View Full Version : My collection of poetry
Emaan_88
12-12-2008, 11:43 PM
waqt ki andhi mein tufan badal jaty hain
zindagi ki rahoon mein insan badal jatay hain
badalta nahi pyar kabhi magar…
pyar karny walay insan badal jatay hain
Emaan_88
12-12-2008, 11:45 PM
Kismat do pal mein badal sakta he INSAN,
Per jo INSAN ko badal de wo kismat nahin hoti,
Apni kismat pe rota wohi shakhs hay jisko,
Sajdon me rone ki adat nahin hoti
Emaan_88
12-12-2008, 11:45 PM
Kon kehta hy k aadmi apni kismat khud likhta hay…
Agar yeh sach hy tu kismat mein dard kon likta hay?
Emaan_88
12-12-2008, 11:46 PM
Geeley kaghaz ki tarhaan hai zindagi apni
Koi likhta bhi nahi koi jalata bhi nahi
Is qadar akele ho gai hain aaj kal
Koi satata bhi nahi or koi manata bhi nahi
Emaan_88
12-12-2008, 11:48 PM
Tanhai jub muqaddar mein likhi hai,
To kia shikayat apnon aur bayganon se,
Hum mit gaye jin ki chahat main,
Woh baaz nahin aatay hamain azmanay se
Emaan_88
12-13-2008, 12:03 AM
dard ko humne kabhi dard na samjha
aaya khyaal jab to ye jaan ban chuke the....
Bikhra hua sa main pahuncha tha tere dar pe
dekha to tum kisi ke jahaan ban chuke the....
Aaye the vo bhi meri tabiyat ka haal lene
tab tak to hum khuda ke mehmaan ban chuke the
har basti har gali me hum dhoodha kie tujhe “kaash“
pahunche jahan jahan sab insaan ban chuke the......
Emaan_88
12-13-2008, 12:07 AM
samay samay kii Khalish mein teraa malaal rahay
judaaiiyon mein bhii yun aalam-e-visaal rahay
anaa kii jang mein ham jiit to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahay
raah-e junun mein yahii zaad-e-raah hotaa hai
k justaju bari divaanagii bahaal rahay
hasiin raaten bhii mahaken tumhaarii yaadon se
kare dinon mein bhii pal pal teraa Khayaal rahay
tuu ek baar zaraa kishtiyan jalaa tow sahii
hay kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahay
Emaan_88
12-13-2008, 12:13 AM
Maana ke main lafzon main kabhi ezhaar nahin karta
Iska Matlab Ye Nahi Ke Mein Tujhe Pyaar Nahi Karta
Chahta hun main tuje aaj bhi dil ki gehraeon se jaan
Tu mera dil meri ruh meri jaan main inkaar nahi karta
Tamasha na ban jaaye kahin mohabbat meri ay jaan
Esi liay main apni aankhon ko bhi namdaar nahi karta
Jo kuch milaa hai muj ko ye he tha kismat main meri
Khuda se aur us ki khudae se main takraar nahi karta
Kuch to baat hai khas tuj main tere pyaar main jaan
Warna main tujh se dewano ki tara pyaar nahin karta
Nafrat si ho gaee hai esse muhabot ke naam se jaan
Warna Raj tum se milne se kabi inkaar nahi karta
Nida-H
12-13-2008, 10:47 AM
Nice collection..keep it up!!!
Emaan_88
12-13-2008, 12:39 PM
Meri zindagi ka sawal hei
tum torhne mein taaq they
muge jorhne mein kamal hei
zara mere haal par reham ho
meri zindagi ka sawal hei
bulandyon ki taraf rawan
na hi pastion ki taraf safar
aaj kal to ye haal hei
na urooj hei na zawal hei
Emaan_88
12-13-2008, 12:40 PM
Do chaar baar hum jo kabhi hans hansa liye
Saare jahan ne haath main patthar utha liye !!
Rahte hamare paas to ye toot te jaroor
Achha kiya jo aapne sapne chura liye !!
Chaha tha ek phool ne tadpe usi ke paas
Humne khushi ke paaon mein kaante chubha diye !!
Sukh, jaise baadalon mein nahati ho bizliyan
Dukh, bizliyon ki aag mein baadal naha liye !!
Jab ho saki na baat to humne yahi kiya
Apni gazal ke sher kahin gunguna liye !!
Ab bhi kisi daraaz mein mil jayenge tumhe
Wo khat jo tumhe de na sake, likh likha liye !!
Emaan_88
12-13-2008, 12:40 PM
Yaad Ki Rah Guzar Jis Pe Issi Sorat Se
Muddatein Beet Gaye Hain Tumhein Chaltey Chaltey
Khattam Ho Jaye To Do Char Qadam Aur Chalo
Morr Parta Hai Jahan Dasht-e-faramoshi Ka
Jis Se Agey Na Koi Mein Hoon Na Koi Tum Ho
Saans Thamein Hain Nigahein K Najaney Kis Dum
Tum Palat Aao, Guzar Jao, Ya Murr Ker Dekho
Gar Cheh Waqif Hain Nigahein K Ye Sab Dhoka Hia
Ger Kahin Tum Se Hum Agoosh Hoi Phir Se Nazar
Phoot Nikley Gi Wahan Aur Koi Rah Guzar
Phir Ussi Tarhaan Jahan Ho Ga Muqabil Paiham
Saaya-e-zulf Ka Aur Jumbish-e-bazoo Ka Safar
Dosri Baat Bhi Jhooti Hai K Dil Janta Hai
Yahan Koi Morr, Koi Dashr, Koi Ghaat Nahi
Jis K Pardey Mein Mera Mah-e-raavan Doob Sakey
Tum Se Chalti Rahey Ye Raah Yunhi Acha Hai
Tum Ne Murr Ker Bhi Na Dekha Tou Koi Baat Nahi
Emaan_88
12-13-2008, 12:42 PM
Wo Tum Na Thay Ek Khayal Tha
Meri Soch Ka Hee Kamal Tha
WO Mohabbaten, Wo Chahaten
WO Uljhanon Ka Hee Jall Tha
Meray Dil Men Theen Jo Ronaqen
WO Tera Hee Husn-o-Jamal Tha
Jawab Jis Ka Mila Nahee
Wo Aisa He Ek Sawal Tha
Wo Aaj Mila To Yun Laga
Yehi To Hai Jis Ka Intazar Tha
Usay Yad Kesay Na Karey Koyee
Ussay Bhoolna To Muhal Tha
Ab Us Kee Men Kya Misal Dun
Wo Khud Apni Misal Aap Tha
Emaan_88
12-13-2008, 12:44 PM
Bohat dino ki baat thi
shabab per bahar thi
fiza bhi khushgawar thi
na jaane kioun machal para
main apne ghar se chal para
kisi ne mujh ko rok ker
bari aada se tok ker
kaha ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee
magar mujhe khabar na thi
mahaul per nazar na thi
na janey kioun machal para
main apney ghar se chal para
phir shehar se main aa gaya
khayal tha ke paa gaya
usey jo mujh se durr thi
magar meri zaroor thi
phir ik haseen shaam ko
main chal para salam ko
gali ka rang dekh ker
naye tarang dekh ker
mujhe bari khushi hui
main kuch isi khushi main tha
kisi ne jhank ker kaha
paraye ghar se jayyee
meri qasam na ayyee
wohi haseen shaam hai
bahar jis ka naam hai
chala hoon ghar ko chor ker
na janey jaoon ga kidhar
koi nahin jo rok ker
koi nahin jo tok ker
kahay ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee
Emaan_88
12-13-2008, 12:45 PM
Mahsus kar mujhe tu, kabhi paas aa ke dekh
mere jahan-e-dil meiN apna ghar basa ke dekh
koi aisey ajnabi bhi nahiN is shahr ke log
kuchh keh to ranj-o-gham ki, sab ko suna ke dekh
hamshakl ho gaya hai mere gham ka, tera gham
tu mere dil ko apna aayina bana ke dekh
yeh farq dair-o-harm ka nazroN ka bharam hai
tu deengah se apni, bahar to aa ke dekh
jab ranjishoN meiN kat gayee, ab na fareb kar
waqt aakhiree hai, ab na muskura ke dekh
khamosh sun rahey haiN hum, sarghoshi-e-bahar
aatey haiN apne gaaoN se jhoNkey hawa ke dekh
maiN muNtzir huN roz-o-shab, aiy dard-e-do_jahan!
be-dard, jab bhi waqt miley, aazma ke dekh
Emaan_88
12-13-2008, 12:47 PM
Intezar hai aik kushi paney k,
lamha do lamha hai tanhai magar hai sabar dil may,
hai aas dil may Tere laut aney k,
Iman hai Apne Khuda pe,
Mei buni hu Tere liye,
magar hai na maloom ajj ka or na hai kabar kal k,
ajj Mei ro rai hu kal Tu na ro pare Mere liye,
kya maloom Tere tara badal jai Hum b or rona pare Tuje b
Emaan_88
12-13-2008, 12:50 PM
Kabhi Jo Chand Ko Dekho
To Tum Yu Muskura Dena
Jo Chal Jaye Hawa Thandi
To Aankhe Band Kar Lena
Jo Jhoka Tez Ho Sabse
Wo Samjh Lena KE Mai Hu.
Agar Tum Bhulna Chaho
Mujhe Shayad Bhula Do Tum
Magar Jab Sans Tum Lena
Samjh Lena Ki Wo Hu Mai.
Kisi Raat Tanhayi Me Jab
Neende Ur Jaye
Haseen Khwab Saj Jaye
To Samjh Lena Ki
Wo Haseen Khwaab
Hu ``Mai``.
Da Only Ruler !!!
12-13-2008, 12:50 PM
bauhat umdaa
Emaan_88
12-13-2008, 12:51 PM
Apni Tasweer Ko Rakh Ker Teri Tasweer Ke Saath
Mein Ne Ye Umar Guzari Bari Tadbeer Ke Saath...
Hogaya Ye Dafan Qissa Bhi Jahangeer Ke Saath
Ab Kahan Adal Ka Rishta Raha-e-Zanjeer Ke Saath...
Jis Qadar Rabt Hai Ghalib Ki Zabon Haali Sey
Mera Itna He Taaluq Hai Gham-e-Meer Ke Saath...
Jis Ko Mein Apna Banata Hoon Bichhar Jaata Hai
Meri Banti He Nahin Kaatib-e-Taqdeer Ke Saath...
Mein Ne Rehney Dia Pewast Rag-e-Jaan Fehmi
Jis Ke Haathon Ke Haseen Lams Tha Jis Teer Ke Saath
Emaan_88
12-13-2008, 12:52 PM
to kia tumhain main kabhi yaad he nahi aya
kisi gulaab ko tehne say torr kar bhe nahi
subuk kalayi main gajray kabhi pehentay huay
gulaab hathon pe mehndi kabhi lagatay huay
safaid dodhya anchal ko zard rangtay huay
gulaal maltay huay, choryan pehentay huay
chamaktay mathay pe bindya kabhe sajatay huay
sanwar k dair tak ayenay ko taktay huay
TO KIA TUMHAIN MAIN KABHE YAAD HEEEE NAHIIII AYA
kisi kabotar-e-gardan ko dekh kar bhi nahi
kabhe diyaa kisi dargah main jalatay huay
kisi dukaan pe sarhee pasand kartay huay
lachakte shakh pe pehla gulab lagtay huay
kabhi yonhi kisi makhsoos dhun ko suntay huay
kabhi kabhi yonhi koi kitaab parhtay huay
barastay abar me chat pe kabhi nahatay huay
khud apnay jism say yonhi kabhe lajatay huay
kisi sahaile say hanstay samay lipt`tay huay
kisi khayal main baithay say uth k chaltay huay
kisi bhi raat ko uth kar yonhi tehaltay huay
akailay dour talak khamoshi me chaltay huay
khala main zaat ke be asra bhataktay huay
kisi pahar pe tanha sanbhal k charhtay huay
utartay chand ka mojon main aks partay huay
libaaas pe khushboo koi lagatay huay
khizaaan main sokhtay patton ka shor suntay huay
mitay huay say darakhton pe naam parhtay huay
kisi bhi roz yonhi ghar k kaam kartay huay
azaan hotay he anchal say sir ko dhaktay huay
TO KIA TUMHAIN MAIN KABHEEE YAAD HE NAHI AYAA
kisi gulab ko tehni say torr kar bhi nahi
kisi kabotar-e-gardan ko dekh kar bhi nahi
kisi darakht k sayay main beth kar bhi nahi
to kia tumhain main kabhi yaad he nahi aya
Emaan_88
12-13-2008, 12:53 PM
Zakham jo aapki anayat hai is nishani ko nam kia dein hum
Pyar dewar ban k reh gaya hy is kahani ko nam kia dein hum
Aap Ilzam dhar gaye hum per,ek Ehsan ker gaye hum per
Aap ki ye b meharbani hy,Meharbani ko naam kia dein hum
Aap ko hi zindagi samjha,Dhoop ko hum ne chandni samjha
Bhool hi bhool jis ki adat hay,Is jawani ko nam kia dein hum
Raat sapna bahar ka dekha,Din hoatu ghubar sa dekhaaa
Bewafa waqt bezaban nikala,Bezabani ko nam kia dein hum
Emaan_88
12-13-2008, 12:55 PM
chhoTii sii Galat_fahamii kar degii judaa ham ko
haalaat na badale.nge maaluum naa thaa ham ko
rishto.n kii hame.n itanii pahachaan na thii pahale
kahane ko maraasim to apane the bahut gehare
ashko.n ke sivaa lekin kuchh bhii na milaa ham ko
uThate hue qadamo.n me.n zanjiir sii pa.D jaatii
ehasaas-e-nidaamat se dahaliiz par ga.D jaatii
ik baar muhabbat se dete jo sadaa ham ko
Da Only Ruler !!!
12-13-2008, 12:56 PM
aww man pele wali puri pari nai n more n more
damn man u got so much talent
Emaan_88
12-13-2008, 12:57 PM
Mere Naseeb Main Likha Nahin Gaya Tujh Ko
Magar Main Chahta Hoon Had Se Bhi Zyaada Tujh Ko
Tera Hi Chehra Hai Meri Aankhon Main
Aaina Meri Aankhon Main Nazar Aaye Ga Tujh Ko
Mujhe To Teri Khushi Zindagi Se Barh Kar Hai
Khafa Huwa Hai Mujh Se Ye Kya Hua Tujh Ko
Mujhe To Jaagna Hai Har Pal Tere Khayalon Main
Jo So Bhi Jaaoun Khawabon Main Dekhna Hai Tujh Ko
Tu Roshni Ban Ke Mere Ghar Main Chandni Karti
Magar Raat Ki Ghata Ne Chupa Liya Tujh Ko
Main Jaanta Hoon Ke Tu Bewafa Nahin Hai Magar
Kabhi Milli Hi Nahi Mohlat Wafa Ki Tujh Ko.........
Emaan_88
12-13-2008, 12:57 PM
SYed Shahid AliSaraab-e- Zindagi may, tanha thay bouhat
Takhiuual may taira, sarapa jo dekha
Tujhay socha ham nay, khialyawn may jo ik din
Choup kay jo dekha KITABI tha CHARA
Phir dil may jo jhanka, tu tumhara tha basira,
or phir taray hogay hum
Da Only Ruler !!!
12-13-2008, 01:00 PM
nyc
Emaan_88
12-13-2008, 01:03 PM
Shaur apna hi jis ka bahana sazi tha
Wo merey jhoot pe khush tha na sach pe razi tha
Tamam umer usi ke rahey yeh kai kam tha
Bala se ishq haqeeqi na tha majazi tha
Na tanz ker ke kayi bar keh chukka tujh se
Wo meri pehli muhabat to mera mazi tha
Na dost yaar, na naseh, na nama ber , na raqeeb
Bala kashane muhabat se kon razi tha
Yeh gul shuda si jo sham’main dikhaei daiti hain
Huner in ankhon ke agey sitara sazi tha
Addu ke samney hathhyaar dalney wala
Koi Faraz sa kafir nahi tha , Ghazi tha
Emaan_88
12-13-2008, 01:04 PM
Wafa ki jail se
Wafa ki jail se bhaaga hoa majboor kaidi hoon,
Agar dil ki adalat main tumhain mera khayal aaye,
To mujh ko yaad ke dhundly katehre main talab karna,
Mere lafzoon, meri baatoon ko dil hi dil main doohrana,
To phir shaed tumhain koi purana naqsh mil jae,
Jo meri be-gunaahi ki adalat main gawaahi de,
Yehi meri tamana hai ke tum mujh ko wohi samjho,
Jo main ne tum ko samjha hai, tumhain ab tak samajhta hoon,
Meri derina saathi ho tumhain ye to khabar ho ge,
Ke main apni safai main kabhi bhi kuch nahen kehta,
Agar phir bhi kisi pehlo se main mujrim nazar aaon,
To wafa ki rah main nadan samajh kar darguzar karna...
Emaan_88
12-13-2008, 01:04 PM
Banke ehsaas meri dhadkan ke paas rehte ho,
Tasveer ban ke meri ankhon ke paas rehte ho,
Aaj puchte hai 1 sawaal tumse,
Kya dhoor reh kar tum bhi udaas rehte ho?
