PDA

View Full Version : My collection of poetry


Pages : 1 2 3 [4]

Emaan_88
12-25-2008, 07:59 PM
Har us Lamhe main yaad aounga
Jab Tum Tanhayee main Roya Karogi
Jagte Jagte Thak Kar Soya Karogi
Ankh K Band Hote Hi Yaad aounga
Jab Kisi CHAHANE Wale Ki Taraf
Dekhogi To yaad aounga
Kisi MOHABBAT Karne wale ko
Dekhogi To yaad aounga
Saans Jab Tak Chalegi Tumhari
Tab Tak Bhi Yaad Aounga

Emaan_88
12-25-2008, 08:01 PM
Ankhon ko intizar ka de ker hunar chala gaya
chaha tha aik shaks ko jane kidher chala gaya

din ki wo Mehflain gaye raaton ke rut-jage gaye
koi samait kar mere shaam-o-sahar chala gaya

jhonka hai aik bahar ka rung-e-khayal yaar bhi
her-soo bikher bikher gaye khushbo jidher chala gaya

is ke he dum se dil main aaj dhoop bhi chandni bhi hia
de ke wo apni yaad ke shams-o-qamar chala gaya

kocha ba kocha dar-badar kab se bhatuk raha hai dil
hum ko bhula ke rah wo apni dagar chala gaya .

Emaan_88
12-25-2008, 08:01 PM
Sapnoo Se Dil Lagany Ki Aadat Nahi Rahi
Har Waqt Muskurany Ki Aadat Nahi Rahi
Yeh Soch Kar k Koi Manaany Nahi Aye Ga
Ab Humy Rooth Janay Ki Aadat Nahi Rahi...!!!

Emaan_88
12-25-2008, 08:02 PM
Mohhabat Ka Ghum Hota Bohut Hai
K Ab Ye Lafz Bhi Ruswa Bohut Hai

Udasi Ka Sabab Main Kiya Bataon
Gali Kochon Mein Sannata Bohut Hai

Na Milne Ki Qasam Kha K Bhi Main Ne
Tujhe Har Raah Mein Dhunda Bohut Hai

Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko
Inn Aankhon Ne Tujhe Dekha Bohut Hai

Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso
Shayid Mujhe Rona Bohut Hai

Tujhe Maloom To Hoga Mere Humdum
Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha Bohut Hai

Emaan_88
12-25-2008, 08:04 PM
Mairay sabr ka na lay imtihan
Mairi khamoshi ko sada na day

Jo tairay baghair na jee sakay
Usay jeenay ki dua na day

Tu aziz dil-o-nazer say ha
Tu qareeb rag-o-jaan say ha

Mairay jis-o-jaan ka yea fasla
Kahin waqt or barha na day

Tujhay bhol K na bhoola sakon
Tujay chah k bhi na pa sakon

Mairi hasratoon ko shumar kar
Mairi chahtoon ka sila na day

Wo tarap jo shola jan mein thi
Mairay tan badan say lipat gai

Jo bujha sakay tu bujha isay
Na bujha sakay tu hawa na day

Tujhay kabhi ager milein fursatein
Mairi sham phir say sanwar day

Agar qatal karna hay tu qatal kar
Yun judaion ki saza na day

Emaan_88
12-25-2008, 08:07 PM
Jo tere Ishq main khoye to phir pata na raha

Zamaane bhar se mera koi waasta na raha


Bohat gehre marasim the Doston se mere

Tumhare baad kisi se bhi raabta na raha


Bohat the shikwe gile tum se bewafayi ke

Dekh ker saamne tum ko koi gila na raha


Junoon charha to is tarhan Ishq ka tere

Koi hudood phir koi zaabta na raha


Lagi jo aag Dil main to is tarhan phaili

Phir bach nikalne ka apne koi Raasta na raha

Emaan_88
12-25-2008, 08:08 PM
Dukh dard ke maaro se mera zikar na Karna...
Ghar jao to yaaron se mera zikar na Karna...

Woh zabt na ker payenge aankhon ke samandar...
Tum raah guzaron se mera zikar na Karna...

Phoolon ke nasheman mein raha hoon mein sada se...
Dekho kabhi khaaron se mera zikar na Karna...

Shayad ye andhere hi mujhe raah dikhayein...
Ab chaand sitaron se mera zikar na Karna...

Woh meri kahani ko ghalat rang na de dein...
Afsana nigaaron se mera zikar na Karna...

Shayad woh mere haal pe besakhta rodein...
Is baar baharon se mera zikar na Karna...

Le jayenge gehrayi mein tum ko bhi baha ker...
Darya ke kinaron se mera zikar na Karna...

Woh shaks mile toh usse har baat bata dena...
Tum sirf isharon se mera ziakr na karna...!!!!

Emaan_88
12-25-2008, 08:09 PM
Tu ne yeh mashvara suna hai kya?
Zindagi ishq ke siwaa he kya!

Katalin sab sazayain ab to bataa,
ayee sitamagar, mera gunah he kyaa?

Aahh mehfil me naa nikalanay di ,
Chhup ke rona bhi kuch gunah he kya?

Umr bhar na mila he mujhako sukun ,
Maut hi aeakhri panah he kya?

Aye mere jurm ginaanay walay
Tere ghar koi aaina he kya?

Chaand itna udaas dhundhala he,
Mujhase ziyada bhi tanhaa hai kyaa?

Ajanabi se woh aaj baithe hain ,
Qatl ka yeh hi din chuna he kya?

Emaan_88
12-25-2008, 08:12 PM
Aetebar Tootey tu
Wo bhi aesay logon par

Jin ku apna ham janain
Jab bhi gham sey bojhal hon

Un ku mehrbaan manain
Aetebar Tootey tu

Aesay zakhm miltey hein
Jo kabhi nahin bhartey

Mehraban say'e jab
Ham sey rooth jaen tu

Aisi dhoop milti hey
Jis mein rooh jalti hey

Aetebar Tootey tu
Dil key aaieney ju hein

Wo bhi toot jatey hein
Aks wo ju apney hon

Wo bhi rooth jatey hein
Aetebar Tootey tu

Aesay zakhm miltey hein
Aesi dhoop milti hey

Aisey aks khotey hein
Loog hans bhi lein shayad

Dil hamesha rootey hein
Aetebar Tootey tu

Emaan_88
12-25-2008, 08:14 PM
kitney hi pal in qurb k lamhoo’n ko socha tha
dil tha bichhaey aankhein …jab tera aana thehra,

tu saamney aaya tu bas .. chup chaap sochtey rahey
is dil mey bas ik tu nahi…werna tu zamana thehra,

khamosh gila kertey rahey.. tu ney kyun panapney diya
muhabbat hum sey nahi phir kyun ye fasana thehra,

ladtey rahey kitney pahar ..apni hi soochoo’n sey
jab dil ney kiya raazi hamey …tu tera jana thehra,

shayed teray dil mey hi kum thi muhabbat meri
“haalaat hogaey aisey” yey tu bas bahana thehra

-|A|-
12-25-2008, 08:18 PM
very gOod

Emaan_88
12-25-2008, 08:20 PM
Badal gai hai yeah zindegi ab sabhe nazaray badal gaye hain
Kahin pe maau.jain badal gai hain kahin kinaray badal gaye hain.

Badal gaya hai ab is ka lehja ab is ki aankhien badal gai hain
Woh chaand chehra hai ab bhe waisa meray sitaray badal gaye hain

Mila hun tum se to yun laga ha ke jaisey dono hi ajnabi hon
Kabhe jo mujh ko aziz-e-jaan thai woh taur saray badal gaye

Kahin pe badla hai kehnay wala kahin pe saa.ma.ay badal gaya hai
Kahin pe ankhein badal gai hain kahin pe nazaray badal gaye hain

Is liye bhe mein ser jhuka tumhari nagri se chal para hun
Tha naaz jin per kabhe mujhay bhe woh sab saharay badal gaye hain

Emaan_88
12-25-2008, 08:20 PM
Badal gai hai yeah zindegi ab sabhe nazaray badal gaye hain
Kahin pe maau.jain badal gai hain kahin kinaray badal gaye hain.

Badal gaya hai ab is ka lehja ab is ki aankhien badal gai hain
Woh chaand chehra hai ab bhe waisa meray sitaray badal gaye hain

Mila hun tum se to yun laga ha ke jaisey dono hi ajnabi hon
Kabhe jo mujh ko aziz-e-jaan thai woh taur saray badal gaye

Kahin pe badla hai kehnay wala kahin pe saa.ma.ay badal gaya hai
Kahin pe ankhein badal gai hain kahin pe nazaray badal gaye hain

Is liye bhe mein ser jhuka tumhari nagri se chal para hun
Tha naaz jin per kabhe mujhay bhe woh sab saharay badal gaye hain

Emaan_88
12-25-2008, 08:21 PM
Bohat dino se mera Dil uddas rehta hai
Main kya karoon bas ek hi shaks yaad rehta hai
Kabhi khayaal hi nahi aata ke main akela hoon
ab to mera dost mere saath rehta hai
tum se baat karte hue halat ajeeb hoti hai
mujhe to kuch bhi na hosh-o-hawaas rehta hai
kahin tum badal na jao kahin tum mujhe bhool na jao
na jaane kyun mujhe ab yeh khauf her waqt rehta hai

naa jaane mere Dil ko kya hogaya hai
kyun ab yeh her waqt uddas rehta ha

Emaan_88
12-25-2008, 08:22 PM
ummeed e pursish e gham kissy kijye nasir

ju apny dil pay guzarti hy koi kiyaa jaany..

Emaan_88
12-25-2008, 08:22 PM
Sabhi kuch hai tera dia howa, sabhi rahtain, sabhi kulftain
Kabhi suhbtain kabhi furqtain,kabhi dooriyan kabhi qurbtaian

Yea sukhan jo hum ney raqem kiye yea hain sab warq teri yaad k
Koi lamha subah visaal ka kai sham hijer ki mudtain

Yea tumhari maan lain na'seha, tu rahey ga damn-e-dil main kia
Na kisi adu ki adawtain. Na kisi sanam ki murawtain

Chaloo aoo tum ko dikha'yain hum jo bacha hai maqtal e sheher main
Yea mizar aihl-e-wafa k hain yea hain asel saqad ki turbtain

Meri jaan, ajj ka gham na ker k na janey kaatib-e-waqt ney
Kisi apney kal main b bhool ker , kaheen likh rakhi hon musartain

Emaan_88
12-25-2008, 08:24 PM
wajah ye nahi ki tum buri ho sakti nahi...
wajah ye hai ki me acha samajhna chahta hoon.


wajah ye nahi ki tu ne mujhko chaha nahi...
wajah ye hai ki me sirf tujh hi ko chahta hoon.


wajah ye nahi ki tu ne mujko ghum nahi diye...
wajah ye hai ki me her ghum sehna chahta
hoon.

wajah ye nahi ki tujhe bhool nahi sakta me...
wajah ye hai ke tujhe yaad rakhna chahta
hoon.

wajah ye nahi tu tabeer de saki na mujhe...
wajah ye hai ki me khuaabon me rehna
chahta hoon.

Emaan_88
12-25-2008, 08:25 PM
Kehne ko wo pehli chaahat thi
Wo jis mein junoo(n) tha, shiddat thi
Paakeeza thi, anmol thi wo
Khaabon k jahaa(n) ki ulfat thi
Mehboob ko bhi ma'loom na tha
Aaisi khaamosh mohabbat thi
Khaamosh rahi be-kaar hui
Na jeet hui na haar hui
Phir waqt ne apni chaal chali
Wo furqat se do-chaar hui
Kaisi khaamosh mohabbat thi
Gulzaar se phir wo khaar hui
Furqat se junoo(n) mein aag lagi
Is dil k sukoo(n) mein aag lagi
Ashkon ki larri aankhon se bandhi
Is jism k khoo(n) mein aag lagi
Phir waqt ne apni chaal chali
Dil se wo khumaar-e-preet gaya
Honton se wafa ka geet gaya
Kehne ko wo pehli chaahat thi
Us ka bhi zamaana beet gaya
Hijraa(n) ki shabon se larr larr kar
Dil haar gaya, gham jeet gaya .

Emaan_88
12-25-2008, 08:26 PM
Jahaan phoolon ko khilnaa tha wahin khiltay toh acha tha
Tumhe Ko Hum ne Chaha Thaa tumhe miltay toh acha tha
tumhe kaise Bataoon ke tumhe kaise bhulayaa hai
tumhare gham se ashkoon se shab_e_gham main jalayaa hai
hazaroon gham aesay thay agar siltay toh achaa thaa
tumhe ko hum ne chaha tha tum he miltay toh achaa thaa

Emaan_88
12-25-2008, 08:27 PM
Har kisi ko aas main rakhne ki aadat usko thi
Warna kyon matlub gairon ki rafaqat usko thi

Kaise kar leta gawara woh meri sanson ki aanch
En dinon khud apnay saye se bhi wehshet usko thi

Hijr ki ik azmaish se guzar jane ke baad
Sari duniya se judai ki shikayat usko thi

Faislay ka haq use hasil tha usne ker liya
Mujh se kab darkar koi bhi vazahet usko thi

Ek khilona torne ke wastay darkaar tha
Ab main samjha kis liye meri zarurat usko thi

Emaan_88
12-25-2008, 08:38 PM
angrae par angrae leti hai raat judae ki
tum kya samjho tum kiya jano bat meri tanhai ki

kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behtay darya mein
mein ne aankh jhuki dekhi hai aj kisi harjae ki


vasl kii raat na jaane kyuu.N israar thaa unako jaane par
vaqt se pahle Duub gae taaro.n ne ba.Dii daanaaii kii

urtay urtay aas ka panchi door ufaq mein doob gaya
rote rote baith gai aawaz kisi saudae ki

Emaan_88
12-25-2008, 08:44 PM
maray dill ki rakh koreed math

isay muskurakay howa naday....

yaa cherag phir bhee cherag hay

tayra haat jalana day kahian

maray sath chilnay kay shook mai

bare dhoop sir pay uthaia gaaa

tara nak naksha hay moom ka

kahian gum ki aag gula na dayyyyyyyyyyy

Emaan_88
12-25-2008, 08:44 PM
Anaa Ek Aisa Pathar Hai
Jo Mann Main Janam Leta Hy
Ye Sar Ko Na Jhukane Ki
Badan Se Qasam Leta Hy
Dilo'n Ki Har Tamanna Pr
Ye Kaari Zarb Hota Hy
Aur Is K Har Taqaze Mein
Bala Ka KArb Hota Hy
Ye Dunya Ki Kisi Talkhi Se
Derne Bhi Nahi Deta
Ye JEene BHi Nahi Deta
Ye Marne Bhi Nahi Deta
Agar Jeewan Ki Raaho'n Main
Jo Chahat Ko Kabhi Chaho
Rahat Ko Kabhi Chaho
Kisi k Saanp Lafzo'n Se
Isay Daswana Parta Hy
Mohabbat Kerne Se Pehle
Isay Dafanana Parta Hy
Anaa Ek Ai

Emaan_88
12-25-2008, 08:46 PM
barbaad tamanna pe aatab aur zyada haiN meri mohabbat ka javaab aur zyada roye na abhi ahal-e-nazar haal pe mere hona hai abhi mujh ko Kharab aur zyada aavara-va-majanu.N hi pe maukuuf nahi kuch milne hain abhi mujh ko Khitaab aur zyada uThe.nge abhi aur bhi tuufaa.N mere dil se dekhuNga abhi ishq ke Khvaab aur zyada Tapkegaa lahuu aur mere diidaa-e-tar se dharkegaa dil-e-Khana_Kharab aur zyada ai mutrib-e-bebaak koi aur bhi naGmaa ai saaqii-e-fayyaaz sharaab aur zyada

Emaan_88
12-25-2008, 08:48 PM
Kisi ki hum dua hone lage hain
Buhat ashufta paa hone lage hain

Khuda k naam lewaoon ko dekho
Zameen pe khud khuda hone lage hain

Wo mujh se is tarah milta hai jaise
Umer bher ko juda hone lage hain

Ho mere sheher ka Allah nigehban
Muhafaiz rahzan hone lage hain

Ajab hai aish shehre dil ka alam
K hum khud se khafa hone lage hain

Emaan_88
12-25-2008, 08:50 PM
ik lafz-e-mohabbat kaa adanaa saa fasaanaa hai
simaTe to dil-e-aashiq phaile to zamaanaa hai

ye kis kaa tasavvur hai ye kis kaa fasaanaa hai
jo ashk hai aa.Nkho.n me.n tasbiih kaa daanaa hai

ham ishq ke maaro.n kaa itanaa hii fasanaa hai
rone ko nahii.n ko_ii ha.Nsane ko zamaanaa hai

vo aur vafaa-dushman maane.nge na maanaa hai
sab dil kii sharaarat hai aa.Nkho.n kaa bahaanaa hai

kyaa husn ne samajhaa hai kyaa ishq ne jaanaa hai
ham Khaak-nashiino.n kii Thokar me.n zamaanaa hai

vo husn-o-jamaal un kaa ye ishq-o-shabaab apanaa
jiine kii tamannaa hai maranaa kaa zamaanaa hai

yaa vo the Khafaa ham se yaa ham the Khafaa un se
kal un kaa zamaanaa thaa aaj apanaa zamaanaa hai

ashko.n ke tabassum me.n aaho.n ke tarannum me.n
maasuum mohabbat kaa maasuum fasaanaa hai

aa.Nkho.n me.n namii sii hai chup-chup se vo baiThe hai.n
nazuk sii nigaaho.n me.n naazuk saa fasaanaa hai

hai ishq-e-junuu.N-peshaa haa.N ishq-e-junuu.N-peshaa
aaj ek sitamagar ko ha.Ns ha.Ns ke rulaanaa hai

ye ishq nahii.n aasaa.N itanaa to samajh liije
ek aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai

aa.Nsuu to bahot se hai.n aa.Nkho.n me.n 'Jigar' lekin
bindh jaaye so motii hai rah jaaye so daanaa hai

Emaan_88
12-25-2008, 08:52 PM
Ab teri yaad say wehshat naheen hoti mujh ko
Zakham khulney se aziyat naheen hoti mujh ko

Ab koi aaye chala jaye main khush rehta hoon
Ab kisi shakhs ki aadat naheen hoti mujh ko

Aesa badla hoon teray sheher ka paani pi kar
Jhoot boloon to nidaamat naheen hoti mujh ko

Main ne bhi ki hey mohabbat, so kisi ki khatir
Koi marta hai to hairat naheen hoti mujh ko

Itna masroof hoon jeenay ki hawas main yaaro
Saans leney ki bhi fursat naheen hoti mujh ko

Emaan_88
12-25-2008, 08:55 PM
Chura laya hooN khud ko per apna saya chor aaya hooN
MaiN us ke aaine maiN apna chehra chor aaya hooN

Basa le aankh maiN ya aag maiN is ko jala dale
MaiN us ki dairy main eik sapna chor aaya hooN

Ab aage dekhna he zindagi kya shakl deti he
MaiN chalte chaak per khud ko udhoora chor aaya hooN

Tu mera haq na de mehnat ke badle bheek hi dede
MaiN apne ghar maiN sab bachooN ko bhooka chor aaya hooN

isi dar se ke istarha na mer jaye ana meri
MaiN apne aakhri dushman ko zinda chor aaya hooN

ye laghzish ho gae kul mekade say be khayali mein
Kisi ka gham utha laya hoon apna chor aaya hooN

meray bachoon ko aapis mein yehi to bantna ho ga
MaiN pechay nafratooN ka jo asasa chor aaya hooN

Emaan_88
12-25-2008, 08:58 PM
Mujhe aarzu-e-sehar rahi yun hi raat bhar barri dair tak
Na bikhar saka na simat saka,yun hi raat bhar barri dair tak


Hai buaht azaab aur akailay hum,shab-e-gham bhi meri taweel tar
Rahi zindagi saraab aur rahi aankh tar barri dair tak


Yahan har taraf hai alag samaan,sabhi khud pasand sabhi khud numa
Dil-E-Beqaraar ko na na mila koi chaara gar barri dair tak


Mujhe zindagi hai aziz tar,issi wastay mere humsafar
Mujhe qatra qatra pila zehar,jo asar karay barri dair tak....!!!

