Log in

View Full Version : My collection of poetry


Pages : 1 [2] 3 4

Emaan_88
12-10-2008, 08:21 PM
Bulaatii hai jo paas apnay kuch aesi thi adaa tum main
Tumharay hi ishaaray say huway hum mubtela tum main

Buhat kuch yaad aayaa thaa tumhaari muskurahat say
Woh rut thii charhhtay saalon ki, kashish thii be-baha tum main

Emaan_88
12-10-2008, 08:21 PM
Poochtay hain keh kya huwa dil ko
Husn walon ki saadgii na gaii

Aur sub ki hikayetain keh diin
Baat apnii magar kahi na gaii

Emaan_88
12-10-2008, 08:22 PM
Aasoon Ko Ankhon Ki Dehleez Par Laya Na Karo
Apne Dil Ki Haalat Kisi Ko Bataya Na Karo
Log Mutthi Bhar Namak Liya Ghooma Karte Hain
Apne Zakhm Kisi Ko Dikhaaya Na Karo

Emaan_88
12-10-2008, 08:23 PM
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Kisey majaal kahey koi mujh ko deewana
Agar yeh tumney kaha hai to koi baat nahi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mera Naam Tuk Jo Na Ley Saqa
Jo Mujhey Qarar Na Dey Saqa
jissey Ikhtiyaar Tu Tha Magar
Mujhey Apna Piyaar Na Dey Saqa
Wahi Shaks Meri Talash Hai
Wahii Dard Meri Hayaat Hai
Jo Chala Gaya Mujhey Chour Kar
Wahii Ajj Tuk Mere Sath Hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
sab k hontoon pay tabasum tha mere qatal k bad
janay kia sooch k rota raha mera qatil...

Emaan_88
12-10-2008, 08:23 PM
Palbhar mein tut jaye who kassam nahi,
Dosti mein bhool jaye woh hum nahi,
Tum bewafa bano is baat mein dum nahi,
Kyuki hamari wafa bhi kuch kum nahi

Zahar deta hai mujhe koi dava deta hai
Jo bhi milta hai mere gam ko badha deta hai.
__________________

Emaan_88
12-10-2008, 08:24 PM
Hai ye mumkin talab ghah-e-mohabbat mein khabi
Dil ki gharayoon sey tu nay mujhe khabi chaha hi na ho
Ummar bhar sath chalain,saath jeeyen,saath rahain
Inn duaaon key liye khabi haath uthaya hi na ho

Emaan_88
12-10-2008, 08:24 PM
Na seo hont na khawabon mein sada do hum ko
Maslehat ka yeh taqaza hai bhula do hum ko
Jurm-e-suqrat sey hat ker na saza do hum ko
Zehr rakha hai tou yeh aab-e-baqa do hum ko
Hum haqeeqat hain tou tasleem na karnay ka sabab?
Han agar harf-e-ghalat hain tou mita do hum ko
__________________

Emaan_88
12-10-2008, 08:25 PM
Tum rooth jaoo mujh sey aisa kabhi na karna
Mein ik nazar ko tarsoon aisa kabhi na karna

Mein pooch pooch haroon sau sau sawal ker key
Tum kuch jawab na do aisa kabhi na karna

Mujh sey he mil ke hansna mujh sey he mil key rona
Mujh sey bichar key jee lo aisa kabhi na karna

Tum chand ban key rehna mein deakhta rahoon ga
Kisi roz tum na niklo aisa kabhi na karna

Tum chale jaoo jub bhi deakhoon tumhra rasta
Tum lout ke na aao aisa kabhi na karna

Emaan_88
12-10-2008, 08:25 PM
banana sanwarna achcha nahien lagta
bay sabab hunsna achcha nahien lagta
chand to hay bay hajab
her annkh main uterna achch nahien lagta
tum hee aawo to kuchch baat banay
ab kissi aur ka samana achcha nahien lagta
sabah nay kaha mousam nay angrrai lee hai
tum bin mousam suhana achcha nahien lagta
pamenay bay assar hain teree aankhun kay samnay
saaqi kay haath say peena achcha nahien lagta
khazaan parasti main guzree hai ummer saghar
ab inn bahaaroun say uljhana achcha nahien lagta

Emaan_88
12-10-2008, 08:25 PM
TUM MUJHAY YAAD TO NAHI AATAY
HAAN MUJHAY YAAD TO NAHI AATAY

HAAN MAGAR JAB BHI SAANS LETAA HOON
KHUSHBOO KI TARHA SAANSOONMAIN
ROZ TUM BIKHARTEE HO
ROOH MAIN HAR DAM UTARTEE HO

TUM MUJHAY YAAD TO NAHI AATEE
JAB KARI DOPAHAR MAIN SOORAJ KA
AKS MERAY BADAN PAY PARTA HAY
SAAYA BAN Ker SAATH SAATH CHALTEE HO
TUM MUJHAY YAAD TO NAHI AATAY
RAAT KI ZULF JAB BIKHARTI HAY

SAPNA BAN kER
MERI SOONI AANKHOON KI
ROOSHNI BHI BANTAY HO
HAR GHARI MERAY SAATH RAHTAY HO
TO TUMHAIN KAISAY YAAD KAR LOON MAIN

BHOOL JAOON TO YAAD KAR LOON GAA
TUM MUJHAY YAAD TO NAHI AATAY
HAAN MUJHAY YAAD TO NAHI AATAY.................... !

Emaan_88
12-10-2008, 08:26 PM
u nay roka bhi nahin aur woh tehra bhi nahin
Hadsa kai hwa jise dil ney bhulaya bhi nahin
Woh to sadioon ka safar kar key wahan poncha tha
Tu nay jis shakhs ko moun phair key deakha bhi nahin

Emaan_88
12-10-2008, 08:26 PM
Aasoon Ko Ankhon Ki Dehleez Par Laya Na Karo
Apne Dil Ki Haalat Kisi Ko Bataya Na Karo
Log Mutthi Bhar Namak Liya Ghooma Karte Hain
Apne Zakhm Kisi Ko Dikhaaya Na Karo
__________________

Emaan_88
12-10-2008, 08:26 PM
Tang aa chuke hein kashmkash-e-zindagio sey hum
Thukra na dein jahan ko kaheen be-dil sey hum

Mayoos-e-maal-e-mohabat na poochyea
Apnon sey paish aye hein be-gangi sey hum

Lo aaj hum ney toor diya risht-e-umeed
Lo ab kabhi gila na kerein gein kisi sey hum

Emaan_88
12-10-2008, 08:26 PM
Socha na thaa teri ulfat mey aisee thokar khaayenge
Pyar kee duniya mey saans lene sey pahle hi mar jaayenge
Ab pataa chala ke Ishq ek Khel hai koi jasbaat nahi
Aur kitney dil yaha jeete aur haarey jaayenge
Chahta tau hu magar aasaan nahi tuje bhoolna
teri yaadon ke sahare yuhi din kat tey jaayenge

Emaan_88
12-11-2008, 12:08 PM
ROONA BHI JO CHAHAIN TO WOOH ROONAY NAHIN DEETA
WOOH SHAKS TO PALKAIN BHI BHIGOONAY NAHIN DEETA

WOOH ROOZ RULAATA HAY HAMAAIN KHUAAB MAIN AAKER
SOONA BHI CHAHAIN TO SOONAY NAHIN DEETA

YEEH KIS K ISHARAY PAY UMAAD AAYE HAIN Mani!
HAY KON JO BARISH KABHI HOONAY NAHIN DEETA

AATA HAY KHAYALOON MAIN MERAY KON YEEH AKSER
JO MUJH KO KISI OR KA HOONAY NAHIN DEETA

IS DER SAY K TOOR KAY AANSOO NA BAAHAIN
BACHOON KO MITTI KAY KHILOONAY NAHIN DEETA

AIK SHAKS HAY HAY AAISA MEERI BASTI MAIN ABHI TAK
JO BOOJH AKALAY MUJHAY DHOONAY NAHIN DEETA

MAIN HOON K BAHATA HOON TEERI YAAD MAIN AANSOO
TOO HAY K ASHKOON KO PIROONAY NAHIN DEETA

WOOH CHERA AJAB HAY JISSAY PAAKER MAIN ABHI TAK
KHOONA BHI CHAHOON TO WOOH KHOONAY NAHIN DEETA

THAAMAY HUAY LEHROO KI HUSN-E-BAAG KOI TOO
SAAHIL KO SAMADER MAIN DABOONAY NAHIN DEETA

Emaan_88
12-11-2008, 12:09 PM
Zakhm De Ker Malaal Matt Karna
Yaar Mera Khayyal Matt Karna

Jaag Ker Tum Siyaah Raatoun Mein
Maand Apna Jamaal Matt Karna

Haal-E-Dil Janana Nigahoun Sey
Lub Sey Koi Sawaal Matt Karna

Na Kabhi Khoon K Ashk Tum Rona
Zeest Apni Muhaal Matt Karna

Hijr Ki Raat Gar Muqadar Hai
To Phir Shouq-E-Wisaal Matt Karna

Bawafa Bhi Raho Sitamger Bhi
Koi Aisa Kamaal Matt Karna

Zindagi Ban Gayee Sazaa "Mohsin"
Marr Gaya To ´Malaal Matt Karna

Emaan_88
12-11-2008, 12:10 PM
Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai

Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa ?
Mujhay tu khair taira intazaaar karna hai

Hawa ke zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh
Kabhi yeah jashan sar rah'guzaar karna hai

woh muskura kay naye waswasoon mein daal gaya
Khayaal tha ke ussay sharamsaar karna hai

Misaal e shaakh e barhana khizan ke rut mein kabhi
Khud apnay jisam ko bay barg o baar karna hai

tairay firaaq mein din kiss tarhaan kattain apnay
Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai

Chaloo yeah ashak hee moti samajh kay baich ayain
Kissi tarhaan tu humain rooz'gaar karna hai

Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

Khuda khabar yeah koi zid keh shouq hai Mohsin
Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna ha

Emaan_88
12-11-2008, 12:14 PM
laboN pe phool khiltay haiN kisi ke naam se pahle
diloN ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahiN pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle

yahi taare tumhaari aankh ki chilman meiN rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle

hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokaiN nawaah-e-daam se pahle

ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle

huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle

Emaan_88
12-11-2008, 12:17 PM
usey kehna
kabhi milney chala aaye
hamare paon main jo raasta tha
raaste main peir they
peiron main jitni tairon ki toliyan
hum se mila karti theen
woh ab urtey urtey thak gayi hain

Emaan_88
12-11-2008, 12:18 PM
woh chanchal albeli lerki meri nazmain yun perhti hai
jaisay un nazmon ka mehwar
us ki apni zaat nahi hai,
(yani itni sundar lerki aur koi bhi ho sakti hai!)
jaisay us ko ilm nahi hai yeh sari batain ,us ki hain
sari ghaatain us ki hain
her aahat hai us ki aahat, sab saaye hain us kay saaye
sarey mehmal us k hain
her khushbu hai us ki khushbu, sab chehray hain us kay chehray
saarey aanchal us kay hain
jaisay us ko ilm nahi hai us lerki kay saarey kaam
saarey naam usi kay hain
her khirki hai us ki khirki, sarey baam usi kay hain
us lerki kay naam say jo kuch main nay apnay naam likha hai
us say hi mansoob hua hai
(shayed mera waham ho lekin main nay yeh mehsoos kia hai)
jab main nazam sunaata hoon woh aankh churaney lagti hai
mujh say nazrain mil jaayen to wo shermaney lagti hai
kuch lamhay woh chanchal lerki gum sum si ho jati hai
lekin thori der main phir say pather ki hojati hai
jaisay meri nazam ki lerki!!