Emaan_88
12-13-2008, 01:05 PM
Khawabon Kee Tarah Tha Naa Khayalon Kee Tarah Tha
Woh Ilm-e-Rayazee Kae Sawalon Kee Tarah Tha
Uljha Huya Aisa Kae Kabhi Khul Nahin Payaa
Suljha Huya Aisa Kae Misalon Kee Tarah Tha.........
Emaan_88
12-13-2008, 01:08 PM
Kitni Aasani Se Log Keh Jaate Hein
Ke Pyaar Nahi Wo To Ek Dhoka Tha
Wo Sab Eik Fareb Tha Eik Tamasha Tha
Hawa Ka Ik Dilkash Jhonka Tha
Ab Humne To Akela Rehna Seekh Liya
Kya Yehi Sun-na Ab Reh Gaya Baaqi Tha
Usne Haal Poocha To Kisi Rishte Se Nahi
Saath Ye Bhi Kaha, Farz Ye Ikhlaaqi Tha
Bolo Bacha Hi Kya Hai Ab Kehne Ko
Us Dil Mein Jagah Hi Nahi Ab Rehne Ko
Koi Darr Hi Nahi Tha, Uske Saath Hone Se
Ab Himmat Hi Nahi, Koi Dukh Sehne Ko
Uski Tasveer Ko Yoon Haaton Mein Le Ke
Uske Aage Yoon Apna Dil Khol Diya
Usne Bhi Socha Ke Ye Kya Hai Harqat
Tang Aakar Usne Bhi Ye Bol Diya
Wo Jo Guzre Thay Sang Din Bhool Jao
Wo Din Nahi Hein Ab Aane Waale
Banhein Phelaye Khare Kyun Ho ‘B hooT’
In Mein Ab Nahi Hum,Samaane Waale
Emaan_88
12-13-2008, 01:09 PM
Koi Yeh kasay bataye k woh tanha kion hey ?
woh jo apna tha wohi aur kisi ka kion hey ?
yahi hota hey to akhir yehi hota kion hey ?
yahi dunia hey to phir aisi ye dunia kion hey ?
dil-e- barbad se nikla nahin ab tak koi
ek lutay ghar pe bhi Ah deta hey dastak koi
aas jo toot gaye phir se bandhta kion hey ?
ik zara hath barha dein to pakar lein daman
us ke seny mein sama jaye hamari dharkan
itni qurbat hey to phir phasla itna kion hey ?
tum musarrat ka kaho ya ise gham ka rishta
kehty hein Piyar ka rishta hey janam ka rishta
hey,janam ka jo ye rishta to badalta kion hey ?
koi yeh kasiay bataye keh woh tanha kion hey ?
woh jo apna tha wohi aur kisi ka kion hey
Emaan_88
12-13-2008, 01:11 PM
Roshni kab kum hui pata na chala
Khushi kab ghum hui pata na chala
Tumhari yad mein khoye kuch is tarha
Aankh kum num hui pata na chala
Emaan_88
12-13-2008, 01:12 PM
Jinki Yaad mein hum deewane ho gaye,
Wo hum hi se begaane ho gaye.
Shayad unhe talash hai ab naye pyaar ki,
Kyunki unki nazar mein hum purane ho gaye.
Baaki kuch na raha zamaane mein,
Jawani guzar rahi mehkhaane mein.
Ab to karle mere pyaar pe yakeen,
Warna zindagi beet jaayegi aazmane mein.
Tumhari har adaa ka kya jawab doon,
Apne pyaar ko kya upahaar doon.
Koi acha sa phool hota to maali se mangwata,
Jo khud gulaab hai usko kya gulaab doon.
Waqt hume bhula chuka hai,
Mukaddar bhi na bhula de.
Hum pyaar isliye nahi karte,
Ki kahin hume phir se koi na rula de.
Aankhon mein aansu aa jaate hain,
Phir bhi labo pe hansi rakhni padti hai.
Yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaron,
Jisse karte hai usi se chupani parti hai.
Emaan_88
12-13-2008, 01:13 PM
Bewafai kaa ab gila kaisa
aap pahle bhi kab hamare the
meri aankhon main phailate hoye rang
kal tak aap ko bhi pyare the
nahin shikawa mujhe kuch bewafai ka teri hargiz
gila tab ho agar tune kisi se bhi nibhai ho
Gham to ye hai ki vo kasme waade Toot gaye
bewafa koi bhi ho tum na sahi ham hi sahi
badi zaalim nihayat bewafaa hai
ye duniyaa phir bhi kitani Khush-numa hai
bewafaa tune mujhe pyaar kiya hi kyun tha
sirf do-char savalat kaa mauqa day day
kaam aa saken na apni wafaayen to kya karen
ik bewafa ko bhool na jayen to kyaa karen
mujhe mere mitana ka Gham hai to ye hai
tumhain bewafaa kah raha hai zamana saara
na jaane kyaa hai us ki saaf aankhon main
woho muunh chhupa ke jaaye bhi to bewafaa lage
sar jukaoge to pathar devata ho jayega
itana mat chaho use keh woh bewafaa ho jayega
terii bewafaaiyon par, teri kaj adaaiyon par
kabhii sar jhuka ke roye, kabhi munh chupa ke roye
Emaan_88
12-13-2008, 01:14 PM
jo chala gaya mujhe chor kar
wohi aaj tak meray sath hai
jo na mil saka wo bewafa
yeh bari ajeeb si baat hai
jo chala gaya mujhe chor kar
wohi aaj tak mere sath hai
woh roshni kay khayal main
wo na asaka rah main muntazir
yeh khalish kahan thi visaal main
mere justojoo ko khabar nahi
na woh din rahay na wo raat rahay
chala gaya mujhe chor kar
wohi aaj rak mere sath hai
karay pyar,lab pay koi gila na hoo
yeh kisi kisi ka naseeb hai
yeh karam hai uski jafa nahi
wo juda bhi rehkay qareeb hai
wo aankh hai mere ru baru
ussi haath mein mera haath hai
jo chala gaya mujhe chor kar
wohi aaj tak meray sath hai
Emaan_88
12-13-2008, 01:15 PM
Har khushi mein koee kamee see hai
Hansatee aankhon mein bhee namiee see hai
Din bhee chup chaap sar jhukaaye thaa
Raat kee nafz bhee thamee see hai
Kisako samajhaayhein kisakee baat nahin
Zahan aur dil mein phir thanee see hain
Khuwab thaa yaa gubaar thaa koee
Gard in palakon pe jamee see hai
Kah gaee ham kisase dil kee baat
Shahar mein ek sanasanee see hai
Hasaratein raakh ho gaeein lekin
Aaj ab bhee kaheen dabee see hai
Da Only Ruler !!!
12-13-2008, 01:21 PM
mera stamina khatam iti achi poetry
life2
12-13-2008, 08:32 PM
Pyaar Ki Gawahi Mere Aansoo Se Na Mang
Barasti Nahin Aankhein Magar Dil Udaas To Hai...
-|A|-
12-13-2008, 08:45 PM
very nice haaan
Nida-H
12-14-2008, 10:53 AM
Nice collection..!!!
A L i
12-14-2008, 01:38 PM
keep it up
Emaan_88
12-14-2008, 03:39 PM
duniyaa se wafaa karake silaa Dhuu.NDh rahe hai.n
ham log bhii nadaa.N hai.n ye kyaa Dhuu.NDh rahe hai.n
kuchh der Thahar jaaiiye ba.ndaa-e-insaaf
ham apane gunaaho.n me.n Khataa Dhuu.NDh rahe hai.n
ye bhii to sazaa hai ki giraftaar-e-wafaa huu.N
kyuu.N log mohabbat kii sazaa Dhuu.NDh rahe hai.n
duniyaa kii tamannaa thii kabhii ham ko bhii `Faakir`
ab zaKhm-e-tamannaa kii davaa Dhuu.NDh rahe hai.n
Emaan_88
12-14-2008, 03:40 PM
agar Tum Ayena Dekho
To Apnay Aap Say Nazren Chura Laina
K Aksar
Bay Wafa Logon Ko
Jab Woh Ayena Dekhien
To
Ankheen Choor Lagti Hain`...
Emaan_88
12-14-2008, 03:41 PM
Masoom Chehra Nigaahen Farebi
Labon Pe Hasni Aur Dil Mein Daga Hai
Mile Dost Jisko Yahan Tere Jaisa
Use Dushmanon Ki Zaroorat Hai Kya Hai
Masoom Chehra … Daga Hai
Dil Tod Diya, Kyon Itna Bata De
Phir Baad Mein Bewafa Jo Chaahe Mujhko Saza De
Teri Berukhi Se Pareshaan Hoon Mein
Na Aaye Samajh Mein Yeh Kya Maajra Hai
Masoom Chehra … Daga Hai
Kya Usko Kahen Jo Kasmon Ko Bhoole
Apno Se Karke Jafa, Gairon Ki Baahon Mein Jhoole
Nazar Mein Basa Ke Nazar Pher Lena
Yeh Kaisi Mohabbat Yeh Kaisi Wafa Hai
Masoom Chehra … Daga Hai
Jo Bharta Nahin Woh Zakhm Diya Hai
Mujhko Nahin Pyar Ko, Badnaam Tune Kiya Hai
Jise Maine Pooja Maseeha Bana Ke
Na Tha Yeh Pata Pattharo Ka Bana Hai
Masoom … Daga Hai
Mile Dost Jisko Yahan Tere Jaisa
Use Dushmanon Ki Zaroorat Hai Kya Hai
Masoom Chehra …
Emaan_88
12-14-2008, 03:45 PM
Ye Jantay Huye Bhi
K
Wo Hawa Hai Mere Hath Na Aye Ga
Wo Badal Hai Jisay Main Choo Na Paun Ga
Phir Bhi Main Ne
Hawa Ko Pakarna Chaha
Badal Ko Choona Chaha
Emaan_88
12-14-2008, 03:46 PM
Ab To Kisi Bhi Baat Pay, Aitbaar Nahi Hota
Hote Hain Bass Samjhote Dilon Ke, Koi Pyar Nahi Hota
Kitna Bhi Samjha Leinn Hum, Iss Dil-e-Nadaan Ko
Ek Qatra Kabhi, Koi Saagar Nahi Hota
Dil Mein Liye Hasrat Kisi Ki Ye Umar Guzar Jaati Hai
Ke Taqdeer Pay Kisi Ki Apni, Ikhtiyaar Nahi Hota
Lagte Hain Jo Pal Suhane, Wo Hain Mere Bas Khaabon Ke
Haqeeqat Mein Kabhi Khushi Ka, Deedar Nahi Hota
Dhal Jaate Hain Ye Ashk, Ek Aur Gham Ki Raah Liye
Inn Honthon Ko Ab Kisi Hansi Ka, Intezaar Nahi Hota
Emaan_88
12-14-2008, 03:50 PM
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Armaan mere raiza raiza hogaye hain,
Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga,
Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne,
Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,
Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne,
Emaan_88
12-14-2008, 03:51 PM
Baat yeh teray siwa bhala kis say karein..
Tho jo jafa-kar hay tho Wafa kis say karein??..
Ae`ena samney rakhein tho nazar thu aye...
Tuj say jho bhaat chupani ho, kaha kis say karein?? ..
Haath uljey howey Resham mein phansa bethay hein...
Ab bata kaun se dhage ko juda kis say karein??...
Zulf say!chashm-o-lab-o-rukh say k teray ghum say...
Bhaat yeah hay ke dil-o-jaan say reha kis say karein.??..
Thu nahe hay tho aye hussan saaz batha...
Is bhare shehar mein hum jaisay! mila kis say karein??....
Thu nay apni si tho karni thi so ker li `KHAWER`........
Masla yeah hay k hum is ka gila kis se karein??...
Emaan_88
12-14-2008, 03:53 PM
Azaab barha loon agar ijazat ho
ek aur zakham mein kha loon agar ijazat ho
tumhare ariz-o-lub ke judai ke din hein
mein jaam moun se laga loon agar ijazat ho
tumhara hussn tumhare khyial ka chehra
shabahaton mein cuopa loon agar ijazat ho
tumhein se he mere har khawab-e-shoq ka rishta
ek aur khawab kama loon agar ijazat ho
thaka deya hai tumhare firaq ne mujh ko
kahen mein khod ko gira loon agar ijazat ho
baraye nam banam-e-shab-e-wisal yahan
shab-e-firaq mana loon agar ijazat ho
Emaan_88
12-14-2008, 03:54 PM
kay dil pey kabza hai piyari se cheez ka
dewana ho gaya hai nari se cheez ka
yeh jan lay kar aaya hon tum per warnay
Tum war kar do na koi kari se cheez ka
Emaan_88
12-14-2008, 03:56 PM
Shab ki apni
Parchaiyan hyn
Din ke apne tevar hyn
Kuch yaadain hyn
Kuch baatain hyn
Apnay apnay
Roz-o-shab k
Sab qaidi hyn
Roz-o-shab k
Saray manzar-naamo’n
Main
Jo chehra sab say ujlla hay
Wo “TERA” Hay…
Emaan_88
12-14-2008, 03:56 PM
Shab ki apni
Parchaiyan hyn
Din ke apne tevar hyn
Kuch yaadain hyn
Kuch baatain hyn
Apnay apnay
Roz-o-shab k
Sab qaidi hyn
Roz-o-shab k
Saray manzar-naamo’n
Main
Jo chehra sab say ujlla hay
Wo “TERA” Hay…
Emaan_88
12-14-2008, 03:57 PM
Tera Khyaal
Kuch to hawa bhi sard thi
kuch tha tera khyaal bhi
dil ko khushi k sath sath
hota raha malaal bhi
baat wo aadhi raat ki
raat wo porey chand ki
chand bhi hey chahkta
us pe tera jamaal bhi
sab sey nazar bacha k wo
mujh ko tha aysey dekhta
aik dafa to ruk gai
gardish-e-mah-o-saal bhi
uski sukhan taraazia`n
apny liye bhi dhaal theen
uski hansi main chup gaya
apny ghumon ka haal bhi
usko na pa saky thy jub
dil ka ajeeb haal tha
ab jo palat k dekhty
baat thi kuch muhaal bhi
Emaan_88
12-14-2008, 03:59 PM
ye jo diwane se do char nazar ate hain
in mein kuch sahib-e-asrar nazar ate hain
teri mahfil ka bharam rakhte hain so jate hain
werna ye log to bedar nazar ate hain
dur tak koi sitara hai na koi jugnu
marg-e-ummid k asar nazar ate hain
mere daman mein shararon k siwa kuch bhi nahin
ap phulon k kharidar nazar ate hain
kal jise chu nahin sakti thi farishton ki nazar
aj wo raunaq-e-bazar nazar ate hain
hashr mein kaun gawahi meri dega `Sagar`
sab tumhare hi tarafdar nazar ate hain
Emaan_88
12-14-2008, 03:59 PM
Zindagi ka hasin hona
Tuj hi se hai
Zindagi ka ye muskurana
Tuj hi se hai
Zindagi ko ehsas-e-wafa hona
Tuj hi se hai
Zindagi ka ehses hona
Tuj hi se hai
Ye zindagi meri
Tuj hi se hai
Emaan_88
12-14-2008, 04:00 PM
Mujh ko apna kehti thi
Mujh say bhi wo milti thi
Uss k Hont Gulabi Thay
Uss ki Aankh main Masti thi
Main bhi Bhoola Bhatka sa
Wo bhi Bhooli Bhatki Thi
Shehar ki har Aabaad Sardak
Uss kay Ghar ko jati thi
Laikin wo kya Larki thi
Larki thi k Paheli thi
Ultaay Seedhay raaston pr
Aankhain Dhaanp k Chalti thi
Bheegi Bheegi Raaton main
Tanha tanha Roti thi
Melay Melay Kapron main
Ujali Ujali Lagti thi
Uss k saaray Khuwaab nay
Our Tabeer Puraani thi
Emaan_88
12-14-2008, 04:02 PM
Kaash tu mara naseeb hota
to her saans se ziyada mare qareeb hota
kaash tu mare haath ke lakeer hota
to main mar kar bhi tujh se juda na hota
kambakhat ye kaash tujh ko mujh se juda karta hai
aagar ye kaash na hota to main tare qareeb hota
Emaan_88
12-14-2008, 04:03 PM
Jo aansu na hote aankho me
to aankhein itni khubsurat na hoti
jo dard na hota dil me
to khushi ki koi qeemat nahi hoti
jo bewafai na ki hoti waqt ne
to wafa ki kabhi chahat na hoti
agar sochne se hojati mohobbat ki muradein
to DUA ki kabhi Zarurat na hoti.
Emaan_88
12-14-2008, 04:06 PM
Jo beetay dino ki batein hein dil unse muhabbat karta hai
jo terey sath hein guzray pal dil unse muhabbat karta hai.