Emaan_88
12-25-2008, 08:59 PM
Tamam Raat Diye Pani Mai Jalati Rahi
Wo Yaad Ata Raha Main Usey Bhulati Rahe

Wo Meri Nazam Ka Koi Udaas Mesra Tha
Main Jisko Wehshat-e-sehra Mai Gungunati Rahi

Na Koi Pehley Tha Tujh Se Na Terey Baad Aya
Ye Zindagi Tu Mujhey Yunhi Aazmati Rahi.........

Emaan_88
12-25-2008, 09:01 PM
Bikhar Rahi Hai Meri Zaat Usy Kehna
Jo Milay tu yeh baat usy kehna,
Woh sath tha tu zamana tha humsafar mera
Aab koi nahi hai meray sath usy kehna,

Usy kehna k bin us k din nahi guzarta
Sisak sisak k guzarti hain raatain,
Usay pukaron k khud hi chala jao us k pas
Nahi rehay woh halaat usy kehna,

Ager woh phir b na manay tu hey Meharban-E-Qasid
Humari zeest k halaat usy kehna,
Main har jeet us k name kar raha hon
Main manta hon apna HAAR usay kehna,,

Emaan_88
12-25-2008, 09:04 PM
Jo ansoo na hote aankhon main,
To aankhen itni khubsoorat na hoti,

Jo dard na hota dil main,
To khushi ki qeemat pata na hoti,

Jo bewafai na ki hoti waqt ne,
To wafa ki kabhi chahat na hoti,

Ager sochne se puri ho jati muradain,
To dua ki kabhi zaroorat na hoti.

Kabi ye naaz k wo mera hai faqt mera,
Kabi ye dr k wo mujh se naraz to nhi,

Kabi ye dua k usy miley jahan ki khushyan,
Kabi ye khof k wo khush mere bina to nhi.

Emaan_88
12-25-2008, 09:04 PM
MOHABBAT jeet hoti hay
mager ye haar jati hay

kabhi dil soz lamhon say
kabhi baykaar rasmon say
kabhi taqdeer walon say
kabhi majboor kasmon say
kabhi yeh bhool jaisi hay
kabhi yeh dhool jaisi hay
kabhi yeh chand jaisi hay
kabhi yeh dhoop jaisi hay
kabhi masroor kerti hay
kabhi yeh rog dati hay
kabhi yeh paar jati hay
kabhi yeh maar jati hay
MOHABBAT jeet hoti hay
MAGER KION HAAR JATI HAY...........

Emaan_88
12-25-2008, 09:05 PM
Tumhara naam likh likh ker mitana bhul jata hun,
tumhe jab yaad kerta hun..bhulana bhul jaata hun,

buhat si aisi baaten hain ju mere dil may rehti hain,
magar jab tumse milta hun..sunana bhul jaata hun,

tumhare baad abh har pal bari mushkil se katta hai,
may aksar tumko khwabun may..batana bhul jaata hun,

may har shaam kehta hun k tumko bhul jaunga,
magar jab subha huti hai..to bhulana bhul jaata hun..

Emaan_88
12-25-2008, 09:06 PM
piyar dil hai dimagh nahi..
piyar soch hai awaz nahi..

koi ankhoon sai daikh nahi sakta piyar k jazbai ko..
kuun k piyar ehsaas hai andaaz nahi.

Emaan_88
12-25-2008, 09:09 PM
Tera Dard Tha Teri Yaad Thi,
Main Jahan Gaya Main Jidhar Gaya,


Mera Din To Younhi Guzar Gaya,
Jonhi Shab Hui Main Bikhar Gaya,

Is Abar Ka Mere Yaar Se,
Bara Milta Julta Mizaaj Hai,

Kabhi Toot Ke Ye Baras Gaya,
Kabhi Be Rukhi Se Guzar Gaya,

Jab Chooron Ga Main Uski Gali,
Usay Yaad Aaye Gi Tab Mere,

Mujhe Dhoonday Ga Wo Gali Gali,
Ye Khabar Milay Gi Ke Main Mar Gaya,

Mere Baad Sab Se Wo Poochay Ga,

Wo Kahan Hai Mera Hamsafar,
Wo Kahan Gaya?, Wo Kidhar Gaya.

Emaan_88
12-25-2008, 09:09 PM
Meri jalti hui aankhon ke be-ta'abeer ye khwab
D!L ke qirtaas pe dukh se huay tehreer ye khwab

Pyar, khushbu o dhanak, jugnu o saahil, main, tum
Ek andekhi si dunia ki hain tasveer ye khwab

Ye ilm tha ke kabhi such nahin ho paaen ge
Haan magar phir bhi mujhe kar gae taskheer ye khwab

Kis tarha aur koi raah ikhtiyar karun
Parre hain paaon mein ban kar koi zanjeer ye khwaab

Main in ka rabt in aankhon se khatm to kar doon
Hain meri rooh magar kar gaye aseer ye khwab

Tum ko paana hai muqaddar,na hai qismat,na naseeb
Aur phir uss pe in ankhon ke be-tauqeer ye khwab

Wo aur loag hain jin ko mili hain taabeerein
Apni qismat mein raqam, apni hain taqdeer ye khwab

Emaan_88
12-25-2008, 09:11 PM
havas-naseeb nazar ko kahin qaraar nahi
main muntazir hooN magar tera intazar nahi


ham he se rang-e-gulistaN ham he se rang-e-bahaar
ham he ko nazm-e-gulistaN pe iKhtiyaar nahi


abhi na chaardh mohabbat ke geet ae mutarib
abhi hayaat ka mahaul Khush_gavaar nahi


tumhare ahd-e-wafaa ko ahad main kya samjhuN
mujhe Khud apani mohabbat ka aitabaar nahi


na jaane kitne gile is mein muztarib hai nadiim
wo ek dil jo kisi ka gilaa_gusaar nahi


gurez ka nahi qaayal hayaat se lekin
jo soz kahooN to mujhe maut nagavar nahi

ye kis maqaam pe pahu.Ncha diya zamane ne
ki ab hayaat pe tera bhi iKhtiyaar nahi

Emaan_88
12-25-2008, 09:12 PM
kabhii kabhii mere dil me.n Khayaal aataa hai...


ke zindagii terii zulfo.n kii narm chaao.n me.n
guzarane paatii to shaadaab ho bhii sakatii thii
ye tiirgii jo merii ziist kaa muqaddar hai
terii nazar kii shuaao.n me.n kho bhii sakatii thii


ajab na thaa ke mai.n begaanaa-e-alam ho kar
tere jamaal kii raanaaiiyo.n me.n kho rahataa
teraa gudaaz badan terii niim-baar aa.Nkhe.n
i.nhii.n hasiin fasaano.n me.n maaho rahataa


pukaaratii.n mujhe jab talKhiyaa.N zamaane kii
tere labo.n se halaawat ke ghuu.NT pii letaa
hayaat chiikhatii phiratii barahanaa-sar, aur mai.n
ghanerii zulfo.n ke saaye me.n chhup ke jii letaa


magar ye ho na sakaa aur ab ye aalam hai
ke tuu nahii.n, teraa Gam, terii justajuu bhii nahii.n
guzar rahii hai kuchh is tarah zi.ndahii jaise
ise kisii ke sahaare kii aarazuu bhii nahii.n


zamaane bhar ke dukho.n ko lagaa chukaa huu.N gale
guzar rahaa huu.N kuchh a.njaanii guzar_gaaho.n se
muhiib saaye merii simt ba.Date aate hai.n
hayaat-o-maut ke pur_haul Khaarazaaro.n se


na koii jaadaa na manzil na roshanii kaa suraaG
bhaTak rahii hai Khaalaao.n me.n zindagii merii
i.nhii.n Khalaao.n me.n rah jaauu.Ngaa kabhii khokar
mai.n jaanataa huu.N merii ham-nafas magar yuu.N hii


kabhii kabhii mere dil me.n Khayaal aataa hai

Emaan_88
12-25-2008, 09:14 PM
khudariyon ke khoon ko arza'n na kar sake
ham apne joharo'n ko numayaan na kar sake

hokar kharaab-e-may tere ghum tu bhula diye
lekin ghum-e-hayat ka darmaa'n na kar sake

tuta talsm-e-ahad-e-mohabat kuch is tarah
phir arzoo ki shamma furezaa.n na kar sake

har shay qareeb aake kashish ap;ni kho gai
vo bhi elaaj-e-shauq-e-gurezaa'n na kar sake

kis darja dil shikan the mohabat k haadse
ham zindagee mein koi armaa'n na kar sake

maayosiyon ne cheen liye dil k val vale
vo bhi nishaat-e-rooh ka samaa'n na kar sake

Emaan_88
12-25-2008, 09:15 PM
kisii ko udaas dekh kar


tumhe.n udas sa paata huu.N mai.n kai din se
naa jaane kaun se sadame uThaa rahii ho tum
vo shoKhiyaa.N, vo tabassum, vo kah_kahe na rahe
har ek chiiz ko hasrat se dekhatii ho tum
chhupaa chhupaa ke Khamoshii me.n apanii bechainii
Khud apane raaz kii taashiir ban gaii ho tum

merii ummiid agar miT gaii to miTane do
ummiid kyaa hai bas ek paas-o-pesh hai kuchh bhii nahii.n
merii hayaat kii Gam_Giii.nio.n kaa Gam na karo
Gam hayaat-e-Gam yak naqs hai kuchh bhii nahii.n
tum apane husn kii raanaaiio.n par raham karo
vafaa fareb tul havas hai kuchh bhii nahii.n

mujhe tumhaare taGaaful se kyuu.n shikaayat ho
merii fanaa meer ehasaas kaa taqaazaa hai
main jaanataa huu.N ke duniyaa kaa Khauf hai tum ko
mujhe Khabar hai ye duniyaa ajiib duniyaa hai
yahaa.N hayaat ke parde me.n maut chalatii hai
shikast saaz kii aawaaz me.n ruu naGmaa hai

mujhe tumhaarii judaaii kaa koii ra.nj nahii.n
mere Khayaal kii duniyaa me.n mere paas ho tum
ye tum ne Thiik kaha hai tumhe.n milaa na karuu.N
magar mujhe bataa do ki kyuu.N udaas ho tum
hafaa na ho merii jurrat-e-taKhtab par
tumhe.n Khabar hai merii zi.ndagii kii aas ho tum

meraa to kuchh bhii nahii.n hai mai.n ro ke jii luu.Ngaa
magar Khudaa ke liye tum asiir-e-Gam na raho
huaa hii kyaa jo zamaane ne tum ko chhiin liyaa
yahaa.N par kaun huaa hai kisii kaa socho to
mujhe qasam hai merii dukh bharii jawaanii kii
mai.n Khush huu.N merii mohabbat ke phuul Thukaraa do

mai.n apanii ruuh kii har ek Khushii miTaa luu.Ngaa
magar tumhaarii masarrat miTaa nahii.n sakataa
mai.n Khuud ko maut ke haatho.n me.n sau.Np sakataa huu.N
magar ye bar-e-musaaib uThaa nahii.n sakataa
tumhaare Gam ke sivaa aur bhii to Gam hai.n mujhe
nijaat jin se mai.n ek lahaza paa nahii.n sakataa

ye uu.Nche uu.Nche makaano.n kii deva.Diiyo.n ke tale
har kaam pe bhuuke bhikaariiyo.n kii sadaa
har ek ghar me.n aflaas aur bhuuk kaa shor
har ek simt ye insaaniyat kii aah-o-bukaa
ye karaKhaano.n me.n lohe kaa shor-o-gul jis me.n
hai dafn laakho.n Gariibo.n kii ruuh kaa naGmaa

ye sharaho.n pe ra.ngiin saa.Diio.n kii jhalak
ye jho.Npa.Diyo.n me.n Gariibo.n ke be-kafan laashe.n
ye maal road pe karo.n kii rail pail kaa shor
ye paTariyo.n pe Gariibo.n ke zard_ruu bachtche
galii galii me.n bikate hue javaa.N chehare
hasiin aa.Nkho.n me.n afsurdagii sii chhaii huii

ye jang aur ye mere vatan ke shoKh javaa.N
khariidii jaatii hai.n uThatii javaaniyaa.N jinakii
ye baat baat pe kanuun aur zabte kii giraft
ye ziisq ye Gulaamii ye daur-e-majabuurii
ye Gam hai.n bahot merii zi.ndagii miTaane ko
udaas rah ke mere dil ko aur ranj na do

life2
12-25-2008, 09:15 PM
Hum nay rakha hai usay dil makan main barso
Jo kabhi hum sy shanasa sar e bazaar hua..!!

Emaan_88
12-25-2008, 09:16 PM
lab pe paabandi nahi ehsaas pe pahra to hai
phir bhi ahl-e-dil ko ahvaal-e-bashar kahna to hai


apni Gairat bech Daalein apna maslaq choor dein
rah_numaao.n mein bhi kuch logo.n ka ye mansha to hai


hai jinhe.n sab se zyada dava-e-hub-e-vatan
aaj un ki vajah se hub-e-vatan rusva to hai


bujh rahe hai.n ek ek kar ke aqeedo.n k diye
is andhere ka bhi lekin samna karna to hai


jhooTh kyuN bolein faroG-e-maslahat ke naam par
zindagi pyari sahi lekin hamein marna to hai

Emaan_88
12-25-2008, 09:18 PM
mere khuwabon k jharokon ko sajane wai
tere khuwabon mein khain mere guzar hai k nahi
pooch kar apni nigahon se batade mujhko
meri raaton k muqaddar mein sahar hai k nahi

chaar din ki ye rafaqat jo rafaqat bhi nahi
umer bhar k liya aazar huwi jati hai
zindagi yuhi to hamaysha se pareshan se thi
ab tu har saans gira'n baar huwi jati hai

meri ujri huwi neendon k shabistano mein
tu kisi khuwab k paikar ki tarha aai hai
kabhi apni se kabhi gair nazar aati hai
kabhi ikhlas ki murat kabhi harjai hi

pyar per bas tu nahi hai mera lekin phir bhi
tu bata de k tujhe pyar karoon ya na karoon
tu ne khud apne tabassum se jagaya hai jin hein
un tamannaon ka izhar karoon ya na karoon

tu kisi aur k daaman ki kali hai lekin
meri raatein teri khushboo se basi rehti hain
tu kahin bhi ho tery phool se aariz ki qasam
teri palkein meri aankhon pe jhuki rehti hain

tery hathon ki hararat tere sanso ki mehak
tair ti rehti hai ehsaas ki penhai mein
dhoondti rehti hain takhayul ki bahein tujh ko
sard raaton ki sulagti huwi tanhai mein

tera altaf-o-karam ek haqeeqat hai magar
ya haqeeqat bhi haqeeqat mein fasana hi na ho
terii maanuus nigaaho.n kaa ye mohataat payaam
dil ke Khuu.N karane kaa ek aur bahaanaa hii na ho


kaun jaane merii imroz kaa fardaa kyaa hai
qurbate.n baD ke pashemaan bhii ho jaatii hai
dil ke daaman se lipaTatii hu_ii rangii.n nazare.n
dekhate dekhate a.njaan bhii ho jaatii hai

merii daramaa.Ndaa javaanii kii tamannaao.n ke
muzmahil Khvaab kii taabiir bataa de mujhako
tere daaman me.n gulistaa.N bhii hai, viiraane bhii
meraa haasil merii taqdiir bataa de mujhako

Emaan_88
12-25-2008, 09:20 PM
yuu.N na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise

log yuu.N dekh kar ha.Ns dete hai.n
tuu mujhe bhuul gayaa ho jaise

ishq ko shirk kii had tak na ba.Daa
yuu.N na mil hamase Khudaa ho jaise

maut bhii aa_ii to is naaz ke saath
mujhape ehasaan kiyaa ho jaise

aise a.njaan bane baiThe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise

hichakiyaa.N raat ko aatii hii rahii.n
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise

zindagii biit rahii hai EmAaN"
ek bejurm sazaa ho jaise

Emaan_88
12-25-2008, 09:21 PM
Ek tooti huwi zanjeer ki faryaad hain ham
aur dunya ya samajhti hai k azad hain ham

kyun hamein log samajhtay hain yahan pardesi
ik muddat se esi shahar mein abad hain ham

kahay ka tark-e-watan kahay ki hijrat baba
esi dharti ki esi desh ki aulaah hain ham

ham bhi tameer-e-watan mein hain barabar k shareek
dar-o-dewar agar tum ho tu bunyaad hain ham

ham ko es daur-e-taraqee ne diya kiya 'meraj'
kal bhi barbaad the aur aj bhi barbaad hain haim

Emaan_88
12-25-2008, 09:22 PM
mohabat tark ki mein ne gareban see liya mein ne
zamane ab tu khush ho zahar ya bhi pee liya mein ne

abhi zinda hoon lekin sochta rehta hoon khalvat mein
ki ab tak kis tamanna ke saharay jee liya mein ne

unhein apna nahi sakte magar itna bhi kiya kam hai
ki kuch muddat haseen khuwabon mein kho kar jee liya mein ne

bas ab tu daman-e-dil chor do bekar umeedo
buhat dukh sah liya mein ne buhat din jee liya mein ne

Emaan_88
12-25-2008, 09:23 PM
ye husn teraa ye ishq meraa
rangiin to hai bad_naam sahii
mujh par to ka_ii ilzaam lage
tujh par bhii ko_ii ilzaam sahii

is raat kii nikharii rangat ko
kuchh aur nikhar jaane de zaraa
nazaro.n ko bahak jaane de zaraa
zulfo.n ko bikhar jaane de zaraa
kuchh der kii hii taskiin sahii
kuchh der kaa hii aaraam sahii

jazbaat kii kaliyaa.N chunnaa hai
aur pyaar kaa tohfaa denaa hai
logo.n kii nigaahe.n kuchh bhii kahe.n
logo.n se hame.n kyaa lenaa hai
ye Khaas ta'alluq aapas kaa
duniyaa kii nazar me.n aam sahii

rusvaa_ii ke Dar se ghabraa kar
ham tark-e-vafaa kab karte hai.n
jis dil ko basaa le.n pahlu me.n
us dil ko judaa kab karte hai.n
jo hashr huaa hai laakho.n kaa
apnaa bhii vahii anjaam sahii

Emaan_88
12-25-2008, 09:23 PM
neeyat -e-shouq bhar na jaye kahin
tu bhi dil se utar na jaye kahin

aj dekha hai tujhe der k baed
aj ka din bhi guzar na jaye kahin

na mila kar udaas logon se
husn tera bikhar na jaye kahin

arzoo hai ke tu yahan aaye
aur phir umar bhar na jaye kahin

jee jalata hoon aur ya sochta hoon
rayegan ya hunar na jaye kahin

aao kuch der ro hi lein 'Nasir'
phir ya dariya utar na jaye kahin

Emaan_88
12-25-2008, 09:24 PM
Zindagi ke railay mein, khuahishon ke mele mein
tumse kya kahein jana isqadar jhamele mein

waqt ki rawani hai baqkht ki girani hai
sakht bezamini hai sakht la makani hai

hijr kay samaundar mein takht aur takhtay ki
ek hi kahani hai jo tum ko sunani hai


baat go zara si hai baat umr bhar ki hai
umr bhar ki baatein kab do ghari mein hoti hai

dard ke samaundar mein unginat jazeeray mein
bay shamar moti mein


ankh ke darichay mein tum ne jo sajaya tha
baat us diye ki hai baat us gilay ki hai

ji lahu ke khalut mein choor ban ke aata hai
nabz ki fasilon pe toot toot jata hai

zindagi se lambi hai baat raat jaage ki hai
raaste mein kaise ho baat takhliye ki hai

takhliye ki baaton mein guftagu izafi hai
pyar karne walon ki ek nigah kafi hai



ho saake to sun jao ek din akele mein
zindagi kai mele mein khuahishon ke rele mein

tum se kya kahein jana is qadar jhamele mein
zindagi kay mele mein khuahoshon ke rele mein

Emaan_88
12-25-2008, 09:25 PM
Hum nazuk nazuk Dil waley,
Bus aisey hi to hotey hain,

Kabhi hanstey hain, Kabhi Rotey hain,
Kabhi dil main Khuwab pirotey hain,

Kabhi mehfil menfil phirtey hain,
Kabhi zaat main tanha hotey hain,


Kabhi Chup ki mohar sajate hain,
Kabhi geet labon per latey hain,

Kabhi sub ka dil behlatey hain,
Kabhi khud main tanha ho jatey hain....

