista se kaha


han ye dil. aur me nei door sarak pe apne rastey pe nigah daali ... sunsaan aur khamosh.



kisi namaloom tehreer sei iqtibaas.

 




ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا
ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے


And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)

Last edited by Shaam; 07-24-2011 at 03:48 PM..
Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links