Emaan_88
12-14-2008, 04:11 PM
Mra maqsad bithana tha usay janay ki jldi thi,
Muje dukhra sunana tha usay janay ki jldi thi,
Ni tha wqt pas us k mri dastan sunta,
Bra lmba fsana tha usay janay ki jldi thi,
Milanay hath aya tha vo rasmn hm faqeeron se,
Mgr ye ek bahana tha usay janay ki jldi thi,
Bari muddt se khwahish thi mgr qismat na thi yaro,
Galay usko lagana tha usay janay ki jaldi thi,
Usay rokta b to kaisy mai mray kehnay pe vo rukta kahan,
Usay hr haal jana tha usay janay ki jaldi thi,
life2
12-15-2008, 08:34 PM
kitna aasaan thaa teray hijr main marna janaaan
phir bhi ik umer lagii jaan say jaatay jaatay
Emaan_88
12-16-2008, 04:52 PM
Pyaar se math bhoolkar khilwaar kar
Ho sakhe toh her kisii se pyar kar..
Pyar se woh kaam bi sakhta hai ho,
Kaam joh sakhti nahi talwaar kar..
Pyar ko nafrat dooba dethi sada,
Pyar ko hai pyar deta paar kar..
Jeet kar hum har jate pyar main
Pyar main hum jeet jate haar kar..
Hai bhala us vyakthi ki kya zindagi
Jo nahi sakhta kisii se pyar kar
Emaan_88
12-16-2008, 04:53 PM
Ab yaad dila’ey kon tumhein?
Yeh saal bhe aakhir beet gya.
Wo sard hawa’ein ab bhe hain.
Rangeen fiza’ein ab bhe hain
Wo bheegi bheegi pani ki,
Pur-shor sad’ein ab bhe hain
Main ab bhe udher ko jati hoon
Jab tum nahi hote saath mere
Hote hain khaali haath mere.
Pur-shor sada’ein poochti hain
Wo sard hawa’ein poochti hain
Wo kahan gaya hay dost tera?
Wo kahan gaya hay meet tera?
Kaya phir yeh zamana jeet gaya?
Uss Key Naam
Jinhon Ne Apna
``LOGO``
Tou Rakha Howa Hay
Hamesha K Liye Dost Rahain Ge?
But
Dosti Ka Shayed Meaning Naii Atta Unhain....
Emaan_88
12-16-2008, 04:54 PM
Soz e gham De K Mujhe Uss Ne Ye Irshaad Kiya
Ja Tujhe Kash-Ma-Kash-e-Dahar Se Azaad Kiya
Wo Karain Bhi Tou Kin Alfaz Main Tera Shikwa
Jin Ko Teri Nigah-e-Lutf Ne Barbaad Kiya
Dil Ki Choton Ne Kabhi Chain Se Rehnay Na Diya
Jab Chali Sard Hawa Maine Tujhe Yaad Kiya
Aisay Main,Main Teray Tajj Takaluf Pe Nisaar
Phir Tou Farmaye Wafa Aap Ne Irshaad Kiya
Iss Ka Rona Nahi Kyun Tumne Kiya Dil Barbaad
Iss Ka Gham Hain Bohat Dair Main Barbaad Kiya
Itna Masoon Hoon Fitrat se, Kali Jab Chatkhi
Jhuk K Maine Kaha, Mujhse Kuch Irshaad Kiya
Meri Har Saans Hai Iss Baat Ki Shahid e Maut
Maine Har Lutf K Mauqay Pe Tujhe yaad Kiya
Mujhko Tou Hosh Nahi Tumko Khabar Ho Shayad
Log Kehtay Hain K Tumne Mujhe Barbaad Kiya
Wo Tujhe Yaad Karay Jisne Bhulaya Ho Kabhi
Humne Tujh Ko Na Bhulaya Na Kabhi Yaad Kiya
Kuch Nahi Iss K siva Josh Hareefon Ka Kalaam
Vasal Ne Shaad Kiya Hijr Ne Nashaad Kiya
Emaan_88
12-16-2008, 04:54 PM
shidat-e-dard se sharminda nahin meri wafa
dost gehre hain to zakham bhi gehre hon ge
Emaan_88
12-16-2008, 05:01 PM
Ab yaad dila’ey kon tumhein?
Yeh saal bhe aakhir beet gya.
Wo sard hawa’ein ab bhe hain.
Rangeen fiza’ein ab bhe hain
Wo bheegi bheegi pani ki,
Pur-shor sad’ein ab bhe hain
Main ab bhe udher ko jati hoon
Jab tum nahi hote saath mere
Hote hain khaali haath mere.
Pur-shor sada’ein poochti hain
Wo sard hawa’ein poochti hain
Wo kahan gaya hay dost tera?
Wo kahan gaya hay meet tera?
Kaya phir yeh zamana jeet gaya?
Uss Key Naam
Jinhon Ne Apna
``LOGO``
Tou Rakha Howa Hay
Hamesha K Liye Dost Rahain Ge?
But
Dosti Ka Shayed Meaning Naii Atta Unhain....
Emaan_88
12-16-2008, 05:02 PM
wo apne ghar chala gaya afsos mat karo
itna hi us ka sath tha afsos mat karo
insan apne aap mein majboor hai buhat
koi nahi hay bewafa afsos mat karo
is baar tum ko aane mein kuch dair ho gaee
thak haar k wo so gaya afsos mat karo
dunya mein aur chahne wale bhi hein buhat
jo hona tha so ho gaya afsos mat karo
is zindagi ke mujh pe kai qarz hein magar
mein jald laut aoon ga afsos mat karo
ye dekho phir se aagain phoolon pe titliyan
ik roz wo bhi aeyga afsos mat karo
wo tum se aaj door hay kal paas aeyga
phir se khuda milaeyga afsos mat karo
bekar dil pay bojh liye phir rahe ho " GUMNAM "
dil hay tumhara phool sa afsos mat karo
Emaan_88
12-16-2008, 05:04 PM
Yeh khamoshi
yeh khayal
yeh tumhara intizar
yeh ruki ruki batein
yeh thori thori chahten
yeh majboori
yeh doori
yeh dil lagi
yeh dil kashi
yeh dewana pan
yeh sochna
yeh samajhna
yeh ankhon ka bher jana
yeh mosam ka chala jana
yeh dharkanon ka ruk jana
yeh baton ka badal jana
yeh sanson ka theher jana
yeh thama hua sama
yeh sara sansar
yeh tumhari sansen
yeh mera ehsas
kash tum yahan hotey
merey nahin
tou merey tou merey liyey kuch tou hotey
Or Ab.....
YEH KHAMOSHI...
Emaan_88
12-16-2008, 05:06 PM
Jab Soo Jate Hai Sari Duniya..
Jab Soo Jate hai Sari Duniya,
Chupke Se Aakar Chaad,
Khada Ho Jata Hai,
Mere Khidki Ke Samne,
Aur Muskara Kar Kehata Hai,
Khooj Lo Muzmi Wo Chehara,
Jiske Talaash Mai Ho Tum,
Tandi HAWAAI Pass Aate Hai Mere,
Aur Kehate Hai,
Bahoot Udaas Ho Na,
Agale Baar Jab Lootuge,
Sapno Ke Desh Se,
Jaroor Lekar Aaooge,
Uska Pata,
BAADAL Kehate Hai,
Hum To Bhatakte Hai, Desh-Pardesh Mai,
Kabhi Chalna Hamare Saath,
Milkar Taalasege Tere CHAAD Ko,
Chaad,Sitare,Hawaai, Koyal,
Sab Kartee Hai Tumhare Bataiyan,
Mai Sunta Hu Chupchaap,
Aur Sabke Chale Jane Ke Baad,
Dheere Se Booltaa Hu Ek Baat,
Mai Jaanta Hu,
Tum Jaha ho,
Jaha Kahi Bhee Ho,
Zaroor Sunn Loge Ye Baat.........
Emaan_88
12-16-2008, 05:18 PM
Wo Tum Na Thay Ek Khayal Tha
Meri Soch Ka Hee Kamal Tha
WO Mohabbaten, Wo Chahaten
WO Uljhanon Ka Hee Jall Tha
Meray Dil Men Theen Jo Ronaqen
WO Tera Hee Husn-o-Jamal Tha
Jawab Jis Ka Mila Nahee
Wo Aisa He Ek Sawal Tha
Wo Aaj Mila To Yun Laga
Yehi To Hai Jis Ka Intazar Tha
Usay Yad Kesay Na Karey Koyee
Ussay Bhoolna To Muhal Tha
Ab Us Kee Men Kya Misal Dun
Wo Khud Apni Misal Aap Tha
Emaan_88
12-16-2008, 05:19 PM
Meri qasam na jayay
Bohat dino ki baat thi
shabab per bahar thi
fiza bhi khushgawar thi
na jaane kioun machal para
main apne ghar se chal para
kisi ne mujh ko rok ker
bari aada se tok ker
kaha ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee
magar mujhe khabar na thi
mahaul per nazar na thi
na janey kioun machal para
main apney ghar se chal para
phir shehar se main aa gaya
khayal tha ke paa gaya
usey jo mujh se durr thi
magar meri zaroor thi
phir ik haseen shaam ko
main chal para salam ko
gali ka rang dekh ker
naye tarang dekh ker
mujhe bari khushi hui
main kuch isi khushi main tha
kisi ne jhank ker kaha
paraye ghar se jayyee
meri qasam na ayyee
wohi haseen shaam hai
bahar jis ka naam hai
chala hoon ghar ko chor ker
na janey jaoon ga kidhar
koi nahin jo rok ker
koi nahin jo tok ker
kahay ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee
Emaan_88
12-16-2008, 05:22 PM
Intezar hai aik kushi paney k,
lamha do lamha hai tanhai magar hai sabar dil may,
hai aas dil may Tere laut aney k,
Iman hai Apne Khuda pe,
Mei buni hu Tere liye,
magar hai na maloom ajj ka or na hai kabar kal k,
ajj Mei ro rai hu kal Tu na ro pare Mere liye,
kya maloom Tere tara badal jai Hum b or rona pare Tuje b
Emaan_88
12-16-2008, 05:47 PM
Kal sham ki barish!kitni purnoor rehi thi
Jo bhund bhund tum per baras rehi thi
Mujhe b madhosh ker dene wali tumhari
Khusboo se mehka rehi thi
Mujhe aisa lag raha tha Jaise
Is dharti per amber talle
Sitaro ki hado thack
"SIRF"
Do he wajood bas reh hain
"AIK MAIN OR AIK TUM"
Emaan_88
12-16-2008, 05:56 PM
Mohabbat naam hai mayra,
agar chaaho ge tum muj ko?
tumhare saans se pehlay tumhare jan ban jaon.
agar dekho ge tum muj ko,
tumhare ankh se pehlay tumhara khwaab ban jaon.
agar soocho ge tum muj ko,
tumharay paon se pehlay tumhare khaak ban jaon.
Mohabbat naam hai mayra.........
.....agar chaaho ge tum muj ko.!!!!!!!!!
Emaan_88
12-16-2008, 06:05 PM
Shab ki apni
Parchaiyan hyn
Din ke apne tevar hyn
Kuch yaadain hyn
Kuch baatain hyn
Apnay apnay
Roz-o-shab k
Sab qaidi hyn
Roz-o-shab k
Saray manzar-naamo’n
Main
Jo chehra sab say ujlla hay
Wo “TERA” Hay…
Emaan_88
12-16-2008, 06:09 PM
Zindagi ka hasin hona
Tuj hi se hai
Zindagi ka ye muskurana
Tuj hi se hai
Zindagi ko ehsas-e-wafa hona
Tuj hi se hai
Zindagi ka ehses hona
Tuj hi se hai
Ye zindagi meri
Tuj hi se hai
Emaan_88
12-16-2008, 06:15 PM
Zindagi ka hasin hona
Tuj hi se hai
Zindagi ka ye muskurana
Tuj hi se hai
Zindagi ko ehsas-e-wafa hona
Tuj hi se hai
Zindagi ka ehses hona
Tuj hi se hai
Ye zindagi meri
Tuj hi se hai
Emaan_88
12-16-2008, 06:16 PM
mohabbt ek haqeeqat hai
fasana kyon banate ho
isay jhooti bana kr tum
kahani kyon sunate ho
woh qurbani jo ek doojay
kee khaatir hans kay detay hain
tum is such ko zamanay kee
nazr say kyon chhupatay ho
mohabbat to riyazat hai
aman bedaar karne kee
to phir is pay subhi milkay
tum ungli kyoon uthaate ho
bina ahsan mohabbt kay
yeh dunya ek jahannum hai
to phir kyon aashiqon ko tum
yahan zinda jalaatay ho
Emaan_88
12-16-2008, 06:24 PM
mohabbt ek haqeeqat hai
fasana kyon banate ho
isay jhooti bana kr tum
kahani kyon sunate ho
woh qurbani jo ek doojay
kee khaatir hans kay detay hain
tum is such ko zamanay kee
nazr say kyon chhupatay ho
mohabbat to riyazat hai
aman bedaar karne kee
to phir is pay subhi milkay
tum ungli kyoon uthaate ho
bina ahsan mohabbt kay
yeh dunya ek jahannum hai
to phir kyon aashiqon ko tum
yahan zinda jalaatay ho
Emaan_88
12-16-2008, 06:28 PM
Kaash tu mara naseeb hota
to her saans se ziyada mare qareeb hota
kaash tu mare haath ke lakeer hota
to main mar kar bhi tujh se juda na hota
kambakhat ye kaash tujh ko mujh se juda karta hai
aagar ye kaash na hota to main tare qareeb hota
Emaan_88
12-16-2008, 06:30 PM
Jo aansu na hote aankho me
to aankhein itni khubsurat na hoti
jo dard na hota dil me
to khushi ki koi qeemat nahi hoti
jo bewafai na ki hoti waqt ne
to wafa ki kabhi chahat na hoti
agar sochne se hojati mohobbat ki muradein
to DUA ki kabhi Zarurat na hoti..
Emaan_88
12-16-2008, 06:31 PM
Jab piar kia mene dilwali se logon ki parwa nahin ki
lab zakhmi merey huey yon chuma koi ghulab kanton kiparwa ni ki
Emaan_88
12-16-2008, 06:39 PM
Mra maqsad bithana tha usay janay ki jldi thi,
Muje dukhra sunana tha usay janay ki jldi thi,
Ni tha wqt pas us k mri dastan sunta,
Bra lmba fsana tha usay janay ki jldi thi,
Milanay hath aya tha vo rasmn hm faqeeron se,
Mgr ye ek bahana tha usay janay ki jldi thi,
Bari muddt se khwahish thi mgr qismat na thi yaro,
Galay usko lagana tha usay janay ki jaldi thi,
Usay rokta b to kaisy mai mray kehnay pe vo rukta kahan,
Usay hr haal jana tha usay janay ki jaldi thi,
Emaan_88
12-16-2008, 06:43 PM
apni zindgi ka intsab tary naam likho
apni omer ki kitab tary naam likho
apni soch ka her lamha tary naam likho
tari yaado ko apni ibadat ka shumer likho
jo guzer gay zindgi k lamhy tary beger
unhy apni zindgi ma regaha likho
Emaan_88
12-16-2008, 06:47 PM
khanlTarap yeh ishq ki dil sa nahi jati
Ka jaan dey ka bhi dewaangi nahi jati
Najaana kon si hi duniya mera rabba
Jaha sa lout ka koi sada nahi atti
Emaan_88
12-16-2008, 06:49 PM
Uski Aakhon me Mohabbat ka Sitara Hoga
Ek Din Aaye ga wo Shaks Humara Hoga….!
Zindagi Ab k Mera Naam na Shamil Karna.
Gr Ye tay hai k yahi Khel Dobara Hoga…..!
Jis k Honay se Meri Saans Chala Karti thi
Kis Tarha us k Bageir Apna Guzara hoga.
Ye Achanak jo Ujala sa hua Jata hai………
Dil ne Chupke se tera Naam Pukara hoga.
Ishq karna hai to Din raat usay Sochna he.
Kuch Aur Zehan me Aaya to Khasara hoga.
Ye jo Pani me chala aaya he Soneri Sa Ghuroor
Usne Darya me kahin Paoon Utara hoga….!
Jo Meri Rooh me Badal se Gharajte hai WASI.
Usne Seenay me koi DARD utara hoga…..!
Kaam Mushkil hai maghar JEET hi Loonga Usko!!!
Meray MOULA Ka WASI Joonhi Ishara hoga…!
Emaan_88
12-16-2008, 06:52 PM
us ne kaha mujhse kitna pyar hai?
mene kaha,sitaron ka koi shumaar hai?
usne kaha k kon tumhen ha bohot aziz?
mene kaha dilpe jiska ikhtiaar hai
usne kaha konsa tohfa main tumhen doon?
mene kaha wohi sham jo abhi tak udhaar hai.
usne kaha khizan men mulaqat ka kya jawaz?
mene kaha qurb ka matlab hi bahaar hai
usne kaha senkdon ghum zindagi men hen
mene kaha ghum nahi jab sath ghumgusaar ha
usne kaha saath kahan tak nibhao ge?
mene kaha jitni yeh saans ki taar hai
usne kaha mujhko yaqeen aaye kis tarah?
mene kaha naam mera aitebaar hai!!!!