Emaan_88
12-25-2008, 09:26 PM
Kitne haseen the who pal,
Jinhe yaad karte hai hum har pal.
Kise pata tha ke yeh bhi din aayenge,
Jinme hum na tumhe payenge.
Jeete the hum tab bhi aur jeete hain aaj bhi,
Bas itna hai ke bhool gaye jeene ka maqsad hi.
Khwaab tab bhi dekhte the , Khwaab aaj bhi dekhte hain,
Bas itna hai ke inme aaj khud ko tadapta dekhte hain.
Sham tab bhi hoti thi , Sham aaj bhi hoti hai,
Bas itna hai ke suraj ki jagah khud ko doobta dekhte hain.
Chand aur tare jab bhi the , Chand aur tare aaj bhi hain,
Bas itna hai ke inki roshni me khud ko jalta dekhte hain.
Humrahi tab bhi tha, Humrahi aaj bhi hai,
Bas itna hai ke mera humsafar aaj tu nahi hai.....

Emaan_88
12-25-2008, 09:28 PM
mein hoon tera khayal hai aur chaand raat hai...
dil dard se nidhaal hai aur chaand raat hai...

aankhon mein chubh gayein teri yaadon ki kirchiyan...
kandhon pe gham ki shaal hai aur chaand raat hai...

dil tor ke khamosh nazaron ko kiya mila...
shabnam ka ye sawal hai aur chaand raat hai...

phir titliyan si urne lagein dasht-e-khuwaab mein...
phir khuwahish-e-wisaal hai aur chaand raat hai...

campus ki nehar per hai tere haath haath mein...
mausam bhi lazawal hai aur chaand raat hai...

har aik kali ne orh liya matami libaas...
har phool per malaal hai aur chaand raat hai...

meri to por por mein khush si bas gayi...
us per tera khayal hai aur chaand raat hai...

chalka sa par raha hai 'wasi' wehshaton ka rang...
har cheez pe zawwal hai aur chaand raat hai...

Emaan_88
12-25-2008, 09:28 PM
mein hoon tera khayal hai aur chaand raat hai...
dil dard se nidhaal hai aur chaand raat hai...

aankhon mein chubh gayein teri yaadon ki kirchiyan...
kandhon pe gham ki shaal hai aur chaand raat hai...

dil tor ke khamosh nazaron ko kiya mila...
shabnam ka ye sawal hai aur chaand raat hai...

phir titliyan si urne lagein dasht-e-khuwaab mein...
phir khuwahish-e-wisaal hai aur chaand raat hai...

campus ki nehar per hai tere haath haath mein...
mausam bhi lazawal hai aur chaand raat hai...

har aik kali ne orh liya matami libaas...
har phool per malaal hai aur chaand raat hai...

meri to por por mein khush si bas gayi...
us per tera khayal hai aur chaand raat hai...

chalka sa par raha hai 'wasi' wehshaton ka rang...
har cheez pe zawwal hai aur chaand raat hai...

Emaan_88
12-25-2008, 09:35 PM
main arhe tirche khayal sochoon...
k be-irada kitab likhoon...
koi shanasa ghazal tarashoon...
k ajnabhee intesaab likhoon...
gnwaadoon ik umer k zamane...
k ik pal ka hisaab likhoon...
taweel tar he safar tumhain kia...
main jee raha hoon magar tumhain kia...
magar tumhain kia k tum to kab se...
mere irade gnwaan chuke ho...
jala k sare haroof apne...
meri duaain bhuja chuke ho...
main raat orhoon k ,k subha pahnoon...
tum apni rasmain utha chuke ho...
to ab mere dil pe jabar kesa...
ye dil to had se guzar chuka he...
guzar chuka he magar tumhain kia...
khizaan ka mosam thaher chuka he...
thaher chuka he magar tumhain kia...
magr tumhain kia k aise khizaan main...
main jis tarha k bhee khaab likhoon!

Emaan_88
12-25-2008, 09:35 PM
Meri Yaad ..

Sheeshe k mahal ki deewaron main
tanha yaad karoge tum
bhooli bisri baaton ko
phir se yaad karoge tum

Chand bhi shola ban k dehke ga
chaandni aag lagaegi
garmi ke aise aalam main
Thandi saans bharoge tum

tere mahal ka har sheesha
mera .. pata jab poochega
dil ke aayene pe jhuk-ke
mujhse baat karoge tum

raat ka mausaam jab jab
yaadon ki gard laega
mera naam mita ke har baar
baar baar likhoge tum

Naeem duaon ka baadal banke
ek din jab ur jaaegi
dono haath uthake rab se
phir faryaad karoge tum

Emaan_88
12-25-2008, 09:36 PM
Mohabbat

Mohabbat aisa naghma hai
zara bhi jhool ho laye main
tu surr qayam nahi hota

mohabbat aisa shulla hai
hawa jesi bhi chalti ho
kabhi madham nahin hota

mohabbat aisa rishta hai
k jis main bandhnay walon k
dillon main gham nahi hota

mohabat aisa poda hai
jo tab bhi sabz rehta hai
k jab mosam nahi hota

mohabbat aisa rasta hai
ager peron main lerzish ho
tu yeh mehram nahi rehta

mohabbat aisa derya hai
k barish rooth bhi jaye
tu pani kam nahi hota

Emaan_88
12-25-2008, 09:38 PM
Saare sapne kahin kho gaye
Hai hum kyaa se kyaa ho gaye

Dil se tanhaai kaa dard jeetaa
Kyaa kahen ham pe kyaa naa beetaa
Tum naa aaye magar jo gaye
Hai hum kyaa se kyaa ho gaye

Tum ne ham se kahee thee jo baaten
Unn ko dohraatee hain gam ki raaten
Tum se milne ke din to gaye
Hai hum kyaa se kyaa ho gaye

Koi shikwaa naa koi gilaa hai
Tum se kab ham ko ye gam milaa hai
Haan naseeb apne hee so gaye hain
Hai hum kyaa se kyaa ho gaye

Emaan_88
12-25-2008, 09:39 PM
My heart and mind both search for comfort
Hoping to fill the void which was self-inflicted
Wanting warmth to defrost thier frozen crystal-like state
And return life to that in which has already died.

My mind feigns to reconcile puzzles unfinished
Those in which echo through my soul and taunt me
Laughing and ridiculing me, telling me how naive I am
Only to then entice me to question my logic.

My heart yearns to feel complete
Waiting for the one man who made me feel real
Insisting to never settle for another
Because it already knows its only desire.

Emaan_88
12-25-2008, 09:39 PM
Tujhe Chahne Wale Kum Na Hon gein
Waqt Ke Saath Shayad Hum Na Hon gein...
Chahe Kisi Ko Kitna Bhi Pyaar Dena
Lekin Teri Yaadon Ke Haqdar Sirf Hum Hi Hon gein

Emaan_88
12-25-2008, 09:40 PM
Kuch bikhre sapne aur aankho mein nami hai,
Ek chota sa aasman aur ummeedon ki zameen hai,
Yun to bahut kuch hai zindagi mein,
Sirf jise chahte hain uski kami Hai

Emaan_88
12-25-2008, 09:42 PM
Main Wohi HoOn..

Main Wohi HoOn Jise Tum Piyar Kiya Kerti Thi..
Din Mein SoO Baar Mera Naam Liya Kerti Thi..
Kiya Baat Hai KiyoOn Mujh Se Khaffa Bethi HoO..
Kiya Kissi Aur KoO Dil Apna Dein Bethi HoO..
Faasale ToP Pehle Na Hua Kerte Thay ................?
Main Woh HooOn Jispe Tum Aetbaar Kiya Kerti thi..
Mujh koO MaloOm Hai Ghum Hay Koi Sogaat Nahein..
Tum Mujhe Apna KahoO Aise Bhi Haalaat Nahein..
Aur Ager BhoOl Gayi HoO ToO Koi Baat Nahein..
Zakham ToO Pehle Bhi Is Dil Pe Lagaya Kerti Thi..
Main Wohi HoOn Jise Tum Piyar Kiya Kerti Thi..
Din Mein SoO Baar Mera Naam Liya Kerti Thi..
Dil Mein Aata Hai Tumhein Terpa DoOn..
Derd JoO Tumne Diya Hai Wo Tumhein Loata DoOn..
Aur Ager Jurm Na SamnjhoO ToO Ye Dohra DoOn..
Tum Mujhey Hasil-E-Armaan Kaha Kerti Thi..

Emaan_88
12-25-2008, 09:43 PM
Meri hasratoon ko zuban day
Meri wehshatoon say kalaam kar
Mein tera aadhura sawal hoon
Mujhay apnay maan mein qayaam kar
Mujhay easa koi jawab day
key sunay to bagh-o-bahar ho
Meray hasratoon kay dayar mein
Teri arzu tera piyar ho
Mein udasion mein pala bara
Mujhay mil saki na koi khushi
Kahan kho gaye kahan dhoond loon
Tujhay zindage mari zindage

Emaan_88
12-25-2008, 09:43 PM
"Raat hai, tanhai hai, or teri yaad,
Dil may aik toofan uthai teri yaad.
sari guzri batain mere zehan may hai,
tanhai mai aik dard jagai teri yaad.
kitney qurbat k din guzare hum nay,
ab to bus shab-e-hijra hai or teri yaad.
kuch ghum he zada hai or sawan ki jhari hai
her baar he ashk bahe jub aai teri yaad.
log mujh say udasi ka subab poochte hai,
may kis kis ko batao k "teri yaad".
ab bacha kia hai mere paas tujh ko chah kar,
faqat chand sansai judai ki or teri yaad..."

Emaan_88
12-25-2008, 09:43 PM
Kisee key wade pe koun

Aetabaar hum ne kiya

Na aane waloo ka koun

Intezaar hum ne kiya

Na hum tumhare howe

Aur na hum rahe apne

Mohabbatoun ka aajab

Karoobaar hum ne kiya

Emaan_88
12-25-2008, 09:44 PM
"Mohabbat ke bhi kuch andaz hote hai,
jaagti ankhon mein bhi kuch khwab hote hai,
zaroori nahi ki ghum mein aansu nikle,
musqurati aankhon mein bhi sailab hote hai

Emaan_88
12-25-2008, 09:44 PM
kabhi zindagi se gila ker k roye

kabhi moot ki hum dua ker k roye

ajab silsila hai namaz_e_mohabbat ka

adda ker k bhi roye Qaza ker k bhi roye

Emaan_88
12-25-2008, 09:45 PM
thora sa pagla, thora sa deewana.... baaqi duniya se anjana,
duniya ne naam bohut diye, sirf wo hi humhay na jaana

Emaan_88
12-25-2008, 09:45 PM
Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,

Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.

Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayega,
Chund Lamhoo May Daaman ***** Jaayega,

Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.

Aaas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,

Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,

Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,

Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,

Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,

Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.

Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,

Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge

Emaan_88
12-25-2008, 09:46 PM
dil pe yakk tarfa qiamat karna
muskoratey hoey rukhsat karna

achche ankhen jo milee hain us koo
kuch to lazim howa wehshat karna

jurm kis ka tha, saza kis ko mile
ab kisi se naa mohabbat karnaa

ghar ka darwaza khola rakha hai
waqt mil jaee to zehmaat karnaa

Emaan_88
12-25-2008, 09:47 PM
Ghum Mila Toh RoO Na Sakhe..
khushi Mili ToO Hans Na Sakhe..
Yeh kaisa Raaz Hey Zindegi Ka..
Ham Samaj Na Sakhe...
Jis KoO Chaha, Apna Na Bana Sakhe....

Aap Chale Gayen..
Phir Bhi Dilse Nikhaal Na Sakhe..
Par Jab Aap The..
Pass Bhi Na Aa Sakhe..
Ab Aapki Yaadon koO..
Seene Se Lagaake Phirthey Hai..
Saamne Aap koO Paa kar Bhi ..
Gale Na Lagaa Sakhey..
Yeh kaisa Raaz Hai Zindagi ka..
Ham na Samaj Sakhe..
Jis KoO Chaha Aapna Na Bana Sakhe..

Ab PalkoO KoO Band Karke..
Pal Mein Apke Pass Hothe Hai..
Magar Jab AnkhoOn ke Samne Tha..
Jee Bher Ke Dekh Bi Na Sakhe..
Dil Dard Se Bharaa Huaa Tha..
Lekin RoO Na Sakhe..
Yeh kaise Raaz Zindegi ka..
Ham Na Samaj Sakhe..
Na Chup Rah Sakhe Na Pyar Jataa Sakhe..

Ab Aap Ke Saath Ke Liye..
Har Pal Tarapte Hai..
Magar Jab Hum Tarap Rahe the..
ToO Saath Na Desakhe..
Dil ToO Rotaa Rahe Per..
Ankhon Se AnsoO Na Bahein..
Pyaar Ke is Riwaj KoO Na Samaj Sakhey...

Dil Itni Chot Khaker Bi..
Aap Hee koO Chahta Kyu Hai..
Hum Samaj Na Sakhe..
Aap ke Laakh InkaaroOn Ke Baad Bhi...
Aap Hamare Nahii HaoO..
Ye, Dil koO Samjha Na Sakhe..
Laakh Chaaha Humne..
Phir Bhi AapkoO Bhula Na Sakhey...

Aap Humein BhoOl Gaye..
Magar Hum Na BhoOla Sakhe..
Jaise Khuwaab Zindagi..
Aur Zindagi khuwaab Na HoO Sakhey..
Waise Aap Hamare Na HoO Sakthey..
Aur.....
Hum kisee Aur ke Na HoO Sakhhe... !!

Emaan_88
12-25-2008, 09:47 PM
andheri raat main rehtay to kitna acha tha
hum apni zaat main rehtay to kitna acha tha
dukhoon nay bant liya hai tumaharay baad humain
tumharay baat main rehtay kitna acha tha

Emaan_88
12-25-2008, 09:48 PM
Dekhoo muhabat karoo tu itni karoo k koi had na rahay.....
Intezar karoo tu itna karoo k koi waqt na rahay.....
Bharoosa karoo tu itna karoo k koi shak na rahay.....
Nafrat karoo tu itni karoo k phir muhabat na rahay..... !!

Emaan_88
12-25-2008, 09:49 PM
Ek woh uski awaaz yaad aayegi
uski kahi hui har baat yaad aayegi
din dhal jayega raat yaad ayegi
kabhi haste, kabhi rote, kabhi muskurate
yeh zindagi uske bin kat jayegi
Par kuch kami isme bhi reh jayegi dil ko tadpayegi
kabhi tarsayagi harr lamhe me uski yaad aayegi? ......

Emaan_88
12-25-2008, 09:53 PM
Tere siwa bhi kai rung
Khush nazar thay magar

Jo tujh ko dekh chuka ho
Wo aur kia dekhey … !!!

Emaan_88
12-25-2008, 09:55 PM
Kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai,
Pyaas bujhti nahin ki barsaat guzar jati hai.

Apni yadon sey keho ki yun na sataya karain,
Neend aati nahin aur raat guzar jati hai

Emaan_88
12-25-2008, 09:58 PM
meri har ek baat main tum ho,
mere har jasbaat main tum ho,
meri ek ek raat ke saaye main tum ho,
sapno main tum ho,
haqiqat main tum ho,
phir bhi tum meri zindgi main shaamil nhi ho.

har saans main tum ho,
har dharkan main tum ho,
har chalney ki aahat main tum ho,
khamoshi main tum ho,
awaaz main tum ho,
phr bhi tum meri zindgi main shaamil nahi ho.

hooton pe muskurhat bankar ho,
aakon main sapna ban kar ho,
galey main sona ban kar ho,
sir par ashirwaad ban kar ho,
har musibat main dosti ban kar ho,

akela……. ..

unn raho pe jiss ke saath chalta tha,
aaj unn raho pe apni tanhaaiyon ke saath chlta hun,
kon kehta hai mein akela hun.
mere dost mere paas nahi hai toh kya hua,
unki yaadon ke saaath rehta hun,
kon kehta hai mein akela hun.
aaj bhi usko dhundney har raat ko niklta hun,
uska aaj bhi wahi par intzaar karta hun,
pta hai woh ni aayegi,
magar uskey intzaar main waqt se baat karta hun,
kon kehta hai mein akela hun.
sunsaan galio main jaakar rota hun,
woh mere aasun puchti thi yehi baat sochtha hun,
mere khayalo, mere dil, mere har ek pal main hai woh,
kon kehta hai mein akela hun.

dur……… .

kal tak woh paas thay,
aaj woh humsey dur ho gye
kal tak jiss waqt uski aakon main dekhta tha,
aaj uss waqt uski yadoon main kho gye
har pal jab uskey saath tha,
kush tha…
magar ab woh dur ho gye.
saath chalney kaa wada kiya tha,
magar aaj akele ho gye..
har khushi ki wajah woh hoti thay,
aaj aasun ki wajah ban gye.
woh humsey dur ho gye..
unhoney mere liye kisi ko ****a tha,
aaj unhi ki wajah se mujey **** gye….
woh humsey dur ho gye…
woh humari har baat maantey thay,
aaj jab unki baat maanney kaa wada kiya,
toh isi baat ka bahana bana kar chaley gye…
woh humsey dur ho gye..
kal tak jeeney ki wjah thay,
aaj marney ki wjah ban gye…
woh humsey dur hogye…

intzaaar

mujy aaj b uss raat ka intzaar hai….
jismey maine ussey chaand main dekha tha….
mujy aaj b unn sapno ka intzaar hai…..
jinmey unsey mila tha….
mujy aaj b unn palo ka intzaar hai….
jinmey unke saath tha……
mujy aaj b unka intzaar hai…

mujy intzaar hai har uss baat ka……
jo maine unke saath ki hai…
mujy aaj b intzaar hai unn aakhon ka..
jo mujy har pal dekhti hai…
mujy aaj b intzaar hai haaton ka..
jo mere haaton main hai…
mujy aaj b unka intzaar hai…

kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata,
manzil tak saath dene k liye koi humrahi mil jaata,
mere gamo ko apna kehne wala mil jaata,
kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata.

kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata,
andhera dur karne k liye chiraag miljaata,
saari khwaaish puri karne k liye bagwaan mil jaata,
kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata.

kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata,
faasle mitaaney k liye waqt mil jaata,
unski ek jhalak paaney k liye unka ek ikraar mil jaata,
kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata.

kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata,
duniya se janey se pehle unka pyaar mil jaata,
iss duniya main wapis aane ka ek bahaana mil jaata,
kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata.

