![]() |
In ansu’on ki wazahat main umer bhar na kroon!
Talab ko ajar na doon, fikar-e-rahguzar na karoon! Safar main ab ke hawa ko bhi hamsafar na karoon Ubhartay doobtay sooraj se torr loon rishta Main sham orh ke so jaon aur sahar na karoon Ab is se barh ke bhala kya ho ehtiyat-e-wafa Main tere sheher se guzroon, tujhe khaber na karoon! Ye meray dard ki daulat, meri maata-e-firaaq In ansu’on ki wazahat main umer bhar na kroon! Ujar shab ki khalish ban ke bun main kho jaoon Main chandni ki terha khud ko derbader na karoon! Wo aik pal ko dikhai to de kaheen Mohsin Main jan gunwa ke bhi us pal ko mukhtasir na karoon! |
Re: In ansu’on ki wazahat main umer bhar na kroon!
:bu: .......
|
Re: In ansu’on ki wazahat main umer bhar na kroon!
Quote:
|
Re: In ansu’on ki wazahat main umer bhar na kroon!
hi im new here
wow very very nice poetry ....just love it |
Re: In ansu’on ki wazahat main umer bhar na kroon!
Quote:
|
Re: In ansu’on ki wazahat main umer bhar na kroon!
Ubhartay doobtay sooraj se torr loon rishta
Main sham orh ke so jaon aur sahar na karoon..... itni narazgi |
Re: In ansu’on ki wazahat main umer bhar na kroon!
Quote:
cham intensity to dono he baton ki hey :10: samjh nahi tu is sher pr b ghor kerty :10: Wo aik pal ko dikhai to de kaheen Mohsin Main jan gunwa ke bhi us pal ko mukhtasir na karoon! shidat does has its worth in any condition no matter its nafrat or muhabat :10: |
Re: In ansu’on ki wazahat main umer bhar na kroon!
sahi
shiddat ki ehemyat bahuit hai per shiddat ki qadar nahi |
Re: In ansu’on ki wazahat main umer bhar na kroon!
Quote:
YEAH here i agreed :rolleyes: qadardaNO ki waqi kammi hey :rolleyes: vus ye sadi he kuch esi hey :rolleyes: kiya kry koi hmm :rolleyes: |
Re: In ansu’on ki wazahat main umer bhar na kroon!
hmmm bus apni tamaniyat kei lia
shiidato sei chahta rahey baaqi Rab di marzi : ) |
All times are GMT +5. The time now is 10:12 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.