![]() |
My Ghazals
zalim teri nigah ki jadoo keya haiN
aNkhoN aNkhoN meN yeh guftagoo keya haiN lutf hota nahiN ishq meN to sukhan jaan dono ruh ka yeh rubaroo keya haiN gar tujhpe chala mera sehr to phir tera yeh husn ka fasoo keya haiN kis kis ada ko salam karuN teri chashm-e-tar keya gesoo keya haiN dil samhalne ki khwaish keya karuN tabassum-e-rukhsar ki arzoo keya haiN tumne jaan liya meri har fitrat maiN na jaan paaya ke too keya haiN door rahke aaj mahsoos huyi alam tujhse milne ki justjoo keya haiN |
Re: My Ghazals
nazdigi ko door karke door se paas aayi
is qadar kuchh kho kar pane ki ehsaas aayi tumse bichhDe to ujaD gaye chaman-e-bahar milne ki baad-e-saba aayi to aas aayi chhankati huyi payel ki aawaz jab uThi fir mere mazar pe guloN ki baas aayi faysla kar ne ke din aa gaye to fir daad-e-wafa ke liye alam teri paas aayi |
Re: My Ghazals
raks karti hain faza deep jala tu aaya
sikwa-e-zulmat sab dur hata tu aaya roz bhar sochta raha tujhko ay mahjabi intezar huyi khatam shaam dhala tu aaya kitni chand honge aaj shab-e-sohbat men tere hi khatir jaana chand duba tu aaya saqi de do ghunt peelake kar de diwana raat ki daur chala chhayi ghata tu aaya justaju hain koyi tujhse milne ke ummid shauk to kar le pura boli hawa tu aaya tere aane ki khushi men aaj ay alam kahin dur men mera dil jala tu aaya |
Re: My Ghazals
great sharing
|
Re: My Ghazals
halat aisa haiN ke tumse juda huye
jurm to kiye nahiN the aisi saza huye dekhne ke liye nigaheN tarsa umr bhar aaj qismat aisi ke sanam khuda huye kabhi na soche the ke aapse hi aap juda waqt ki karishma meN aaj woh bala huye unwaan na mil saka muddat guzar gayi dil ki khwayisheN yuN hi raza raza huye chand kaliyaN khili thi zer-e-lab pe bhi mahtab chhupa ke tere jamal ki rida huye bohot sah chuka huN judai tere wagar dil ki dard tanhai meN Gamgi fuga huye alam tamanna liye to jee raha ab ke bar sochke khiza ke daur meN hasin faza huye |
Re: My Ghazals
kuchh to bateN sunaneke liye aaye the alam
lekin dekhkar tumhe ay haseen jee se nikle dam bolne ki ummeedeN khatam kiye husn ki parastish payon ko jumbish nahiN ke chale aur ek kadam teri husn ki jaadu haiN shayad yaa meri beqarari dekhkar tujhe mangte haiN dua marne ke ham kash aisi nigahoN meN kabhi giriyaN ki ho sajda wohi mera mazhab haiN jhute sabhi dair-o-haram jab lauTne ke waqt aa gaya teri duniya se aakhir allah se chahuN ke mere umr ho jaaye toda kam muhabbat kahuN ki usko kahuN mere wahashat haiN kayi khalish-e-dil aur thodi jee ne ki barham ashk bahane se aaj bhi Darti haiN yeh kamzor dil jaate jaate woh de jo gaya aapne hi ki qasam |
Re: My Ghazals
tumse bichhaDke jina mushkil haiN
sine meN meri patthar nahiN dil haiN jis bazm meN maiN jala shamma ki tarah GairoN ka nahiN woh teri mahfil haiN maiN kiyuN na kahuN tujhe mahtaab-e-zameeN daaG jaise tere chahre meN woh til haiN jo tujhe yaad karne ke liye bhula deti haiN zamane meN kitne aise nadaan-o-gafil haiN bhul bhi jao mazi ki woh dard-o-Gam hamare samne ik haseeN mustaqwil haiN salibeN jab lagti haiN dair ke mehrab par nisaab-e-naseh nahiN usse tu hasil haiN maiN jo khushnasib kah raha huN khudko aNkhoN ke samne ab ek hi manzil haiN maqte meN yehi mahsus huye ke alam baqa-e-dil ke liye tu hi mustaqil haiN |
Re: My Ghazals
jal gaya sara badan to dil kaise mile
woh jate jate tod gaye sare silsile patjhad ke mausam rahta nahi umr bhar bahar aayi to baghon mein phul khile saqi ne pila raha to miqdar nahi hote ishq ka sharab hai dil khol ke pile zindagi ki aadayen sah chuka war na har simt mein dikhayi deta kahin gile thak gaya kiyun zara si chalke abhi alam todi si to zindagi yahan aur jile |
Re: My Ghazals
saher huyi to uqubat-e-intezaar aayi
khiza ke daur khatam huye bahaar aayi samundar ke maujon se bahti huyi hawa jaise dil men sadiyon ki qaraar aayi faiz dene ki ummid leke jab woh aayi dard ki diwar men saikadon daraar aayi koyi saylaab sa tha jaise zindagi muddaton baad rahat ki kanaar aayi aapno ne hi gam diya tha alam gayr ne banke gamgusaar aayi |
Re: My Ghazals
bazm ka shamma huN maiN ta umr jalake jo raushni diya haiN
akhri waqt meN bujh jana hi haiN mere nasib meN yeh likkha haiN mere siwa kise haq tha ke us jamal-e-husn ke samna kareN shukr karoN ay dostoN ke zamane meN mujhiko yeh haq mila haiN sab kuchh tha woh meri jo mere paas aake mujhe bujhake gaya jisko samne dikhyi nahiN deta ay naseh woh tera khuda haiN bhulne ki kaushish meN un bewafa jaan-e-jigar ki aaj ham siwaye unki haif sare alam ko hi to yuN bhulaaya haiN samundar ki talash meN nikla tha kabhi barsoN pahle sahra ke baad milne ki ummid thi magar aur ek sahra haiN dil lagta nahiN zamane meN ao dozakh meN hi to chale kanwaqt dil ki chain ke liye shayad wohaN kuchh saza haiN thoDi si khata ke liye chhoD gaye umr bhar ka hamsafar Gam na kar ay alam shayad yehi yeh zamane ka wafa haiN |
All times are GMT +5. The time now is 08:04 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.