Emaan_88
12-25-2008, 09:59 PM
Gum Na Ho Waha Jaha Ho Fasana Tera,
Khusiyan Dhundhti Rahe Asiyana Tera,
Wo Waqt Hi Na Aaye Jab Tu Udas Ho,
Ye Duniya Bhula Na Sake Muskurana Tera….

Emaan_88
12-25-2008, 10:00 PM
Ansoo Se Bheega Chehra Tou Kya Gham
Tere Dard Ki Lazzat Apni Jaga

Na Miley Tum Tou Afsos Ho Kaisa
Teri Judayi Ki Shiddat Apni Jaga

Badnami Ke Darr Se Chorha Daman
Mere Ishq Ki Shohrat Apni Jaga

Buhat Garoor Tha Humein Tum Par Bhi
Tumne Bhula Diya Herat Apni Jaga

Hasnte Hue Chehre Se Dhoka Na Khana
Har Dam Hai Muskurane Ki Adat Apni Jaga

Yeh Dua Hai Ke Khush Raho Tum Sada
Tere Deewane Ki Halat Apni Jaga

Emaan_88
12-25-2008, 10:01 PM
Hum raat ki tanhai mai unhe yaad kiya kartehai
aur sitaro se unka zikar kiya karte hai
woh aaye na aaye khawbo mai
fir bhi hum unka intezar kiya karte hai…

Royegi aankhe Muskurane ke baad,
Aayegi raat Din Dhal jane ke baad,
O Janewale Zara mud ke Dekh,
Shayad Yeh ZINDAGI hii Na Rahe Tere Jaane Ke Baad.

Dur nigaho se bar bar jaya na karo,
Dil Ko is tarah tadpaya mat karo,
tum bin Ek pal bhi Jee na payenge Hum,
Yeh Ehsaas bar bar Dilaya na karo…

Agar jawab doge to baat karenge!
Nahi doge to intezar karenge!
DOSTI ki hai aapse isliye marte dam tak
aap ko har pal YAAD karenge….

Judai aapkirulati rahegi,
yaad aapki aati rahegi..pal pal jaan jati rahegi,
per jab tak jism me jaan hai..
har saans pyar k wade nibhate rahenge !!!

Emaan_88
12-25-2008, 10:02 PM
Kisiko apna banane me der lagti hai,
ek vada nibhane me der lagti hai,
pyar to pal bhar me ho jata hai,
magar unhe bhulane me umar lagti hai.

Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
yaad unhe din rat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!

Gam-e-ulfat main hum had se gujar gaye,
ki unke isqe main hum deewane ban gaye,
humne to sunai thi apni daastain-e-dil unko,
vo zalim samjhe gazal aur wah wah kar gaye

Unki julfo ke tale hum zamana bhula dete hain,
vo ek nazar se kitne armaan jaga dete hain,
ishq to unko bhi hai humse ye jaanta hain hum,
phir bhi na kah kar kyoin vo iss dil ko saza dete hain

Muskan tere Hoton Se Kabhi Jaaye Na,
Aansun tere Palkon Pe Kabhi Aaye na,
Poora Ho tera Har Khwab,
Aur Jo Poora na Ho Woh Khwab Kabhi Aaye Na…

Na misaal milegi tere husn ki iss kaynaat main,
tu itni kasis bhari khoobsurti kahain se layi hai,
labo hain maykhane aur ankhain chalakte pamane,
aye khuda jaane aaj kis kis ki shamat aye hai.

Jalate hai hum apne dil ko diye ki tarah
Teri Zindagi main khushiyon ki roshni lane ke liye
Seh jate hai har chubhan ko apne pairon tale
Teri Rahon main phool bhichane ke liye..

Darta huin kahin main pagal na ban gaoin,
teekhi nazar aur sunahre roop ka kayal na ban gaoin,
ab bas bhi kar zalim kuch to raham kha mujhe per,
chali ja meri nazro se door kahin main shayar na ban jaoin

Dekhi hai humne duniya jahaan husne-e-bazar ke,
too uhin ruk jaye hamari nazar ye itni sasti nahi,
koi hoor, koi noor ya koi zannat ki pari ho to kya,
dava hai hamara tik jaye tere samne aisi koi hasti nahi

Palko ke kinare humne bhigoye hi nahi,
woh sochte hai hum roye hi nahi,
woh puchte hai khwabon me kise dekhte ho,
hum hai ki ek umr se soye hi nahi…

Tere pyaar mein mere sanam,
hum khud se mulaquat kar bhete
Chalte chalte bas yunhi achanak,
hum zindagi se mulaquat kar bhete.

Kashish honi chaiye yaad karne ki,
lamhe to apne aap mil jate hain.
Waqt hona chaiye sath guzarne ke liye,
bahane to apne aap ban jate hain..

Jagaya unhone aisa ki aaj tak so na sake,
Rulaya unhone aisa ke sabke samne ro bhi na sake,
Jaane kya baat thi unme,
Jabse mana unhe apna tabse kisi ke ho na sake.

Heart can skip beat for a while,
Memories can be kept in a file,
A desert can replace the nile,
But nothing can stop a smile,
When your name comes on my mobile.

You can fall from a mountain,
You can fall from a tree,
But the best way to fall,
Is to fall in love with me.’

When Someone Loves You,
U Never Realize It,
When You Realize It,
Its Too Late,
You Always Love The One,
That Leaves You,
And Leave The One,
That Loves You.

Yaadain teray khluuse ki dustti hain aaj bhi
Milnay ki aarzooain trastii hain aaj bhi
Ankhain hazaar zabt ki koshish kay bawajood
Ruk ruk kay baar baar barstii hain aaj bhi

Phul ki tarah haste raho to hum khush hai,
Dil kholkar jeete raho to hum khush hai,
yeh nahi kehte ki roj milo,
bas kisi din yaad karliya karo to hum khush hai

“Zinda rahe toh phir milenge”.
Magar aap se mil ke
Ish dil ne mehasoos kiya hai ki,
“Aapse milte rahe toh Zinda Rahenge”.

Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,
kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai,
Ajeeb khel khelti hai yeh kismat
Jise hum pah nahi sakte

Tammana se nahi tanhai se darte hain,
pyaar se nahi ruswaai se darte hain,
milne ki to bahut chahat hai,
par milne ke baad judaai se darte hain

Yaad aaye to aankhen band na karna,
hum chale bhi jaaye to gum na karna.
Yeh zaruri nahi ki har rishte ka koi naam ho,
per dosti ka ehsaas kabhi dil se kam na karna.

Pyasi nigaho ne har pal unka deedar maanga,
Jaise amavas ne har raat chand maanga.
Ruth gaya woh Khuda bhi humse,
Jab humne apni har duwa mein unka saath maanga
usi se mohabbat kyun hoti hai.

Emaan_88
12-25-2008, 10:03 PM
Hum to hain pardees main
Dees main nikla ho ga chand
Apni raat ki chhat pe kitna
Tanha ho ga chand hoo

Chand bina har shab yun thi
Jaise jug betye
Mere bina kis haal main ho ga
Kaisa ho ga chand hoo

Aa piya moree nanein main
Main palak dhaanp tohay loun
Na main dekhon aur ko aur na
Tuhe dekhan doon

Raat ne aisa pech lagaya
Tutii hath se dor
Anghan wali neem main ja kar
Atka ho ga chand hoo

Hum to hain pardees main
Dees main nikla ho ga chand
Apni raat ki chhat pe kitna
Tanha ho ga chand hoo

Emaan_88
12-25-2008, 10:05 PM
Jinhe dhoondte hain sapno main

Woh haqeeqat main nahi hai

Jo haqeeqat main hai saamne
Woh hamare sapno main nahi hai

Jo Dil main hai hamare
Woh hamare qareeb nahi hai
Aur jo qareeb hai hamare
Woh hamare Dil main nahi hai

Jis se Pyaar karte hain hum
Woh hamare baare main sochta nahi hai
Jo sochte hain humaare baare main
Un se Pyaar hum karte nahi hain

Hum jinka intezaar karte hain
Woh kabhi aate nahi hain
Aur jo aa jaate hain saamne
Unka intezaar hum karte nahi hain

Emaan_88
12-25-2008, 10:06 PM
Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha
Bus Mujh Say Yoonhi Bicharr Gaya Tha

Lafzoon Ki Hadoon Say Mawara Tha
Aab Kis Say Kahoon Woh Shakhs Kia Tha

Woh Meree Ghazal Ka Aaeina Tha
Her Shakhs Yeh Baat Janta Tha

Her Simat Ussi Ka Tazkara Tha
Her Dil Mein Woh Jaisay Bus Raha Tha

Main Uss Ki Ana Ka Aasara Tha
Woh Mujh Say Kabhi Na Roothta Tha

Main Dhoop K Bun Mein Jal Raha Tha
Woh Saya-Abr Ban Gaya Tha

Main Banjh Rutoon Ka Aashana Tha
Woh Mosam-E-Gul Ka Zaiqa Tha

Ek Bar Bicharr Kay Jab Mila Tha
Woh Mujh Say Lipatt Kay Ro Para Tha

Kia Kuch Na Ussay Kaha Gaya Tha
Uss Nay To Laboon Ko See Liya Tha

Woh Chand Ka Hamsfer Tha Shayed
Ratoon Ko Tamam Jagta Tha

Hontoon Mein Guloon Ki Naram Khushboo
Batoon Mein To Shehad Gholta Tha

Kehnay Ko Juda Tha Mujh Say Lekin
Woh Meree Ragoon Mein Gonjata Tha

Uss Nay Jo Kaha, Kiya Woh Dil Nay
Inkar Ka Kis Mein Hosala Tha

Yoon Dil Mein Thi Yaad Uss Ki Jaisay
Masjid Mein Charragh Jal Raha Tha

Mat Pooch Hijab K Qareenay
Woh Mujh Say Bhi Kam Hee Khul Saka Tha

Uss Din Mera Dil Bhi Tha Paresha'n
Woh Bhi Meray Dil Say Kuch Khafa Tha

Mein Bhi Tha Dara Howa Sa Lekin
Rang Uss Ka Bhi Kuch Urra Urra Tha

Ek Khof Sa Hijar Ki Rutoon Ka
Dono Pay Muheet Ho Chala Tha

Ek Rah Say Main Bhi Tha Gurezaan
Ek Mor Pay Woh Bhi Ruk Gaya Tha

Ek Pal Mein Jhapak Gaein Jo Aankhein
Manzer He Nazer Main Dosara Tha

Socha To Theher Gaey Zamanay
Dekha To Woh Door Ja Chuka Tha

Qadmoon Say Zameen Sirak Gaee Thi
Soraj Ka Bhi Rang Sanwala Tha

Chaltay Howay Log Ruk Gay Thay
Thehra Howa Sheher Ghoomata Tha

Sehmay Howay Pair Kanpatay Thay
Patoon Mein Heeras Reengata Tha

Rakhta Tha Main Jis Main Khawab Apnay
Woh Kanch Ka Ghar Chatakh Gaya Tha

Hum Donoo Ka Dukh Tha Aik Jaisa
Ehsas Mager Juda Juda Tha

Kal Shab Woh Mila Tha Dostoon Ko
Kehtay Hain Uddas Lag Raha Tha

Mohsin Yeh Ghazal Keh Rahi Hai
Shayed Tera Dil Bhi Dukha Howa Tha

Emaan_88
12-25-2008, 10:09 PM
Teri Chah Mai Hadd Se Guzar Jaoon Ga Ek Din
Pyar Hota Hai Kya Ye Dikhlaoon Ga Ek Din

Teri Sangdili Ko Sehtey Sehtey
Mai Apni Jaan Se Guzar Jaoon Ga Ek Din

Apni Chahtain Sari Tujh Per Waar K
Pyar Karna Tujhe B Sikhaoon Ga Ek Din

Ji Na Payega Tuu B Ho K Juda Mujh Se
Aisa Pyar Tujh Se Ker Jaoonga Ek Din

Andheron Mai Dhondta Reh Jayega Mujh Ko
Aisi Be-Rukhi Dikhlaoon Ga Ek Din

Kho Ker Mujh Ko Boht Pachtayega Sanam Tuu
Wafa Aisi Tujh Se Ker Jaoonga Ek Din

Aisi Deewangi Se Chahoon Ga Tujh Ko
Bhool Jaoge Tum B Sara Jahan Ek Din

Jaan Teri B Labon Per Ajayegi
Ban K Khaak Jab Mai Mitti Mai Mil Joonga Ek Din

Emaan_88
12-25-2008, 10:10 PM
Kuch Is Tarah Se Aj Sataya Geya Mujhe,
Maira Shikasta Dil He Dikhaya Geya Mujhe..

Daikha Gaya Na Zabt Mairi Aankh Ka Kabhi,
Zulm-o-Sitam Se Aj Rulaya Geya Mujhe..

Dil Tor Kar Maira Bhari Mehfil Ke Samne,
Rasm-e-Duniya He Ye Bataya Geya Mujhe..

Hum Ne Barhaya Hath Use Apna Jan Kar,
Gairon Ko Apna Keh Ke Jalaya Geya Mujhe..

Jab Dobne Lage The Kinare Ke Pas Hum,
To Dor Se Safena Dikhaya Geya Mujhe...

Emaan_88
12-25-2008, 10:12 PM
Kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin..
dil kehta hai ke hai ye bahut purana rishta
vahee rishta..
jo chand ka hai chandni se..
sitaro ka hai aasma se..
hi.

samunder ka hai gehraee se..
jism ka hai aatma se..
phoolo ka hai khooshboo se..
suraj ka hai roshni se..
kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin..
kuch hee dino kee ye mulakato ne
bechen kur dala hai dil ko

khayal rehta hai tumhara hur dum, hur pal, hur lumhah..
chavi hai tumhari ankho mei
khooshboo hai tumhari sanso mei
tum duur ho tuo paas ho
pass ho to duur
ye kya hai ? kyu hai ? kaise hai ?
kuch maloom nahin..
is rishte kee hud
mujhe maloom nahin
kya ye sahi hai ya galut ?
mujhe maloom nahin
kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin....... ..

Emaan_88
12-25-2008, 10:14 PM
hum wahan hain jahan se humko bhi kuch hamari khabar nahi aati..
aise aati hai "unki yaad" k aati hai to fir jaati he nahi..;
khudaya is kadar rutha hai humse k jeena bhi nahi chahte..
par kambakht "jaan" hai k jaati he nahi..;
baithe hain bas uske ek ishaare k liye..
par ye zalim maut bhi bulaati he nahi..;
aise aati hai unki yaad k....
jaati he nahi..!!!!!


Subah Ho Ya Shaam…Din Ho Ya Raat Buss Yaad Unki Aati Hai..
Kaise The Woh Lamhe Jo Humne Bitaye Ek Saath..
Itne Durr Hokar Bhi The Hum Paas Paas…
Ab Na Jaane Woh Chale Gye Kahan…
Buss Yaad Unhiki Aati Hai..
Phir Din Hua Aurr Phir Aa Gyi Yeh Kali Raat…
Neend Muje Ab Aati Nhi Leti Rehti Main…
Sapno Ka Sahara..
Apne Dhoka De De Lekin Sapne Kabhi Na De Dhoka..
Sapne Hee Ab Mere Apne Hai..
Kyunki Yaad Unki Aati Hai…
Woh Mere Rabb The Mere Sabkuch..
Aeey Rabb Muje Apne Rabb Se Dobara Milwa De..
Kyunki Yaad Unhiki Aati Hai..
Din Guzre..Guzre Mahine Abhi Guzar Jayega Saal.
Bura Ho Rha Mera Haal...
Koi Bataye Unko Ki Kya Hai Meri Yeh Aankhen Kehti..
Buss Yaad Unhki Aati Hai.


