MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Your Own Poetry (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=44)
-   -   Baad Az Wisal Tere, Tu Aur Mera Gharonda.. (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=60478)

!~*SOoLi 06-16-2011 06:14 AM

Baad Az Wisal Tere, Tu Aur Mera Gharonda..
 
Tumharay Visal K Baad..
Aaj Aya Hoon Is Ghar Mein..
Jaha Dafna Gya Tha Yaad-e-Mazi..
Jaha Hansi Khanakhti Thi Tumhari..
Jaha Choti Choti Khushiya Panapti Thi..
Jaha Ruchi Basi Hay Tumhari Khushboo..

Ye Kaisa Ajeeb Ehsaas Hay..
Darwaza Khultay Hi Jaisay,
Teri Khushbuwo'n Nay Aa Ghera Mujhko..
Kehdiya Zamana-e-Hazir Ko Alvida..

Ye Khirki Kitni Dhool Say Atti Hay..
Jaha Baith'ti Thi Tum..
Chand Ki Roshni Mein..
Parha Karti Thi Kitabain Apni

Agay Barhtay Howay Jab Guzra Mein Rahdari Say
You Gumaa'n Howa K Jaisay Tum Ho Waha'n
Barhaya Hath To Paya Apnay Hatho'n Par
Makri Ka Gharoonda Jo Tha Waha'n


In Gard Alood Kitabo'n Ko Daikhta Hoon
Shayad Pari Ho'n In Mein Wo Khusq Patiya..
Jo Thi Kabhi Shakl-e-Gulab..
Jo Thi Kabhi Taza Dum,
Khushnuma, Khoobsoorat,..

Tum Jaisi..

Thori Fursat Mein Jab Kabhi Main Sochnay Baitho'n
To Kai Sawalat Ronuma Hotay Hain..
Kay Aaalam-e-Arwaah Mein Tum Hogi Kaha'n?
Kya Tumhain Un Yado'n Main Lotaya Jata Hoga?..
Kya Tumhain Khuda Nay Qudrat Di Hogi?..
K Un Lamho Ko Phir Say Waisay Mehsoos Kar Sako?
Kya Tumhara Dil Bahel Jata Hoga Mere Baghair?
Ya Phir Dyar-e-Ghair Say..
Tum Kahi Door Say Mujhay Roz Daikhti HOgi

Ye Dunya Mein Ana Jana To Laga Rehta Hay
Dil Mat Harna, Ajaonga Mein Bhi Aik Din!
Nahi, Bura Mat Manana is Baat Ka Tum..
Himmat Nahi Hara Mein Na Mayoosi Hay
Magar Dar Haqeeqat Irtaqa Say Anjam Tak
Ye Rwayat Aik Haqeeqat Hay..
Jisay Bayan Karnay Mein..
Kuch Muzayeqa To Nahi..

Magar Phir Bhi Mujhay Muaf Karna
Janta Hoon Naraz To Tum Hoti Thi In bato Par
Lo.. Agya Yaad Mujhay Ab Ye Bhi..
K Meri Muafi K Baad Tum Hans Diya Karti Thi
Tab Lay Laita Tha Mein Tumhain Apni Baho'n Mein
Aur Ab.. hmm, Khair.. :)


Acha To Ab Mein Chalta Hoon..
Tum Mujhay Darwaza Band Karnay K Baad
Awaz Mat Daina..
Janay Walay Ko Awaz Daina..
Suna Hay.. Acha Nahi Hota..

Iraday Kamzor Hotay Hain,..
Himmat Toot Jati Hay..

Meri Himmat Bandhaye rakhna..
Mujhay Jana Hay, Chalta Hoon..
Khuda Hafiz..


Darwaza Band..

Najanay Kion Thaher Gya Hoon
Shayad Koi Awaz Ayegi..
Rukiyee!!!

Ahhhh Par Nahi

Nahi.. Bilkul Nahi..
Is Ahh Mein Dukh Nahi,
Mein Ghamzada Nahi..
Tum Pareshan Mat Hona..
Tum Pareshan Mat Hona..

!~*SOoLi 06-16-2011 06:18 AM

Re: Baad Az Wisal Tere, Tu Aur Mera Gharonda..
 
Its my Own Creation and Waiting for your Sincere Comments, ..

!~*AdOrAbLe*~! 06-16-2011 07:11 AM

Re: Baad Az Wisal Tere, Tu Aur Mera Gharonda..
 
