![]() |
lahoo rang asmaan
lafzo ka apna maan hota hai - mei ne chaltey huway usko dekh kar kaha
humei dilo ka haal nazar nahi ata lafz hi hotey hain jin per yaqeen kartey hain . alfaaz ka bharam rakhna hi parta hai warna kuch toot jata hai. magr tum tou mujhey samjhtey ho - us ne ahista sei kaha : ) ye sawal me karoo tou ? - khamoshi uljhan me mubtila karti hai. ek fasla barh jata hai. tum jantey ho me aisy nahi - us ne phir sei apnei tilismaati hont waa kiye. kabhi kabhi mujhey lagta hai ke jaiesy me mentally sick hoo. ya phir mujhey samjh nahi aya ke me kia hoo tumharei lia. ya phir allah ne tumhari itni shadeed muhabbat isi lia is dil me daali ke me dunya sei shadeed bezaar hojaoon. jo ke nazar araha hai - me zer e lab muskuraya. me kia kahoo - wo dunya ki tamaam tar masoomyat apne lehjey me samait kar boli. me nei ek nazar doobtey huway sooraj ko dekha. aur phir asmaan pe nazar daali....aaj aasmaan kitna lahoo rang hai. kuch doob raha hai ? us ne ahista se kaha han ye dil. aur me nei door sarak pe apne rastey pe nigah daali ... sunsaan aur khamosh. kisi namaloom tehreer sei iqtibaas. |
Re: lahoo rang asmaan
so nice.......
|
Re: lahoo rang asmaan
hmm thanks : )
|
Re: lahoo rang asmaan
saraaaaaaa caps lock mein hay :( itni mushkil hu rahi hay :s
|
Re: lahoo rang asmaan
sonice saying Brother |
Re: lahoo rang asmaan
acha wait lemme change it sabar
Thanks GT |
Re: lahoo rang asmaan
wah buhat khob.... Yeh Apki siggi wali pic sai milta julta hay lol
|
Re: lahoo rang asmaan
actually pic mujh sei milti hai ander sei
|
Re: lahoo rang asmaan
sham bhai bohat nice hai
|
Re: lahoo rang asmaan
Very well written, and easy to understand . . .
TFS Shaam |
All times are GMT +5. The time now is 06:46 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.