Kisi Ki Yaad Main Rehna Bhi Baara Ajeeb Hota Hai
Her Pal Yahi Lagta Hai K Woh Aattay Hoon Gain

Main Tu Un Ki Yaad Main Khud Mo Mitta-E-Baitha Hoon
Janay Woh Meri Yaad Kya Kartay Hoon Gain

Meri Tu Raat Katti Hai Unhi Ki Yaad Main Aksar
Per Woh Tu Ghar Apnay Chain Say Sootay Hoon Gain

Jin Ki Yaad Main Raaton Ko Uth Uth Kar Rotaa Hoon
Kya Woh Meri Yaad Main Pal Bhar Bhi Rootay Hoon Gain

Dil Ki Har Dewaar Pay Jis Ka Naam Likha Hum Nay
Woh Tu Apnay Khayalon Say Bhi Mera Naam Mittatay Hoon Gain

Jin Ki Rahon Ko Phoolon Say Sajaya Hum Nay
Wohi Meri Rah Main Kaanton Ko Bichatay Hoon Gain

Kabhi Na Kabhi Meri Yaad Bhi Un Ko Sattati Ho Gi
Yuhnhi Meri Shairon Say Woh Dil Ko Behlatay Hoon Hain

Emaan_88
12-25-2008, 10:15 PM
Zarurat hi nahi alfaaz ki,
Dosti to cheez hai bas ehsaas ki,
Paas hote to manzar hi kya hota,
Door se hi khabar hai humein....
Aapki har saans ki

Emaan_88
12-25-2008, 10:16 PM
Larkoon Ko Eshq Me Perfect Hona Chahiye
Eshq Bhi Ek Lazmi Subject Hona Chahiye

Larkiyooon Ko Es Me Select Hona Chahiye
Hamara Un Se Rabta Direct Hona Chahiye

Emaan_88
12-25-2008, 10:17 PM
Ibteda-e-ishq me hum aao pehel karte hai
Naam par uske har ek Ghazal karte hai
Khud-b-khud aasaan ho jaayengi saari muskilein
Naam par uske agar hum aitbaar karte hain
yeh jo palkon mein chupa rakhe hain woh ansoo nahi
yeh woh qatre hain jo tufaan mein basar karte hain..
Mulakaata hogi,hakikat nahi,khwaab me sahi
Yu aankho me nahi raat se seher karte […]

Emaan_88
12-25-2008, 10:19 PM
muddat huii hai yaar ko mahamaa.N kiye hue
josh-e-qadah se bazm charaaGaa.N kiye hue
karataa huu.N jamaa phir jigar-e-laKht-laKht ko
arsaa huaa hai daavat-e-mizshgaa.N kiye hue
phir vazaa-e-ehatiyaat se rukane lagaa hai dam
baraso.n hue hai.n chaak girebaa.N kiye hue
phir garm_naalaa haaye sharar_baar hai nafas
muddat huii hai sair-e-charaaGaa.N kiye hue
phir pursish-e-jaraahat-e-dil ko chalaa hai ishq
saamaa.N-e-sad_hazaar namak_daa.N kiye hue
phir bhar […]

Emaan_88
12-25-2008, 10:19 PM
kiooN tabiaat kaheeN Theharti nahi
dosti tou udaas karti nahi
hum hamesha k ser chashm sahi
tujh ko dekheN tou aankh bharti nahi
shab-e-hijraaN bhi roz-e-bad ki taraH
cut tou jati hai par guzarti nahi
sher bhi aaytoN se kya kum heiN
hum pe mana wahi utarti nahi
ye muhabat hai, sun zamany sun
itni aasanioN se m~rti nahi
jis taraH tum guzarty

Emaan_88
12-25-2008, 10:20 PM
Uss Ne Sheshey Ki Tarah Tor Dia Mujh Ko
Beech Rah Mein Tanha Choor Dia Mujh Ko

Chuptey Rahy Jis Se Zindage Bhr Adil
Taqdeer Ne Aakhir Ussi Se Jor Dia Mujh Ko

Emaan_88
12-25-2008, 10:21 PM
Dard ho yaan dard ka ehsaas ho
kuch tou banday kay paas ho
gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil karlo
nasha barhta hai sharabein jo sharaboon mein milein
Nawazish karam shukriya meri raani
Hume ijazat di….aap ki meherbaani!
jala hai jism jahaN…dil bhi jal gaya hogha
kureDte ho jo abh raakh justuju kya hai?
Na tu Khuda hai..na mera […]

Emaan_88
12-25-2008, 10:24 PM
Kabhi zamane ki baaton ka hum par asar ho jaaye
phir ishq ka rog lage aur zindagi basar ho jaaye,
haan kuchh logon ne jo mey ko zehar ka naam diya
woh jo saath dein to ik pyaala zehar ho jaaye ……..
zindagi kaatne ke humne bahaane dhundhe
kangaal basti mein humne khzaane dhundhe
thak kar hua main choor, sehar ho […]

Emaan_88
12-25-2008, 10:25 PM
is diljale se dil mat lagaana, dil jal jayega.
is diljale se dil mat lagaana, dil jal jayega.
dil chura lunga is tharah ki, dil na mil payega.
Dil se to dil se
Haaton mein leeye paemana, jaam dhoonda karta hoon.
Tere sang gujarne ko, ek saam dhoonda karta hoon.
Duniya wale humare rishtey ko, yu hee badnaam […]

Emaan_88
12-25-2008, 10:30 PM
kabhi najdeek mohabbat,
kabhi duriyon ka fassla hai,
hum dono k bich ye kya ajab silsila hai,
pyar ki bewafai me tammannayein adhuri reh gayi,
tu nahi to kya umeed hai aur kya hausla hai,
yeh baarish ye mausam asar chod gaye,
ek sirf mai hu ya kuch to bhi badli hai,
khwaishien boht thi tere liye mar mitne ki,
par wo shakhs […]

Emaan_88
12-25-2008, 10:31 PM
Ek Pal Suhana Aya Tha
Wo Pal Aaj B Yad Hai
Jb Hm Tum Mil Bethey They Kahin
Wo Pal Abhi B Yad Hai

Ek Doje Ke Sang Jeetey They
Pal Pal Tum Hansti Khilti Thi
Wo Shan Tumhari Chehre Ki
Wo Piyar Tumhari Ankhon Me
Wo Piyari Si Ada Muskan Ki
Tum Hansti Achi Lagti Thi

Jane Kiya Hui Ik Esi Khata
Jo Bichhar Gae Do Ham Rahi
Jo Sath Hr Pal Nibhana Tha
Jane Wo Kis Ki Nazar Hua
Phir Dil Ne Kaha Tarap Kr Kaha
Kiyun Akhir Ham Se Esa Hua
Log To Piyar K Dushman They
Phr Ham Kiyun Inka Shikar Baney
Sun Lo Jan Se Piyari Jan
Ye Rog Hamey Bardasht Nahi
Kiyun Tanha Tanha Rehte Hen
Pl Pl Jeete Merte Hen
Ghutan K Gehre Tasur Me
Q Bichar Kr Tanha Hogai
Phr Piyar K Bandhan Rooth Gai
Dilon Ke Rishtey Toot Gai

Ae Jan-E-Wafa Sun Lo Zara
Ye Jazbat K Gehre Saghar Tak
Rooh Ki Gehri Chahat Tak
Ye Piyar Ke Sachey Rishte Hen

Ab Mot Hi Wafa Kr Sakti Hai
Bhool Na Jana Mere Sanam
Yad Bht Tum Atey Ho
Phr Yad Bht Tum Atey Ho

Emaan_88
12-25-2008, 10:32 PM
Kabar ki mitti utha ke le gaya koi,
Isi bahane humein choo kar chala gaya koi,
Tanhayi aur andhere mein khush they hum,
Lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi.
Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
bhool aaye hum apni takdeeren kahin.
Agar mile tumko kahin to utha lena,
mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja […]

Emaan_88
12-25-2008, 10:34 PM
Apni Marzi se kahan apne Safar ke Hum hain
Rukh Hawaaon ka jidhar hai, udhar ke Hum hain
Pehle her Cheez thi apni magar ab lagta hai
Apne hi ghar mai kisi Dusre Ghar ke Hum hain
Waqt ke saath hai Mitti ka Safar Sadiyon tak
Kisko Maloom kahan ke hain, kidhar ke Hum hain?
Chalate rehte hain k chalna hai […]

Emaan_88
12-25-2008, 10:35 PM
Haath Chhuute Bhii To Rishte Nahiin Chhoraa Karate
Vaqt Kii Shaakh Se Lamhen Nahiin Tora Karate

Jis Kii Aavaaz Main Silvat Ho Nigaahon Mein Shikan
Aisii Tasviir Ke Tukare Nahiin Joraa Karate

Shahad Jiine Kaa Milaa Karataa Hai Thoraa Thoraa
Jaane Vaalon Ke Liye Dil Nahiin Thodaa Karate

Lag Ke Saahil Se Jo Bahataa Hai Use Bahane Do
Aisii Dariyaa Kaa Kabhii Rukh Nahiin Moraa Karate

Emaan_88
12-25-2008, 10:38 PM
Labon Pe Phool Khiltay Hain Kisi Ke Naam Se Pahle
Dilon Ke Deep Jalte Hain Charagh-E Shaam Se Pahle

Kabhi Manzar Badalne Par Bhi Qissa Chal Nahin Pata
Kahani Khatam Hoti Hai Kabhi Anjaam Se Pahle

Yahi Taare Tumhaari Aankh Ki Chilman Mein Rehte The
Yahi Sooraj Nikalta Thaa Tumhare Baam Se Pahle

Hui Hai Shaam Jungle Main Parinde Laut.Te Honge
Ab In Ko Kis Tarah Rokain Nawaah-E-Daam Se Pahle

Ya Saare Rang Murdaa The Tumhaari Shakl Banne Tak
Ya Saare Harf Muhmal The Tumhaare Naam Se Pahle

Huaa Hai Wo Agar Munsif Tou Amjad Ihtiyatan Ham
Sazaa Tasleem Karte Hain Kisi Ilzam Se Pahle

Emaan_88
12-25-2008, 10:46 PM
Nahi Wo Shakhas Moqadar Main Phir Bhi Us Say Miltay Hain
Bara Pur Lutf Lagta Hay Moqadar Ko Saza Dena

Emaan_88
12-25-2008, 10:48 PM
Phir Satao Kay Satanay Main Maza Aata Hay
Roth Jao Kay Mananay Main Maza Aata Hay

Apna Keh Dena Kisi Ko Bari Baat Nahi
Apna Keh Kar Nibhanay Main Maza Aata Hay

Emaan_88
12-26-2008, 12:20 PM
Tanhai mein wo yad aany lagy
Khamoshi k pal bhi suhany lagy

Kaisy bhulayon dil sy mitayon
Yad aty hen jitna bhulany lagy

Chhor gye wo tanha pal bhi na laga
Jin ko pany mein humko zamany lagy

Rasta bhi hai ayisa kih manzil nahi
Anjany mein qadam hm uthany lagy

Kho kar ussy lut gai zindagi apni
Ishq mein hath kaisy khazany lagy

Intazar karty karty guzari umar
Tanha chhor kar mujhy wo jany lagy

Pas thy koi manzil mushkil na thi
Kho kar un ko hum larkharany lagy

Koi sunta jo nahi awaz meri
Khud ko khud hi sy uljhany lagy

Apnaye unhin jo sataye humin
Kaisy rishty Emaan sy nibhany lagy

Emaan_88
12-26-2008, 12:21 PM
log muj se mil kar bechar jatey hain
is lye main logon se dor rehta hon

mat samjo ke atay nahi adabe-molakat muje
khalos ka banda hon adat se majbor rehat ho

jin se barha mera rabt,gham hi mila
aab rabtay nahi barhata,buhat masroor rehta hon

log muj kehtay hain bemarawat or khud ghariz
dekho main katnay achay namon se meshhor rehta hon

her waqat khoya rehta hon khud ki talash mein
buhat thak gia hon,ghamon se chor rehta hon

meray alfaz khayali hain, meray andaz khali hain
duniya ka banda hon,khayalon ki duniya me zaror rehta hon

lazam nahi ke wo mil jai jo tum chaho aan
kuch iss mein hai moslahat,apney rab ka mashkor rehta hon

~Triple H~
12-26-2008, 12:25 PM
nyc

Emaan_88
12-26-2008, 12:27 PM
wahan tareek lamhon kay ewaz sooraj ko thukra do
jahan apna zameer apney liay ilzaam ban jay
.............
Mera aashiyaan tha wahan jahan toofanon ka thikana tha.
Ek nadaan dil tha aur ek bedard zamana tha.
Na jane kyu ussi pal mil gaya ek dard naya,
Jab kisi roz mere labon ko muskurana tha
...........
Woh Iss ANDAZ Ki Muj Se MOHABBAT Chahta Hai
Mere Her KHUWAB Per Apni HOKUMAT Chahta Hai
Mere Her LAFZ Mein Jo MUJ Se Barh Ker Bolta Hai
Mere Her LAFZ Ki Muj Se WAZAHAT Chahta Hai
Wo KEHTA Hai Ke Mein Us Ki ZARORAT Ban Chuki Hoon
To Goya Wo Mujy Hasb-e-Zaroorat Chahta Hai
...............
Sub Kuch He Mere Pas Per Dil Ki Dawa Nahi
Door Wo Mujse Hai Per Me Khafa Nahi
Malum Hai Ab Bhi Chahti Hai Mujhe
Wo Thodi Zidi He Magar Bewafa Nahi(4 MY SWEET FRND)
...........
gham-e-zindagi teri rah main, shab-e-arzo teri chah main
jou ujar gia woh basa nahi, jou bichar gia woh mial nahi
mera hamsafar jou ajeeb hai, tou ajeeb tar hon main aap bhi
mujhay maziloon ki khabar nahi, usay rastoon ka pata nahi
.................
Mere kuch dost mujhe yoon bhi sataane aaye
Khud mujhe mera hi afsaana sunane aaye
Din ke dhalte hue lamhon ki kiran wo lekar
Mere tareek muqaddar ko jagaane aaye
...........

Koi is tarah se meray sath adawat karta
Qaid karleta mujhay aur hukoomat karta
Mainey yeh kab kaha tha k woh sab ko chor dey
Woh apney andaaz se karta magar mohabbat tu karta
...........
Teri Dosti Main Ajab Ajab Kam Karty Hain
Tere Naam Ke Har Shaks Ko Salam Karte Hain

Aur Jab Bhi Guzar Hota Hay Chaman Se
Tere Dhoke Main Pholon Se Kalam Karte Hain(4 MY SWEET FRND)

Emaan_88
12-26-2008, 12:28 PM
Hum tu bachpan mai bhi akele the
Sirf dil ki gali mai khele the

Aik taraf moorche the palkon ke
Aik taraf annsoo k rele the

Thi saji hasrat dukanoon par
Zindagi k ajeeb mele the

Khudkusi kia dukhon ka hal banti
Maut k apne soo jhamele the

Zehn-o-dil ajj bhoke marte hai
Un dino humne faqe jhele the................

Emaan_88
12-26-2008, 12:29 PM
Youn bhi jane ki zid na karo jaan-e-man
Dekh to lo youn hi kesi shakl-e-chaman

Baad muddat ke aaye ho tehero zara
Rok bhi lo sanam aaj apne kadam

Minnate aur kitni mai karta hu
Be-sabab rootna ab to choro sanam

Kitne armaan dil me sulagne lage
Khaak ker de na mujh ko kahi ye jalan

Mast mausam bhi hai aur dastoor bhi
laga lo gale tum ko meri kasam

Noor hi noor hai jis taraf dekh lo
Aur sajde mein hai taaron ki anjuman

Kaun jane "Akash" ki ho maut kab
Kya pata ho dubara hamara milan

Emaan_88
12-26-2008, 12:31 PM
*Magar maan jaati*~


Agar guftagu ka aghaaz mein karta
Jharaktee bigartee magar maan jaati

Jo mein barh kar us kay qadam rok leta
Woh paaon patakhtee magar maan jaati

Agar chaand kaliyaan usay paish karta
Woh daman jhataktee magar maan jaati

meri shokh batoon par khamosh rehti
Dopatta kutertee magar maan jaati

Woh ghussay may jo mujh say naraaz hoti
Bikharti tarapti magar maan jaati

Mein kehta keh parhnay ka choro bahana
Woh safhay palatti magar maan jaati

Jo kehta keh "rahon pe chaliye sambhaal kar"
Uchhalti matakti magar maan jaati...

Emaan_88
12-26-2008, 12:33 PM
Jis gali le chal
wo hi gali hamari
jahan sung ho tera
wo hi duniya hamari

Dekh kar teri yah baaty
mai to tan-man haari
jab se tujse nayan milaye
shingar kare, Preet hamari

Gesu ke badal kar ke
aa tujko khud mai chupa lu
ho jaaye rooho ka Milan
apna sab kuch tujh per vaaru

le chal mujhe bhi sung
jis aor bhi tu jaaye
mai hu chakori teri
chanda bin jo na rah paaye

Jis gali le chal
wo hi gali hamari
jahan sung ho tera
wo hi duniya hamari

Emaan_88
12-26-2008, 12:34 PM
"Tuum chuupke se aa jaate ho"



Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon,
Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Aur Jhaank Kay Meri Aankhon Mein,
Beetay Din Yaad Dilatey Ho
Mastana Hawa Kay Jhonkon Se,
Har Baar Woh Pardey Ka Hilna
Pardey Ko Pakarney Ki Dhunn Mein,
Do Ajnabi Haatoun Ka Milna.
Aankhon Me Dhunwa Cha Jana,
Sasoun Mein Sitarey Se Khilna
Raasty Me Tumhara Mur Mur Kar
Takna Wo Mujhe Jatey Jatey
Aur Mera Thitak Kar Ruk Jaana,
Chilman Kay Qareeb Aatey Aatey
Nazroun Ka Taras Kar Reh Jaana,
Ek Aur Jhalak Paatey Paatey
Baaloun Ko Sukhaney Ki Khatir,
Kothey Pe Woh Mera Aa Jaana
Aur Tum Ko Muqabil Patey Hi
Kuch Sharmana, Kuch Bal Khaana
Humsayon Kay Dar Se Katrana,
Ghar Walon Kay Dar Se Ghabrana
Ro Ro Kay Tumhein Khat Likhti Hoon,
Aur Khud Pardh Kar Ro Lati Hoon
Halaat Kay Taptey Toufaan Me,
Jazbaat Ki Kashti Khayti Hoon
Kaisey Ho, Kahaan Ho, Kuch To Kaho,
Mein Tum Ko Sadayien Deyti Hoon
Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon,
Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Aur Jhaank Kay Meri Aankhoun Me,
Beetay Dinn Yaad Dilatey ho.........

Emaan_88
12-26-2008, 12:35 PM
Hum Bichar Kay Tum Sey Badal Kii Trah Rotay Rhay
Thak Gye To Khwaab Kii Dehleez Par Sotay Rhay

Zindgii Nay Haath Sey Khanjar Na Rakha Aik Pal
Hum Qateel E Ghamza O Naaz E Butaa’n Hotay Rhay

Log , Lehjay Ka Suhana Pan , Sukhan Kii Naghmgii
Shehar Kii Aabaadiyon Key Shor Mein Khotay Rhay

Surkhiyaan Akhbaar Ki Galiyon Mein Ghull Karti Rhien
Log Apnay Band Kamron Mein Paray Sotay Rhay

Mehfilon Mein Hum Rafeeq O Raz’Daan Samjhay Gye
Ghar Kay Aangan Mein Magar Tanhaiyaan Botay Rhay

Emaan_88
12-26-2008, 12:37 PM
mujh ko shikast-e-dil ka mazaa yaad aa gayaa
tum kyuN udaas ho gaye, kyaa yaad aa gayaa

kehne ko zindagii thii bahut muKhtasar magar
kuch yuN basar hu’ii ke Khuda yaad aa gayaa

barse baGhair hi jo ghataa ghir ke khul gayii
ek be-vafaa kaa ahd-e-vafaa yaad aa gayaa

maanGeinge ab duaa ke use bhuul jaayein ham
lekin jo vo bawaqt-e-du’aa yaad aa gayaa !

hairat hai tumko dekh ke masjid meN ai Khumar
kyaa baat ho gayii jo Khudaa yaad aa gayaa

Emaan_88
12-26-2008, 12:38 PM
tumhaare Khat mein nayaa ik salaam kis kaa thaa
na thaa raqiib to aaKhir vo naam kis kaa thaa


vo qatl kar ke har kisii se puuchhate hain
ye kaam kis ne kiyaa hai ye kaam kis kaa thaa

vafaa karenge nibhaayenge baat maanenge
tumhen bhii yaad hai kuchh ye kalaam kis kaa thaa


rahaa na dil mein vo be-dard aur dard rahaa
muqiim kaun huaa hai maqaam kis kaa thaa


na puuchh-paachh thii kisii kii na aav-bhagat
tumhaarii bazm mein kal ehatamaam kis kaa thaa

hamaare Khat ke to purze kiye parrhaa bhii nahiin
suna jo tum ne baa-dil vo payaam kis kaa thaa

inhiin sifaat se hotaa hai aadamii mashahuur
jo lutf aap hii karte to naam kis kaa thaa

guzar gayaa vo zamaanaa kahen to kis se kahen
Khayaal mere dil ko subah-o-shaam kis kaa thaa ..........