Emaan_88
12-11-2008, 12:18 PM
Mohabbat aik khushbo hain,humesha saath chalti hai
Koi insaan tanhai main bhi tanha nahi rehta
Koi badal haray musan ka phir elaan karta hai
Khizaan k bhaagh main jub aik bhi patta nahi rehta

Emaan_88
12-11-2008, 12:18 PM
Jis din say tum ko deakha hai
Main aksar soacha karti thi
Tum kaisay ho tum kaisay ho
Tum phool ho ya ho Qos-e-qaza
Tum chand sitaroon jaisay ho
Tum ujli dhoop ho sarma ki
Ya rim jhim ka musam ho
Tum kaisay ho tum kaisay ho
Kal raat main bilkul tanhi thi
Kal raat ye mujh oay bhaid khula
Main maan gaye main maan gaye
Tum kaisay ho tum kaisay ho
Tum meray dil main rehtay ho
Tum bilkul meray jaisay ho

Emaan_88
12-11-2008, 12:19 PM
Bay kinar jazbon ko kab kinar milta hai
Bay qarar sochon ko kab qarar milta hai
Bay diyar logon ko kab diyar milta hai
Aaj kis liya tum ney ye sawal pochay hain
Aik pal ko sochoto
Bay khabar parindon ko
Kab hawayin deti hain
Khushboon ka sandaisa
Ajnabi jazeeron ka kab pata batati hain
Un ko un kAY honey ka kab yaqeen dilati hain
Tum ney jo bhi pocha hai
Hum jawab dene ka
Hoosla ager rakhtey
Muztarib he kyun hote

Emaan_88
12-11-2008, 12:27 PM
duniya hay kia
may nay jana nahi
log yahan pahchana nahi
agay meetah gool kar sathi ban jatay hayn
peechay hamary dushman
bari bari batay yah banatay sabhi
kam yah kabhi kisi k aatay nahi
aagay meetha bool kar sathi ban jatay hayn
peechay hamaray dushaman
piyar jab karo ....
soch lo dhoka hay is may bhi
dil ....
janoo ko apna u hi nahi dayna kabhi
piyar nay jo chora dil toot jay ga
dukhi man phir kahan bus paay ga
aagay meetha bool kar sathi baun jatay hayn
peechay hamary dushamn

Emaan_88
12-11-2008, 12:28 PM
Teri dosti hum is tarah nibhayenge,
Tum roz khafa hona hum roz manayenge,
Par maan jana manane se,
Warna yeh bheegi palkein le ke kaha jayenge.

Emaan_88
12-11-2008, 12:29 PM
Dil mai na ho Jurrat to Mohabbat nahi milti
Khairaat mai itni bari Daulat nahi milti

kuch Log yun hi Shahar mai Hum se bhi Khafaa hain
Her ek se Apni bhi Tabiyat nahi milti

Dekha tha jise mai ne koi aur thaa shayad
Wo kaun hai jis se Terii surat nahi milti

Hanste hoye Chehron se hai Baazar ki Zeenat
Rone ko yahan Wese bhi fursat nahi milti

Emaan_88
12-11-2008, 12:29 PM
mansab na kulaah chaahtaa huuN
tanhaa huuN gavaah chaahtaa huuN

ai ajr-e-aziim dene valee
taufiiq-e-gunaah chaahtaa huuN

daRtaa huuN bahut bulandiyoN se
pastii se nibaah chaahtaa huuN

vo din ke tujhe bhii bhuul jaauuN
us din se panaah chaahtaa huuN

Emaan_88
12-11-2008, 12:29 PM
Tujhe dekhay bina mujhe neend nahi aati
Tujhe sonay bina mujhe chain nahi aata
Main aik aag hoon jo pani ka pyaasa hai
Main aik jism hoon jo dil ka pyaasa hai
Tujhe bhoolna namumkin se namumkin hai
Tujh se judai main soch bhi nahi sakta hoon
Tujhe paana meri tammana hai
Tujhe khoodenay ka darr bayhad hai
Main kerta hoon tum se pyar itna
ke ik nazar mein sab keh dalti hoon
Tujhe dekh ke aik sukoon sa aata hai
Tujhe se juda honay ka darr har waqt laga rehta hai
Na janay kyon main tujhe ko chahta hoon is kadar
Ke ik baar tujh mein khoo jana chahta hoon
Tujhe takleef mein dekha na jaii
Meray ashqoon se pani beh jai
Tujhe dekhay bina mujhe neend nahi aati
Tujhe sunay bina mujhe chain nahi aata.

Emaan_88
12-11-2008, 12:30 PM
Zinda Dil Hain Hans Kar Do Ghum Seh Lainge
Har Ghum Mein Uska Saath Ho....
Yeh Zaroori To Nahi....


Yoon To Woh Bohat Wafashaar Hain Magar Phir Bhi
Har Kadam Pe Wafa Karein...
Yeh Zaroori To Nahi....


Hosle Aur Bhi Bhar Jainge Shikast K Baad
Jeet Yahan Sada Hamari Ho...
Yeh Zaroori To Nahi...


Shiddat-e-Ghum Mein Insaan Ro Bhi Daita Hai
Samne Uska Aanchal Ho...
Yeh Zaroori To Nahi ...


Nazrain Thi Buss Kya Karti Pathar Ho Gayeen
Uske Baad Kisi Aur Ko Dekhein...
Yeh Zaroori To Nahi...


Hum Ne Hamesha Usse Dil se Chaaha
Woh Bhi Hamain Chahe Dil se...
Yeh Zaroori To Nahi....

Emaan_88
12-11-2008, 12:31 PM
aunkh piyaasiee hay koee manzar day

is jazeeray ko bhee sumandar day

apna chehraa talaash karnaa hay

agar nahii ayenaa tu pathar day

band kaliyoon ko chaahiay shabnam

in chiraagoon main roshnee bhar day

pathroon kay saroon say karz utaar

is sadee ko koeee payamber day

qahqahoon main guzar rahee hay hayaat

ab kissii din udaas bhee kar day

phir naa kahnaa kay khud kushee hay gunaah

aaj fursat hay faisalaa kar day

Emaan_88
12-11-2008, 12:33 PM
Hai ulfat ki baat.. jo tum pahle samajh jati,
Na baharo ki mahfil.. humein tanha tanha rulati,

Sitaro ki chamak.. chand aane par bhi aati hai,
Andhero me, ujalo me.. teri surat nazar aati hai,

Yoon to armano ka aansoo bhara pyala.. bhi main tod to deta,
Nazaro ki wo akhri hasin tammanaye.. bhi main chhod to deta,

Main tanha tujhse door ik pal bhi.. ab rah nahi sek'ta,
Khamoshi se main dharkanoo se tujhko.. door kar nahin sekta,

Nahi dar iska mujhko ki.. tumjhe main paoun ya na paoun,
Hai dar iska ki maujhko ki.. tujhko main bhool na jaaoun,

Main chehra tera dil mein apne.. rakh'na nahi chahta,
Teri galo ki surkhiyaan.. aansuon se bhigona nahi chahta,

Jo agar tujhko dil mein apne.. main saja lunga,
Dar hai in hatho se kahin aur.. nai duniya ba'sa lunga,

Meri bewafai tujhko.. phir yoon hi tadpayegi,
Tu chahe phir kitna bhi.. mujhe na yoon yaad ayegi,

Emaan_88
12-11-2008, 12:33 PM
Dil k qisse ajeb ajeeb hote hain
Har qadam par habeeb hote hain

Shaam dhalte he chandni pheli
Yaad k gham bhe ajeeb hote hain

Phool ka rishta jaise khushbu se
Yun woh dil k qareeb hote hain

Jin k lehje mae ho maseehai
Aise bhe khuch tabeeb hote hian

Aise kuch log bhe jahaan mae hain
khud jo apne raqeeb hote hain

Jin ko apne samajh nhi paate
Woh bohat bud naseeb hote hain

DIL K RISHTE AJEEB HOTE HAIN..

Emaan_88
12-11-2008, 12:33 PM
Khuda salamat rakhe unko joh humse Nafrat karte hai,
Pyar na sahi, Nafrat hi sahi, Kuchh toh hai,
joh sirf Humse karte hain

Emaan_88
12-11-2008, 12:34 PM
" Har raat nashe me hote hai,
aur raat gujar jaati hai,
ek din aisa ayega,
raat nashe mai hogi,
aur ham gujar jaayenge"

Emaan_88
12-11-2008, 12:34 PM
Tujhe..

Tujhe dekhay bina mujhe neend nahi aati

Tujhe sonay bina mujhe chain nahi aata

Main aik aag hoon jo pani ki pyaasi hai

Main aik jism hoon jo dil ka pyaasa hai

Tujhe bhoolna namumkin se namumkin hai

Tujh se judai main soch bhi nahi sakti hoon

Tujhe paana meri tammana hai

Tujhe khoodenay ka darr bayhad hai

Main kerti hoon tum se pyar itna

ke ik nazar mein sab keh dalti hoon

Tujhe dekh ke aik sukoon sa aata hai

Tujhe se juda honay ka darr har waqt laga rehta hai

Na janay kyon main tujhe ko chahtiin hoon is kadar

Ke ik baar tujh mein khoo jana chahtiin hoon

Tujhe takleef mein dekha na jaii

Meray ashqoon se pani beh jai

Tujhe dekhay bina mujhe neend nahi aati

Tujhe sunay bina mujhe chain nahi aata

Emaan_88
12-11-2008, 12:36 PM
shikasta dil hua zakhme tujhe khaber nahe
meri chahtoon ka tere dil per aser nahe

tu ne kha tha sath guzar dein gey zindagey
khetey hain aaj tu mera hum safer nahe

hokey juda tumse ek shakhs mar gaya
sun ker kaha tu ney ye bari khaber nahi

khuley thumare leye hi ye mere dil ke rastey
her kisi ke leye jo yaa khul jaey yaa wo raha guzar nahe

logg khatey hain tujhe kuch nahe miley ga..........
mai ye khati hon ke chahat mere be samer nahi

Emaan_88
12-11-2008, 12:36 PM
sab se chupa kar dard jo woh muskura diye....
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diye.....

lehje se uth raha tha har ek dard ka dhuaan...
chera bata raha tha k kuch ganwa diya...

aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi...
or keh rahe the k mein ne sab kuch bhula diya....

jane kya us ko logon se thi shikayatein. ...
tanhaiyon ke dais mein khud ko basa diya...

khud bhi woh hum se bichad kar adhure se ho gaye....
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana gaye....