Emaan_88
12-16-2008, 06:58 PM
Tera dil lagi karna
Kya kehna
Tera pyar ka izhar karna
Kya kehna
Tera waqt bewaqt fone karna
Kya kehna
Tera bar bar jalak dikhana
Kya kehna
Tera kehna ke hum aik hojay
Kya kehna
Tera kya kya kehna
Kya kehna
Emaan_88
12-16-2008, 06:59 PM
Najane kun muje ab wo bus itna sa yaad ata hai
k jab jab sans lata hoo ansu ban kar bhata haidin hota hai yaado k hawale shab me tare ginta hoo
gilli gilli ankho me ab wo sapna ban kar rahta hai
bhole se hoo jao ghafil gar me us ki yaado se
bin vazu k ho parhi namaz bus kuch aisa lagta rahta hai
bagho me pholo k agy ek bhanwara urta ho jaise Ahmed
us k samne aisa ho me kuch aisa lagta rahta hai
life2
12-16-2008, 08:53 PM
Dil jal kar khak howa Ankhoon say roya na gaya
Zakham kuch aisey lagey Phoolon par soya na gaya
Nida-H
12-17-2008, 08:17 PM
Nice..
life2
12-17-2008, 08:47 PM
Aati hai yaad Aksar, Rotey hain be-basi mein
Aik Be-Wafa ko Hum ne, Chaaha tha Zindagi mein
-|A|-
12-18-2008, 12:02 AM
very nice
ShArArTi MuNdA
12-18-2008, 04:43 AM
nice collection Emaan jee
MaSOoM SaRa
12-18-2008, 06:40 AM
nice one
Emaan_88
12-19-2008, 05:57 PM
Jo aansu na hote aankho me
to aankhein itni khubsurat na hoti
jo dard na hota dil me
to khushi ki koi qeemat nahi hoti
jo bewafai na ki hoti waqt ne
to wafa ki kabhi chahat na hoti
agar sochne se hojati mohobbat ki muradein
to DUA ki kabhi Zarurat na hoti..
Emaan_88
12-19-2008, 06:00 PM
Meri Aankhon mai utro inhein Samandar kardo
Kuch Dair hi sahi Mohabbat ki ek Nazar kardo
Toot ker yun milo k Armaan na reh jaye koi
Yun Mohabbat ke her Lamhe ko Aamar kardo
Tum per aye na Waqt-e-Qayamat aisa
Bari Mushkil hai Judai, ise Mukhtasar kardo
Jin k Noor se mil jaye Beenai hamein bhi
Apne Khuwabon ko Meri Aankhon ki nazar kardo
Dunia ki talab nahi, yehi Hasrat hai Hamari
Apni Baanhon mai lelo aur Dunia se be-khabar kardo
Khushi mai shamil na karo to koi baat nahi
Tum apne Dukhon ko hi Mera Hamsafar kardo
Emaan_88
12-19-2008, 06:02 PM
Ham ko kis k gham ny maara Ye kahani phir Sahi
Kis ny tora dil hamara ye kahani phir Sahi
Nafratoon k teer kha kar dostoon k shahir mein
Ham ny kis kis ko pukaara ye kahani phir Sahi
Dil k lotnay ka sabab poochu na sab k Samnay
Naam aey ga tumhara ye kahani phir Sahi
Ham ko kis k gham ny maara Ye kahani phir Sahi
Kis ny tora dil hamara ye kahani phir Sahi
Emaan_88
12-19-2008, 06:03 PM
Hum nazuk nazuk dil wale. Kabhi hanste hen kabhi route hen. Kabhi dil men khwab proute hen. Kabhi mehfil mehfil phrte hen. Kabhi zaat men gum ho jate hen. Kabhi chup ki muhr sajate hen. Kabhi geet labon pe aate hen. Kabhi sub ka dil behlate hen. Kabhi khud tanha ho jate hen. Hum nazuk nazuk dil wale. Bus apne aap me rehte hen.
Emaan_88
12-19-2008, 06:03 PM
Najane kun muje ab wo bus itna sa yaad ata hai
k jab jab sans lata hoo ansu ban kar bhata haidin hota hai yaado k hawale shab me tare ginta hoo
gilli gilli ankho me ab wo sapna ban kar rahta hai
bhole se hoo jao ghafil gar me us ki yaado se
bin vazu k ho parhi namaz bus kuch aisa lagta rahta hai
bagho me pholo k agy ek bhanwara urta ho jaise Ahmed
us k samne aisa ho me kuch aisa lagta rahta hai
life2
12-19-2008, 07:40 PM
Log Muntazir hi rahay k humein toot'ta dekhein
Hum Zabt karte karte Pathar k ho gaye!
A L i
12-20-2008, 12:25 AM
aapki collection MashAllah se bahut hai
Nida-H
12-20-2008, 09:31 AM
Nice collection..
life2
12-20-2008, 09:14 PM
Din beet jatey hain suhaani yaaden ban kar….
Baaten reh jati hain kahani ban kar…
Par dost hamesha dil k qareeb rahenge…
Kabhi muskaan to kabhi aankhon ka paani ban kar…
-|A|-
12-21-2008, 07:04 PM
Very nice
Emaan_88
12-22-2008, 06:05 PM
Ham ko kis k gham ny maara Ye kahani phir Sahi
Kis ny tora dil hamara ye kahani phir Sahi
Nafratoon k teer kha kar dostoon k shahir mein
Ham ny kis kis ko pukaara ye kahani phir Sahi
Dil k lotnay ka sabab poochu na sab k Samnay
Naam aey ga tumhara ye kahani phir Sahi
Ham ko kis k gham ny maara Ye kahani phir Sahi
Kis ny tora dil hamara ye kahani phir Sahi
Emaan_88
12-22-2008, 06:06 PM
Meri Aankhon mai utro inhein Samandar kardo
Kuch Dair hi sahi Mohabbat ki ek Nazar kardo
Toot ker yun milo k Armaan na reh jaye koi
Yun Mohabbat ke her Lamhe ko Aamar kardo
Tum per aye na Waqt-e-Qayamat aisa
Bari Mushkil hai Judai, ise Mukhtasar kardo
Jin k Noor se mil jaye Beenai hamein bhi
Apne Khuwabon ko Meri Aankhon ki nazar kardo
Dunia ki talab nahi, yehi Hasrat hai Hamari
Apni Baanhon mai lelo aur Dunia se be-khabar kardo
Khushi mai shamil na karo to koi baat nahi
Tum apne Dukhon ko hi Mera Hamsafar kardo
Emaan_88
12-22-2008, 06:12 PM
Jo aansu na hote aankho me
to aankhein itni khubsurat na hoti
jo dard na hota dil me
to khushi ki koi qeemat nahi hoti
jo bewafai na ki hoti waqt ne
to wafa ki kabhi chahat na hoti
agar sochne se hojati mohobbat ki muradein
to DUA ki kabhi Zarurat na hoti..
Emaan_88
12-22-2008, 06:13 PM
Aqeedat aur hoti hai murawwat aur hoti hai
Mohabat jisko kehte hain wo naimat aur hoti hai
Qayamat khaiz manzar gau hazaro'n ham ne dekhe hain
Jo dil pe tut ti hai wo qayamat aur hoti hai
Mahino'n baad milney ki khushi apni jaga lekin
Wo zaalim jab bitcharta hai to haalat aur hoti hai
Lutana maal haatim ka agar chai karnama hai
Qareen e ishq mai lekin sakhawat aur hoti hai
Wo khanjar be rukhi k jiss qadar dil par chalata hai
To maayal iss qadar uss par tabiat aur hoti hai
Tujhey bhanwra KANWAL kehna kisi surat nahi be jaa
Jisey kehte hain parwana wo surat aur hoti hai
Emaan_88
12-22-2008, 06:13 PM
apnay honay ka ehsaas deti hai
zindagi yun bhi saza deti hai
dil sulagnay ka pata chalta hai
yaad jab raakh gira deti hai
yeh hunar maa k siwa kis ka hai
bhookay bachon ko sula deti hai
yun uraao na mohabbat ka mazaak
yeh tow banday ko khuda deti hai
mein sula deta hon zakhamon ko magar
ek naya dard hawa deti hai
zinda rehna hai tow shikwa kaisa
mout har dukh ko mita deti hai
Emaan_88
12-22-2008, 06:15 PM
Mujh ko apna kehti thi
Mujh say bhi wo milti thi
Uss k Hont Gulabi Thay
Uss ki Aankh main Masti thi
Main bhi Bhoola Bhatka sa
Wo bhi Bhooli Bhatki Thi
Shehar ki har Aabaad Sardak
Uss kay Ghar ko jati thi
Laikin wo kya Larki thi
Larki thi k Paheli thi
Ultaay Seedhay raaston pr
Aankhain Dhaanp k Chalti thi
Bheegi Bheegi Raaton main
Tanha tanha Roti thi
Melay Melay Kapron main
Ujali Ujali Lagti thi
Uss k saaray Khuwaab nay
Our Tabeer Puraani thi
Emaan_88
12-22-2008, 06:15 PM
Usko Chahtay Rahengay Yun Umar Guzar
Jayegi
Mout Aayegi Or Zindagi Lay
Jayegi
Mere Marnay Pe Bhi Usko Ronay Na Dena
Usko Rota Dekh Kr Meri Ruh Trp Jayegi.!!
Emaan_88
12-22-2008, 06:15 PM
Najane kun muje ab wo bus itna sa yaad ata hai
k jab jab sans lata hoo ansu ban kar bhata haidin hota hai yaado k hawale shab me tare ginta hoo
gilli gilli ankho me ab wo sapna ban kar rahta hai
bhole se hoo jao ghafil gar me us ki yaado se
bin vazu k ho parhi namaz bus kuch aisa lagta rahta hai
bagho me pholo k agy ek bhanwara urta ho jaise Ahmed
us k samne aisa ho me kuch aisa lagta rahta hai
Emaan_88
12-22-2008, 06:16 PM
Hum nazuk nazuk dil wale. Kabhi hanste hen kabhi route hen. Kabhi dil men khwab proute hen. Kabhi mehfil mehfil phrte hen. Kabhi zaat men gum ho jate hen. Kabhi chup ki muhr sajate hen. Kabhi geet labon pe aate hen. Kabhi sub ka dil behlate hen. Kabhi khud tanha ho jate hen. Hum nazuk nazuk dil wale. Bus apne aap me rehte hen.
dont depend on others
12-22-2008, 06:58 PM
v nice dear keep it up
or maray pvt masg ka replay be kar dana
Emaan_88
12-22-2008, 08:09 PM
~~ Chalay jao ~~
Kahan Ja pao Gay Tum?
Chalay Jao...!
Mager Dekhna Khench Lae Ge
Meri Muhabbat
Us Pal Us Lamhay K Jub
Zindagi Ki Dhool Jhulsae GE
Mushkiloun Ki Lambi Sadak Thukraege
Kisi Badan Key Lams Ki Mehek TersaeGe
Kisi Aashna Ko Tersou Gay
Baat Kernay Ko Humnawa Dhondoo Gay
Jub Kabhe Bikhro Gay To Chaho Gay Koi Sameet Lay Bahoun Main
Koi Bharay Aankhooun Main
Koi Choom Ker Tumharay Lub Tum Ko SairaaB Ker Dey
Us Pal.......!
Haan Us Lamhay...!
Meri MuhabbaT .!
Dekhna Tumhain Khench LaeGe...!
Chalay Jao.................!!!!!
Emaan_88
12-22-2008, 08:10 PM
Jo tere Ishq main khoye to phir pata na raha
Zamaane bhar se mera koi waasta na raha
Bohat gehre marasim the Doston se mere
Tumhare baad kisi se bhi raabta na raha
Bohat the shikwe gile tum se bewafayi ke
Dekh ker saamne tum ko koi gila na raha
Junoon charha to is tarhan Ishq ka tere
Koi hudood phir koi zaabta na raha
Lagi jo aag Dil main to is tarhan phaili
Phir bach nikalne ka apne koi Raasta na raha ....
Emaan_88
12-22-2008, 08:12 PM
door
bouth door
jahan mohabbat kay
jazeray abad hain
wahan
raat kay pechlay paihar
shabnami phoolion ki pinkhareeyon per
tumharee yadian
manind chand ki roshni
uterti hain
bin kay bad-e- saba takrati hain
mohabbat kay in jazeroon ko
char so had-e-nighaa
jo gharay samundar hain
woo
mairay dill kay andar hain
Emaan_88
12-22-2008, 08:12 PM
Khuwab to khuwab hai
hota hai bikharnay kay liay
ansoo to phir ansoo hai
hota hai chalaknay kay liay
yaadain hie woh baatain hain
hoti hain bhool janay kay liay
charagh bhi to jaltay hai
phir say bojh janay kay liay
umeedon kay saharay kon kab tak jeeta hai
umeedain hie to hoti hain toot janay kay liay
muhabbat bhi aik rishta hai
hota hai bhool janay kay liay
insaan to phir insaan hai
hota hai bichara janay kay liay...
Emaan_88
12-22-2008, 08:16 PM
dhoeen hay ankhion mai kay hir dam tairay sapnay dhakian
dill-e- baytab ghare bhar bhi na sona chahay.........................!
Emaan_88
12-22-2008, 08:19 PM
Aata hai merey katel ko purjosh -e- rashk sey
Marta houn is key haath mein talvar dekh kar
Sar phorna wo Galib shorey dedad -e- haal ka
Yaad aaa gaya mujhey teree dewar dekh kar
Emaan_88
12-22-2008, 08:21 PM
Dekhe the kitne khuwaab maine to raat din
In sab haseen khuwabon ki tabeer bhi tum ho
Her simt dekhta hoon tum hi ho mere paas
Meri in chahaton ki tasweer bhi tum ho
Mere naseeb main RAB ne tumhain likha hai
Mera naseeb tum ho meri taqdeer bhi tum ho
Maine tumahin hai chaha aur chahta rahoonga
Mere Dil ki AB tammanna tum ho....
Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha
Woh laut kar na aaya magar intezaar tha
Jo humsafar tha chorr gaya raah main mujhe
Main phans gaya bhanwar main woh darya ke paar tha
Manzil qareeb aayi to tum door hogaye
Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha
Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan
Na woh sakoon se betha na mujh ko qaraar tha
Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka
Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha
Yeh baat umer bhar samjh na paaya main
Kyun Dil mera us ka talabgaar tha..!!
dont depend on others
12-22-2008, 08:24 PM
nice again
Emaan_88
12-22-2008, 08:24 PM
Diyaar-e-Noor Mein Meri Shaboun Ka Saathi Ho
Koi To Ho Jo Meri Wehshatoun Ka Saathi Ho
Main Oos Se Jhoot Bhee Bouloo'n To Mujh Se Sach Bolay
Meray Mizaaj K Saray Mousmou'n Ka Saathi Ho
Main Oos K Haath Na Aaoon Woh Mera Ho K Rahay
Main Gir Paroon To Meri Pastiyoun Ka Saathi Ho
Woh Meray Naam Se Motabar Thehray
Gali Gali Mein Meri Ruswayoun Ka Saathi Ho
Karay Kalaam Mujh Se To Meray Lehjay Mein
Main Chup Rahoon To Meray Tewroun Ka Sathi Ho
Woh Khawb Dekhy To Dekhay Meray Hawaalay Se
Meray Kheyal K Sab Manzroun Ka Saathi Ho...
Emaan_88
12-22-2008, 08:25 PM
nice again
thanx again
Emaan_88
12-22-2008, 08:31 PM
Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
Woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai
Woh mera teri aankhon ke samandar main uttar jaana
Aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana
Teri awaaz ke saher se na nikal paana
Tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana
Bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
Na teri yaad main reh ke tere saath ka sochoon
Bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
Ki jin se tais utth ti hai ke jin se dard hota hai
Magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
Tere hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai
To tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
Teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna
Tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
Woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai
Emaan_88
12-22-2008, 08:35 PM
mohabbatoon main hir aik lamha wisaal hoga ye tein .howa thaa
bichar kay bhi aik dosray ka khiyal hoga ye tein howaa thaa
wohi howa na,badaltay mosam main tum nay humko bholadeyaa hay
koie bhi rout ho na chahatoon ka zawal hoga ye tein howa thaa
ye kiya k sansaan ukhar gaie hain safar kay agaz say hi yaroon!
koie bhi thak ker na rastay main nidhaal ho ga ye tein hawa thaa
juda howay hain tu kiya howa phir yehi too dastoor-e-zindagi hay
judaieyoon main na qurbatoon ka zawaal hoga ye tein howa thaa
chalo kay FAYZAAN kishteyoon ko jaladain gumnam sahiloon per
k ab yahaan say na wapsi ka sawal haga ye tein howa thaa
Emaan_88
12-22-2008, 08:39 PM
Jab Din Guzar Rahey They ,
Hum Tum Se Keh Rahey They,
Mushkil Hai ab Bichharna,
Aur Door Tum se Rehna,
Tum Sun ke Hans Pari Thein,
Aur Hum Se Ye kaha Tha ,
Hum Tum ko Bhool Jaen,
Tum ko Na Yaad Aaein ,
Sun ker Tumhari Batein ,
Hum Chup Se Ho Gaye They,
Phir Tum Bichhar Gaye They,
Tum Se Bichhar ke Hum Bhi,
Her Lamha Gin Rahey They,
Mausam Badal Rahey They,
Aur Hum ke Jal Rahey They,
Her Sans Thi ke sakat ,
Khushbu Bhi Aur Hi Thi,
Barish ka Pehla Katra ,
Jab Bhi Gira Zameen Per,
Hum ko Lag Raha Tha,
Jungal Pighal Raha Tha,
Phir Hum Behal Gaye They,
Aur Ho Gaye They Aadi,
Dunya Ki Mehfilon Ke ,
Ab Phir Se Mil Gaye Ho ,
Aur Hum Se Keh Rahey Ho ,
MUSHKIL HAI AB BICHARNA,
AB DOOR TUM SE REHNA.