Emaan_88
12-26-2008, 12:39 PM
Teri Chahat mein Hum Zamana Bhol Ga'ey,
Tere Baad Kisi ko Apnana Bhool Ga'ey,
Phir laga Saara Jahan Veerana Hum Ko,
Jese Chaman Mein Phol Mehkana Bhool Ga'ey,
Tum Se Muhabbat He Bataya Saarey Jahan Ko,
Ye hi Baat Tum Ko Batana Bhool Ga'ey,
Hum Ne Mitta Diya Jahan Bi Likha Tha naam Tera,
Magar Apne Dil Se Mittana Bhool Ga'ey,
Wo Juda huway Hum Se Muskarate Huway,
Magar Apni Palkun Se Ansu Hattana Bhool Ga'ey,

Emaan_88
12-26-2008, 12:42 PM
Zindgi kis tarah betao gay?
pas humain ager na pao gay
din main tanhayan satayen gi
raat ko chonk har uth jao gay,
raat bar nend kion nhi ati
tum hud b samag nhi pao gay
log pochain gay is tanhai ka sabab,
kia batao gay kia chupao gay,
khud ko tanha na pao gay
her jaga mera aks he pao gay,jab bhi jee chahe lot ana
muntazir is jaan ko pao gay.
DEDICATE 2 MY VERY SPEIAL FRND.....

Emaan_88
12-26-2008, 12:43 PM
Aaj udhas hoon to zamana mujhey phochne aya
Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya
Woh to ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai
ajj udhas lamhon main phir kyon mujhe woh yaad aya
Zindagi ki masrufiat ke woh chand din jo guzar chuke hain
na hi un pe urooj aya,aur na hi aun pe zawaal aya
Bhoolna chahti hoon har lamha,har waqt jo guzar gaya hai
jitna bhi roka woh waqt utna mere sath chala aya
Guzra hua kal na tha mera,na hai mera aur na ho ga kabhi
yeh mein janti hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya
woh wade teray woh kasmein woh sab yaad hain mujhe
magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhoola paya
ana parast the tum to khudaar thi main bhi
yeh rishta hi humare dermiyan na raas aya
us ki muskurahat tere liye ek fareb thi
tu thi nadan,dil tera usse na samajh paya

Emaan_88
12-26-2008, 12:43 PM
Mohabbat palkon pe kitne haseen khwaab sajati hai
phoolon se mehkate khwaab...
sitaron se jag-magate khwaab...
shabnam se barsate khwaab...

fir kabhi yun bhi hota,
k palkon ki daaliyon se
khwaabon k sare parinde udd jate hain....
aur aankhen.....hairaan si reh jati hain

Emaan_88
12-26-2008, 12:44 PM
Har Thokar Ne Meri Mujhko
Chalna Sikha Diya
Mere Aankho Ke Aansuo Ne
Mujhe Khul Ke Hasna Sikha Diya
Samundar Ki Lehro Ne
Mujhe Ghir Kar
Phir Se Ubarna Sikha Diya
Baarish Ki Boondo Ne
Zameen Pe Rehna Sikha Diya
Phoolo Ne Toot Kar Bhi
Mehakna Sikha Diya
Tara Toot Jane Par Bhi
Kisi Ke Kaam Aata Hai
Zindagi Ki Sachaiyo Ne
Mujhe Chalte Rehna Sikha Diya
Woh Fakeer Jo Do Roti Ke Liye
Taras Jaata Hai
Majbooriyo Mein Jazbaaton Ka
Had Se Guzarna Sikha Diya
Aage Yuh To Karvaan Chalte Rahega "Khwaish"
Waqt Ne Aankhon Ki Nami Ke Saath-Saath
Muskuraane Ka Hunar Sikha Diya
Gile-Shikwe Se Kuch Nahi Haasil "Khwaish"
Waqt Ne Halaat Se Ladna Sikha Diya

Emaan_88
12-26-2008, 12:44 PM
Tumhari bebasi mein main ro raha hoon
Baton mein teri main kho raha hoon

Kitni mushkil mein ho tum main kyon nahi
Takleef teri mein bechain ho raha hoon

Gonjti hai awaaz jub tery rony ki
Aankhin hen band par na ro raha hoon

Kaisy nikalon mushkil sy tumhin bebas hon
Yehi khyalaat dil mein samo raha hoon

.......mily woh sab tumhin jo tum chaho
ALLAH k aagy dua go ho raha hoon

Emaan_88
12-26-2008, 12:45 PM
Kaisy kahon pyar ka rishta nibhaya nahi
Jub woh samjha nahi maine btaya nahi

Khamosh tha main dar tha anjaana sa
Woh sunta kaisy jub maine sunaya nahi

Meri khushi mein thi khushi maloom hai
Woh roya kyon jub maine rulaya nahi

Thartharati zuban sy kuch batana tha usy
Woh magan tha maine kuch bataya nahi

Kaha tha us ny ,mumkin nahi samjho to
Or ALI tha kih khud ko samjha paya nahi

Emaan_88
12-26-2008, 12:47 PM
Kaisy kahon pyar ka rishta nibhaya nahi
Jub woh samjha nahi maine btaya nahi

Khamosh tha main dar tha anjaana sa
Woh sunta kaisy jub maine sunaya nahi

Meri khushi mein thi khushi maloom hai
Woh roya kyon jub maine rulaya nahi

Thartharati zuban sy kuch batana tha usy
Woh magan tha maine kuch bataya nahi

Kaha tha us ny ,mumkin nahi samjho to
Or ALI tha kih khud ko samjha paya nahi

Emaan_88
12-26-2008, 12:47 PM
aj us ki yaad ne humein tadpaya bahut
Aaj na chahte hoye bhi woh yaad aaya bahut
Us ke baad to jaise wehshaton se dosti ho gayi
Phir kyun aaj tanhaiyon ne daraya bahut
Woh mera tha mera hai mera rahe ga
Hum ne ais khayal se khud ko behlaya bahut
Shama ke jalne par hum afsoos kerain kyun
Hum ne bhi manind shama khud ko jalaya bahut
Hum ne jis kisi ko bhi humdard samjha sanam
Woh humare dukh pe na jane kyun muskuraya bahut

Emaan_88
12-26-2008, 01:48 PM
Hum wo nahe jo ghum ko minar bana datay hain
Hum to har bar dukhon ko dil main jagah datay hain
Ab to adat c ho gae ha ghum sahnay ki
Muqam ronay ka b ho to muskara datay hain.......

A L i
12-26-2008, 01:53 PM
very nice sharing

Emaan_88
12-26-2008, 03:01 PM
Kisi ki yad dil mai hai,
koi ehsas baqi hai,

Badalte mosamo k darmyan ek raz baqi hai,

Abi to mai safar mai hoon,
milen gi manzilen mujh ko,

Magar in raston k beech,
kisi ka sath baqi hai,

Kahin par sham dhalti hai
kahin par rat hoti hai,

Abi to chandni hai
or chand ki rat baqi hai,

Chale ayo kisi din tum,
humara hal bhi dekho,

Humara jism murda hai
magar ek saans baqi hai,

Umeed hai hme phr bhi,
mile ga wo hme ek din,

Khuda par hai bharosa,
Abi KHUDA ki zat baqi hai.....

Emaan_88
12-26-2008, 03:02 PM
tum lakh chupaoo sinay may,
ihsas hamari chahat ka,
dil jab be tumara darakta ha,
awaz yahan tak atti ha.

Emaan_88
12-26-2008, 03:03 PM
Khud k aansoo chhupa kar muskraty raho
Rony walon ko bus hansaty raho

Kuch ban payo to bano darakht ki tarha
Dhoop seh kar dhoop sy bachaty raho

Andheeri rat mein koi ho tanha
Tara ban kar tum tamtamaty raho

Chhouti si zindagi hai banto khushian
Naraz ho jaye to ussy manaty raho

Had sy barh kar apny py bharosa na karna
Khud ko kabhi kabhar aazmaty raho

Barsayo khushian brasti barish ki tarha
Phool ban kar har pal mehkaty raho

Banayo naye dost naye bandhan
Par purany rishty bhi nibhaty raho

Pyar zindagi hai khushi hai dil
Har pal muhabbat ka ehsas dilaty raho

Emaan_88
12-26-2008, 03:05 PM
Tara toty to main hath uthata hon
Ho jayo tum mery yehi chhata hon

Dil mein kitna pyar hai tumhary liye
Zara pas ayo mery to dikhata hon

Pyar mein likhy alfaz mushkil to nahi
Na samajh hai to ayo samjhata hon

Dekh aankhon mein sun dil ki awaz
Kaho to hal e dil zuban sy sunata hon

ALI ko to kisi ny manaya tak nahi
Tum naraz to ho tumin main manata hon

Emaan_88
12-26-2008, 03:05 PM
Kisi ka dil dukhany sy pehly
Kisi ko rog lagany sy pehly
Khushin na dena alag bat hai
Dy kar khushin rulany sy pehly

Itna zroor sochna

Umeedon k diye bujhany sy pehly
Arsh py ly ja kar girany sy pehly
Sada raston mein nahi roshni
Gumrah ko andheri rah dikhany sy pehly

Itna zroor sochna

Bewafai ka dil me lany sy pehly
Kisi masoom ko rulany sy pehly
Kisi ki khamoshi tumin mita na dy
Alfaz k teer chalany sy pehly

Itna zroor sochna

Kisi or ko apna banany sy pehly
Purany rishty bhulany sy pehly
ALI to inhi rahon par khara hai
Jahan sy tu aya tha chhor jany sy pehly

Emaan_88
12-26-2008, 03:11 PM
Tanhai mein wo yad aany lagy
Khamoshi k pal bhi suhany lagy

Kaisy bhulayon dil sy mitayon
Yad aty hen jitna bhulany lagy

Chhor gye wo tanha pal bhi na laga
Jin ko pany mein humko zamany lagy

Rasta bhi hai ayisa kih manzil nahi
Anjany mein qadam hm uthany lagy

Kho kar ussy lut gai zindagi apni
Ishq mein hath kaisy khazany lagy

Intazar karty karty guzari umar
Tanha chhor kar mujhy wo jany lagy

Pas thy koi manzil mushkil na thi
Kho kar un ko hum larkharany lagy

Koi sunta jo nahi awaz meri
Khud ko khud hi sy uljhany lagy

Apnaye unhin jo sataye humin
Kaisy rishty ALI sy nibhany lagy

Emaan_88
12-26-2008, 03:12 PM
Tumhin chahata hon itna kih bata nahi sakta
Apny dil k halaat tumhin suna nahi sakta

Khoya rehata hon yadon mein teri har pal
Kia kia hai dil mein tumhin dikhan nahi sakta

Har lamha mehsoos karta hon tumhin qareeb
Ik pal ko bhi tum sy door ja nahi sakta

Jo bura lagy to maaf kar dena mujhy
Bina bataye main chup reh pa nahi sakta

Tum bhaly chhor do mujhy,mujhy tanha kar do
Par ALI to door tum sy ja nahi sakta

Emaan_88
12-26-2008, 03:14 PM
Kaha tha nibhye ga rishta zindgi bhar
Do pal ki dosti to nibha na saka

Raz jo thy beech bata diye zamany ko
Jo batana tha mujhy woh bata na saka

Samjhata phirta hai kih mohabbat na karo
Kiasa samjhana jo khud ko samjha na saka

Ghussy py kiye faisly py qayim hai woh
Pyar mein kia wada to nibha na saka

Zuban sy chaly teer zakhmi kar gye
ALI tha kihzakham-e-dil dikha na saka

Emaan_88
12-26-2008, 03:14 PM
pyaar kiya izhar karna na aya...
umer kat gai humeen pyar karna na aya..
afsos aus ne mangi bhi to judai mangi...
or ik hum thay humein inkar karna na aya

Emaan_88
12-26-2008, 03:15 PM
Milay jo mudat bad to afsurda ho kar kehnay,
Abhi bhi usi haal main jeetay ho.
Sukhay hont jo dekhay to muskara k kaha,
Yaadon k Zehar ko abhi bi shok se pitay ho.

Emaan_88
12-26-2008, 03:17 PM
agar wo meharba hota ! to mari ankhoon mai ye nami naa jhilmilati.
na mare dil ki wadi mai kheza ka qaafla rukta! agar wo meharba hota,
mari be noor ankhoon mai sitaary qeed kardeta! mari zakhmi hateeli par! koi wo phool rakh deta.
mare hathoo ko apne haat mai le kar wo ye kehta! mohabbat roshani hai,
rang hai, khushboo hai! sitara hai !
qasam mujh ko mohabbat ki mujhe to sub sai payari hai,..
magar!!! aesaa wo tab kehta ager wo meharba hota!!!

Emaan_88
12-26-2008, 03:18 PM
meri ghazal ka unwaan poochtay hain loag,
dil main kon rehta hay naam poochtay
hain loag,
chor kar chala gia muj ko akela sheher main,
kitnay main hy bik gia daam poochtay hain loag,
main sangdil tha ya wo
herjai,
ek yahi baat sar-e-aam poochtay hain loag,
kal kia ho ga mujy khud khabar
nahi,
meri muhabbat ka injaam poochtay hain loag.

Emaan_88
12-26-2008, 03:19 PM
Laga k kisi shakhs ny mujhy hai pukara
Kuch na tha samny bus wehim tha hamara

Aagy jo bharha to bharhta hi gya main
Pechy jo mur kar dekha na tha koi hamara

Kis umeed sy aa raha hai meri janib
Besahara hon kis ka banu sahara

Toot jo gya hon ab jur nahi sakta
Bikhar jo gya main kisi ny na sanwara

Tamanna thi k main bhi hon ga kisi ka
Na hoa main kisi ka na koi hamara

Nahi mila jo ALI ko kisi ko to mila
Badqismati hai meri nahi qasoor tumhara

Emaan_88
12-26-2008, 03:20 PM
Tujy rooz dikhoo qareeb sy
Mairy shooq b hain ajeeb sy
Mujhy mangna hai tujhi ko bus
Apny rub or us ky Habib sy
Miari ankh mai bi hai ajazi
Miary kawab bi hain gareeb sy
Miry sub dukho ki daawa hu tum
Mily kya skoon taabeeb sy
Mai both kush hoon joor ky
Apny naseeb tyry naseeb sy

Emaan_88
12-26-2008, 03:22 PM
Nind ka halka gulabi-sa Khumar ankhon main tha
Yun laga jaise vo shab ko der tak soya nahin


Har taraf divar-o-dar aur un main ankhon ka hujum
Kah sake jo dil ki halat vo lab-e-goya nahin


Jurm adam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
KaTata hun zindagi bhar main ne jo boya nahin


Janata hun ek aise shaKhs ko main bhi
Gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin !!

Emaan_88
12-26-2008, 03:22 PM
Nazar me ZuLmat badan main thandak
Jamal kitna ajeeb sa tha,
Mian us ki chahat me ghar se nilka tu
Haal kitna ajeeb sa Tha,
Na main ney osay khatoot likhe
na os ney meri panah chahi,
dono ko apni bey khudi pe
malal kitna ajeeb sa tha,
wo apni raton me chand dekhe
main apni raton main os ko souchon,
badalte lamhon me souch ka yeh
visaal kitna ajeeb sa tha,
safar akelay he kaat lo gey
main ne poucha tu ro diya wo,
jawab kitna ajeeb sa tha
sawal kitna ajeeb sa tha !!

Emaan_88
12-26-2008, 03:24 PM
"Toot jaye na bharam hont hilaon kaise,
Hal jaisa bhi ho logon ko sunaon kaise,

Khushk aankhon se bhi ashkon ki mehak aati hai,
Mai us k ghm ko zamane se chupaon kaise,

Phool hota to mai us k dar pe saja bhi deta,
Zakham le k uski dehleez pe jaon kaise,

Wo rulati hai to jee bhar k rulaye mujhe,
Lakin,
WO meri aankhen hai,
Mai usko rulaon kaise?

Emaan_88
12-26-2008, 03:26 PM
Kisi ki yad dil mai hai,
koi ehsas baqi hai,

Badalte mosamo k darmyan ek raz baqi hai,

Abi to mai safar mai hoon,
milen gi manzilen mujh ko,

Magar in raston k beech,
kisi ka sath baqi hai,

Kahin par sham dhalti hai kahin par rat hoti hai,

Abi to chandni hai or chand ki rat baqi hai,

Chale ayo kisi din tum,
humara hal bhi dekho,

Humara jism murda hai magar ek saans baqi hai,

Umeed hai hme phr bhi,
mile ga wo hme ek din,

Khuda par hai bharosa,
Abi KHUDA ki zat baqi hai.....

Emaan_88
12-26-2008, 03:27 PM
Us nay kaha tum me pehle si baat nahi!
Mainay kaha zindagi mein tera sath nahi,
Us nay kaha ab bhi kisi ki ankhon mein doob jatay ho?
Mainay kaha kisi ki ankh mein wo gehrae baat nhi,
Us nay kaha kyoun itna toot kar chaha mujhe?
Mainay kaha insan hon pathar to nahi,
Us nay kaha kya mein bewafa hon?
Mainay kaha mujhe ab wafa ki talash hi nahi,
Us nay kaha bhool jao mujh ko?
Mainay kaha tum Haqikat ho koi khuwab to nahi..

Emaan_88
12-26-2008, 03:28 PM
I have seen the world from near and far,
found someone,
She came in my life like
Bahar
I thought i found my future,
Feel in pyaar
Something happend to me,
I called that a,
Bukhaar,
I never realized,Is it Din aur Raat,
All the time LOve was getting sawaar,
Used of think of Her bar bar,
In these kind of afairs,

Always reamains,

Emaan_88
12-26-2008, 03:30 PM
Mairy Mehboob daikh dil ko phatr saa bana liya hum ny
Aor Ais dil ky phtar per tayra naam saaja liya hum ny
Mujay shartoo ky tarazoo mia na toaaly koi
Koadh'i ky moor pay ghar apna jala liya hum ny
Usai ky taraz-e-takhtub ki qasam shab-e-furqat mai
Dard sy Jam sy rishta bana liya hum ny
Yaa Bat such hai ky daman mai tashnagi hi rhai
Wasal-e-rut nazaar ko kudh sy chura liya hum ny
Dasht-e-muhbat mai haar hum bhi kia many
Jo howa nahi usaai ko apna bana liya hum ny
Aayy Charaa-e-ghar kabahi jurat-e-ezhaar b kar
Wabista gam sy tyry kudh ko mata diya hum ny

Emaan_88
12-26-2008, 03:30 PM
sham hotay he teri yadain
chandani ki trah jalati hain,
woh beeti chandni ratain
har pal satati hain,
aii kash lot aayain
woh chandni ratain,
iss umeed per guzar jati ha har rat,
shayad kay meri chandni bhi ayaii
iss chand kay sath.