Emaan_88
12-11-2008, 12:37 PM
Rahe-Rahe kar unki yaad aye toh kiya kare
unki yaad dil se na jaye toh kiya kare
shocha tha khwab me hogi mulakat
hume neend hi na aye toh kiya karein....

Emaan_88
12-11-2008, 12:37 PM
Khary Chaman Thay Shabnam Shabnam,
Phool Bhi Saray Geelay thay
Shaakh Se Toot K Girnay Walay
Sab Pattay Bhi Peelay Thay
Saray Sapairay Ghoom rahay Hain
Weeranun Main Been Liyay
Aabadi Main Rehnay Walay
Sannp Baray Zehreelay Thay

Emaan_88
12-11-2008, 12:38 PM
Rah-e-HaQ may hum-nasheen Posheeda hai Raaz-e-Hayat
Kiyun tayri Nazroon se ...Ye Ojhal Rahi ....Aasan Baat.......
Hai Musalmano Ki Khatir... Deen ik.... Ramze-Hayat...........
Pa gaya gar Deen-e-BarHaQ.... Pa gaya Raaze-Hayat........

Emaan_88
12-11-2008, 12:38 PM
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki TarahPhool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya BankerMeri Jaagi Hoe Raaton Ko Usi Ki Hai Talash So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna BankerDil Kay Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki TarahMeray Hontoon Pay Machalta Hai To Naghma Banker Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki ChamakRouh Main Phail Giya Hai Woh Ujala BankerMera Kiya Hall Hai Yeh A Kay Kabhi dekh To LayJee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vadah Banker Dhoup Main Khou Giya Woh Haath Chhura Kar AngelGher Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya BankerKabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma BankerHum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

Emaan_88
12-11-2008, 12:39 PM
Khulay paray hain meri zindagi k saray wark
Na janay kub koi aandhi ura k lay jaye

Kisi ka dard kahan tak main apnay pass rakhoon
Ye jis ka hai woh nishani bata k lay jaye

Emaan_88
12-11-2008, 12:39 PM
Khulay paray hain meri zindagi k saray wark
Na janay kub koi aandhi ura k lay jaye

Kisi ka dard kahan tak main apnay pass rakhoon
Ye jis ka hai woh nishani bata k lay jaye

Emaan_88
12-11-2008, 12:41 PM
Main apna aaj apna kal tumharay naam karti hoon
Main is jeewan ka har aik pal tumharay naam karti hoon

Sitaray,titliyaan,jugno,gul-o-bulbul,dhanak khushbu
Ye saray husn ki chilman tumharay naam karti hoon

Barasta bheegta musam hai kamzori meri lakin
Main ye sawan,ghata badal tumharay naam karti hoon
__________________

Emaan_88
12-11-2008, 12:41 PM
Main apna aaj apna kal tumharay naam karti hoon
Main is jeewan ka har aik pal tumharay naam karti hoon

Sitaray,titliyaan,jugno,gul-o-bulbul,dhanak khushbu
Ye saray husn ki chilman tumharay naam karti hoon

Barasta bheegta musam hai kamzori meri lakin
Main ye sawan,ghata badal tumharay naam karti hoon
__________________

Emaan_88
12-11-2008, 12:42 PM
Kuch batain ankahi rehnay do
Kuch batain an suni rehnay do
Sub batain dil ki keh deen
Phir baki kia reh jaye ga
Sub batain us ki sun leen
Phir baki kia reh jaye ga
Abhi aik baykali rehnay do
Aik rangen anbani dunia par
Aik khirkhi ankhuli rehnay do

Emaan_88
12-11-2008, 12:44 PM
Din ko Masmaar hoye Raat ko Tameer hoye
Khwab hi Khwab FaQat Rooh Main Jageer hoye

Omer bhar Likhtay Rahay Phir bhi WARQ sada raha
Jane Kia Lafz thay Jo Hum Se na Teh'reer hoye

__________________

Emaan_88
12-11-2008, 12:44 PM
khvab marte nahin
khvab dil hain na ankhen na sansen k jo
reza-reza hue to bikhar jayenge
jism ki maut se ye bhi mar jayenge

khvab marte nahin
khvab to raushani hain, nava hain, hava hain
jo kale paharon se rukte nahin
zulm k dozakhon se bhi phukate nahin
raushani aur nava aur hava k alam
maqtalon main pahunch kar bhi jhukate nahin

khvab to harf hain
khvab to nur hain
khvab to suqrat hain
__________________

Emaan_88
12-11-2008, 12:44 PM
Woh khaloos tha k khumar tha
Woh janoon tha k saraab tha
Mujhay sochney mein zaman laga
Mujhay munzilon nay bhoola diya
Mujhay jis masiha pay maan tha
Mujhay us nay sooli charha diya

Kai humsafar kai rahguzr
Mujhay rastey main miley magar
Meri tushnagi kuch aur hai
Meri justajoo koi aur hai

Woh jo roshni ki tarha barhey
Magar ansuon main sama sakey

Jo subha ki pehli kiran banay
Mere dil ka aangan nikhaar day
Jo muhabbaton ki ravaytein
Laho ki bali se sanwaar day
Mujhay us wafa ki talaash hai
Mujhay us wafaki talaash hai

Magar is jahan-e-kharab main
Yahan khahishon ke saraab main
Mujhey kaun day aisy wafa
Mein kahan se laoon woh wafa
Inhi uljhanon main ghira hua
Yehi sochta main chala gaya..............!!

Emaan_88
12-11-2008, 12:44 PM
Kabhi Waqt Milay tou ajao
Hum jheel kinaray ja baithay
Tum apne sukh ki baat karo
Hum apnay dukh ki baat karein
Aur un lamhoo ki baat karain
Jo sung tumhare beet gaey
Aur aahad-e-khiza ki nazar huea
Hum shaher-e-kharaba k bassi
Tum chand sitaron ki malka

Kabhi waqt milay tou ajaoo
Hum jheel kinaray ja baithain

In sabz rootoun k daman main
Hum pyaar ki khushbo maheka'ey
In bhikhray mast nazaroon ko
Hum ankhon main tasveer karein
Pathher pay girtay paani ko
hum khuwaabon say tabeer karain
Us waqt k dobtay suraj ko
Hum chahat ki jageer karein
Phir apnay pyaar k jadoo say
In lamhoo ko zanjeer karain

Kabhi waqt milay tou ajaoo
Hum jheel kinaray ja bathain...........!!

Emaan_88
12-11-2008, 12:45 PM
Main Hoon Is Shaher Main Takheer Say Aaya Howa Shaks

Mujh Ko Ak Or Zamanay Main Bari Dair Lagi

Ye Jo Mujh Pay Kese Apnay Ka Gumaa Hota Hai

Mujh Ko Esa Nazar Aanay Main Bari Dari Lagi
__________________
Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad*

Emaan_88
12-11-2008, 12:45 PM
Han Chlo Jhoot Sahi waday wafa Ho Jaatay

Yun Bichartay K Meray Lab Pe DUA ho jaatay

Kia Zaroorat thi Zamanay ko Khabar karnay ki

GHAR jalana tha to Chupke Se DIA ho jaatay

Emaan_88
12-11-2008, 12:46 PM
Na dosti say rahay na dushmani say rahay
Humay tamaam gilay apni aagahi say rahay

Woh pass aayen tou koi mouz-e-guftugu na milay
Woh lout jaye tou har guftugu ussi say rahay

Emaan_88
12-11-2008, 12:46 PM
Na dosti say rahay na dushmani say rahay
Humay tamaam gilay apni aagahi say rahay

Woh pass aayen tou koi mouz-e-guftugu na milay
Woh lout jaye tou har guftugu ussi say rahay

Emaan_88
12-11-2008, 12:47 PM
Younhi mosam ki adaa daikh k yaad aaya hay
Kis qadar jald badal jaatay hain insaan janaan

Hosh aaya tou sabhi khwaab they raiza raiza
Jaisay urrtay howay auraaq-e-preshaan janaan

Emaan_88
12-11-2008, 12:47 PM
Younhi mosam ki adaa daikh k yaad aaya hay
Kis qadar jald badal jaatay hain insaan janaan

Hosh aaya tou sabhi khwaab they raiza raiza
Jaisay urrtay howay auraaq-e-preshaan janaan

A L i
12-11-2008, 02:30 PM
Very Nice

Hussain
12-11-2008, 02:40 PM
very nice going eman

keep it up:)

Emaan_88
12-11-2008, 03:33 PM
Suno!
Tum Azm Walay Ho
Bala Ka Zabt Rakhtay Ho
Tumhain Kuch Bhi Nahi Hoga
Magar Dekho
Jisay Tum Chhoray Jatay Ho
Usay Tou Theek Se Shayad
Bichharna Bhi Nahi Aata
Suno!
Tum Azam Walay Ho
Usay Matt Chhor Ke Jao

Emaan_88
12-11-2008, 03:35 PM
Ya Rab! Gham e hijraan main itna to kiya hota
Jo haath jigar pay hai woh dast-e-dua hota
Ik ishq ka gham aafat aur us pay yeh dil aafat
Ya Gham na diya hota ya dil na diya hota

Emaan_88
12-11-2008, 03:35 PM
na shab o roz achay hain na haal acha hai
kisi jogi ne kaha tha ke ye saal acha hai
main ne pocha ke ye intizaar or kab tak
muskuraate hue bola ke "sawaal" acha hai !