“TUM YAAD MUJH KO KERLINA“
Emaan_88
12-22-2008, 08:41 PM
zindagi main bouth say loog miltay hain
magaar hir koie humsafar nahie hota
baag main bouth say phool khiltay hain
magaar hir koie aik sa nahie hota
minzel tu aik hi hoti hay
magaar hir rasta minzel nahie hota
chand tu roz nikalta hay
magaar hir chand chodween ka nahie hota
zindagi main bouth say loog miltay hain
magaar hir koie humsafar nahie hota
wafa tu subhi kernay ka khatay hain
magaar hir koie bawafa nahie hota
cahata tu hir koie kise na kise ko hay
magaar hir koie danish nahie hota
Emaan_88
12-22-2008, 08:41 PM
Dosti se aaj zamana sharmaya hai,
Teri chahat ne kuch aisa gazab dikhaya hai,
Khuda se kya tuje mange ,
Wo to aaj khud mujse aap jaisa dost mangne aya hai
Emaan_88
12-22-2008, 08:42 PM
TUM KAYSI MOUHABBAT KERTAY?"
main asi mouhabbat kerti hoon
tum kaysi mouhabbat kertay ho
tum jahan per bhat ker jatay ho
main wahain per bhathi rahti hoon
us cheez ko chooti rahti hoon
main asi mouhabbat kerti hoon
<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<
tum jis say huns ker miltay ho
main usko dost banati hoon
tum jis rastay per chiltay ho
main us say ati jati hoon
main asi mouhabbat kerti hoon
tum kaysi mouhabbat kerty ho
<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<
tum jin ko dhaktay rahtay ho
wo khwab........sirhanay rakhti hoon
tum say milnay jhulnay kay
kitnay hi bahanay rakhti hoon
main asi mouhabbat kerti hoon
tum kaysi mouhabbat kertay ho
<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<
tum jahan bhi bhath ker jatay ho
jis cheez ko hath lagatay ho
main wahain pay bhathi rahti hoon
us jaga ko choti rahti hoon
main asi mouhabbat kerti hoon
tum kaysi mouhabbat kertay ho
<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<
kuch khwab saja ker ankhion main
pulkoon say mpti chunti hoon
koie lamas agaar choo jaye too
main pahaytoon us ko sochti hoon
main asi mouhabbat kerti hoon
tum kaysi mouhabbat kertay ho
<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<
jin logoo main tum rahtay ho
tum jin say batian kertay ho
tum jin say huns ker miltay ho
tum jin ko achay lagtay ho
wohi mujkoachay lagtay hain
main asi mouhabbat kerti hoon
tum kaysi mouhabbat kertay ho
<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<
jis baag main subha ko jatay ho
jis sabzy per tum chiltay ho
jo shaiq tumhay choo jati hay
jo khosbo tum ko bhati hay
wo ous tumharay caharay per
jo qatra qatra gerti hay
wo titli choo ker phoolion ko
jo tum say milnay ati hay
jo tum ko choonay ati hay
in sub kay nazuk jazbon main
mairay dill ki dharkan basti hay
maire rooh bhi shamil rahti hay
main asi mohabbat kerti hoon
tum kaysi mouhabbat kertay ho
<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<
tum pass raho ya door raho
nazroon main samaye rahtay ho
main tum ko takti rahti hoon
main tum ko sochti rahti hoon
main asi mouhabbat kerti hoon
tum kaysi mouhabbat kertay ho
<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<
hir mouqay per hir manzar main
main sath tumharay rahti hoon
main cashm-e- tasawar main aksar
bass tum ko sochti rahti hoon
bass tum ko dhakti rahti hoon
main asi mouhabbat kerti hoon
tum kaysi mouhabbat kertay ho
<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<
Emaan_88
12-22-2008, 08:43 PM
main udass rasta hoon shaam ka
mujhay ahation ki talash hay
ye sitaray sub bhojay bhojay
mujhay jugnoion ki talash hay
wo jo aik derya thaa aag ka
subhi rastoon say guzar geyaa
humay kub say raayet kay shahir main
naie barishioon ki talash hay
Emaan_88
12-22-2008, 08:45 PM
Samjha na koi dil ki baat ko
Dard duniya ne bina soche hi de diya
Seh gaye jo hum dard ko chupke se
To humko hi patthar dil keh diya
Emaan_88
12-23-2008, 11:56 PM
Apni tanhai ka aalm tujh ko batau kase
apni barson ki trp chpaon kase
raha na ja tujh tere bin ab
main apne dill ko somajhu kase
najane kasi kashish he tujh main
main apne jazbat ko rok pau kase
najne kasi aas he tuh se
main apni umeedon ko rok pau kase
bara dilnashi he ahsas tera
main is ahsas se bahir aon kase
pata nahi kasa he ye diwanapan
main apni diwangi ko rok pau kase
bare pyar se sjaya he sapna ye apna
main apne in sapnoo ko tor pau kase
main yahan tu wahan
main apne ap ko smbhal pau kase
Emaan_88
12-23-2008, 11:57 PM
Yaadon ka ik jhonka aaya hum say milny barson baad
Pehly itna roye nahi thay, jitna roye barson baad
Lamha Lamha ghar ujra hai, mushkil say aehsaas howa
Pathar aaye barson pehly, shishay tooty barson baad
Aaj hamari khaak pay dunia rony dhony bethi hai
Phool huye hain itnay sastay jaany kitny barson baad
bhool bhi jao, kis nay tora, kesy tora aur kiun kar tora
Dhoond rahay ho galiyon main kya, dil k tukray barson baad
Dastak ki umeed laga kar kab tak yun hi aas main jeety
Kal ka vaada karnay wala, milny aaya barson baad..!!!
Emaan_88
12-23-2008, 11:57 PM
Raat bhi sari jaagtay huay guzri
Shab e gham mein shama jalatay huay guzri
Apni nakamiyon pay afsoos kartay huay
Aakhiyon say aaskh bahatay huay guzri
Ghamon say bharay es totay huay dil ko
Dukhon say apnay bhelatay huay guzri
Jo chor gaya tanha safar pay mujeh ko
Ausi ek bewafa ko bhulatay huay guzri
Woh na aaye gay phir laut kay yahan
Yeahi baat dil ko samjhatay huay guzri
Har lamha qayamat ki manand tehra
Har ghari maan ko tarpatay huay guzri
Khazan kay es phelay huay mausam mein
Saba bhi apni nazrein churatay huay guzri
Andheron nay apni dastaan sunayee mujeh ko
Roshni bhi apni kahani sunatay huay guzri
Kuch yaadon nay needein na aanay dein kuch
Ratjagon ki barish mein nahatay huay guzri
Kab ka bhula dia tha mein nay jeisay kal
Hawa bhi ausi geet ko gungunatay huay guzri
Khuwabon kay sahil pay teray naam ko
Kabhi likhtay tuo kabhi mitatay huay guzri
Nafrat aur pyaar ki kashmakash mein yeh zindagi
Kuch rotay guzri tuo kuch muskuratay huay guzri[
Emaan_88
12-23-2008, 11:59 PM
Ho jaye koi khata agar to ruswa na karna, Gunahgar hai ye dil jo machalne ko hai..
Is sham ke pehlu me akar mit jane do ye fasle, na tadpao ab itna bhi tum ke ye sham bhi ab dhalne ko hai.
Kab se intezar me nazren bichhaye baithi hun mai, yun dur se hi na shararat karo ke ab ye jaan nikalne ko hai.
hai behki behki halat hamari, behke behke irade hain, zara anchal to sambhal jane do,ye qadam ab phisalne ko hain.
izhare mohabbat hum kar na sake,chup rehne ki adat hamari thi, is khamoshi ko ab tutne do,ye lab bhi hamare silne ko hai.
parwane ki talab me shama ko to jalte dekha tha, lo is bezuban mohabbat me ye “Shabnam” bhi aaj jalne ko hai.
Emaan_88
12-24-2008, 12:02 AM
Bichartey Waqt Us Nain Kaha Tha
Na Sawal Karna Na Jawab Miley Ga
Mujhe Bhool Jana Qarar Miley Ga
Aaj usi Mukaam Per Hain
Na Sawal Kiya Na Jawab Mila
Na Bhool Saki Na Qarar Mila
Emaan_88
12-24-2008, 12:06 AM
Honto pe tumhare hamara naam tak na aaye
mein milne aau par tu bahar na aaye
anjaan hai hamare pyar se vo ab tak
ya shayad hum jaiso pe unko taras na aaye
Emaan_88
12-24-2008, 12:09 AM
Abhi woh dard baqi hai
Agarche waqt marham hai
Magar kuch waqt lagta hai
Kisi ko bhool janey mein
Dobara dil basaney mein
Abhi kuch waqt lagna hai
Abhi woh dard baqi hai
Mein kaise nayi ulfat mein apni zaat ko gum kar doon
Ke mere jism-o-wajdaan mein
Abhi woh fard baqi hai
Abhi us shakhs ki mujh per
Nigah-e-sard baqi hai
Abhi to ishq ke raston ki mujh per gard baqi hai
Abhi woh dard baqi hai.......!!!
Emaan_88
12-24-2008, 12:10 AM
Apni tanhai ka aalm tujh ko batau kase
apni barson ki trp chpaon kase
raha na ja tujh tere bin ab
main apne dill ko somajhu kase
najane kasi kashish he tujh main
main apne jazbat ko rok pau kase
najne kasi aas he tuh se
main apni umeedon ko rok pau kase
bara dilnashi he ahsas tera
main is ahsas se bahir aon kase
pata nahi kasa he ye diwanapan
main apni diwangi ko rok pau kase
bare pyar se sjaya he sapna ye apna
main apne in sapnoo ko tor pau kase
main yahan tu wahan
main apne ap ko smbhal pau kase
Emaan_88
12-24-2008, 12:11 AM
Ajeeb shakhs tha kaisa mizaj rakhta tha
Saath reh ke bhi ikhtalaaf rakhta tha
Main kyu na daad du uss ke fun ki
Mere har sawal ka pehlay hi se jawab rakhta tha
Muhabbat to thi ussay kisi aur se shayed
Hum se to yun hi hansi mazak rakhta tha
Emaan_88
12-24-2008, 12:14 AM
Hum Yaad Karte Hain
Ussey Kehna
Ussey Hum
Yaad Karte Hain
Diye Jab
Shaam Ki Dehleez Per
Jalaney Aatey Hain
Sitare Aasman Pe
Sitarey Timtimatey Hain
Zameen Pe
Chandni Phuloon Pe
Jab Parrti Hain
Bohat Hi Khoob Lagti Hai
Ussey Kehna
Ussey Hum
Yaad Karte Hain
Emaan_88
12-24-2008, 12:14 AM
oss ko chaha toh bohat magar woh mila nahe,
laakh koshish ki magar faisla milta nahe,
oss ko zamanay ney majboor iss qadar kar diya tha,
kay meri sada per woh ruka nahe,
khuda sy jholi phela phela kar manga tha jisy,
khuda nay meri kesi duaa ko suna hee nahe,
har ek sy pocha sabab uss kay na milnay ka,
har ek nay bataya kay woh teray liye bana hee nahe,
main tamaam umer ke koshishon kay bawojood nakaam hogaya,
aur woh usay mill gaya jiss nay usy manga hee nahe
Emaan_88
12-24-2008, 12:16 AM
Tum rooth jayo mujh se,,,,Aisa kabhi na karna
Main teri ik nazar ko tarsoo,,,Aisa kabhi na karna
Main pooch pooch auro se so so sawal kar ke
Tum kuch jawab na do ,,,,Aisa kabhi na karna
Mujh se hi mil ke hansana,,,Mujh se hi mil ke rona
Mujh se bichad kar jee lo,,,,,Aisa kabhi na karna
Tum chand ban ke rehna main tumhe dekhta rahu ga
Tum kisi din na niklo ,,,,,,,,,,Aisa kabhi na karna
Tum chali jayo jab bhi to dekhu tumhara raasta
Tum lot ke na aao,,,,,,,,,,,,,,,,Aisa kabhi na karna
Emaan_88
12-24-2008, 12:19 AM
tazad e jazbaat mai ye nazuk makam aea to ki karo ghe
mai ro raha hoo to hans rahe ho mai muskaraea to kia karo ghe
mughe to is darja waqt e rukhsat sako ki talkeen kar rahe ho
magher kuch apne lie bhi socha mai yaad aea to kia kar ghe
kuch apne dil pe bhi zakham khao mere lahu say bahar kab tak
mughe sahara banane walo mai larkharaea to kia kAro ghe
tumhare jalwaon ki roshni mai nazar ki herania muslim
magher kisi nay nazar kay badle dil azmaea to kia karo ghe
abhi to tankeed ho rehi hai mere mazak e janoo pe lekin
tumhari zulfo ki barhami ka sawal aaea to kia karo ghe
abhi to daman chura rahe ho bigar kay kabil say ja rahe ho
magher kabhi dil ki dharkano mai shareek paea to kia karo ghe
Emaan_88
12-24-2008, 07:35 PM
Kabhi Jo Chand Ko Dekho
To Tum Yu Muskura Dena
Jo Chal Jaye Hawa Thandi
To Aankhe Band Kar Lena
Jo Jhoka Tez Ho Sabse
Wo Samjh Lena KE Mai Hu.
Agar Tum Bhulna Chaho
Mujhe Shayad Bhula Do Tum
Magar Jab Sans Tum Lena
Samjh Lena Ki Wo Hu Mai.
Kisi Raat Tanhayi Me Jab
Neende Ur Jaye
Haseen Khwab Saj Jaye
To Samjh Lena Ki
Wo Haseen Khwaab
Hu ``Mai``.
Emaan_88
12-24-2008, 07:37 PM
to kia tumhain main kabhi yaad he nahi aya
kisi gulaab ko tehne say torr kar bhe nahi
subuk kalayi main gajray kabhi pehentay huay
gulaab hathon pe mehndi kabhi lagatay huay
safaid dodhya anchal ko zard rangtay huay
gulaal maltay huay, choryan pehentay huay
chamaktay mathay pe bindya kabhe sajatay huay
sanwar k dair tak ayenay ko taktay huay
TO KIA TUMHAIN MAIN KABHE YAAD HEEEE NAHIIII AYA
kisi kabotar-e-gardan ko dekh kar bhi nahi
kabhe diyaa kisi dargah main jalatay huay
kisi dukaan pe sarhee pasand kartay huay
lachakte shakh pe pehla gulab lagtay huay
kabhi yonhi kisi makhsoos dhun ko suntay huay
kabhi kabhi yonhi koi kitaab parhtay huay
barastay abar me chat pe kabhi nahatay huay
khud apnay jism say yonhi kabhe lajatay huay
kisi sahaile say hanstay samay lipt`tay huay
kisi khayal main baithay say uth k chaltay huay
kisi bhi raat ko uth kar yonhi tehaltay huay
akailay dour talak khamoshi me chaltay huay
khala main zaat ke be asra bhataktay huay
kisi pahar pe tanha sanbhal k charhtay huay
utartay chand ka mojon main aks partay huay
libaaas pe khushboo koi lagatay huay
khizaaan main sokhtay patton ka shor suntay huay
mitay huay say darakhton pe naam parhtay huay
kisi bhi roz yonhi ghar k kaam kartay huay
azaan hotay he anchal say sir ko dhaktay huay
TO KIA TUMHAIN MAIN KABHEEE YAAD HE NAHI AYAA
kisi gulab ko tehni say torr kar bhi nahi
kisi kabotar-e-gardan ko dekh kar bhi nahi
kisi darakht k sayay main beth kar bhi nahi
to kia tumhain main kabhi yaad he nahi aya
Hussain
12-24-2008, 07:39 PM
wow
bht khoob collection emaan
keep it up girl :)
very nice sharingggz
Emaan_88
12-24-2008, 07:43 PM
Bohat dino ki baat thi
shabab per bahar thi
fiza bhi khushgawar thi
na jaane kioun machal para
main apne ghar se chal para
kisi ne mujh ko rok ker
bari aada se tok ker
kaha ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee
magar mujhe khabar na thi
mahaul per nazar na thi
na janey kioun machal para
main apney ghar se chal para
phir shehar se main aa gaya
khayal tha ke paa gaya
usey jo mujh se durr thi
magar meri zaroor thi
phir ik haseen shaam ko
main chal para salam ko
gali ka rang dekh ker
naye tarang dekh ker
mujhe bari khushi hui
main kuch isi khushi main tha
kisi ne jhank ker kaha
paraye ghar se jayyee
meri qasam na ayyee
wohi haseen shaam hai
bahar jis ka naam hai
chala hoon ghar ko chor ker
na janey jaoon ga kidhar
koi nahin jo rok ker
koi nahin jo tok ker
kahay ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee
Emaan_88
12-24-2008, 07:44 PM
wow
bht khoob collection emaan
keep it up girl :)
very nice sharingggz
THANX A LOT DEAR:handshake:
Emaan_88
12-24-2008, 07:45 PM
Mahsus kar mujhe tu, kabhi paas aa ke dekh
mere jahan-e-dil meiN apna ghar basa ke dekh
koi aisey ajnabi bhi nahiN is shahr ke log
kuchh keh to ranj-o-gham ki, sab ko suna ke dekh
hamshakl ho gaya hai mere gham ka, tera gham
tu mere dil ko apna aayina bana ke dekh
yeh farq dair-o-harm ka nazroN ka bharam hai
tu deengah se apni, bahar to aa ke dekh
jab ranjishoN meiN kat gayee, ab na fareb kar
waqt aakhiree hai, ab na muskura ke dekh
khamosh sun rahey haiN hum, sarghoshi-e-bahar
aatey haiN apne gaaoN se jhoNkey hawa ke dekh
maiN muNtzir huN roz-o-shab, aiy dard-e-do_jahan!