Emaan_88
12-26-2008, 03:31 PM
Na karni thi wafadari to q dil lagaya tha
Laga kar dil hata lena tujhy kis ny sikhay tha

Har bat par mulaqat par tu muskarata tha
Rulaya q mujhy ? kia tujhy kabhi rulaya tha

Chehry py tery kitni masumiyat hai par
Deny jo thy aansoo q dekh k muskaraya tha

Tu wady sary or bhool gya mulaqatein
Bula kar pas thukrana tha kia issi liye bulaya tha

Afsoos hai tujh par kih tu mujh ko na samajh paya
Bhula dia ab har rishta jo tety sath banaya tha

Karo jo bewafai , to bewafai hoti hai
Kia mila tujh ko jo ALI ka dil dukhaya tha

Emaan_88
12-26-2008, 03:32 PM
Hum ny tumin chaha kia ye bhol hai
Tumsy dil lagaya kia ye bhol hai

Tumhin qadar nathi pyar ki magar
Pyar karna sikhaya kia ye bhol hai

Tum py bharosa tha khud sy zyada
Tumhin har raz btaya kia ye bhol hai

Apny chhor diye bus tumhary liye
Tumhin apna banaya kia ye bhol hai

Itna chaha tumin koi chahta nahi
Tu ny ALI ko thukraya ye kaisa asool hai.....? ? ? ?

Emaan_88
12-26-2008, 03:33 PM
teri ankho mien myne khud ko dekha..
myne kai baar tujhe ayena samjha..
tujhmey itni samajh kahan?
k tere an chahey dhokey ko b pyar samjha..
tera wo akhri baar mujse haath milana..
yehi khuda ka anmol tohfa samjha..
meri haton ki lakiron mey tu basta hai shyed..
is benaam jhoot ko janey kiyu such samjha..
tujhey is had tak chaha hai..
k tujhe rooh mey tehleel samjha..
apne maqsad mey kamiyaab to ho chuki hon mien!
kiyu k...........
mien khush hon bewaqoof dunya ne ye samjha..

Emaan_88
12-26-2008, 03:34 PM
Kabhi ussey bi meri yaad stati ho gi
Apni ankhon main merey khuaab sajati ho gi

Wo jo her waqt khiyaalon main bassi rehti hai
Kabhi to meri bi sochon main kho jaati ho gi

Wo jiski raah main palkein bichi rehti hain
Kabhi mujhey bi apney pass bulati ho gi

Labon per rehti hai wo her pal hansi bann ker
Tasawar se merey , wo bi muskuraati ho gi

Wo jo shaamil hai merey geet merey naghmon main
Kabhi tanhai main mujh ko gun gunaati ho gi

Jis ke liey mera dil beqaraar rahta hai
Merey liey apna chain bi guanti ho gi

Jiss se izhaar e wafa her pal karna chahoon
Kabhi iqraar to wo bi karna chahti ho gi

Jiske liey meri her raat hai karwat karwat
Kabhi to ussey bi neend na aati ho gi

Jiski ulfat ki shamah se hai mera dil roshan
Meri chahat ke wo bi deep jalati ho gi

Ghame -e- firaaq mera hi muqadar hai ya phir
Meri judaai ussey bi yunhi rullati ho gi

Emaan_88
12-26-2008, 03:35 PM
Lafzon k justjo main sab kuch ganwa dia,
Wo chal dia main tarz-e-ada dhondhta rha,
Us ko kisi nay rab say lia maang,
Aur main sajday main gir k harf-e-dua dhonta rha.

Emaan_88
12-26-2008, 03:35 PM
Mere dost tanhai me na waqt bitaya karo,
Kabhi kabhi mehfilon me bhi aaya karo,

Kiya hua jo toot gaye hen samney k 4 dant,
Phir bhi moun khol ker muskuraya karo.

Emaan_88
12-26-2008, 03:37 PM
apnay ahsas say chu kar mujhay sandal kar do...
main kai sadioon say adhoora hoon mukamal kar do..
na tumhian hosh rahay or na mujhay hosh rahay....
is qadar toot k chahooo mujhay pagal kar do....

tum hatheli ko meray piyar ki mehandi say rango...
apni ankhoon main meray nam ka kajal kar doo..
is k sayay tallay meray khwab dahak uthaian gay....
meray chehray pay chamtka hua anchal kar dooo

dhoop hi dhoop hoon main toot k barsoo mugh per...
is qadar barsoo meri roh main jal thal kar doo...
jaisay sehraoon main har sham hawa chalti hay...
is tarah mugh main challo or mujhay thall kar doo

tum chupa lo mera dil oat main apnay dil ki...
or mujhay meri nighaoon say b oojhal kar doo...
masla hoon to nighahian na churaoo mugh say...
apni chahat say tawajah say mujhay hal kar doo

apnay gham say kaho har waqt meray sath rahay...
aik ahsan karoo is ko musalsal kar do..
mugh pay chha jaoo kisi aag ki surat jana...
or meri zaat ko sukha hua jungle kar dooo

Emaan_88
12-26-2008, 03:39 PM
Main qadrain subb luta daiti woh aitbar karta tu
Haan main sub luta daitee gar woh piyar karta tu
Udasi uss ki mujeh katann gawara na thi
Main ho jatee ghayel gar woh waar karta tu
Main chun chun key phol barsati us pur
Pur marey naam koee bahaar karta tu
Anna pey chot sehna dushwar tu hey
Main haar jati agar woh takrar karta tu

Emaan_88
12-26-2008, 03:39 PM
Kiya Baat Kahon Un Ankhoon Ke
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon

Woh Ankhain Jheel Se Ankhain Hain
Jin Main Doob Key Rooz Ubharti Hoon

Mujhey Dekhney Key Liye Uthte Hain
Miltey Hi Nazar Woh Jhukte Hain

Sarey Jahan Main Aise Ankhain Nahi
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon

In Ankhoon Main Koi Ansoo Na Aye Koi
Kabhi Koi Gham Na Pass Aye Koi

Sada Muskurate Rahain Yeh Ankhain
Har Dam Yeh DUA Main Karti Hoon

Kiya Baat Hai Un Ankhoon Ke
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon

Emaan_88
12-26-2008, 03:39 PM
kahne ko mera us se koi wastah nahin

Amjad magar woh shakhas mujhe bholta nahin

darta hoon ankh kholoon tu manzar badal na jaay

main jaag tu raha hoon magar jagta nahin

aashuftagi se us ki use bewafa na jaan

aadat ki baat or hai dil ka bura nahin

tanha udas chaand ko samjho na be khabar

her baat sun raha hai magar bolta nahin

khamoosh rutjagoon ka dhuuan tha chahaar su

nikla kab aaftaab mujhe tu pata nahin

Emaan_88
12-26-2008, 03:40 PM
Mom ki tarha pigaltay howay deekha os ko......Rut jo badli tu badaltay howay deekha os ko.....wo jo kantoon ko b narmi say choowa karta tha.....Hum nay phooloon ko masaltay howay deekha os ko.....Na janay koon say gam ko chupanay ki tamana ha osay........aaj hr baat pey hanstay howay deekha os ko.....Na janay mangnay jata ha kia wo duaoon mein......Hath othtay hi sisktay howay deekha os ko

Emaan_88
12-26-2008, 03:42 PM
Tanhayee main dil ab khonay laga
apnayit ka ahsaas kam honay laga
milay to ham hazaron say
lekin teri bairukhi say dil ronay laga

Emaan_88
12-26-2008, 06:52 PM
Pilaya hai tu ne sharaab-e-gham,
Ke phir na hosh ka dawa de sakke.

Pilaya hai tu ne sharaab-e-gham,
Ye paimana to pyaar ka pyasa h

Emaan_88
12-26-2008, 06:57 PM
dil ke aansoe kyon nehin roekte,
ai dil ki dharkan tu hi roekja.
dil mein basaya tha pyaar tumhara
ab is dil ki dharkan hi ho geya dushman hamara

Emaan_88
12-26-2008, 07:01 PM
Socha k bhool jayon ussy
Bhula na paya to kia qasoor

Kaha pyar ki sunayo dastan mujhy
Suna na paya tokia qasoor

Dosti to nibhany ka nam hai
Nibha na paya to kia qasoor

Dil mein thi uski tasveer
Dikha na paya to kia qasoor

Dil ko jala deny waly wo khat
Jala na paya to kia qasoor....???

Hussain
12-26-2008, 08:12 PM
wow

bht umdaaa very nice

keep sharing :)

Hussain
12-26-2008, 08:13 PM
Socha k bhool jayon ussy
Bhula na paya to kia qasoor

Kaha pyar ki sunayo dastan mujhy
Suna na paya tokia qasoor

Dosti to nibhany ka nam hai
Nibha na paya to kia qasoor

Dil mein thi uski tasveer
Dikha na paya to kia qasoor

Dil ko jala deny waly wo khat
Jala na paya to kia qasoor....???

bht umdaa

Hussain
12-26-2008, 08:13 PM
Mom ki tarha pigaltay howay deekha os ko......Rut jo badli tu badaltay howay deekha os ko.....wo jo kantoon ko b narmi say choowa karta tha.....Hum nay phooloon ko masaltay howay deekha os ko.....Na janay koon say gam ko chupanay ki tamana ha osay........aaj hr baat pey hanstay howay deekha os ko.....Na janay mangnay jata ha kia wo duaoon mein......Hath othtay hi sisktay howay deekha os ko


very nycc

Hussain
12-26-2008, 08:13 PM
Pilaya hai tu ne sharaab-e-gham,
Ke phir na hosh ka dawa de sakke.

Pilaya hai tu ne sharaab-e-gham,
Ye paimana to pyaar ka pyasa h

kya baat hai:)

Hussain
12-26-2008, 08:13 PM
Tanhayee main dil ab khonay laga
apnayit ka ahsaas kam honay laga
milay to ham hazaron say
lekin teri bairukhi say dil ronay laga

:(:(

touchy n nyc

Emaan_88
12-26-2008, 11:38 PM
aj us ki yaad nay hameen tarpaya bohat
aj na chahtay huway b woh yaad aya bohat
us k baad to jaisay vehshatoon se dosti ho gai
phir q aj tanhaiyoon nay daraya bohat
wo mera tha mera hai mera hi rahey ga
hum nay is khayal se khud ko behlaya bohat
shama k jalne per hum afsos karen q
hum nay b manind shama k hud ko jalay bohat
humnay jis ko hamdard samjha
woh hamray dukh pe na janay q muskuraya bohat

Emaan_88
12-26-2008, 11:55 PM
koi baat bhi us ko yad nahi,
ek shakhs ne us ko chaha tha,
woh zaat bhi us ko yad nahin,
jab shab ki bijli chamki thi,
aur badal tot k barsa tha,
hum dono jis mein bhegay the,
woh barsat bhi us ko yad nahi,
woh sahil darya phool hawa,
woh wada sath nibhanay ka,
aur shab bhar "chand" ko dekha tha,
woh raat bhi us ko yad nahin,
woh kehti thi main sunta tha,
woh kehta tha woh sunti thi,
un lakhon baton mein koi,
ek baat bhi us ko yaad nahin,

Emaan_88
12-27-2008, 11:10 AM
Sab se chupa ker dard jo wo muskara dia,
Uski hansi ne tu aaj mujh ko rula dia.

Lehjay se uth rahi thi har ik dard ki dastan
Chehra bata raha tha sub kuch ganwa dia,

Awaz mein thehrao tha ankhon mein nami thi
Aur keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya,

Janay kia usko mukh se thein shikayatein
Tanhaiyon k dais mein khud ko basa dia,

Khud bhi woh hum say bichar k adhora sa ho gaya
Muj ko bhi itnay logoon mein tanha bana dia....

Emaan_88
12-27-2008, 11:12 AM
Apni haseen ankhon ma chupa lo muj ko,mohabat agar karty ho to churalo mujko,khony ka khof ho agar,dil ki har dherkan ma basalo muj ko

Emaan_88
12-27-2008, 11:15 AM
dukh anmol hoty hain
kudrat ki wadieat hoty hain
kabi kuch dy k jaty hain
kabi sab cheen laty hain
kabi bychain karty hain
kabi jeena sikhaty hian
kabi banty hain jab aansu
umar bhar lahu rulaty hain
kabi lab ki hansi ban kar
naie dunia sajaty hain
kabi meethi kasak ban kar
anjani khalash ban kar
makeen-e-dil ye banty hain
kisi surat nhi mitty
jo in sy door bhago to
kahin jany nhi daity
na zinda rehny daity hain
na ye azad karty hain
nhi jis ki dwa koi
ye aisa dard hoty hain
magar ye b haqeqat hy
har ik ko to nhi milty
bary nayab hoty hain
dukh anmol hoty hain

Emaan_88
12-27-2008, 11:49 AM
"Tum to azam walay ho
Balaa ka zabt rakhtay ho
Tumhain to kuch nahi hoga
Magar deikho
Jisay tum choray ja rahay ho
Usay to theek say shayad
Bicharna bhi nahi ata
Suno..!
Tum azam walay ho
Usay mat chor kay jao

Emaan_88
12-27-2008, 11:53 AM
yehi arzu rahi umar bhar
k mohabten mere sath hon,
kabhi aisa ishaqkia nahi k nidamaten mere sath hon,
koi esa hurf nahi likha k ho
shrmsaar qalam mere
koi esa jurm nhi kia k
wazahten mere sath hon.
faqat aik shakhs ki arzu mai guzar rhi hai zindgi
yeh talab nahi k
tmam sheher ki chahten mere sath ho

Emaan_88
12-27-2008, 11:56 AM
Ham aksar ye samajhte hain
Jise ham piyar karte hain
Usey ham bhool jate hain
Magar aisa nahi hota
Muhabbat daimi sach hai
Muhabbat Thehar Jati Hai...!
Hamari baat k andar
Muhabbat beth jati hai
Hamari zaat k andar
Magar ye kam nahi hoti!
Kisi bhi dukh ki soorat mein
Kabhi koi zaroorat mein
Kabhi anjan se gham mein
Kabhi lehje ki thandak mein
Udasi ki zaroorat mein
Kabhi barish ki soorat mein
Hamari aankh k andar
Kabhi aab-e-rawa“n ban kar
Kabhi qatre ki soorat mein

Bazahir aisa lagta hai
Usey ham bhool bethe hain
Magar aisa nahi hota
Magar aisa nahi hota
Muhabbat kam nahi hoti
Muhabbat Thehar Jati Hai...!!!

Emaan_88
12-27-2008, 12:01 PM
mujhe dhoondhne shehr ma wo nikla ho ga
jaane kioun lagta hay essa huwa ho ga.

Ab kis se kare ga wo raat bhar baatein
meri tasweer jalate huwe sochta ho ga.

Chaand ke saath bheege sahil pe dil us ka
kabhi doobta ho ga, kabhi ubharta ho ga.

Meri har yaad ko dil se bhula kar wo
phir door tak mujhe awaz bhi deta ho ga.

Jab bhi mosam ke rang bhate hon ge usse
wo mere perhan ko nazar mein duhrata ho ga.

Gehri neeli shaam ke lambe saayon ke tale wo
thori pe haath rakh kar mujhe sochta ho ga.

Jaane kiun dil kehta hae ye weham ha dhoka ho ga
jaane kiun essa lagta ha,nahi nahi yehi huwa ho ga.

Aaj bhi tanhai mein ,bheerr mein,ya phir kissi se
koi baat karte karte mujhe yaad to karta ho ga!

Emaan_88
12-27-2008, 12:06 PM
Tera Neqsh-E-Qadam Manzil Hai Meri
Tumhari Yad Hi Mahfil Hai Meri
Mujhe Mat Bhool Teri Har Khushi Mein
Zara Si Tu Dua Shamil hai Meri

Emaan_88
12-27-2008, 12:35 PM
hawayien sard ho jayien ya lehje burf ho jayien
main uski yad ki chadar ko khud per taan leta hoon
ager wo rooth jata hai to hamari jan jati hai
ye saansain jari rakhne ko mian uski maan leta hoon

Emaan_88
12-27-2008, 12:36 PM
Fasle ase b hon ge ye kbi socha na tha.Samne betha tha mere or wo mera na tha.Wo k khushbu ki trha phala tha char su.Me ise mahsus kr skta tha chu skta na tha.Rat bher ik ahat kan me ati rahi.Jhank kr dakha gali me koi b aya na tha.mahfile-e-ihal-e-wafe me her terha k log the,yan tre jesa na tha yan mre jesa na tha,Aj is ne dard b alahda kr lia.Aj me roya to mere sath wo roya na tha.Ye sab warania us k juda hone se thi.Ankh dhundlai hui thi sahar dhundlaya na tha.Yad kr taklif or b hoti thi.Bhool jane k siwa ab koi b chara na tha...

Emaan_88
12-27-2008, 12:38 PM
Hal-e-dil tuje se kase kahain hum yar darte hain,per tuje pane ki dua so bar krte hain,har din har rat tri hi yad me guzarte hain,har rat khuab me tra didar krte hain,didar hota hai tra chand ko,is liye hum chand se pyar krte hain,na mane gay k kuch or b hain chahne wale tre,dekh hum tu apni jan b nasar krte hain,shæd hum hi ba jayain tri nazr ko saname,ye soch kr hum sir ko joka kr chahte hain,

Emaan_88
12-27-2008, 12:42 PM
Main sun k us ki sub batian faqat itna hi kehta hon,khafa hona mana lena ye sadeon se rawayat hai,muhabat ki alamat hai,giley shikway kro muj se tmhien mohsen ijazat hai,magr bat mri b zara tm yad rkh lana kabi aisa b hota hai,hawain rukh badalti hain,khezaez lot aati hain,khaataen ho hi jati hain,khafa hona b numkin hai khata hona b mumkin hai hamesa yad rekhna tm taluq roth janey se"Kabhi tota nhi kertay"

Emaan_88
12-27-2008, 12:43 PM
Mein ne har kaanta teri raah ka palkon se chuna,log khte hain mein dushman hon tera tu ne suna. Jaane kya soch kar har zulm rawa rkha hai,kya mein pathar hon jo qadmon mein sajaa rkha hai,mein ne rakha hai faqat apni mohabat ka bharam,warna harjai tere pyar mein kya rkha ha. Bewafai ka gila lab pa nhe laaon ga,tu muqadar mein nhe dil ko ye samjhaon ga,hal-e-dil sunne ki shayad tujhe fursat nhe,teri dunya se bahut door chala jaaon ga.

Emaan_88
12-27-2008, 12:45 PM
Asi talasam-e-shab me guzar jay,ab atni raat ge kon apne gar jay,ajab nasha hai tere kurb me k ji chahya,ye zindgi tri aagoshe me guzar jay,me tre jism mein kuch is tarha sama jaon,k tar lamas mri roh me uter jay,masal-e-bage khaza hai hawa ki zad pe ye dil,najane shaks se totay tu phr kider jay,me youn udas hon amshab k jasay rang-e-gulab,kahza ki shap se bay sakata uter jay,howae sham hai sahra me or ye gham sajid,najane jism ki diwar kab bekher jay.

Emaan_88
12-27-2008, 12:47 PM
Mere Honton ke mehaktay hue naghmo par na jaMere seenay main kaye aur bhi ghum paltay hain Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magarMeri aankhon main udaasi kay diye jalte hain

Emaan_88
12-27-2008, 12:52 PM
Mein ne har kaanta teri raah ka palkon se chuna,log khte hain mein dushman hon tera tu ne suna. Jaane kya soch kar har zulm rawa rkha hai,kya mein pathar hon jo qadmon mein sajaa rkha hai,mein ne rakha hai faqat apni mohabat ka bharam,warna harjai tere pyar mein kya rkha ha. Bewafai ka gila lab pa nhe laaon ga,tu muqadar mein nhe dil ko ye samjhaon ga,hal-e-dil sunne ki shayad tujhe fursat nhe,teri dunya se bahut door chala jaaon ga.