Emaan_88
12-11-2008, 03:36 PM
Tuh Khush Rahe Toh Mein Muskuraunga
Kahin Bhi Ho Tu, Tujhe Naa Bhulaunga
Mere Gham Ka Tuh Dard Naa Lena
Ke Iss Dard Mein Bhi Mein Sukun Paunga

Emaan_88
12-11-2008, 03:36 PM
gum apni mohabbat main donon, nayaab ho tum nayaab hain hum,
kya hum ko khuli aankhain dekhain, ek khwaab ho tum ek khwaab hain hum..

kya mehshar-khaiz judaaii hay, kya wasl qayaamat ka hoga,
jazbaat ka ek sailaab ho tum, jazbaat ka ek sailaab hain hum..

aankhain jo apnay chehray par, ek saawan hay ek bhaadon hay,
aaey ghum ki nadi tu fikr na kar! es waqt bohat sairaab hain hum..

es waqt talaatum-khaiz hain hum, gardish main tumhain bhi lay lain gay,
es waqt na tayr aaey kashti-e-dil, es waqt to khud gardaab hain hum..

ek hans puraani yaadon ka betha howa kankar chunta hay,
tapti hoi hijr ki gharyon main, sookha howa ek talaab hain hum..

aaey chashm-e-falak! aaey chashm-e-zameen! hum log to phir aanay k nehi,
do chaar ghari ka sapna hain, do chaar ghari k khwaab hain hum...!!

Emaan_88
12-11-2008, 03:37 PM
wo jo sheshr-e-dil tha ujarr gya
wo jo khwaab tha bikhar gya
kabhi moasamon ki nazar lagi
kabhi waahmon ne daraa diya
kabhi manzilon k saraab ne
hamain rastay main daghaa diya
kabhi zindagi ki kitab se
hamain jis ne chaha mita dita diya
bus isi liye wo jo ja raha tha to duur tak
usay dekhtay hi rahay magar
nahi di sada
usay roktay bhi to kis tarah...!

Emaan_88
12-11-2008, 03:37 PM
Tere Firaq Ke Lamhay Shumaar Kartay Huay
Bikhar Gayai Hain Tera Intezar Kertay Huay
To Main Bhi Khush Hooon Koi Usse Ja Ke Keh Dena
Agar Woh Khush Hain Mujhe Beqarar Kartay Huay

Emaan_88
12-11-2008, 03:38 PM
Humko gali main dekh kar khud ko chupa liya
jaanay ye dushmanon ne usay kia sikha diya

ghar us ne kiya bana liya, masjid ke saamnay
Chahat ne uski humko namazi bana diya

Emaan_88
12-11-2008, 03:38 PM
Rahain tu kal yahi forum or ham hongay doston
Jo chal diya tu ya apna salam-e-aakhir hai.....

Emaan_88
12-11-2008, 03:39 PM
chand
bohut payer say
baad muddat
jab say kisi shaks ne chand keh kar bulaya hai mujhai
tab say
andehroon ki khugar nigahoon ko
har roshni achi lagne lage hai.................|||||

Paveen Shakir

Emaan_88
12-11-2008, 03:39 PM
Umeed -e- Yaas Ka Aalam Na Puchye Touba

Bahaar Ham Nay Guzari Hai Sada Khizaan Ke Tarah

Sitam Ke Aag Main Jalti Rahi Zameen Lakin

Tu Chup Chaap Dekhta Raha Aasmaan Ke Tarah

Emaan_88
12-11-2008, 03:39 PM
Kash woh Nagmae HumaY sunayee Na hote,

Aaj Unko Sun Kar Aansoo Na Aye hotay,

Agar Issi Tarha Bhool Hee Jaana tha,

to Itni Gehrai Saay DiL Main Samayee Naa hotay.....
__________________

Emaan_88
12-11-2008, 03:40 PM
Toot Parti Hai Naii Roz Khabar Shaam Kay Baad
Waqt Hota Hai Azaabon Main Baser Shaam Kay Baad
Meri Aankhaon Say Barastay Howay Darya'on Main
Doob Jaati Hai Teri Rah -e- Guzar Shaam Kay Baad

Emaan_88
12-11-2008, 03:40 PM
Hum ney kaantoN ko bhi narmii sey chuhwaa hey aksar
log be-dard heiN PhooloN ko massal detay heiN

Emaan_88
12-11-2008, 03:41 PM
Wada
--------------

Jab Jee Chahay Aa Jana

Dil Ke Baat Suna Jana

Main Sab Bateen Sun Loonga

Or Pher Teri Aankhoon Kay

Saray Taaray Chun Loonga

Emaan_88
12-11-2008, 03:42 PM
jo chal sako to koi esi chaal chal jana
mujhey guman' bhi na ho or tum badal jana
yeh shulagi ho badan ki to kya kia jaay?
so lazmi tha terey perehan ka jal jana
tumhin karo koi derman' yeh waqt aa punhcha
k ab to chara garon' ko bhi hath mil jana
abhi abhi to judai ki sham aai thi
humin ajeeb laga zindagi ka dhal jana
saji sajai hoi mot zindagi to nahi
morakhon' ney maqabir ko bhi mehal jana
yeh kya k tu bhi usi saa'at-e-zawal mein hai
k jis tarha hai sabhi sorajon' ney dhal jana
her eik ishq k baad or is ishq k baad
Faraz itna bhi asan na tha sanbhal jana

Emaan_88
12-11-2008, 03:43 PM
samay jesay guzerta ja raha hay
koi dil say uterta ja raha hay
bana tha retlee mitty say jeewan
bikherta hi bikherta ja raha hay

Emaan_88
12-11-2008, 04:40 PM
ye dasht-e-junoon ye pagalpan
ye peecha kerti ruswai
ye ranj-o-alam yeh hizn-o-malal
ye nala-e-shab yeh soz-e-kamaal
Dil main Kahin benaam chubhan
aur had-e-nazar tak tanhai
hum dasht-e-junoon k soda

Emaan_88
12-11-2008, 04:41 PM
Rehti Hai Shab-o-roz Merey Qalb-o-jigar Mein
Ek Aisi Khalish Jiska Koi Naam Nahin Hai
Meiney Hi To Maikhaney Ko Maikhana Banaya
Ab Merey Hi Hissey Mein Koi Jaam Nahin Hai!!

Emaan_88
12-11-2008, 04:44 PM
Yeh Joo Raat Din Ka Hai Khel Saa,Ussay Dekh Iss Pe Yakeen Naa Kar
Nahien Aks Koi Bhi Mustaqil Sar-e-Aaena, Ussay Bhool Jaa

Joo Bisaat-e-Jaan Hi Ulatt Gaya,Woh Joo Raastey Mein Palatt Gaya
Ussay Rookney Sey Husool Kya,Ussay Matt Bulaa Ussay Bhool Ja

Emaan_88
12-11-2008, 04:44 PM
Such jhoot teri ankh se ho jata hai zahir
Qasmein na utha, itni safai na dia kar


Door jain to laut ke atay nahin wapis
Har bar prindon ko rehai na dia kar
__________________

Emaan_88
12-11-2008, 04:45 PM
Nahi ab tou koi malaal bhi, kisi wapsi ka khayaal bhi
Gham-e-bekasi nay mita diya meray dil main tha agar koi

Tujhe kia khabar k raat bhar tujhay deakh panay ko ik nazar
Raha saath chand k muntazir teri khirkhiyoon k idher koi ..........!!
__________________

Emaan_88
12-11-2008, 04:47 PM
apni tanhai mere naam per abaaad kare
kon hoga jo mujh ko us ki tarha yaad kare
apnay qatil ki zahanat pe pereshaan hon mein
roz ek mout naye tarz ki ejaad kare
us ki mutthi mien bohat roz raha mera wajood
mere sahir se kaho abh mujhe azaad kare
__________________

Emaan_88
12-11-2008, 04:47 PM
Kabhi yaad aaye toui pochna zara apni khilwat-e-sham say
Kisay ishq tha teri zaat say, kisay piyar tha teray naam say

Humain bay-rukhi ka nahi gila,k yehi wafaon ka hai sila
Magar aisa jurm tha kon sa, k hum gaye dua-o-salam say

Na kabhi wisl ki chah thi, na kabhi firag main aah ki
K mera tareeka-e-bandagi, hai juda tareeka-e-aam say .............!!

Emaan_88
12-11-2008, 04:50 PM
Jahaan Phoolon Ko Khilna Tha, Waheen Khiltay To Achaa Tha
Tumhe Ko Hum Ne Chaha Tha, Tumhe Miltay To Achaa Tha
__________________

Emaan_88
12-11-2008, 04:51 PM
apane ki_e pe ko_ii pashemaan ho gayaa
lo aur merii maut kaa saamaan ho gayaa

aaKir ko ra.ng laa_ii.n merii begunaahiyaa.N
mujhako sataa ke vo bhii pareshaan ho gayaa

Emaan_88
12-11-2008, 04:53 PM
kabhi lot aayen tu poochnaa nehe daikhta unhain ghor say

Jnihain raastay main khabar huyee k ye raasta koi or hay.
__________________

Emaan_88
12-11-2008, 04:56 PM
Dard Mandon Say Na Pooch! k Kidher Baith Gaye?
Teri Majlis Main Ghanimat hay,Jidher Baith Gaye..!

Emaan_88
12-11-2008, 04:56 PM
Bewafa zindagi ne jab chhor diya hai Tanha
Maut ne pyar say pehloo mein bithaya mujh ko

mein Woh DIYA hoon jo mohabat ne jalaya tha kabhi
Gham ki aandhi ne sar-e-sham bujhaya mujh ko

Emaan_88
12-11-2008, 04:57 PM
Guruub-e-shaam hii se Khud ko yu.n mahsuus karataa hu.n
ki jaise ik diyaa hu.n aur havaa kii zad pe rakhaa hu.n

chamaktii dhuup tum apne hii daaman mei.n na bhar lenaa
mai.n saarii raat peDon kii tarah baarish mei.n bhiigaa hu.n

Emaan_88
12-11-2008, 04:59 PM
KaShtii Bhi Nahii Badlii Dariya Bhi Nahi Badla
Aur dOobney WaalOn Ka Jazba Bhi Nahi Badla
hAi ShOq e Safar Aisa iK Umr Sey YaarO
Manzil Bhi Nahi Paaii RaSta Bhi Nahi Badla

Emaan_88
12-11-2008, 05:01 PM
Ajnabi si rahon mein, dor tak nigahon mein
Teergi ka mosam hai, berukhi ka mausam hai

Aaj phir nigahon ko, bete kal ki pyas hai
Aisa lagta hai jese, chand phir udas hai

Emaan_88
12-11-2008, 05:01 PM
Dua maangi thi aashiyanay ki
Chal parein aandhiyan zamaanay ki
Mera gham koi na samajh paaya
Kyunke meri aadat thi muskuraanay ki..