be-dard, jab bhi waqt miley, aazma ke dekh
Emaan_88
12-24-2008, 07:47 PM
Intezar hai aik kushi paney k,
lamha do lamha hai tanhai magar hai sabar dil may,
hai aas dil may Tere laut aney k,
Iman hai Apne Khuda pe,
Mei buni hu Tere liye,
magar hai na maloom ajj ka or na hai kabar kal k,
ajj Mei ro rai hu kal Tu na ro pare Mere liye,
kya maloom Tere tara badal jai Hum b or rona pare Tuje b
Emaan_88
12-24-2008, 07:48 PM
Khizaan Key mOusam Sey Gulaab Maang Rha hAi
Phir Apney Liye kOii Azaab Maang Rha hAi
JAan Mangta tO Main Zara TaGhafUl Na Karta
Magar wO mUjh Sey Mera Khwaaab Maang Rha hAi
Atta Kar Key Merii Zeest Ko Hijjr Kii Aziyatien
Aur mUjh Sey Visaal Rutt Key HiSaab Maang Rha hAi
Khataaien Karna Hii Raha MaShGhala Us Ka
Main Kya dOon Silla Usey wO Sawaab Maang Rha hAi
Apni Samajh Mein Uss Kii gUftagOo Bhi Nahii Aatii
Aur wO Un-Kahey SawaalOn Key Jawaab Maang Rha hAi
mUjh Ko Apney WajOod Pey Bhi Dastras Nahii Haasil
Aur Dil e Nadaan hAi Mahtaab Maang Rha hAi
kOii Zindgi Sey Ghabra Gya Is Qadar
Kashtii Ka mUsafir hAi Aur Gardaab Maang Rha hAi
Emaan_88
12-24-2008, 07:49 PM
Maana ke main lafzon main kabhi ezhaar nahin karta
Iska Matlab Ye Nahi Ke Mein Tujhe Pyaar Nahi Karta
Chahta hun main tuje aaj bhi dil ki gehraeon se jaan
Tu mera dil meri ruh meri jaan main inkaar nahi karta
Tamasha na ban jaaye kahin mohabbat meri ay jaan
Esi liay main apni aankhon ko bhi namdaar nahi karta
Jo kuch milaa hai muj ko ye he tha kismat main meri
Khuda se aur us ki khudae se main takraar nahi karta
Kuch to baat hai khas tuj main tere pyaar main jaan
Warna main tujh se dewano ki tara pyaar nahin karta
Nafrat si ho gaee hai esse muhabot ke naam se jaan
Warna Raj tum se milne se kabi inkaar nahi karta
Emaan_88
12-24-2008, 07:49 PM
Dil jala ke mera muskarate hain woh,
apni aadat se kab baaz aate hain woh,
puch lete hain har raaz mujh se mera,
apni har baat mujh se chupate hain woh,
aap khud to bade bewafa hai magar,
kisse sabko wafa ke sunate hain woh,
jisne dekha unhe apne dil se gaya,
teer nazron ke aise chalate hain woh,
Dil jala ke mera muskarate hain woh,
apni aadat se kab baaz aate hain woh....!!
Emaan_88
12-24-2008, 07:54 PM
Do chaar baar hum jo kabhi hans hansa liye
Saare jahan ne haath main patthar utha liye !!
Rahte hamare paas to ye toot te jaroor
Achha kiya jo aapne sapne chura liye !!
Chaha tha ek phool ne tadpe usi ke paas
Humne khushi ke paaon mein kaante chubha diye !!
Sukh, jaise baadalon mein nahati ho bizliyan
Dukh, bizliyon ki aag mein baadal naha liye !!
Jab ho saki na baat to humne yahi kiya
Apni gazal ke sher kahin gunguna liye !!
Ab bhi kisi daraaz mein mil jayenge tumhe
Wo khat jo tumhe de na sake, likh likha liye !!
Emaan_88
12-24-2008, 07:55 PM
Ajnabi hai to mere zehan mein rehta Q hai..
Woh jo pathar hai to sheeshon ka maseeha Q hai..
Woh hawa hai to guzar jaye hawaon ki tarah,
Woh samander hai to behta rahe,tehra Q hai,
Mere aangan mein nahi koi umeedon ka gulaab,
Phir yeh mousam mere aangen mein utarta Q hai..
Emaan_88
12-24-2008, 07:57 PM
Udaasiyon Ka Sabab Jo Likhna
To Ye Bhi Likhna
Ke Chand Taare Sub Badal Gaye Hain
Wo Zinda Lamhe Jo Teri Raahon Main
Tere Aane Ke Muntazir Thay
Wo Thak Ke Saayon Main Dhal Gaye Hain
Wo Teri Yaadein Khayal Tere Ranj Tere ILzaam Tere
Wo Teri Aankhein Sawaal Tere
Wo Tum Se Mere Tamaam Rishte Bichar Gaye Hain
Udaasiyon Ka Sabab Jo Likhna
To Ye Bhi Likhna
In Honton Pe Na Mukkamal Hone Waali Duaon Ke Suraj
Pighal Gaye Hain
Emaan_88
12-24-2008, 07:58 PM
Agar Aisa Ho Jaaye
Agar Tumhari Mohobbat Naakaam Ho Jaaye
Subah Kar Ke Kisi Ki Dunya Main Tumhari Shaam Ho Jaaye
Koyi Tumhari Jaan Le Ke Tumhari Jaan Ho Jaaye
Ro Ro Kar Tumhara Dil Pareshan Ho Jaaye
Kisi Ko Rulaane Ki Saza Aam Ho Jaaye
Dil Churaane Ka Tum Par ILzaam Ho Jaaye
Kismat Raaste Ki Deewar Ho Jaaye
Jo Pyar Kare Wo Naadaan Ho Jaaye
Ek Ek Pal Maah_O_Saal Ho Jaaye
Tanhaayi Mehfil Main Bhi Humkalam Ho Jaaye
Kisi Se Mohobbat Ka Ikrar Sar_E_Aam Ho Jaaye
Kisi Se Doori Mohobbat Ka Anjaam Ho Jaaye
Kisi Ki Mohobbat Pe Jeewan Tumaan Ho Jaaye
Dil Kisi Ke Dar Ka Ghulaam Ho Jaaye
Samandar Pyaasa Ho Kar Nidhaal Ho Jaaye
Mohobbat Mohobbat Na Rahe Maut Ka Paigaam Ho Jaaye
Dil Kisi Ke Wajood Main Dunya Se Anjaan Ho Jaaye
Kaatil Ban Jaaye Maseeha Dil Hairaan Reh Jaaye
Saari Zindagi Ek Anjaan Ke Naam Ho Jaaye
Mohobbat Main Har Gunaah Sawab Ho Jaaye
Mohobbat Khud Hi Har Sawal Ka Jawab Ho Jaaye
Dil Ki Dharkan Kisi Ke Naam Ho Jaaye
Kisi Ke Dil Ka Dharakna Tumhari Dharkan Ka Jawaz Ho Jaaye
Ajab Kashmakash Main Kisi Ka Bura Haal Ho Jaaye
Kisi Ka Pyar Jaan Ke Liye Azaab Ho Jaaye
Mohobbat Ke Muaamle Par Sub Qurbaan Ho Jaaye
Dharkan Dil Ki Be Ikhtiyaar Ho Jaaye
Aansuon Ke Chalakne Se Samandar Sairaab Ho Jaaye
Waqt Khel Khele Phir Zindagi Khayaal Ho Jaaye
Aise Main Agar Aisa Kamaal Ho Jaaye
Khaamosh Mohobbat Dono Ka Paigaam Ho Jaaye
To Jeena Kis Qadar Aasan Ho Jaaye
Emaan_88
12-24-2008, 07:59 PM
Gungunatay huay aanchal ki hawa de mujh ko,
Ungliyaan pher ke ballon mey sula de mujh ko..
Jis terha faltu guldan pare rehtay hain,
Apnay gher ke kisi konay se laga de mujh ko..
Yaad ker ke mujhe takleef hee hoti hogi,
Aik qissa hoon purana sa bhula de mujh ko..
Dobtay dobtay aawaaz teri sun jaon,
Aakhri baar tu sahil se sada de mujh ko..
Mein tere hijar mey chup chaap na mer jaon kahin,
Mein hoon saktay mey kabhi aakay rula de mujh ko..
Dekh mein hogaya budnaam kitabon ki terha,
Meri tash'heer na ker ab tu jala de mujh ko..
Rothna tera meri jaan liye jaan liye jata hai,
Aisay naraaz na ho,huss ke dikhade mujh ko..
Aur kuch bhi nahi manga mere malik tujh se,
Us ki guliyon mey pari khaak bana de mujh ko..
Loog kehtay hain keh ye ishq nigal jata hai,
Mein bhi is ishq mey aaya hoon, dua de mujh ko..
Yehi auqaat hai meri tere jeevan mey keh mein,
Koi kamzoor sa lamha hoon, bhula de mujh ko
Emaan_88
12-24-2008, 08:00 PM
ajnabi musafir aik
mujh sy pooch baitha hy
rasta batta do gay?
ajnabi si rahon k ajnabi musafir sun
raasta koi b ho
wasta koi b ho
manzelain nahi miltein
manzelein to dhoka hy
manzelein jo mil jaien to
justju nahi rehti
zindgi ko jeeny ki
aarzoo nahi rehti.
Emaan_88
12-24-2008, 08:02 PM
Tanhai jub muqaddar mein likhi hai,
To kia shikayat apnon aur bayganon se,
Hum mit gaye jin ki chahat main,
Woh baaz nahin aatay hamain azmanay se
Emaan_88
12-24-2008, 08:02 PM
Jinhein bhulaney mein yaro, barey zamaney lagay
Jub dil dukha tou wohi loog yaad aney lagey
Emaan_88
12-24-2008, 08:04 PM
Judai ki kasak liye
teri yaad se jura aansoo
har shab meri aankh se tapka hay
guzry kal ki terha aaj ka din bhi
tum bin udaas guzarta hay … !!!
Emaan_88
12-24-2008, 08:07 PM
dard ko humne kabhi dard na samjha
aaya khyaal jab to ye jaan ban chuke the....
Bikhra hua sa main pahuncha tha tere dar pe
dekha to tum kisi ke jahaan ban chuke the....
Aaye the vo bhi meri tabiyat ka haal lene
tab tak to hum khuda ke mehmaan ban chuke the
har basti har gali me hum dhoodha kie tujhe “kaash“
pahunche jahan jahan sab insaan ban chuke the......
Emaan_88
12-24-2008, 08:09 PM
samay samay kii Khalish mein teraa malaal rahay
judaaiiyon mein bhii yun aalam-e-visaal rahay
anaa kii jang mein ham jiit to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahay
raah-e junun mein yahii zaad-e-raah hotaa hai
k justaju bari divaanagii bahaal rahay
hasiin raaten bhii mahaken tumhaarii yaadon se
kare dinon mein bhii pal pal teraa Khayaal rahay
tuu ek baar zaraa kishtiyan jalaa tow sahii
hay kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahay
Emaan_88
12-24-2008, 08:09 PM
samay samay kii Khalish mein teraa malaal rahay
judaaiiyon mein bhii yun aalam-e-visaal rahay
anaa kii jang mein ham jiit to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahay
raah-e junun mein yahii zaad-e-raah hotaa hai
k justaju bari divaanagii bahaal rahay
hasiin raaten bhii mahaken tumhaarii yaadon se
kare dinon mein bhii pal pal teraa Khayaal rahay
tuu ek baar zaraa kishtiyan jalaa tow sahii
hay kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahay
Emaan_88
12-24-2008, 08:18 PM
Kitnay gharoor mai hai Wo mujhe tanha chor k “saqi”
unhein maloom nahi meray Aansu mujhe tanha honay nahi detay
Emaan_88
12-24-2008, 08:19 PM
Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay,
Jo ruch jayain rag-o-pay main unhein socha nahin kertay,
Baharon k ghanay sayai mein talkhi bhi, chubhan bhi hay,
Ghamon ki dhoop ka tum say magar shikwa nahin kertay,
Nahin aatay kabhi bhi loot ker guzray howay mousam,
Barastay badalon ki aas mein tarsa nahin kertay,
Tajasus aur barhta hay machal jatay hain sun ker hum,
Achanak pyar ki baaton ka rukh mora nahin kertay,
Teri nazar inayat say howay jatay hain jo ghayal,
Unhein qatil nigahon say kabhi daikha nahin kertay
Emaan_88
12-24-2008, 08:19 PM
waqt ki andhi mein tufan badal jaty hain
zindagi ki rahoon mein insan badal jatay hain
badalta nahi pyar kabhi magar…
pyar karny walay insan badal jatay hain
Emaan_88
12-24-2008, 08:22 PM
Kismat do pal mein badal sakta he INSAN,
Per jo INSAN ko badal de wo kismat nahin hoti,
Apni kismat pe rota wohi shakhs hay jisko,
Sajdon me rone ki adat nahin hoti
Emaan_88
12-24-2008, 08:22 PM
Geeley kaghaz ki tarhaan hai zindagi apni
Koi likhta bhi nahi koi jalata bhi nahi
Is qadar akele ho gai hain aaj kal
Koi satata bhi nahi or koi manata bhi nah
Emaan_88
12-24-2008, 08:23 PM
Ishq ke sahare jiya nahi karte,
Gum ke pyalo ko piya nahi karte,
Kuchh Nawab dost hain hamare,
Jinko Preshan na karo to wo yaad bhi kia nahi karte
Emaan_88
12-24-2008, 08:25 PM
sar jhukaaoge to patthar devataa ho jaayegaa ga
itanaa mat chaaho use wo be-wafaa ho jaayegaa ga
ham bhii dariyaa hain hamen apanaa hunar maaluum hai
jis taraf bhii chal paDenge raastaa ho jaayegaa ga
kitanii sachchaaii se mujhase zindagii ne kah diyaa
tuu nahiin meraa to koii duusaraa ho jaayegaa ga
main Khudaa kaa naam le kar pii rahaa huuN doston
zahar bhii is me agar hogaa davaa ho jaayegaa ga
ruuTh jaanaa to mohabbat kii alaamat hai magar
kyaa Khabar thii mujh se wo itanaa Khafaa ho jaayegaa ga
Emaan_88
12-24-2008, 08:27 PM
Zindagi ki larion mein puroyey hain
Mein ney chand lamhey
Kabhi aoo to merey is dil key
Kachey makhan mein jhank kar dekhnaa
Merey darr ki kuch ulajti huwi
Dorr ko dekhnaa
Meri bosida si yadoon mein
Thori deer reh lenaa
Phir mujhey zira
Dheerey sey awaz denaa
Tumhara yaqeeen jo sacha huwa to mein
Tumhein mayoos nahi karongaa
Aur dherey dherey
Tumharey ehsaas mein
Shamil ho jaoongaa
Mein khusboo hoon
Tumharey Aanchal mein
Bikhar jaoongaaa
Mein tumhein choo key
Tumhara ho jaoongaa
Bhool na jana tum mujhey
Mein tumhara hi chehraa hoon
Tumhari rooh mein kho ker
Mein tum ban jaoongaa.
Emaan_88
12-24-2008, 08:28 PM
Apni Manzil Pe Pohanchna Kisi Moa’jzey Se Kam Nahi ‘Faraz’
Raah-Guzar Pathar K Hain Aur Hum-Safar Seeshey Ka … !!!