Acha To Ab Mein Chalta Hoon..
Tum Mujhay Darwaza Band Karnay K Baad
Awaz Mat Daina..
Janay Walay Ko Awaz Daina..
Suna Hay.. Acha Nahi Hota.

Poetry Is Well Chosen PLus Nice Linez Gud Work Thnx Fr Sharin

RoOZ SoOChTa HouN 06-16-2011 11:16 AM

Re: Baad Az Wisal Tere, Tu Aur Mera Gharonda..
 
bahat umdaa likhee .... umeed hai aap aissay hee likhtay rahoO gai ... khoosh rahoO

fog 06-16-2011 09:21 PM

Re: Baad Az Wisal Tere, Tu Aur Mera Gharonda..
 
Tum Jaisi..

Thori Fursat Mein Jab Kabhi Main Sochnay Baitho'n
To Kai Sawalat Ronuma Hotay Hain..
Kay Aaalam-e-Arwaah Mein Tum Hogi Kaha'n?
Kya Tumhain Un Yado'n Main Lotaya Jata Hoga?..
Kya Tumhain Khuda Nay Qudrat Di Hogi?..
K Un Lamho Ko Phir Say Waisay Mehsoos Kar Sako?
Kya Tumhara Dil Bahel Jata Hoga Mere Baghair?
Ya Phir Dyar-e-Ghair Say..
Tum Kahi Door Say Mujhay Roz Daikhti HOgi

Ye Dunya Mein Ana Jana To Laga Rehta Hay
Dil Mat Harna, Ajaonga Mein Bhi Aik Din!
Nahi, Bura Mat Manana is Baat Ka Tum..
Himmat Nahi Hara Mein Na Mayoosi Hay
Magar Dar Haqeeqat Irtaqa Say Anjam Tak
Ye Rwayat Aik Haqeeqat Hay..
Jisay Bayan Karnay Mein..
Kuch Muzayeqa To Nahi..

Magar Phir Bhi Mujhay Muaf Karna
Janta Hoon Naraz To Tum Hoti Thi In bato Par
Lo.. Agya Yaad Mujhay Ab Ye Bhi..
K Meri Muafi K Baad Tum Hans Diya Karti Thi
Tab Lay Laita Tha Mein Tumhain Apni Baho'n Mein
Aur Ab.. hmm, Khair..


Acha To Ab Mein Chalta Hoon..
Tum Mujhay Darwaza Band Karnay K Baad
Awaz Mat Daina..
Janay Walay Ko Awaz Daina..
Suna Hay.. Acha Nahi Hota..

Iraday Kamzor Hotay Hain,..
Himmat Toot Jati Hay..

Meri Himmat Bandhaye rakhna..
Mujhay Jana Hay, Chalta Hoon..
Khuda Hafiz..


Darwaza Band..

Najanay Kion Thaher Gya Hoon
Shayad Koi Awaz Ayegi..
Rukiyee!!!

Ahhhh Par Nahi

Nahi.. Bilkul Nahi..
Is Ahh Mein Dukh Nahi,
Mein Ghamzada Nahi..
Tum Pareshan Mat Hona..
Tum Pareshan Mat Hona..


ahan bohat hi umda aur munfarid andaz_e_bayan hay :-bd

kamal hay aazad shayer g
go k shayri radeef_o_qafiya ki qaid se aazad hay
par andaz_e_Ebayan bohay mutasir kun hay
bohat bohat zabardast



pehli waali may ye lines umda hain

In Gard Alood Kitabo'n Ko Daikhta Hoon
Shayad Pari Ho'n In Mein Wo Khusq Patiya..
Jo Thi Kabhi Shakl-e-Gulab..
Jo Thi Kabhi Taza Dum,
Khushnuma, Khoobsoorat,..


thanx for sharing

life 06-16-2011 09:22 PM

Re: Baad Az Wisal Tere, Tu Aur Mera Gharonda..
 
nice..............

!~*SOoLi 06-16-2011 09:40 PM

Re: Baad Az Wisal Tere, Tu Aur Mera Gharonda..
 
Quote:

Originally Posted by !~*AdOrAbLe*~! (Post 1077065)
Acha To Ab Mein Chalta Hoon..
Tum Mujhay Darwaza Band Karnay K Baad
Awaz Mat Daina..
Janay Walay Ko Awaz Daina..
Suna Hay.. Acha Nahi Hota.