Emaan_88
12-11-2008, 05:02 PM
woh boli gham hamesha sath deta hai museebat mai
mai bola ek zara tehro: mujhay kuch ghor say dekho

woh kahti hai kay mai to maang mai sooraj sajao ge
mai kahta ho kay sooraj ki wazahat ho magar pahlay

Emaan_88
12-11-2008, 05:06 PM
Mera Azm tO Tha bUland Tar Isey HaadsOn Ney Mitta Diya
Main mUsafatOn Mein Bikhr Gya mUjhey RaastOn Ney Ganwa Diya

Emaan_88
12-11-2008, 05:08 PM
Ana ki baat hai warna mohabbat ab b baki hai,
Usay meri mjhe uski zarorat ab b baki hai,
Koi mushkil agar darpaish aye laut ana tum,
Tumhare waste dil mie aqeedat ab b baki hai,

Emaan_88
12-11-2008, 05:08 PM
Rurm-ro waqt k dharay pay safeenay thay rawan
Saahil-o-bahar k aaieen na badaltay thay kabhi

Na khudaoon pay bharoosa tha na muqadra pay yakeen
Chaadar-e-aab say toufaan na ubaltay thay kabhi

Emaan_88
12-11-2008, 05:11 PM
may nay fas-loon ko mitaya wo juda-e kar gaya
kitna masoom tha wo laykin bay-wafa-e kar gaya

wo sikha gaya kis-e pay na ay-tibaar karna
kitni bura-e kar k ek achcha-e kar gaya

Emaan_88
12-11-2008, 05:11 PM
may nay fas-loon ko mitaya wo juda-e kar gaya
kitna masoom tha wo laykin bay-wafa-e kar gaya

wo sikha gaya kis-e pay na ay-tibaar karna
kitni bura-e kar k ek achcha-e kar gaya

Emaan_88
12-11-2008, 05:12 PM
Woh jo roop zair-e-naqaab tha
Usay deakhna mera khawab tha

Jo mila tah hijr ki shakal main,
Merichahtoon ka azab tha

Ya sawal tha k mila karoo
Na mila karoo ye Jawab tha

Jisay deakh kar main tarap utha
Meri aankh main woh hijaab tha

Tera piyaar tah meri shaire
Tera ishq meri kitaab tha .............!!

Emaan_88
12-11-2008, 05:13 PM
mansoob they log mairi zindagi k saath
aksar wohi miley hain bari be-rukhi k saath

yun to main hans para hun tumharey liye magar
kitney sitaarey toot parey ik hansi k saath

Emaan_88
12-11-2008, 05:14 PM
Woh koi aur na thay chand Khushk pattay thay
Shajar say toot k jo fasl-e-gul per roye thay

Abhi abhi tumhein socha tou kuch na yaad ayaa
Abhi abhi tou ham aik-doosray sey bicharey thay

Emaan_88
12-11-2008, 05:15 PM
wo mayri ek rut bhi amar

kar na saka

jaadoo wo jaanta tha magar

kar na saka

taqdeer k likhay ko

badalnay chalatha wo

magar ek harf bhi idhar say

oudhar kar na saka

Emaan_88
12-11-2008, 05:15 PM
Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?
main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta.

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..

Emaan_88
12-11-2008, 05:16 PM
Meray KhwabOun Key gUlShan Min Khizaaien Raqs Karti hAin
Meray hOntOun Kii Larzih Mein Waffaien Raqs Karti hAin

mUjhey Wo Laakh Tarpaye Magar Us Shakhs Ki Khatir
Meray Dil Key AndairOun Mein dUaien Raqs Karti hAin

Usey Kehna K lOut Aaye SUlagti Shaam Sey Pehley
Kisi Ki KhUshk AankhOun Mein Sadaien Raqs Karti hAin

Nikalta hAi Parii Chehra Kabhi jAb Raat Ko Yaro
Andhairey tOot jAtey hAin Ziyaaien Raqs Karti hAin

Utarta hOn Kabhi Jab Bh KitaabOun Key Sumandar Mein
Kisi Khwaabeeda Chehray Ki Adaaien Raqs Karti hAin

KHUDA Janey Saad Kaisi KaShiSh hAi Teri YaadOun Mein
Main Tera Zikar KarOn tO Hawaien Raqs Kartii hAin
__________________

Emaan_88
12-11-2008, 05:17 PM
Tumhari yaad ka mausam
Jo har ik dukh say gehra hai
Na janay kitni muddat say hamare mann main thehra hai
Magar tum nay nahi jana' mager tum nay nahi socha
Tumhaay pyar ka mausam' jo har mausam say pyara hai
Meray in be-karaa'n lamho'n ka woh wahid sahara hai
Magar tum nay nahi socha' mager tum nay nahi samjha
Tumhare baad ka mausam
Us kali ghat jaisa hai
Na jeeti aur na hari ho, aik aisi maat jaisa hai
Magar tum nay nahi deikha' mager tum nay nahi jana .......!!

Emaan_88
12-11-2008, 05:19 PM
mehfil main chaunk kay har ik ahat pay baarha
hum daikhtay rahay pa koi aashna na tha

mil kar juda huway thay.....juda ho kay phir milay
qismat na bolya isay ye maujza hi tha

Emaan_88
12-11-2008, 05:21 PM
Kabhi Is Nagar tUjhey Dekhna Kabhi Us Nagar tUjhey dhOondna
Kabhi Raat Bhar tUjhey Sochna Kabhi Raat Bhar tUjhey dhOonda

mUjhey Jaa Baja Teri jUstajOo tUjhey dhOonta hOn Mein kOo Ba KOo
KahaaN KhUl Saka Teray ROoBarOo Mera Is Qdar tUjhey dhOondna

Mera Khwaab Tha K Khyaal Tha wO ArOoj Tha K Zawaal Tha
Kabhi Arsh Par tUjhey Dekhna Kabhi Farsh Par tUjhey dhOondna

Emaan_88
12-11-2008, 05:23 PM
cherey perhta, ankhain likhta rehta hoon
main bhi kaise batain likhta rehta hoon ?

saray jism darakhtoon jaise lagtay hain
aur bahoon ko shakhain likhta rehta hoon

Emaan_88
12-11-2008, 05:23 PM
kyon hijr k shikve karta hai kyon dard k rone rota hai,,,,,,,,
ab ishq kiya hai to sabr bhi kar is mein to yahi kuch hota hai

aagaaz-e-musiibat hota hai apne hi dil ki sharaarat se,,,,,,,,,,
aankhon mein phuul khilaataa hai talvon mein kaantein bota hai
__________________

Emaan_88
12-11-2008, 05:24 PM
Dard ki had se guzarnaa to abhi baaqi hai
Toot kar meraa bikharnaa to abhi baaqi hai

paas aake meraa dukh-dard baatnevaale
mujhse katraa ke guzarnaa to abhi baaqi hai

Emaan_88
12-11-2008, 05:24 PM
Woh ja chuka hai
Magar judai say qabal ka aik
Aik nurm lamha
Tehar gaya hai
Meri hathali ki pushat par
Zindagi main
Pehli ka chand ban kar ..........!

Emaan_88
12-11-2008, 05:25 PM
Jisay thaam ker khushi bhi raazi thi nachanay ko
Jaanay kiyoun zindagee unhi qasmon ki dagha hui

Emaan_88
12-11-2008, 05:25 PM
dard-ay dil nay itna barbad kia

tayri yaadoon k siwa or kuch bhi na yaad kiya

zindagi kar saki na is dard ka e-laaj

mout nay aa k is dard say aazad kiya
__________________
may zindagi k rastay may chup chup bikhar jaata
agar ek roz bhi apni tanhaa-e say dar jaata

kal saamnay manzil thee or peechay os ke aawaz
rukhta to safar jaata, chalta to bichar jaata

Emaan_88
12-11-2008, 05:26 PM
Aks pani ka agar qaid kai ja sakta
Aain mumkin tah main is shakhs ko apna karta

Kitni bay-sood judai hai k dukh hia na malaal
Koi dhoka he woh daita k main pachta sakta ........!!

Emaan_88
12-11-2008, 05:26 PM
Aks pani ka agar qaid kai ja sakta
Aain mumkin tah main is shakhs ko apna karta

Kitni bay-sood judai hai k dukh hia na malaal
Koi dhoka he woh daita k main pachta sakta ........!!

Emaan_88
12-11-2008, 05:28 PM
kathin safar hai muhabatoon ka ,sarab rastay hein soch lena

wo chor jatey hein ikk qadam par jo saath chaltey hein soch lena



wo nibha tum se na ho sakey ga,na tang rehnay ki baat karna

ke ishaq waloon ki rahguzar mein chanab aatey hein,soch lena

Emaan_88
12-11-2008, 05:30 PM
Ek wafa ko paaney ki koshish main,,,
Main ne zakhmi kardi hain wafain kitni,,,
Kitna massom sa lagta hai,,,
Ek lafz mohabbat,,,
Aur is lafz se munsalik hen sazaeyn kitni….

Emaan_88
12-11-2008, 05:31 PM
Din beet jatey hain suhaani yaaden ban kar….
Baaten reh jati hain kahani ban kar…
Par dost hamesha dil k qareeb rahenge…
Kabhi muskaan to kabhi aankhon ka paani ban kar…

Emaan_88
12-11-2008, 05:32 PM
Dil say Tera Kehyal Na Jaye to Kia karoon
Tou he Bata Tou Yaad Aye to Kia Karoon
Hasrat Ya hai Kay Eik Nazar Dekh Loon
MAgar Qismat Wo Din Na Laye tO Kia KAroon
__________________

Emaan_88
12-11-2008, 05:33 PM
har ek sajda maqbool-e-khuda hojayee..
Teri "duaon" k sung rab ki raza hojayee..
Milay aaj tumhain wo khushiyan k...
Hazaroo saal tak ghum tujhse khafa hojaye

Emaan_88
12-11-2008, 05:33 PM
Chiragon se andhere dur ho jaate
To chand ki chahat humein na hoti
Agar kat sakti ye zindagi akele
To humein aapki zarurat nahin hoti

Emaan_88
12-11-2008, 05:33 PM
Chiragon se andhere dur ho jaate
To chand ki chahat humein na hoti
Agar kat sakti ye zindagi akele
To humein aapki zarurat nahin hoti

$@!RA
12-11-2008, 05:35 PM
wow emaan zaberdast collection :0013:

Emaan_88
12-11-2008, 05:37 PM
Kaanton me b reh kar hum ji lete hain,,,
Har zakham ko haathon se si lete hai,,,
Jis haath ko keh dia dost ka haath,,,
Hum us haath se zeher b pee lete hain

Emaan_88
12-11-2008, 05:38 PM
Koi ankhon se baat kar leta hai,,,
Koi ankhon me mulaqaat kar leta hai,,
Bara mushkil hota hai jawaab dena,,,
Jab koi English me baat kar leta hai…

Emaan_88
12-11-2008, 05:38 PM
Shab-e-hijran ki aziyat ki khabar kis ko hai,,,
Meri gumnaam mohabbat ki khabar kis ko hai,,,
Kis ko ehsaas meri sadat-e-jazbaat ka he,,,
Meri haalat meri whshat ki khabar kis ko hai…

Emaan_88
12-11-2008, 05:47 PM
Ishq Darya Hai Jis Ka Saahil Nahi Hota
Har Dil Mohabbat K Qaabil Nahi Hota
Rota Wo Bhi He Jo Dooba He Ishq Me
Or Rota Wo Bhi He Jise Ishq Hasil Nahi Hota

Emaan_88
12-11-2008, 05:47 PM
Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai
Hazaron khwab ankhon mei saja kar kuch nahi milta

Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta

Emaan_88
12-11-2008, 05:48 PM
Tujh pe Likhna shuroo kahan se karon,
Ada se karon ya Haya se karon,

Tu itni Khubsurat hay Aye Jaan-e-Ghazal,
Mumkin nahin teri tareef Zuban se karon!!
__________________

Emaan_88
12-11-2008, 05:48 PM
Tujh pe Likhna shuroo kahan se karon,
Ada se karon ya Haya se karon,

Tu itni Khubsurat hay Aye Jaan-e-Ghazal,
Mumkin nahin teri tareef Zuban se karon!!
__________________

Emaan_88
12-11-2008, 05:50 PM
Woh to is Soch mein Sahil pe khara doob gaya,
Kitna Gehra tere Dariya ka kinara hoga,

Woh mera ho ke bhi mehroom raha mujhse Faraz,
Kya koi Meri tarhan Jeet ke Haraa hoa..??