Emaan_88
12-24-2008, 08:28 PM
Tum saath ho to mujhe andheron ki parwaah nahi
tum manzil ho meri mujhe mushkilon ki parwaah nahi
baadlon main chupa chaand phir dekho muskurata hai
yeh waqt do ghadi ka hai mujhe gardishon ki parwaah nahi
raah-e-zindagi main waqt kaise kaise imtehaan leta hai
tum hamsafar ho jab mujhe natijon ki parwaah nahi
Dhoop ke safar main aik din chain bhi Aaye ga
hausla tum ne diya hai to mujhe faaslon ki parwaah nahi
gham ke samandar se Umedon ka kenara ab dur nahi
tum kaashti ho meri mujhe Tufaanon ki parwaah nahi
Emaan_88
12-24-2008, 08:29 PM
Tum abhi shahir mein kia nay aey ho
ruk gay raha mein hadsa daikh kar
tum jenhein phool samjhay ho aankhain na hoon ,
paoun rakhna zameen per zara daikh kar
phir diye rakh gain teri parchhaiyaan ,
aaj darwaza dil ka khul'la daikh kr ,
Oski Aankh ka sawan barsnay laga
Baadaloon mein parinda ghira dikh kar
Shaam mein gahiri hui aur ghar door hey
Phool so jaein gay raasta dikh kar
Phool si ungaliyaan kanghiyaan ban gain
Uljhay baaloon sy maatha dhaka dikh kar
Emaan_88
12-24-2008, 08:30 PM
patthar meN Dhal rahaa huuN
dekho, badal rahaa huuN
saahil-nashiiN kahaaN haiN
paanii pe chal rahaa huuN
Emaan_88
12-24-2008, 08:32 PM
Chhup chhup k muhabbat ko badnaam na kiya jaaye
Jo kaam kiya jaaye sar-e-aam kiya jaaye
.
.
Yeh dil k tere baad behalta hi nahin hai
Ab tu hi bata kaisay issay raam kiya jaaye?
.
.
Yeh tau mere harfon ka taqaaza hai meri jaan
Jo shair likha jaaye tere naam kiya jaaye
.
.
Thak haar k kal shaam kaha tha yeh hawa ne
Aawaara parindon ko tahi daam kiya jaaye
.
.
Kiya faayeda phir aisi jawani ka k jiss mein
Jab soch samajh kar hi har ik kaam kiya jaaye
.
.
Shayed woh palat aaye kabhi shab ka musafir
Roshan hi charaghon ko sar-e-shaam kiya jaaye
.
.
Kal shaam yeh ghar tau chhorr dena hai humain bhi
Behtar hai k kuch waqf-e-dar-o-baam kiya jaaye
.
.
FAIZAAN yeh duniya tau hai baazaar ki surat
Hai kiss ko khabar kal kissay neelaam kiya jaaye...!!!
Emaan_88
12-24-2008, 08:34 PM
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai
Tanhai............
Rona Chahoon To, Rona Chahoon To............
Aansoon Na Aayein, Aisi Hai
Tanhai............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............
Saya Bhi Saath
Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............
Jo Aise Chor Ke Mehboob Jaaye............
To
Jeene Se Na Kyoon Dil Oobh Jaaye............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai
Tanhai............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............
Paya Humne Ye
Bin Tere............
Ranj Ki Raahein Aur Gam Ke Andhere............
Ranj Ki Raahein Aur Gam Ke
Andhere............
Woh Bhi To Humse, Woh Bhi To Humse............
Kho Gayee Hai, Aisi Hai
Tanhai............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............
Saya Bhi Saath
Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............
Yaad Aate Hain, Beetey Zamaane............
Jab Tum
Aaye The Humko Manaane............
Jab Tum Aaye The Humko Manaane............
Abh To Dil
Roothey, Abh To Dil Roothey............
Dard Manaaye, Aisi Hai Tanhai............
Saya Bhi
Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai
Tanhai............
Rona Chahoon To, Rona Chahoon To............
Aansoon Na Aayein, Aisi Hai
Tanhai............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............
Saya Bhi Saath
Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............
Emaan_88
12-24-2008, 08:35 PM
khuch khawab tabeer mangtay hein
soch ker tum dakho khawab
khawab tabeer mangtay hein
na milay tabeer tau kirecheeyan bun jatay hein
ashk bun ker ankhoon say yah laho bahatay hein
soch ker tum dakho khawab yah tabeer mangtay hein
na haseen lamhoon k hawab na sath rehany k khawab
zindagi ganwatay hein her pal yah tarpatay o rulatay hein
hosh say yah beygana kereen madhoshi mein rawana kereen
phool bun ker mehktay hein aag bun ker jalatay hein
birha ki aag mein pal pal yah jalatay hein
khuch khawab tabeer mangtya hein
Emaan_88
12-24-2008, 08:36 PM
Mein tery andaz ko bayan kis tarha karo....
Mein tere sadgi ka izhar kis tarha karo....
To chand se bhi zyada khubsorat hai sanam,
Mein kise insan se tere mushahbat kis tarha karo....
Wo phool jaisa chehra wo masoom sa tera dil,
Mein tere nazakat ki tareef kis tarha karo....
Wo tera pal pal mein satana phir rothey dil ko manana,
Mein kise or ka khayal kis tarha karo...
To roye to dil udas to hanse to dil muskuraye,
Mein tere zindage ko jannat kis tarha karo....
K hona kabhi tere ankhon mein namee,
Mein tere zindage mein sawera kis tarha karo...
Mein rahon terey pass tera libas ban kar,
Apni pore ye tamanna mein kis tarha karo...
Tere bahon mein guzar jaye mere zindage ka har lamha,
Mein terey qareeb rahon ye kis tarha karo....
Tu rahey zindage bhar sirf mera he ban kar,
Mein apney RAB se ye ilteja kis tarha karo....
Hussain
12-24-2008, 08:37 PM
bht umdaa going g
keep it up
very nice
-|A|-
12-24-2008, 11:32 PM
very Nice haan
Nida-H
12-25-2008, 10:34 AM
Nice collection..
Emaan_88
12-25-2008, 06:36 PM
rasme ulfat ke takaze na nibhaiy JATEY
warna hum ko bhi tamana thi ke chahe JATEY
Emaan_88
12-25-2008, 06:36 PM
dill ki bation ko baray piyar say tala hoga
kud ko jab bhi aik naiee raah pay dala hoga
is say mansoob hoon jitnay bhi fasanay suna
un main shayed kaheen maira bhi hawala hogaa
Emaan_88
12-25-2008, 06:37 PM
dill ki bation ko baray piyar say tala hoga
kud ko jab bhi aik naiee raah pay dala hoga
is say mansoob hoon jitnay bhi fasanay suna
un main shayed kaheen maira bhi hawala hogaa
Emaan_88
12-25-2008, 06:37 PM
Na us din say dil-e-weeran main koi arzo tehrii
K is dil main jub say tu mera mehmaan tehra hai
Woh aik nisbat jo ruswa kar gaye hum ko zamanay main
Wohi taluk humari zeest ka unwaan tehra hai ......
Emaan_88
12-25-2008, 06:39 PM
tairay khayal main doba tu etaymad molaa
mairay qarar ko tu mairee beruqee na samaj
hisab-e-sood-o-zeeyaan ka yahan jawaz kahan
jo kul k sath hi na day usko dost hi na samaj
~Pr!nCe$s UrOoJ~
12-25-2008, 06:39 PM
vvvvvvvvvvvvvvvvvvvvvvvv nice :bu:
Emaan_88
12-25-2008, 06:40 PM
Us din khuda ne bhi jashn manaya hoga,
jis din aapko apne hathon se banaya hoga,
usne bhi bahaye honge ansu,
jis din aapko yahan bhej khud ko akela paya hoga ..
Emaan_88
12-25-2008, 06:40 PM
Kabhi kuch baat kehdena or kehna chalo chhoro
Kabhi kuch kehte - kehte keh dena chalo chhoro
Yeh ada'ain tumhari khaas lagti hain na janay kyun
Kabhi socha k keh dalun kabhi socha chalo chhoro
Jatana bhi nahi aata keh yeh tumse kaisa rishta hai
Tumharay sath chalta main, phir socha chalo chhoro
Meri beqarari ka aalam kya hai kise jakar bataun main
Tha ye socha tumko bataunga phir socha chalo chhoro
Kha'hish hai yeh meri tumhain jee bhar kar daikun main
Tumhari tasweer banata main, phir socha chalo chhoro
Jo tum rooth jao gee to ghazal keh kar mana lunga
Aisay jo manaoon to kehti ho achchha chalo chhoro
Rahe gi ummeed jab tak yeh hamaray eik honay ki
Dar hai tum keh na do ummeed ko chalo chhoro
Emaan_88
12-25-2008, 06:40 PM
tum subha ka tara lagtay ho
aik noor ka dhara lagtay ho
ye phool cirag kahan tum say
tum chand sitara lagtay ho
kia narmal komal cahayra hay
tum shair hamara lagtay ho
main bhata pani darya ka
tum aik kinara lagtay ho
ye saree afshan tum say hay
tum dhanak ka dhara lagtay ho
main arshad raat samandar sa
tum dhoop kinara lagtay ho
Emaan_88
12-25-2008, 06:41 PM
Hum Galat na thai Kash wo ye samaj sake....
majborio ne na jane kis Mor pe la ke patakh Dia....
Na koi Raasta tha Na hum Laut Sake.....
Wazahtai dena apni adat nahi hai Sidrah......
Na main Samja saki Na wo Samaj Sake..........
Emaan_88
12-25-2008, 06:42 PM
Woh Chand Chup Gaya Mojhay Raat Soonp kar
Ankho'n may intezar k Lamhaat soonp kar
Ik Shakhs tha Jo Mojh se Bechar Gaya
Ankho'n ko Meri Mausam e Barsaat soonp kar
Emaan_88
12-25-2008, 06:43 PM
kis chand ki batian kertay ho
wo chand k jo choup jata hay
wo chand k jo sharmata hay
us chand ki batian kertay ho
wo chand jo gahray badal k
atraf say jhanka kerta hay
wo chand jo apnay sinay main
kuch dag chopaye rehta hay
us chand ki batian kertay ho
jo aksar lambi ratian bhi
mairay sath guzara kerta hay
aur door falak per rah ker bhi
jo muj ko sahara dayta hay
main aksar lambi raton main
us chand ko takta rahta hoon
main apnay dill ki batian bhi
us chand say kerta rehta hoon
kia tum bhi aksar ration main
us chand ki batian kertay ho
jo mujsay kehna hota hay
us chand say tum keh daytay ho
Emaan_88
12-25-2008, 06:44 PM
kis chand ki batian kertay ho
wo chand k jo choup jata hay
wo chand k jo sharmata hay
us chand ki batian kertay ho
wo chand jo gahray badal k
atraf say jhanka kerta hay
wo chand jo apnay sinay main
kuch dag chopaye rehta hay
us chand ki batian kertay ho
jo aksar lambi ratian bhi
mairay sath guzara kerta hay
aur door falak per rah ker bhi
jo muj ko sahara dayta hay
main aksar lambi raton main
us chand ko takta rahta hoon
main apnay dill ki batian bhi
us chand say kerta rehta hoon
kia tum bhi aksar ration main
us chand ki batian kertay ho
jo mujsay kehna hota hay
us chand say tum keh daytay ho
Emaan_88
12-25-2008, 06:45 PM
Dekhte Dekhte mosam yoon badal jate hain,
Jaise is shaher mai ikhlaaq badal jate hain.
Jate jate kahin kuch deer thaher jate hain,
Sham k baad chiraghoon mai nazer aate hain.
Dobte Dobte ik roz doob jayegi,
Zindagi sham ka soraj hai lout jayegi,
Sochte sochte her shaam guzer jati hai,
Badle rukh se hawa ke zulf bikhar jati hai.
Dhondte dhondte jo kushi nazer aati hai,
Kabhi werano pehlu mai kho bhi jati hai.
Hote hote dewane pyar mai hojate hain,
Jahaan ko bhool k dildar mai kho jate hain.
chalte chalte jahaan dewarain gira jate hain,
Wahan wo pyar k chand beej laga jate hain.
Bharte bharte purane zakham bhi bhar jate hain,
Khizaan se shajer bhi poshak badal jate hain.
Emaan_88
12-25-2008, 06:47 PM
Wo tu nadaan hai mera kia imtehan lega
Nazar sey nazar mila k nazar juka lega
Mat kaho Usay Charagh bujhaane ko
Wo na samaj hai ungliyan jala lega
Emaan_88
12-25-2008, 06:49 PM
main reza reza tu hota hoon har shakist k baad
magar nidhaal bohut der tak nahi rehta
main janta hoon k suraj hoon doob jaon bhi
tu mujhe zawal bohut der tak nahi rehta
Emaan_88
12-25-2008, 06:50 PM
Mujhse ziada agar tumhain koi chahay too
Mere Hatho'n say apna hath chura lena
Apnay dil say mera Naam Meta dena
Tour dena pyar ki zanjeerain
Meta lena apnay haato'n say lakerain
Meri Ankho'n say apna Khowab
Khowabo'n say meri Tasveer Meta Dena
Mujhse ziada agar tumhain koi chahay too
Emaan_88
12-25-2008, 06:58 PM
Mujhse ziada agar tumhain koi chahay too
Mere Hatho'n say apna hath chura lena
Apnay dil say mera Naam Meta dena
Tour dena pyar ki zanjeerain
Meta lena apnay haato'n say lakerain
Meri Ankho'n say apna Khowab
Khowabo'n say meri Tasveer Meta Dena
Mujhse ziada agar tumhain koi chahay too
Emaan_88
12-25-2008, 06:58 PM
Bahut khushnuma kal ki raat guzri,
kuch tanha par kuch khaas guzri,
na neend aayi na khwaab koi,
bas aapke hi khayalon ke saath guzri
Emaan_88
12-25-2008, 06:59 PM
Naqshe qadam bhi sath chale rah-e-wafa pe,
Ab wapsi jane ka rasta bhi kho gaya.
Aawaz de raha hai koi ab talak mujhe,
Gar ab palat gaya toh kaheen ka na rahoon ga.
Emaan_88
12-25-2008, 07:00 PM
Taqdir ney chaha Taqdir ney bataya,
Taqdir ney tum ko aur hum ko milaya.
Khush nasib thaey hum ya wo pal,
Jub tum jesa anmol Dost zindagi mein aaya
Emaan_88
12-25-2008, 07:00 PM
Taqdir ney chaha Taqdir ney bataya,
Taqdir ney tum ko aur hum ko milaya.
Khush nasib thaey hum ya wo pal,
Jub tum jesa anmol Dost zindagi mein aaya
Emaan_88
12-25-2008, 07:04 PM
Diya Khud say Bhoja dena
Hawa ko or kia Dena
Sitaray Dekhnay Waloo'n
Falak ko Aasra dena
Kabhi Is Tour say Hasna k Duniya ko Rula dena
Kabhi is Rang say rona k Khud par muskara dena
Main teri Dastaras Chaho'n Mojhay aesi dua dena
Main Tera Munfarid Sathi Mojhay Hath kar Jaza dena
Main Tera Barmila Mujrim mojhay khul kar Saza dena
Mera Sir sab say Uoncha hai Mojhay Moktal Naya dena
Mojhay Bora Lagay MOHSIN
Usay Pakar Ganwaa'n Dena
Emaan_88
12-25-2008, 07:07 PM
kabhi kabhi dil udas hota hai
nazaro ko halka sa ehsaas hota hai
chhalakte hai meri aakhon se aansu,
jab kisi apane ki kami ka ehsaas hota hai.......
Emaan_88
12-25-2008, 07:08 PM
phir koi zakhm laga do ke abhi main zinda hoon
meri pehchan mita do ke abhi mai zinda hoon
mere hote huye tum ashq bahaao to bura lagta hai
meri aankhon ko rula do ke abhi main zinda hoon
aur kuchh to tum se hargiz na diya jaayega
meri marne ki dua do ke abhi main zinda hoon.
