MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - Baad Az Wisal Tere, Tu Aur Mera Gharonda..
View Single Post
(#9)
Old
!~*SOoLi !~*SOoLi is offline
Girl Heart Black!!! .. =D
 


Posts: 12,518
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: Lahore..
Gender: Male
Default Re: Baad Az Wisal Tere, Tu Aur Mera Gharonda.. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   06-16-2011, 09:46 PM

Quote:
Originally Posted by fog View Post
Tum Jaisi..

Thori Fursat Mein Jab Kabhi Main Sochnay Baitho'n
To Kai Sawalat Ronuma Hotay Hain..
Kay Aaalam-e-Arwaah Mein Tum Hogi Kaha'n?
Kya Tumhain Un Yado'n Main Lotaya Jata Hoga?..
Kya Tumhain Khuda Nay Qudrat Di Hogi?..
K Un Lamho Ko Phir Say Waisay Mehsoos Kar Sako?
Kya Tumhara Dil Bahel Jata Hoga Mere Baghair?
Ya Phir Dyar-e-Ghair Say..
Tum Kahi Door Say Mujhay Roz Daikhti HOgi

Ye Dunya Mein Ana Jana To Laga Rehta Hay
Dil Mat Harna, Ajaonga Mein Bhi Aik Din!
Nahi, Bura Mat Manana is Baat Ka Tum..
Himmat Nahi Hara Mein Na Mayoosi Hay
Magar Dar Haqeeqat Irtaqa Say Anjam Tak
Ye Rwayat Aik Haqeeqat Hay..
Jisay Bayan Karnay Mein..
Kuch Muzayeqa To Nahi..

Magar Phir Bhi Mujhay Muaf Karna
Janta Hoon Naraz To Tum Hoti Thi In bato Par
Lo.. Agya Yaad Mujhay Ab Ye Bhi..
K Meri Muafi K Baad Tum Hans Diya Karti Thi
Tab Lay Laita Tha Mein Tumhain Apni Baho'n Mein
Aur Ab.. hmm, Khair..


Acha To Ab Mein Chalta Hoon..
Tum Mujhay Darwaza Band Karnay K Baad
Awaz Mat Daina..
Janay Walay Ko Awaz Daina..
Suna Hay.. Acha Nahi Hota..

Iraday Kamzor Hotay Hain,..
Himmat Toot Jati Hay..

Meri Himmat Bandhaye rakhna..
Mujhay Jana Hay, Chalta Hoon..
Khuda Hafiz..


Darwaza Band..

Najanay Kion Thaher Gya Hoon
Shayad Koi Awaz Ayegi..
Rukiyee!!!

Ahhhh Par Nahi

Nahi.. Bilkul Nahi..
Is Ahh Mein Dukh Nahi,
Mein Ghamzada Nahi..
Tum Pareshan Mat Hona..
Tum Pareshan Mat Hona..


ahan bohat hi umda aur munfarid andaz_e_bayan hay :-bd

kamal hay aazad shayer g
go k shayri radeef_o_qafiya ki qaid se aazad hay
par andaz_e_Ebayan bohay mutasir kun hay
bohat bohat zabardast



pehli waali may ye lines umda hain

In Gard Alood Kitabo'n Ko Daikhta Hoon
Shayad Pari Ho'n In Mein Wo Khusq Patiya..
Jo Thi Kabhi Shakl-e-Gulab..
Jo Thi Kabhi Taza Dum,
Khushnuma, Khoobsoorat,..


thanx for sharing
Apkay Qeemti Lafzo'n Nay Mere Is Thread Mein Jaan Bhardi..
Bohat Shukriya .. Jeeti Rahain

 



Chal Fiqr Noo Goli Maar Yaar Hain Din Jindri Day Chaar!