Emaan_88
12-11-2008, 05:50 PM
Woh to is Soch mein Sahil pe khara doob gaya,
Kitna Gehra tere Dariya ka kinara hoga,

Woh mera ho ke bhi mehroom raha mujhse Faraz,
Kya koi Meri tarhan Jeet ke Haraa hoa..??

Emaan_88
12-11-2008, 05:50 PM
Ro rahi thi main kisi jalti hui khuahish k sath,
Khair maqdum karne aai dhoop bhi barish k sath!

Emaan_88
12-11-2008, 05:51 PM
Aek Tum hi nahi tanha ulfat me meri ruswa Zubair
ess sheher me tum jaise dewanay hazaron haI....

Emaan_88
12-11-2008, 05:51 PM
Nigahain bhee mila karti hain, dil bhee dil se milta hai
magar ek chahnay wala bari mushkil se milta hai........

Emaan_88
12-11-2008, 05:52 PM
Bahaar Aai Hai Tum Bhi Udhar Say Guzro
Kah Dekhna Chahatay Hain Tum Ko Gulaab Saray

Emaan_88
12-11-2008, 07:52 PM
Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say
Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say
OR
Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar
Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad

Emaan_88
12-11-2008, 07:52 PM
Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say
Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say
OR
Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar
Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad

Emaan_88
12-11-2008, 07:53 PM
suna hay phool kalyoon say tujhay rab nay banaya hay

humay bhi thori si khushbo churanay ke ijazat day do

suna hay piyaar may yah dooriyan achchi nahi hoti-n

humay bhi thora sa nazdeek aanay ke ijazat day do

Emaan_88
12-11-2008, 07:54 PM
hum wo saaqi hay-n jo deewana bana daytay hayn

jaam khali ho to nazroon say pila daytay hayn

ishq kartay hayn to ghar baar luta daytay hayn

qatal ho jaa-ayn to qatil ko du-aa daytay hayn

Emaan_88
12-11-2008, 07:55 PM
Baray Zamanoon k Bad Barsi Hay Meri Aankhein Kisi Ki Khatir
Baray Zamanoon k Bad Dil Ki Zameen Phir Se Hari Hui Hay..

Emaan_88
12-11-2008, 07:55 PM
Tabeer jo mil jati to aik khawab buhat tha,

Jo shaks ganwa bethay wo nayab buhat tha,

Main kaisay bacha leta bhala Kashti -e- dil ko,

Darya -e- muhabbat main selaab buhat tha.

Emaan_88
12-11-2008, 07:56 PM
mujh Say Nafrat Ki Ajeeb Rah Nikali Us Nay
Hansta Basta Ghar Kar Diya Khali Us Nay
Meray Ghar Ki Riwayat Say Wo Khoob Waqif Tha
Judai Mang Lee Ban Kar Sawali Us Nay

Emaan_88
12-11-2008, 07:57 PM
Teri Yaad Main Ghum Sehtay Hain, Badal, Geet, Hawa Or Main

Taroon Say Batay Kartay Hain, Badal, Geet, Hawa Or Main

Qadmoo Ke Zanjeer Banay Hain Teray Aansoo Or Muskan

Sukh Ke Aas Main Dukh Sehtay Hain, Badal, Geet, Hawa Or Main

Emaan_88
12-11-2008, 07:58 PM
Tum Say Mil Kar Saray Dukh Dohraoo Ga
Hijar Ki Saari Bateen Likhta Rehta Hoon

Emaan_88
12-11-2008, 08:01 PM
Raaz Ka Bzam Main Charcha Kabhi Honay Na Dia

Ham Nay Apnay Aap Ko Tamasha Kabhi Nonay Na Dia

Umer Rishtoon Kay Taqazay He Nebhatay Guzri

Zindage Nay Mujhay Apna Kabhi Honay Na Dia
__________________

Emaan_88
12-11-2008, 08:02 PM
Main Khush naseebi hon teri, mujhe bhi raas hai tu
Tera libaas hon main aur mera libaas hai tu,
Ajeeb shay hai Mohabbat, dour hain lekin,
Tere qareeb hon main, mere as paas hai tu

Emaan_88
12-11-2008, 08:04 PM
Kitnay log hain
Meray milnay walay
Meray chahne walay
Meray sang hansne walay
Meray dukh mein ronay walay

Phir bhi jaane kyun khuahish hay
Koi
Tum sa ho!!

Emaan_88
12-11-2008, 08:05 PM
Phir toota woh khawab, jo dekha tha wo tha azaab
Ae kash khawab khawab hi rehta, agar haqeeqat ban jata to main na hota

Emaan_88
12-11-2008, 08:07 PM
Ho kar zameen ka main aasmaan ki cha kiun karun
Main tujhko paane ki tamana kiun karun
Mujh ko khabar hai judai tarpaye gi tujhe har pal
Is hi liye bata de main tujhse wafa kiun karun

Emaan_88
12-11-2008, 08:08 PM
Utra Hai Meray Dil Main Koi Chaand Nagar Say

Ab Khouf Nahi Koii Andhero Kay Safar Say

Wo Baat Hai Tum Main Keh Koii Tum Sa Nahi Hai

Keh Kaash Koii Dekhay Tumhay Meri Nazar Say

Emaan_88
12-11-2008, 08:09 PM
Mujhe thukra k kaha usne Muskarao,
Main hans diya kyun k sawal uski khushi ka tha,

Maine jo khoya wo mera kabhi tha hi nahi,
Usne jo khoya wo sirf usi ka tha!!

Janeeta
12-11-2008, 11:17 PM
wow nic e keep rocking

ShArArTi MuNdA
12-12-2008, 01:25 AM
Emaaan very nic collection ........ Keep it up.

Emaan_88
12-12-2008, 12:19 PM
Main Khush naseebi hon teri, mujhe bhi raas hai tu
Tera libaas hon main aur mera libaas hai tu,
Ajeeb shay hai Mohabbat, dour hain lekin,
Tere qareeb hon main, mere as paas hai tu

Emaan_88
12-12-2008, 12:36 PM
Ye alag baat hay Saqi ke mujhe hosh nahin,
Werna main kuch bhi hon Ehsaan Faramosh nahin,

Main teri mast Nigahon ka bharam rakhlonga,
Hosh aye bhi to kehdonga mujhe Hosh nahin!!

Emaan_88
12-12-2008, 12:38 PM
Tu nay nafrat se jo dekha to mujhay yaad aya
Kaisay rishtay teri khatir younhi toar aya hon
Kitnay dhundlay hain yeh chehray jinhain apnaya hai
Kitni ujli theen woh ankhain jinhain choar aya hon.
__________________

Emaan_88
12-12-2008, 12:39 PM
Karti hain Sawaal musalsal teri Aankhein,
Ye Tarz-e-Takalluf humein acha nahin lagta,

Kehtay hain mujhe dekh k aksar meray Dost,
Ye Shakhs akela hay par Tanha nahin hay!!

Emaan_88
12-12-2008, 12:41 PM
Tu ne kaha tha main teri kashti ka bojh hoon
chehrey ko ab na dhaa'np mujhay doobta bhi daikh

Emaan_88
12-12-2008, 12:43 PM
Rehnay Do Keh Ab Tum Bhi Mujhay Parh Na Sako Gay

Barsaat Main Kagaz Ke Tarah Bheeg Gia Hoon Main

So Baar Girah Day Kar Kese Aas Nay Jora

So Baar Dhagay Ke Tarah Toot Chuka Hoon Main
__________________

Emaan_88
12-12-2008, 12:45 PM
Raaz Ka Bzam Main Charcha Kabhi Honay Na Dia
Ham Nay Apnay Aap Ko Tamasha Kabhi Nonay Na Dia

Sab Say Mahfooz Mouqaam Ghum -e- Tanhaee Hai
Fekar -e- Dunya Nay Akaila Kabhi Honay Na Dia

Emaan_88
12-12-2008, 02:08 PM
Mohabbaton mein shumar kaisa!
Yaqeen kaisa
Guman kaisa
Urooj kaisa
Zawal kaisa.
Mohabbtein to Mohabbatein hain!
Mohabbaton mein hisaab kaisa..?

Emaan_88
12-12-2008, 02:09 PM
Teri Hasraton k Aseer hogaye
Hum to bas Ghumon ki Tasveer hogaye,

Kal hum Mohabbatein baanta karte thay
Aaj khud Mohabbat k Faqeer hogaye!

Emaan_88
12-12-2008, 02:10 PM
^♥^       ^♥^ 

   ^♥^        ^♥^ 

^♥^       ^♥^ 

   ^♥^  ^♥^ ^♥^      ^♥^ ^♥^

Abhi uss shakhs ki mujh par,
Nigaah-e-sard baqi hai.
Abhi to ishq ke raston ki,
Mujh par gard baqi hai.