Emaan_88
12-27-2008, 12:55 PM
Asi talasam-e-shab me guzar jay,ab atni raat ge kon apne gar jay,ajab nasha hai tere kurb me k ji chahya,ye zindgi tri aagoshe me guzar jay,me tre jism mein kuch is tarha sama jaon,k tar lamas mri roh me uter jay,masal-e-bage khaza hai hawa ki zad pe ye dil,najane shaks se totay tu phr kider jay,me youn udas hon amshab k jasay rang-e-gulab,kahza ki shap se bay sakata uter jay,howae sham hai sahra me or ye gham sajid,najane jism ki diwar kab bekher jay.

Emaan_88
12-27-2008, 01:01 PM
Hm bari dor se aye hain tmhri khtar,dil k arma b lay hain tmhri khtar,asa ek sang jo taklif ray manzil ho,manzilon dound kr aye hain tmhri khtar,katni nakam amdion k diay pichlay pahr,hum ne darya me bahay hain tmhri khtar,ahday roshan k sokhro na bholain gye kabi,hm ne wo saher jagay hain tmhri khtar,hm na chahain gye kabi taktay jhoro kuraso k,hm ne arma lutay hain tmhri khtar,hm wahan the jahan sagero saki the mudaim,dosto! Lot kr aye hain tmhri khtar,

Emaan_88
12-27-2008, 01:06 PM
Apne mazi k tasawar se hrasa hu me.Apne guzre hue ayam se nafrat he muje.Apni bekar tamnao pe sharminda hu me.Apni besood umido pe ndamat he muje.Kitni bekar umido ka sahara le kr.Maine evaan sjay the kisi ki khatir.Kitni berabat tmanao k mubham khake.Apne khubao me bsay the kisi ki khatir.Mujse ab meri mohabat k fsane na kaho.Muj ko kahne do k maine inhain chaha hi nahi. )Kafi din bad tm ko snd ki ab dil nhi krta is liye gayab ho jata hon or koi waja nhi

Hussain
12-27-2008, 01:44 PM
Bht khoob ;)

Emaan_88
12-27-2008, 05:52 PM
Gum sum hua,Aag ka daria tha jo ik shaks.Pather b nai ab,sitara tha jo ik shaks.Shayd wo koi harf wafa dhoond raha tha.Chahro ko barey ghaur se parhta tha jo ik shaks.Sahraa ki trah dair se pyasa tha wo shayd.Badil ki trah toot k barsa tha jo ik shaks.Ae taiz hawa koi khabr us k junu ki.Tanha safr-e-shok pe nikla tha jo ik shaks.Ab akhri satro me kahi nam he uska.Ahbaab ki frist me pahla tha jo ik shaks.Hatho me chupay huey phirta he kai zakham.Shisey k khalony se bahlta tha jo ik shaks.Mur mur k ise dekhna chahain meri akhain.Kuch dur muje chorne aya tha jo ik shaks.Munkar he wo hi ab meri pahchan ka MOHSIN.Aksar muje khat khun se likhta tha jo ik shaks...

Emaan_88
12-27-2008, 05:57 PM
ek hassseen se mai ne kaha itna
ye khobsorat keon hai jawani akhair?
us ne khaha mai ne sambal kar rakhi
mai ne kahah mil mati mai jani akhar
us ne kaha tm kia chaty ho
mai ne kaha tari mehrbani akhar
us ne kaha tum mar jao gy
mai ne kaha ye dunia hai fani akhar

Emaan_88
12-27-2008, 06:03 PM
main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta

chahata hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta

chahata hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta

tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye khuda se taqraar nahi karta

par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta

Emaan_88
12-27-2008, 06:10 PM
rutha huwa aik dost
aj rutha huwa aik dost buhat yad aya
acha guzra huwa khuch waqt buhat yad aya

mari ankhun k har aik ashk per runay wala
aj jab ankh yah rui tu buhat yad aya

ju mary dard ko senay main chupa lyta tha
aj jab dard hu mujh ko tu buhat yad aya

ju mari ankh mian rahta tha kajal ki tarhan
aj kajal ju lagaya tu buhat yad aya

ju mary dil k tha qareeb faqat usko hi
aj jab dil nay bhulaya tu buhat yad aya

Emaan_88
12-27-2008, 06:18 PM
Apni tanhai ka aalm tujh ko batau kase
apni barson ki trp chpaon kase
raha na ja tujh tere bin ab
main apne dill ko somajhu kase
najane kasi kashish he tujh main
main apne jazbat ko rok pau kase
najne kasi aas he tuh se
main apni umeedon ko rok pau kase
bara dilnashi he ahsas tera
main is ahsas se bahir aon kase
pata nahi kasa he ye diwanapan
main apni diwangi ko rok pau kase
bare pyar se sjaya he sapna ye apna
main apne in sapnoo ko tor pau kase
main yahan tu wahan
main apne ap ko smbhal pau kase

safa
12-27-2008, 06:18 PM
nice

Emaan_88
12-27-2008, 06:23 PM
Zikr-e-shab-e-fira q say wehshat usay b thi,maairi tarah kisi say mohabbat usay b thi, mujh ko shoq tha naye chehron ki deed ka, rasa badal k chanlnay ki aadat usay b thi us raat dair tak wo raha mehv-e-guftugu, masroof main b kum tha faraghat usay b thi, muj say bikher k shehr mein ghul mil gaya wo shakhs, halankeh shehr bhar say adaawat usay b thi,wo mujv say berh k zabt ka aadi tha jee gaya warna har aik saans qayamat usay b thi.......!

Emaan_88
12-27-2008, 06:25 PM
jis taraf b negah ota tara chahra nazar ata ha
justajo tuja pana ki magar ik pahra nazar ata ha
badal gay mari zindage ka ab halat sara
kabi to phool khilta tha magar ab sahra nazar ata ha
ab to dar sa lagna lga is alma tanhai sa
wo gham ka badal b ab gahra gahra nazar ata ha
kat ti ni ha ratt jb tak yad tu na ay
tara bina har khab hma adhora nazar ata ha
bhoolna to chahta han magar bhool ni sakta zain
tara bina zindage ma andhara andhara nazar ata ha

Emaan_88
12-27-2008, 06:26 PM
Mere aur Us ke chahne me ek farq tha,
Mujhe wo aur Us ko sara zamana chahiye tha

Emaan_88
12-27-2008, 06:27 PM
Suna hoga bohat tum ne
Kahin aankhon ki rim jhim ka
Kahin palkon ki shabnam ka
Parha hoga bohat tumne
Kahin lehjey ki baarish ka
Kahin saagar k aansoo ka
Magar tumne kabhi humdam
Kahin dekhey? kahin parkhey?
Kisi tehreer k aansoo???
Mujhey teri judaaii ne
Yehi mai'raaj bakhshi hai
Keh main jo lafz likhti hun
Voh saarey lafz rotey hain
Keh main jo harf bunti hun
Voh saarey bain kartey hain
Merey sang is judaai main
Merey alfaaz martey hain
Sabhi ta'reef kartey hain
Meri tehreer ki lekin
Kabhi koi nahin sunta
Merey alfaaz ki siski
Falak bhi jo hilaa daaley
Merey lafzon main hain shaamil
Usii taaseer k aansoo
Kabhi dekho merey humdam
Meri tehreer k aansoo...!!!

Emaan_88
12-27-2008, 06:32 PM
chand hoton pe wafa k tazkre mil jay gay
pathroon k shehr main kuch ayney mil jay gay
teri kismat main jo khushian hain tujhe mil jay gii
mere hisey k jo ansoo hain mughay mil jay gay
jhank ker dakho gi jab tum apne mazi main kabhi
tum ko yadoon ka hazaroon silsiley mil jay gay
teri chaht ka suhana rang to chin jay ga
haan mager meri nazar ko rattjegy mil jay gay
ajnabii ban ker chaly gay ik doojay se zia
itfaqan ger humare rasitey mil jay gay

Emaan_88
12-27-2008, 06:34 PM
Wahshtain bhikri pari hain jis tarf bhi jau main
Ghum phir aya hoon apna shahr tera gaoon main
Kis ko raas aya he itna dair tak ka jagna
jo bhi mil jay is bhi ye hi samjhau main
Ab Ankh main uter ai hain dill khwahishain
Ayna dakhu to apne ap se dar jaoon main
kuch to bata ae matami rato ki dhndli chandni
Bhoolne wale ko kis tarha yad aoo main
Ab kahaan kah wo dill k Sahraa main bahlta na tha
Ab to apne ghar ki tanhai se bhi ghabroon main
Yad ker k tere lot ane ki wadoo ki ghari
Khud ko ik masoom bache ki tarha bahlaoon main
Mere kheaboon ne tarasha tha tera jala badan
Aa tujhe fiker ki poshaq bhi pahnaoon main

Emaan_88
12-27-2008, 06:41 PM
sab tumhare leye
jane jaa ye jaha
ye zamen, aasma
ye mere rat din
khak hen tere bin
ye mere zindage
dosti dushmani
raste waste
sab tumhare leye
tum jo socho mere waste juch kabhi
me sitaro ko muthe me bhar laon ga
tum agar aik din mujh ko awaz do
me jaha per bhi hon lot kar aon ga
ye mere jism o jan
mere shair o sukhan
mere tanhayan
mere aabadiyan
mere har aarzo
mere mayosiyan
ab tumhare leye
sab tumhare leye

Emaan_88
12-27-2008, 06:42 PM
jub pyaar ki baat addhuri ho
jub beech mein thorii durii ho
jub milna bohat zarooori ho
per milnay mein majbooori ho
tum dil mein yaad jaga lena
khuch pyaar kay deep jala lena
jub mujhse milnay aa na sako
aur yaad se bahir ja na sako
thora dil ko samjha lena
BUS yaad se kaam chala lena

Emaan_88
12-27-2008, 06:46 PM
rutha huwa aik dost
aj rutha huwa aik dost buhat yad aya
acha guzra huwa khuch waqt buhat yad aya

mari ankhun k har aik ashk per runay wala
aj jab ankh yah rui tu buhat yad aya

ju mary dard ko senay main chupa lyta tha
aj jab dard hu mujh ko tu buhat yad aya

ju mari ankh mian rahta tha kajal ki tarhan
aj kajal ju lagaya tu buhat yad aya

ju mary dil k tha qareeb faqat usko hi
aj jab dil nay bhulaya tu buhat yad aya

Emaan_88
12-27-2008, 06:56 PM
soya nahi hoon mujhe sula do meri maan
aa jaao mujhe loori suna do meri maan
ashk meri aankhoon main jam say gaye hain
kerkay dil pay jaber mujhe rula do meri maan
dekho kitni bay tarteeb ho gaye hay zindagi
bikhray hain meray baal bana do meri maan
aik karb say aashna rehta hoon her ghadi
is dard ka ahsaas mitta do meri maan
jal reha hoon main andekhi aag main
chomo mera mattha aag bujha do meri maan
bohat darr lagta hay mujhe duniya say
tum mujhe duniya say chhupa do meri maan
thak gaya hoon bohat duniya say ladtay ladtay
tum mujhe apni aaghosh main panah do meri maan

Emaan_88
12-27-2008, 07:01 PM
Aakar chupa lo mujhe,bahut chal liya
tumhare bin yeh safar kiya..par jeevan nahi jiya.

Ek baar dil se laga lo,gila-shiqwa khatam ho jayega.
Yeh woh armaan hai jo,aakhiri saans ko kheecta chala jayega.

Tumhara hee hissa hoon,koi parayaa to nahi
thak gaye huN aur rastaa lambaa hai abhi.

Ghod mei kuch dher soney do,neend aatee nahi abh
aanchal mei chupa lo,kho jayen yeh zakham sab.

Bahut baatyeN karnee hai,kabhi mauka hi nahi mila,
Ma kyon tumsey kabhi iss dil ka taar nahi juda?

ehsaas dilao ki mai zinda hoon,
acchee ,pyari bas tumharee hoon.
Ma kabhi aana zaroor tumhare bina bahut akeli hoon

Emaan_88
12-27-2008, 07:05 PM
phool jab shakh sai girta hai bikher jata hai
patiyan sokhti hian toot kar auur jati hian

betiyan phool hian maan bap ki
shakhoon par janam leati hian

maan ki aankhoon ki chamak banti hian
bap kea dil ka sukoon hoti hian

ghar ko janat sa bana deti hian
har qadam piyar bicha deti hian

betiyan phool hoti hian
jab bichernay ki gharee aati hai
gum kea rangoon main khoshiyan aati hain
aik ghar main tu uterti hai udasi
dosrea ghar ko sanwarnay ka yaqeen hota hai
betiyan phool hoti hian
aik shakh sai kati hian hian magar
sokhti hian na kabhi tot ti hian

aik nanhi shakh pay kuch aur
nain phool khelati hian
betiyan phool hoti hian

Emaan_88
12-27-2008, 07:11 PM
Akser sochta hon qalam se apni mohabbat ki kahani likhon
jab kabhi likhne ki kosish kerta hon
kalam aur dil mera sath nahi detey
na jane kyun dono hi mujhe shikast de detey hain
hazaron lamhe sekron batain kayi arman kayi tanha shamain
jab kabhi likhne ki koshish kerta hon
kalam in bataon ko zinda hone nahi deta
mere peheli mohabat meri peheli shikast
ke afsaney mere sapne aur tumhari yadain
jo mere dil mien kahin khoye howe hain
kalam in afsanoo ko kisi ke samne ane nahi deta
acha hi hai ke yeh dastan abb tak mere dil mien dafan hai
agar in afsanoo ko kagazon per likh don tu jane kya hojaye
darta hon kahin pardne wala na khojaye
agar humhari dastan dunia k samne ajaye
agar mere bebasi tumhari majbori samne ajaye
parne walon k khayalon ko bhi humhara khayal ajaye
is leye acha hai yeh dastan-e-mohabat humhari chahat ke afsane
kahin andheyron mien kho jaye

Hussain
12-27-2008, 07:32 PM
bht khoob;)

Emaan_88
12-27-2008, 07:46 PM
Tumhari Yaad Ki Shama Hamarey Dil Main Roshan Hai...
Issey Khud Hi Bhuja Jana Kabhi Aana Hawa Ban Kar...

Tumhari Aarzo Ki Hai Kabhi Manga Hai Jo Rab Se ...
Merey Hontoon Pe Rahti Ho Meri Jaan Tum Dua Ban Kar...

Tumharey Khuwab Main Dhaikhoon Tumhein Main Raat Din Soochoon...
Ager Yeh Juram Hai Jana! To Aa Jana Saza Ban Kar...

Kaho To Aaj Batla Doon Tumhein Kiun Dhaikhta Hoon Main...
Jo Aati Ho Aadaon Se To Jati Ho Qaza Ban Kar...

Faseel-e-jaan Ager Sir Ho To Pohnchein Terey Koochey Main...
Teri Chokhtat Pe Ja Bhaithoon Muhbbat Ka Gadha Ban Kar...

Yeh Chara Ger Bhala Kaisey Merey Is Marz Ko Samjhein ...
Main Bemar-e-muhabbat Hoon Tum Aa Jao Shafa Ban Kar...

Mujhe Kamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Aik Din ...
Tumharey Dil Main Utroon Ga Muhabbat Ki Sada Ban Kar...

Merey Josh-e-janoon Per Sari Khalqat Muj Ko Takti Hai...
Zara Tum Bhi Nazer Dalo Na Bhaitho Yun Khuda Ban Kar...

Tumhein Yeh Raaz Batla Doon K Akser Chaand Ratoon Main ...
Terey Aangan Main Aata Hoon Sitaroon Kia Zaya Ban Kar...

Jiger Ka Khoon Laya Hoon Terey Singhar Ki Khatir...]
Hathaili Per Racha Laina Yeh Mahkey Ga Hina Ban Kar...

Tumhein Jab Yaad Karta Hoon To Kaisey Jaan Sulagti Hai...
Tumhein Bhi Tars Aaye Ga Kabhi Socho Raza Ban Kar.

Emaan_88
12-27-2008, 07:49 PM
aansooun ki wadi main
dil nazuk rehtay hain
jo choot kha kar bhi
kuch kar nahi patay hain
in aansooun ki wadi main
dheeray say chalnay
yahan kaii dil hain
jo toot gatay hain
in masoom dilloun ko
jab rah na millay
affsurda si niggahon say
hassrat main gungonatay hain
in dukhi dilloun ko
koi dukh na dayna
yah aansooun ki wadi hai
yahan khammosh rehna
prinday bhi rootay hain
aur chup chaap say rehtay hain
phool jo khiltay hain
murgha say gatay hain
har chahra yahan pay
ghamzada sa hai
har aankh yahan pay
soogi hoi hai
yah aansooun ki wadi hai
yahan tum na aana
yahan weeran dil bastay hain
yahan tum na basna..

Hussain
12-29-2008, 12:41 PM
nyc sharing;)

Hani
01-11-2009, 05:34 PM
nice

-|A|-
01-13-2009, 03:37 PM
EMAAN VERY nICE..!!

dont depend on others
01-13-2009, 04:39 PM
nice buddy

ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 10:18 AM
very nice collection emaan jee

-|A|-
01-15-2009, 05:50 PM
AHAAN pICE LASH YAAR

-|A|-
01-22-2009, 08:57 PM
very Good

ShArArTi MuNdA
01-22-2009, 10:58 PM
nice collection

-|A|-
01-30-2009, 04:57 PM
very nice

Dast-e-Tanhai
02-02-2009, 10:24 PM
veryyyyyyyyy nice

Dast-e-Tanhai
02-04-2009, 03:44 PM
veryyyyyyyyyyy niceeeeee
i like it

!«╬Ĵamil Malik╬«!
02-04-2009, 08:59 PM
nyc collection janab

Hani
02-05-2009, 04:19 AM
nice

Hussain
02-06-2009, 07:02 PM
nyc

Hussain
02-06-2009, 07:02 PM
gud keep it up

Dast-e-Tanhai
02-07-2009, 08:16 PM
nice

Hussain
02-08-2009, 12:50 PM
nyc:p

madiha
02-08-2009, 03:03 PM
Good

Dast-e-Tanhai
02-08-2009, 09:30 PM
bohat kamal ki hy
very nice

!«╬Ĵamil Malik╬«!
02-22-2009, 09:26 PM
nce collection

safa
03-01-2009, 05:06 PM
very nice

life
03-26-2009, 06:56 PM
nice..

K@IN@@T
04-22-2009, 02:39 PM
hmmmmmmmmm nice collectoin emaan sis

Zara_Ansu
04-22-2009, 09:20 PM
very nice

Irfa
04-24-2009, 05:09 PM
nice

K@IN@@T
04-26-2009, 09:12 AM
nice collection emaan

Irfa
04-27-2009, 03:59 PM
nice

FAJAAN
07-13-2009, 08:02 PM
nyce

CaReLeSs
09-13-2011, 10:53 PM
Kia baat hai jeee (y)
k33p it up..

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.