![]() |
Khud apne dil k haath se majboor bohat thay
Khud apne dil k haath se majboor bohat thay Jo qurbatoN k daur mein bhi door bohat thay Ham ne to kuchal Daala tha apni anaa ka sar Wo phir bhi,Khuda jaane kyuN,maghroor bohat thay Chaaha tha dil-e-zaar ki haalat bayaaN karein Dekha to palaT aaye,wo masroor bohat thay Ji chaahta tha khud se munsalik har aik baat Khud tak hi rakhte ham magar mash-hoor bohat thay Alfaaz ki gehraai ko kya maapte k ham Lehje ki mai-e-mast se makhmoor bohat thay Wo beech raah cHoR k rasta badal gaya Goya hamaari ghalatiyaaN,qusoor bohat thay Lab muskura diye magar aankhoN ne keh diya Ham uss k haal-e-zaar pe ranjoor bohat thay |
nice
|
zaberdast
|
wah wah waH
|
Thanks all of ya |
nice
|
nyce
|
nyc
|
ny
|
nice
|
All times are GMT +5. The time now is 01:27 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.