^♥^       ^♥^ 

   ^♥^               ^♥^ 

^♥^       ^♥^ 

   ^♥^  ^♥^ ^♥^      ^♥^ ^♥^

Emaan_88
12-12-2008, 02:10 PM
Jab Zaida Yaad Aao Mein, To Rooh Lena Jee Barh Kar
Agar Hichki Koyi Aaye, Samjh Samjh Jaana Ke Woh Mein Hu

Agar Tum Bhulana Chaho Mujhe, Shayed Bhula Bhi Do Mujhe,
Magar Jab Dil Ki Dharkan Tez Ho Jaaye To, Samjh Jaana Ke Woh Mein Hu

Emaan_88
12-12-2008, 02:12 PM
Zindagi tu ne mujhe qabar se kam di hai zameen
paon phailaun to deewar se sir lagta hai

Emaan_88
12-12-2008, 02:19 PM
kitna badnaseeb hai ZAFAR k dafan k liya
do gaz zameen bhi na mil saki ko-e-yaar may

dont depend on others
12-12-2008, 02:39 PM
nice dear

Emaan_88
12-12-2008, 02:41 PM
Phool ban kar muskurana zindagi hai,
Muskura kar ghum bhulana zindagi hai,
Mil kar khush hua tu kia hua,
Bin mile rishte nibhana zindagi hai

Emaan_88
12-12-2008, 02:42 PM
Teray Khayal Say Daaman Bacha Kar Dekha Hai

Dil O Nazar Ko Aazma Kar Dekha Hai

Nashat -e- Jan Ke Qsam Tu Nahi Tu Kuch Bhi Nahi

Bohat Dino Tujhay Ham Nay Bhula Kar Dekha Hai

Emaan_88
12-12-2008, 02:42 PM
Zinda rehnay k Liye Khud Ko na Mara Maine ...
Kabhi Dhoondha Hi Nahin Koi Sahara Maine ...

Apnay Ijdad ka Munslik Tha Meri nazron Mein ..
Har Karay Waqt ko hans hans K Guzara Maine !

Emaan_88
12-12-2008, 02:43 PM
Teri Sanson Ki Thakan Teri Nigahon Ka Sakoot
Dar Haqeeqat Koi Rangeen Shararat Hi Na Ho

Main Jisay Piyar Ka Andaaz Samjh Betha Hon
Woh Tabbasum Woh Takkalum teri Aadat Hi Na Ho~

Emaan_88
12-12-2008, 02:49 PM
yaad-e-mazee azab hai aa Khuda
cheen lay mujh se hafza mera....

Emaan_88
12-12-2008, 02:49 PM
♥♥ Mat Dekh Ke Koi Shakhs Gunahgaar Hai Kitna, Ye Dekh Ke Tere Saath Wafadaar Hai Kitna...
Mat Soch Ke Usay Kuch Logon se Nafrat Bhi Hai, Ye Soch Ke Usey Tujh Se Pyaar Hai Kitna ♥♥

Emaan_88
12-12-2008, 02:51 PM
Pichlay baras tha khouf tujhe kho na dun kahin
ab k baras dua hai, tera saamna na ho

Emaan_88
12-12-2008, 02:51 PM
Woh dekhte hi dekhte chehra badal gaya,
Hum sochte hi reh gaye wo lehja badal gaya,

Badla wo shakhs to aisa laga mujhe,
Mujhse mere wajood ka rishta badal gaya!

Emaan_88
12-12-2008, 02:52 PM
humne khushiyo ki tarha dukh bhi ikhate dekhe hain..

safaye zeesat palto ge to aao ga ..

kis lehje mai hote they mukhatib mujse..

kisi aur ko pukaro ge to yad aao ga

Emaan_88
12-12-2008, 02:53 PM
Meray Shikwon Par Us Nay Hans K Kaha Faraz

Kis Nay Ki tHi Wafa Jo Hum Kartay.

Emaan_88
12-12-2008, 02:54 PM
Rishton ki kitaab ka cover hai dosti,
Dosti se bani hai hamari hasti,
Khoon ke rishton ki baat aap karte hain,
Hamare liye to zindagi hai aap ki dosti.

Emaan_88
12-12-2008, 02:55 PM
Muddaton baad mila to mera naam pooch liya.
Bicharte waqt jisne kaha tha tum bohat yaad aaogay!

Emaan_88
12-12-2008, 02:56 PM
sari umer aankhon main sapna yaad raha
saal baat gay laikn woh lamha yaad raha
na jane kiya baat thi us shaks m yaaro
saari mehfil ko bhol gay laikn woh shaks yaad raha

Emaan_88
12-12-2008, 02:56 PM
Phool ban kar muskurana zindagi hai,
Muskura kar ghum bhulana zindagi hai,
Mil kar khush hua tu kia hua,
Bin mile rishte nibhana zindagi hai.

Emaan_88
12-12-2008, 02:57 PM
Phir na kijiye meri gustakh nigah hi ka gila
Dekhiye phir aap ne pyaar se dekha mujh ko

Emaan_88
12-12-2008, 02:59 PM
Kasoor na Unka Tha Na Hamara!

Hum Dono Hi Rishtoon Ki Rasam Nibhate rahay

Woh Dosti ka Ehsas Jataty Rahay

Hum Muhabbat Ko Dil Main Chuppatay Rahay

Emaan_88
12-12-2008, 03:00 PM
Yeh shararat bhara lehja to meri addat hai,
Tu har ik baat pe yun nam na kia kar aankhain.

Emaan_88
12-12-2008, 03:00 PM
Teri dosti hum is tarah nibhayenge,
Tum roz khafa hona hum roz manayenge,
Par maan jana manane se,
Warna yeh bheegi palkein le ke kaha jayenge.

Emaan_88
12-12-2008, 03:02 PM
Ek bar to mere waaste aisa karay koi,
Ke mujhko bitha k samnay,dekha karay koi,

Koi khareed le mujhko bik jaonga abhi,
Par shart ye hay k pyar se sauda karay koi!

Emaan_88
12-12-2008, 03:03 PM
Tera Khayaal Hi Kuch Meherbaan Hai Warnaa
Jahaan Mein Kon Kisi Ka Khayaal Rakhta Hai...

Emaan_88
12-12-2008, 03:03 PM
Oonchi Imaraton say MAKAN Mera ghir gaya
Kuch log mere hissay ka SURAJ bhi kha gaye !

Emaan_88
12-12-2008, 03:04 PM
Kash tujh ko mana lete, na jaane dete
Muddaton baad ye ehsaas-e-khata yaad aaya!

Emaan_88
12-12-2008, 03:04 PM
Jamal -e- Husan Ka Rangeen Nishaan Nahi Jata
Main Us Kay Deed Kay Khater Kaha Nahi Jata
Suna Hai Eshq He Ahal -e- Wafa Ke Nazar Hai
Mohabbatoon Ka Safar Raigaa Nahi Jata

Emaan_88
12-12-2008, 03:06 PM
Mein nay iss taur se chaha tujhe aksar janaan
jaisay mahtab ko be-ant samander chahay
jaisay sooraj ki kiran seep ke dil mai utray
jaisay khushbu ko hawa, rung se hut ker chahay

Emaan_88
12-12-2008, 03:06 PM
Mein nay iss taur se chaha tujhe aksar janaan
jaisay mahtab ko be-ant samander chahay
jaisay sooraj ki kiran seep ke dil mai utray
jaisay khushbu ko hawa, rung se hut ker chahay

Emaan_88
12-12-2008, 03:07 PM
Ajab Saneha Guzra Hai Mujh Pe Ajj Ki Shaam
Main Aj Shaam Tumhare Hijar Main Udas Na Tha

Ab Ek Saal To Ye Ek Ghaam Bhi Kafi Hai
Tumhari Salgiraah Par Tumhare Pass Na Tha....!!

Emaan_88
12-12-2008, 03:08 PM
Mei Aisi Muhabbat Kerta Hoon
Tum Kaisi Muhabbat Kerte Ho
Tum Jahan Pey Beth K Jate Ho
Mei Wahin Pey Betha Rehta Hoon
Us Cheez Ko ChhOtaa Rehta Hoon
Mei Aisi Muhabbat Kerta Hoon

Tum Jis Se Huns K Milte Ho
Mei Osko Dost Banata Hoon
Tum Jis Raste Per Chalte Ho
Mei Os Se Aata Jaata Hoon
Mei Aisi MuhabbaT Kerta Hoon
Tum Kaisi Muhabbat Kerte Ho

Tum Jin Ko Dekhte Rehte Ho
Wo Khwab.. Sarhane Rakhta Hoon
Tum Milne Julne K
Kitne Hi Bahane Rakhta Hoon
Mei Aisi Muhabbat Kerta Hoon
Tum Kaisi Muhabbat Kerte Ho

Tum Jahan Bhi Beth K Jate Ho
Jis Cheez Ko Hath Lagate Ho
Mei Wahan Pey Betha Rehta Hoon
Mei Aisi Muhabbat Kerta Hoon
Tum Kaisi Muhabbat Kerte Ho

Kuch Khwab Saja Ker Aankhon Mein
Palkon Sey Moti Chunta Hoon
Koi Lums Agar Choo Jaye Tou
Mei Pehron Osko Sochta Hoon
Mei Aisi Muhabbat Kerta Hoon
Tum Kaisi Muhabbat Kerte Ho

Jin Logon Mein Tum Rehte Ho
Tum Jin Se Batein Kerte Ho
Tum Jin Se Hans K Milte Ho
Jo Tumko Ache Lagte Hein
Woh Mujhko Ache Lagte Hein
Mei Aisi Muhabbat Kerta Hoon
Tum Kaisi Muhabbat Kerte Ho

Jis Bagh Mei Subh Ko Jate Ho
Jis Sabze Per Tum Chalte Ho
Jo Shakh Tumhein Choo Jati Hai
Jo Khushbo Tumko Bhaati Hai
Wo Aos Tumhare Chehre Per
Jo Qatra Qatra Girti Hai
Wo Titli Chor K Pholon Ko
Jo Tumse Milne Aati Hai
Jo Tumko Choonay Aati Hai
Un Sabke Nazuk Jazbon Mei
Mere Dil Ki Dharkan Basti Hai
Mairi Rooh Bhi Shamil Rehti Hai
Tum Paas Raho Ya Dour Raho
Nazron Mein Sammaiye Rehte Ho
Mei Tumko Takta Rehta Hoon
Mei Tumko Sochta Rehta Hoon
Mei Aisi Muhabbat Kerta Hoon
Tum Kaisi Muhabbat Kerte Ho

Her Mouqay Per Her Manzar Mein
Mei Sath Tumhare Rehta Hoon
Mei Chashm-e-Tassavur Mein Aksar
Bus Tumko Dekhta Rehta Hoon
Bus Tumko Sochta Rehta Hoon
Mei Aisi Muhabbat Kerta Hoon
Tum Kaisi Muhabbat Kerte Ho