Poetry Is Well Chosen PLus Nice Linez Gud Work Thnx Fr Sharin

Thankyou !~*AdOrAbLe*~!, your Comments motivate me to Do Something more Creative Comparitively This one.. Thanks For Appreciation

!~*SOoLi 06-16-2011 09:42 PM

Re: Baad Az Wisal Tere, Tu Aur Mera Gharonda..
 
Quote:

Originally Posted by RoOZ SoOChTa HouN (Post 1077230)
bahat umdaa likhee .... umeed hai aap aissay hee likhtay rahoO gai ... khoosh rahoO

Shukriya Bhai, Ap Bhi Khush Rahain, .. Umeed Hay Apki Umeedo'n Par Pura Utarta Rahonga..

!~*SOoLi 06-16-2011 09:46 PM

Re: Baad Az Wisal Tere, Tu Aur Mera Gharonda..
 
Quote:

Originally Posted by fog (Post 1077959)
Tum Jaisi..

Thori Fursat Mein Jab Kabhi Main Sochnay Baitho'n
To Kai Sawalat Ronuma Hotay Hain..
Kay Aaalam-e-Arwaah Mein Tum Hogi Kaha'n?
Kya Tumhain Un Yado'n Main Lotaya Jata Hoga?..
Kya Tumhain Khuda Nay Qudrat Di Hogi?..
K Un Lamho Ko Phir Say Waisay Mehsoos Kar Sako?
Kya Tumhara Dil Bahel Jata Hoga Mere Baghair?
Ya Phir Dyar-e-Ghair Say..
Tum Kahi Door Say Mujhay Roz Daikhti HOgi

Ye Dunya Mein Ana Jana To Laga Rehta Hay
Dil Mat Harna, Ajaonga Mein Bhi Aik Din!
Nahi, Bura Mat Manana is Baat Ka Tum..
Himmat Nahi Hara Mein Na Mayoosi Hay
Magar Dar Haqeeqat Irtaqa Say Anjam Tak
Ye Rwayat Aik Haqeeqat Hay..
Jisay Bayan Karnay Mein..
Kuch Muzayeqa To Nahi..

Magar Phir Bhi Mujhay Muaf Karna
Janta Hoon Naraz To Tum Hoti Thi In bato Par
Lo.. Agya Yaad Mujhay Ab Ye Bhi..
K Meri Muafi K Baad Tum Hans Diya Karti Thi
Tab Lay Laita Tha Mein Tumhain Apni Baho'n Mein
Aur Ab.. hmm, Khair..


Acha To Ab Mein Chalta Hoon..
Tum Mujhay Darwaza Band Karnay K Baad
Awaz Mat Daina..
Janay Walay Ko Awaz Daina..
Suna Hay.. Acha Nahi Hota..

Iraday Kamzor Hotay Hain,..
Himmat Toot Jati Hay..

Meri Himmat Bandhaye rakhna..
Mujhay Jana Hay, Chalta Hoon..
Khuda Hafiz..


Darwaza Band..

Najanay Kion Thaher Gya Hoon
Shayad Koi Awaz Ayegi..
Rukiyee!!!

Ahhhh Par Nahi

Nahi.. Bilkul Nahi..
Is Ahh Mein Dukh Nahi,
Mein Ghamzada Nahi..
Tum Pareshan Mat Hona..
Tum Pareshan Mat Hona..


ahan bohat hi umda aur munfarid andaz_e_bayan hay :-bd

kamal hay aazad shayer g
go k shayri radeef_o_qafiya ki qaid se aazad hay
par andaz_e_Ebayan bohay mutasir kun hay
bohat bohat zabardast



pehli waali may ye lines umda hain

In Gard Alood Kitabo'n Ko Daikhta Hoon
Shayad Pari Ho'n In Mein Wo Khusq Patiya..
Jo Thi Kabhi Shakl-e-Gulab..
Jo Thi Kabhi Taza Dum,
Khushnuma, Khoobsoorat,..


thanx for sharing

Apkay Qeemti Lafzo'n Nay Mere Is Thread Mein Jaan Bhardi..
Bohat Shukriya .. Jeeti Rahain

!~*SOoLi 06-16-2011 09:50 PM

Re: Baad Az Wisal Tere, Tu Aur Mera Gharonda..
 
Quote:

Originally Posted by life (Post 1077960)
nice..............

Shukriya.. :) Jeeti Rahain..


All times are GMT +5. The time now is 08:04 PM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.