Emaan_88
12-25-2008, 07:09 PM
Meray Wajood may Kash! woh utar jayee
Main Dekhoo'n Ayiena or woh Nazar aye
Woh ho Samnay or Waqt Thehar Jayee
Yeh Zindagi Younhi usay Dekhtay Guzar jaye
Emaan_88
12-25-2008, 07:10 PM
Meri har baat me usi ki baat rehti hai
Naa jane kyon dil ko har pal kisi ki aas rehti hai
Sirf or sirf usi ke Didaar ki Tadap rehti hai
Wo samajhta hai mere dil ki har baat
Isliye ye juban khamosh rehti hai
Mere Dil ki Dhrakan, meri jaan hai wo
Mere har khayal me ussi ki yaad rehti hai
Wo hai duniya me sabse pyaara mujhe
Meri har baat me usi ki baat rehti hai
Uske aane se aa jati hai chahre pe ronak
Wo naa ho to meri to duniya ujad si rehti hai
Uska pyar ka ijhaar bhi meri jaan leta hai
Samjhta hai isliye baar–2 kehta hai
Mere Dil, Dimag, mera kal, mera Aaj
Mere har khwab se uski khusbu aati hai
Meri har baat me usi ki baat aati hai
Emaan_88
12-25-2008, 07:12 PM
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Andaaz badal lena,awaaz badal lena
Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena
Mosaum jo naya aaye raftaar badal lena
Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Rasty main agar milna nazron ko jhooka lena
Awaaz agar do to katra k nikal jana
Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna
Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Emaan_88
12-25-2008, 07:13 PM
kabhi ansoo kabhi khoshbo kabhi nagma banker
hum say hir shaam mila hay taira cahayra banker
mairee jagi howee ratoon ko ushi ki hay talash
so raha hay mairee ankhoon main josapna banker
dill k kagaz pay utarta hay tu shairoon ki therhan
mairay hontoon pay machalta hay tu nagma banker
raat bhi ayee tu bhoojti nahie cahayray ki camak
rooh main pheel giyaa hay wo ujala banker
Emaan_88
12-25-2008, 07:14 PM
Agar talash karo gay tu koi mil hi jaye ga
Magar koun tumhen meri tarha chahe ga
Tumhain zaror koi chahato'n say dekhay ga
Magar woh ankhein humari kahan say laye ga
Najanay kab tere dil pe naye see Dastak ho
Ghar Khali hua hai Koi tu ayee ga
Emaan_88
12-25-2008, 07:15 PM
Kuch Khud Bhi They Afsurda Se
Kuch Log Bhi Hum Se Rooth Gaye
Kuch Khud Hi Zakham Ke Aadi Thi
Kuch Sheeshey Hath Se Toot Gaye
Kuch Khud Bhi They Hassass Buht
Kuch Apne Muqaddar Rooth Gaye
Kuch Ap ko Sach Se Nafrat Thi
Kuch Hum Se Na Boley Jhut Gaye
Kuch Khud Bhi Itne Mohtat Na They
Kuch Log Bhi Hum Ko Loot Gaye
Kuch Talkh Haqeeqaten Then Itni
Ke Khuwaab Hi Sare Toot Gaye
Emaan_88
12-25-2008, 07:16 PM
Matam Kana hai Sel e Hawadis ki Mouj Mouj
Khashti Meri Debo ke Samandar Uddas hai
Emaan_88
12-25-2008, 07:16 PM
Yohn Tu Yaadain Purani Nahin Hoti.........,
Har Kisi Ko Paana Sab Ki Kismat Nahin Hoti......,
Hum Dil Rakh Aye Un K Dar Par..........,
Yeh Jantay Huey Bhi K Un Ki Nazrain Zameen Par Nahin Hoti...........,
Emaan_88
12-25-2008, 07:18 PM
zindagi k kagaz per phir wohi kahani hay
jis therhan mohabbat ki dastan porani hay
atnay saray khwaboon k aik jaysay cahayray hain
aik hi mohabbat hay aik hi kahani hay
atay jatay lamhoon main janay kitnay mosam hain
sirf aik mosam per dill ki hukmarani hay
hijar k samandar ko kis nay par kerna hay
sirf apni kashti hay jo humian bacani hay
umar ki musafat bhi aik jalta sahra hay
rastay main suraj hay aur door pani hay
Emaan_88
12-25-2008, 07:22 PM
tunay ye phool jo zulfoon main saja rakha hay
eik diyaa hay jo andhayray main jala rakha hay
jeet lay jayee mujhay koie naseboon wala
zindagi nay mujhay daoo pay laga rakha hay
emtayhan aur mairay zabt tum kiya logay?
main nay dharken ko bhi senay main choopa rakha hay
dill thaa aik shola magar beet gaye din wo QATEEL
ab kuredoo na usay rakh main kia rakha hay
Emaan_88
12-25-2008, 07:27 PM
Is Tarhan na har baat Yaroo'n say poocho
Jo baat ho raaz ki isharo'n say poocho
Lehroo'n say khelna tu Shouq hai Samandar ka
Lagti hai Chout Kitni Kinaro'n say Poocho
Emaan_88
12-25-2008, 07:29 PM
Bohat uddas hai koi Shakhs tere Janay say
Ho Sakay tu Lout aa Kisi Bahanay say
To Lakh Khafa Sahi magar ik bar tu Dekh
Koi Tout Gaya hai Kis Qadar tere janay say
Emaan_88
12-25-2008, 07:34 PM
Terii baatein hii sunaaney aaye
Dost bhii dil hii dukhaaney aaye
Phool khiltey hain to hum sochtey hain
Terey aaney ke zamaaney aaye
Aisii kuchh chup sii lagii hai jaisey
Hum tujhey haal sunaaney aaye
Ishq tanhaa hai sar-e-manzil-e-Ghum
Kaun ye boujh uthaaney aaye
Ajanabii dost hamein dekh ke hum
Kuchh tujhey yaad dilaaney aaye
Dil Dharaktaa hai safar ke hangaam
Kaash phir koii bulaaney aaye
Abb to roney sey bhii dil dukhtaa hai
Shaayad abb hosh Thikaaney aaye
Kyaa kahiin phir koii bastii ujrii
Log kyoon jashnn manaaney aaye
So! raho maut ke pahaluu mein 'Faraz'
Neend kiss waqt naa jaaney aaye
Emaan_88
12-25-2008, 07:34 PM
Terii baatein hii sunaaney aaye
Dost bhii dil hii dukhaaney aaye
Phool khiltey hain to hum sochtey hain
Terey aaney ke zamaaney aaye
Aisii kuchh chup sii lagii hai jaisey
Hum tujhey haal sunaaney aaye
Ishq tanhaa hai sar-e-manzil-e-Ghum
Kaun ye boujh uthaaney aaye
Ajanabii dost hamein dekh ke hum
Kuchh tujhey yaad dilaaney aaye
Dil Dharaktaa hai safar ke hangaam
Kaash phir koii bulaaney aaye
Abb to roney sey bhii dil dukhtaa hai
Shaayad abb hosh Thikaaney aaye
Kyaa kahiin phir koii bastii ujrii
Log kyoon jashnn manaaney aaye
So! raho maut ke pahaluu mein 'Faraz'
Neend kiss waqt naa jaaney aaye
Emaan_88
12-25-2008, 07:40 PM
ab ke tajdeed e wafa ka nahi imkaan jaanaa
yaad kia tujh ko dilaain tera peemaan jaana
yuhi mosam ki adda daikh ke yaad aaya hay
kis qadar jald badal jaatay hain insaan jaanaa
zindagi teri atta thi so tere naam ki hay
hum ne jaisay bhi bassar ki tera ehsaan jaanaa
dil ye kehta hay ke shaayad ho fasurda tu bhi
dil ki kia baat karain dil to hay naadaan jaanaa
hum bhi kia saada thay hum ne bhi sumajh rakha
ghum e doraan se juda hay ghum e jaanaa, jaanaa
ab ke kuch ais sajji mehfil e yaaraan jaanaa
sir ba zaanoon hay koi sir ba garibaan jaanaa
hum ke rootthi hui rut bhi manna laitay thay
hum ne daikha hi nahi the mosam e hijraan jaanaa
hosh aaya to subhi khwaab thay raiza raiza
jaisay urtay huay oraaq e paraishaan jaanaa
Emaan_88
12-25-2008, 07:42 PM
Mohhabat Ka Ghum Hota Bohut Hai
K Ab Ye Lafz Bhi Ruswa Bohut Hai
Udasi Ka Sabab Main Kiya Bataon
Gali Kochon Mein Sannata Bohut Hai
Na Milne Ki Qasam Kha K Bhi Main Ne
Tujhe Har Raah Mein Dhunda Bohut Hai
Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko
Inn Aankhon Ne Tujhe Dekha Bohut Hai
Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso
Shayid Mujhe Rona Bohut Hai
Tujhe Maloom To Hoga Mere Humdum
Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha Bohut Hai
Emaan_88
12-25-2008, 07:44 PM
Mere Maula Ne Mujhe Chahaton Ki Saltanat De Dee
Magar Pehli Mohabbat Ka Khasara Yaad Rehta Hai
Emaan_88
12-25-2008, 07:45 PM
Ham ko kis k gham ny maara Ye kahani phir Sahi
Kis ny tora dil hamara ye kahani phir Sahi
Nafratoon k teer kha kar dostoon k shahir mein
Ham ny kis kis ko pukaara ye kahani phir Sahi
Dil k lotnay ka sabab poochu na sab k Samnay
Naam aey ga tumhara ye kahani phir Sahi
Ham ko kis k gham ny maara Ye kahani phir Sahi
Kis ny tora dil hamara ye kahani phir Sahi
Emaan_88
12-25-2008, 07:45 PM
Yeh bhi aadab hamare hain, Tumhen kya maloom
Hum tumhen jeet ke haare hain, tumhen kya maloom
Ek tum ho ke samajhte nahi hum ko apna
Ek hum hain ke tumare hain, tumhen kya maloom
Emaan_88
12-25-2008, 07:46 PM
yah sooch kaar rakhtay hain mulaqat ki khuwahish
kuchch waqt teeray pyar ki qurbaat main bi guzzray
allah ki aatahat main too kutt jaati hay ummer
aik shaab teeray chehray ki aibadaat main bi guzzray
qurran ka purhana too hay mehmool main shammil
aik shaab teeray chechray ki talawat main bi guzzray
aa kah aih masihai zamana dard kaa rastai howai nassoor koo bhaar daa
Emaan_88
12-25-2008, 07:47 PM
Mohhabat Ka Ghum Hota Bohut Hai
K Ab Ye Lafz Bhi Ruswa Bohut Hai
Udasi Ka Sabab Main Kiya Bataon
Gali Kochon Mein Sannata Bohut Hai
Na Milne Ki Qasam Kha K Bhi Main Ne
Tujhe Har Raah Mein Dhunda Bohut Hai
Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko
Inn Aankhon Ne Tujhe Dekha Bohut Hai
Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso
Shayid Mujhe Rona Bohut Hai
Tujhe Maloom To Hoga Mere Humdum
Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha Bohut Hai
Emaan_88
12-25-2008, 07:48 PM
Mere wajood ki mujh mein talash chor gaya
Jo poori na ho kabhi aaisa aas chor gaya
Woh chahtoon ki talab maan ki pyaas chor gaya
Mujhe bana ke woh ek zinda laash chor gaya
Yahi karam nawazii us ki mujh pe kaam hai kiya
K khud too door hai yaadein too paas chor gaya
Jo khawishen thi kabhi HASRATOON mein dhaal gayein aab
Mere LABOON mein woh ek lafz KAASH chor gaya
Yeh mera zarf hai ek rooz us ne mujh se kaha
Ke Aam logoon mein ek tujh ko khaas chor gaya
Baharoon se mujhe isi liye too NAFRAAT hai
inhi routoon mein mujhe woh UDAAS chor gaya
Mere deewane dil ko woh farat itna keh kar ......
Hai AASHIQUI ka safar kis koo RAAS chor gaya..
Emaan_88
12-25-2008, 07:48 PM
Mohhabat Ka Ghum Hota Bohut Hai
K Ab Ye Lafz Bhi Ruswa Bohut Hai
Udasi Ka Sabab Main Kiya Bataon
Gali Kochon Mein Sannata Bohut Hai
Na Milne Ki Qasam Kha K Bhi Main Ne
Tujhe Har Raah Mein Dhunda Bohut Hai
Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko
Inn Aankhon Ne Tujhe Dekha Bohut Hai
Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso
Shayid Mujhe Rona Bohut Hai
Tujhe Maloom To Hoga Mere Humdum
Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha Bohut Hai
Emaan_88
12-25-2008, 07:49 PM
ankhoon main raha dill main utar kar nahie dekha
kashti k musafir nay samandar nahie dekha
phatar mujhay kehta hay maira cha hanay wala
main moom hoon usnay mujhay choo kar nahie dekhaa
Emaan_88
12-25-2008, 07:50 PM
Har us Lamhe main yaad aounga
Jab Tum Tanhayee main Roya Karogi
Jagte Jagte Thak Kar Soya Karogi
Ankh K Band Hote Hi Yaad aounga
Jab Kisi CHAHANE Wale Ki Taraf
Dekhogi To yaad aounga
Kisi MOHABBAT Karne wale ko
Dekhogi To yaad aounga
Saans Jab Tak Chalegi Tumhari
Tab Tak Bhi Yaad Aounga
Emaan_88
12-25-2008, 07:52 PM
Aks khushboo hon bikharne se Na roke koi
Or bikhar jaon to mujh KO Na sametay koi
Kanp uthti hun mein yeh soch k tanhai mein
Mere chehre per tera naam Na parh le koi
Jis tarha khuwab mere ho Gaye reza reza
Us tarhan se Na kabhi toot k bikhre koi
Mein to us din se harasan hun k hukm mile koi
Khushk phoolon KO kitabon mein Na rakhe koi
Ab us rah se who shakhs guzrta bhi nahin
Ab kis umeed pe darwaze se jhanke koi
Koi ahat
Koi awaaz
Koi chaap nahin
Dil ki galiyan Bari sunsaan hai
Aye koi
Emaan_88
12-25-2008, 07:52 PM
neeyat -e-shouq bhar na jaye kahin
tu bhi dil se utar na jaye kahin
aj dekha hai tujhe der k baed
aj ka din bhi guzar na jaye kahin
na mila kar udaas logon se
husn tera bikhar na jaye kahin
arzoo hai ke tu yahan aaye
aur phir umar bhar na jaye kahin
jee jalata hoon aur ya sochta hoon
rayegan ya hunar na jaye kahin
aao kuch der ro hi lein 'Nasir'
phir ya dariya utar na jaye kahin
Emaan_88
12-25-2008, 07:53 PM
Ay door nagar k banjaray,ger chor k aisay jana tha
kion chah ki rah dikhani thi,kion pyar ka hath barhana tha
hay dunya k hangamo mai,rangeeni bhi ranai bhi
her cheez yahan ki ahi hai,mehroomi bhi ruswai bhi
sab log yahan pe kismat k be-tor thaparay sehtay hain
per jeetay hain aur jeenay ki,ek aas se chimtay rehtay hain
aur tu to ek khilari tha,kion khail se he mou mor liya
kion jaan ki bazi har gya,koi umar ka rishta tor liya
go janay k mushtaq yahan hum jaisay lakh bichare hun
wo log he rukhsat hotay hain,jo log k sab ko pyaray hon
is jag ki raat andhery mai,ek tara tha jo doob gya
wo waday sath nibhanay k,sab bhul bhula k khub gya
aa mehfil chup chup baithi hai,a mehfil ka jee shaad karain
wo log k tere ashiq hain kai roz se tujh ko yaad karain
wo thor thukanay dhond chuke,wo manzil manzil chu ay
ab aas lagay bhaithay hain,kab dastak ho kab tu ay.......
Emaan_88
12-25-2008, 07:54 PM
Aik Rah Per Sari Umer Chaley
Ek Dojey Ko Na Samjh Sakey
Jeevan Ka Safer Anjaan Safer
Bay_Khahish Bay_Araam Safer
Jevan K Kissi Bhi Dukh Sukh Main
Woh Meray Saath Shareek Nahin
Hum Dono Main Ek Rishta Hai
Per Jazboon Ki Tehreek Nahin
Jari Hai, Mager Anjaan Safer
Main Sochta Hoon Aik Din Yunhi
Woh Mujh Sey Juda Ho Jayegi
Ya Pehlay Main Mar Jaon Ga
Ya Shaid Woh Mar Jayegi
Phir Loug Kahin Gay Inka
Yeh Rishta Kitna Sacha Tha
Per Kiss Ko Khaber, Sara Jeevan
Woh Tanha Thi...
Main Tanha Tha...
Emaan_88
12-25-2008, 07:56 PM
Woh aks ban ke meri chashm-e-tar mein rehta hai
Ajeeb shakhs hai paani ke ghar mein rehta hai...
Woh to meri shab-e-gham ka aik piyambar hai
Woh ik sitara jo chashm-e-sehar mein rehta hai...
Jo mere honton pe aaye to gungunaoon usey
Woh shair ban ker bayaz-e-nazar mein rehta hai...
Guzarta waqt mera gamgisar kiya hoga
Woh khud taaqub-e-shaam-o-sehar mein rehta hai..
Mera hi roop hai tu ghaur se agar dekhay
Bagola sa jo teri rah guzar mein rehta hai...
Na jaane kaun hai jis ki talash mein 'bismil'
Har ik saans mera ab safar mein rehta hai
Emaan_88
12-25-2008, 07:57 PM
http://http://i246.photobucket.com/albums/gg106/hotkhan/muneerniyazi.png
Emaan_88
12-25-2008, 07:58 PM
Mairay sabr ka na lay imtihan
Mairi khamoshi ko sada na day
Jo tairay baghair na jee sakay
Usay jeenay ki dua na day
Tu aziz dil-o-nazer say ha
Tu qareeb rag-o-jaan say ha
Mairay jis-o-jaan ka yea fasla
Kahin waqt or barha na day
Tujhay bhol K na bhoola sakon
Tujay chah k bhi na pa sakon
Mairi hasratoon ko shumar kar
Mairi chahtoon ka sila na day
Wo tarap jo shola jan mein thi
Mairay tan badan say lipat gai
Jo bujha sakay tu bujha isay
Na bujha sakay tu hawa na day
Tujhay kabhi ager milein fursatein
Mairi sham phir say sanwar day
Agar qatal karna hay tu qatal kar
Yun judaion ki saza na day
Emaan_88
12-25-2008, 07:59 PM
Jo tere Ishq main khoye to phir pata na raha
Zamaane bhar se mera koi waasta na raha
Bohat gehre marasim the Doston se mere
Tumhare baad kisi se bhi raabta na raha
Bohat the shikwe gile tum se bewafayi ke
Dekh ker saamne tum ko koi gila na raha
Junoon charha to is tarhan Ishq ka tere
Koi hudood phir koi zaabta na raha
Lagi jo aag Dil main to is tarhan phaili
Phir bach nikalne ka apne koi Raasta na raha
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.