Emaan_88
12-12-2008, 03:09 PM
Ik Chehra jo mairay khwab saja daita hay
Mujh ko mairay he khayaloo main sada deta hay
Woh maira kon ha? Maloom nahi
Lakin jab bhi milta ha tu pehlu main jaga daita ha
Main jo andar say kabhi toot k bikhroou
Tu wohi mujhko chahnay k liyay hath barrha daita ha
Main jo tanha kabhi chup k rona chahoon
Tu dil k darwazay ki zanjeer hila daita ha
Uski qurbat may hay kya baat na janay
Ik lamhay k liyay wo sadyoo ko bhula deta ha

Emaan_88
12-12-2008, 03:10 PM
Muhabbat Ka Meri Mujh Say Hisab Mangta Hai
Tamam Umer Ka Mujh Say Nisab Mangta Hai



Jin Logoon Ko Main Janta Nahin
Un Logoon Kay Mujh Say Alqaab Mangta Hai



Us Kay Qadmoon Main Khushioon Ko Dhair Ker Diya
Pagal Un Cheezon Ka Jawaz Mangta Hai



Hazar Bar Kaha Sirf Tum Say Pyar Hai
Meray Pyar Ka Mujh Say Iqrar Mangta Hai



Har Sawal Kay Jawab Ko Jantay Huay Bhi
Apnay Har Sawal Ka Jawab Mangta Hai



Ajeeb Shaks Hay Khusioon Ko Daman Main Lay Ker
Khushioon Ki Bheeg Sir-E-Bazar Mangta Hai



Hum Mout Ki Dehleez Per Hain Janta Hai Jana Hai Hamain
Pagal Hay Hamaray Ruknay Ki Dua Mangta Hai

Emaan_88
12-12-2008, 03:11 PM
Eshq Karo Tu Yah Bhi Socho Arz -e- Sawal Say Pehlay
Hijar Ke Puri Raat Aati Hai Subh -e- Wasal Say Pehlay

Dil Ka Kia Hai Dil Nay Kitnay Manzar Dekhay Lakin
Aankhain Pagal Ho Jati Hain Ak Khayal Say Pehlay

Emaan_88
12-12-2008, 03:11 PM
Ager ehsas-e-mohabbat hai to mehsoos ker Mohabbat,
Her baat ko labon se kehna zaroori nahi hota ........ !

Emaan_88
12-12-2008, 03:12 PM
Mubhat jeet hootee ha magar ye harr jatee ha ..........

kabhi dill sozz lamhoon sayeee..

Kabhi bekar rasmon sayee

kabhi taqdeer waloon sayee

kabhi majboor kasmon sayee ....magar ye harr jatee ha ...

kabhi ye phool jasi ha ...

kabhi ye dhool jasi ha....

kabhi ye chand jasi ha ...

kabhi ye dhoop jasi ha...

kabhi masoor kerti ha ...

kabhi majboor kerteee ha....

kisi ka chain banti ha...

kisi ko rool deetee ha....

kabhi layy par jateee ha ...

kabhi ye marr jatee ha ...

mubahat jeet hooteee ha magar ye har jatee hai

Emaan_88
12-12-2008, 03:12 PM
Mubhat jeet hootee ha magar ye harr jatee ha ..........

kabhi dill sozz lamhoon sayeee..

Kabhi bekar rasmon sayee

kabhi taqdeer waloon sayee

kabhi majboor kasmon sayee ....magar ye harr jatee ha ...

kabhi ye phool jasi ha ...

kabhi ye dhool jasi ha....

kabhi ye chand jasi ha ...

kabhi ye dhoop jasi ha...

kabhi masoor kerti ha ...

kabhi majboor kerteee ha....

kisi ka chain banti ha...

kisi ko rool deetee ha....

kabhi layy par jateee ha ...

kabhi ye marr jatee ha ...

mubahat jeet hooteee ha magar ye har jatee hai

Emaan_88
12-12-2008, 03:12 PM
phir say tootay hue patoo ka sahara ley kar
wehsat-e-dil kisi jugnoo su udhar ley kar

dasht-e- duniya main umeedo ka kinara ley kar
main tujhe yaad karoun ek umer dobara ley ka

Emaan_88
12-12-2008, 03:12 PM
phir say tootay hue patoo ka sahara ley kar
wehsat-e-dil kisi jugnoo su udhar ley kar

dasht-e- duniya main umeedo ka kinara ley kar
main tujhe yaad karoun ek umer dobara ley ka

Emaan_88
12-12-2008, 03:17 PM
Jab Seena Gham Say Bojhal Ho



Or Yaad Kisi Ki Aati Ho



Tab Kamray Main Band Hojana



Or Chhupkay Chhup K Roleina



Jab Aankhain Bheegi Hojayen



Or Yaad Main Mairi Bhar Aayen



Phir Khud Ko Dhoka Mat Daina



Or Chhp K Chhup K Ro Leina



Jab Palkain Jan Kar Mondi Hoon



Or Sab Samjain Tum Soti Ho



Tab Mu Pe Takia Rakh Leina



Or Chhup K Chhup K Ro Laina



Ye Dunyaa Zalim Dunya Hay



Ye Baat Bahot Door Phailay Gi



Tum Sab K Saamnay Khamosh Rehna



Or Chhup K Chhup K Ro Laina



Jab Baarish Chehra Dho Daalay



Or Ashk Bhi Behnay Lagti Hon



Wo Lamhay Har Giz Mat Khona



Or Chhup K Chhup K Ro Laina

Emaan_88
12-12-2008, 03:17 PM
Usnay Socha hoga
Pathar jese logon mein jo zinda hay
Woh khud hi Pathar hoga
Usnay kab socha hoga
Main kitna nazauk hon
Khel khel mein haathon se chut bhi sakta hon
Aur Duniya k Farsh pe gir ker
Toot bhi sakta hon!!

Emaan_88
12-12-2008, 03:18 PM
kheltay kheltay donoon main say

aik nay doujay ki gurya ki noouch li ankhain

larki cheekhi

daikhoo tum nay meri gurya andhi ker di

aab sapnay kaisay daikhay gi?

larka naadim hoo ker bola......

jab main abu jitna hoo ker , shehar gaya tou

yeh wada kerta hooon tum say

sab say pehlay

is ki aankhain launga

suna hai woh shehar gaya aik din

janay is kay baad kia hua

yeh malooon nahi laikin

aaj achanak is larki koo rah main daikha

haath main is kay aik gurya thi

haaan batlana bhool gai main

gurya aaj bhi aandhi hai

Emaan_88
12-12-2008, 03:18 PM
kheltay kheltay donoon main say

aik nay doujay ki gurya ki noouch li ankhain

larki cheekhi

daikhoo tum nay meri gurya andhi ker di

aab sapnay kaisay daikhay gi?

larka naadim hoo ker bola......

jab main abu jitna hoo ker , shehar gaya tou

yeh wada kerta hooon tum say

sab say pehlay

is ki aankhain launga

suna hai woh shehar gaya aik din

janay is kay baad kia hua

yeh malooon nahi laikin

aaj achanak is larki koo rah main daikha

haath main is kay aik gurya thi

haaan batlana bhool gai main

gurya aaj bhi aandhi hai

Emaan_88
12-12-2008, 03:20 PM
Ana ki qaid se nikaley muqabla tou karey...
Wo mera sath nibhaney ka hosla tou karey...
Kabhi na totney wala hisaar ban jaon...
Wo meri zat mai rehney ka faisla tou karey....

Emaan_88
12-12-2008, 03:21 PM
woh mila to sadiyo k baad bhi merAy lab pe koi gila na tha
usay meri chupne rula diya jissay guftagu mien kamal tha

meray galay se lag k woh r diya mujhe itna hi woh keh saka
jissay janta tha mein zindagi woh mera weham khial tha!!!!!!!!!!!!!!

Emaan_88
12-12-2008, 03:22 PM
vo to Khushbuu hai havaao.n me.n bikhar jaayegaa
masalaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa

ham to samajhe the ke ek zaKhm hai bhar jaayegaa
kyaa Khabar thii ke rag-e-jaa.N me.n utar jaayegaa

Emaan_88
12-12-2008, 03:22 PM
mere khuda mujhe itna to mautabar kerde,

mein jis makan mein rehta hon, osko gher kerde,

Ye Roshni ke tauqab me bhagta hoa din,

jo thak gaya hai to ab us ko mukhtasir kerde,

mein zindagi ki dua mangne laga hon bohat,

jo ho sakey to duaon ko be-asar kerde,

Sitara-e-sehri dobney ko aya hai,

zara koi merey soraj ko ba-khabar kerde,

mein apne khuwab se kut ker geo to mera khuda,

Ujar de meri mitti ko der-badar kerdey,

Emaan_88
12-12-2008, 03:23 PM
ibtida-an aalam-ay hasti may may madhoosh tha
hosh jab aa-ya to dil may ghaflatoon ka joosh tha

phir fana or ishq k tajrub-ay payham how-ay
bad-azan jab tak jee-ya maghmoom tha khamosh tha

Emaan_88
12-12-2008, 03:25 PM
Tum mujh ko kabhi dil kabhi ankhoun sy pukaro,
.. Hontun k takaluf to Zamany k liye hain ...

Emaan_88
12-12-2008, 03:25 PM
kuch un-kahi baatein

kuch un-mitt yaadein



haathon ki lakeerein

maazi ki tasveerein



kuch dhundhalay khawab

aurhay huay hijaab



kuhar mein lipti shaam

paidh paay likhey naam



kidhki say jhaankta maazi

ruswai per hay raazi



aik hi tha sapna

hota ghar apna



aankhon say chalakta paani

merey ishq ki kahaani

Emaan_88
12-12-2008, 03:26 PM
Hum ju kehty they zindagi kuch nahi hay terey bina

Laikin yeh kia kay zindagi sub kuch hay terey bina

Aab tu raat bi kut jati hay din bi guzer jata hay

Sub waisa hi hay kuch bi tu nahi badla terey bina


Tere janey pey ju rim jim si thi ankhoon mein ab

Thaher gia hay ankhoon ka woh samander terey bina

Waqt nay bohut kuch sikhla dia hay mughey

Aab tu wuqt bi guzar jata hay terey bina
____ muhabbat kereny kay adaab hi na they

Aab zindagi nay woh bi sikhla diey terey bina

Ju guzar gia hay waqt, so guzar gia dost

Ju reh gia hay, guzar jaey ga terey bina

Emaan_88
12-12-2008, 03:27 PM
Hasratun ki lash pay matam kanaa hai Zindagi
dard ki ik cheekh hai naghma kahan hai Zindagi
Her ghari hai haadsun ka ik naya hi silsila
larkharati khwahishun ka karwaan hai Zindagi!!

Emaan_88
12-12-2008, 03:27 PM
Bazm-e-Aaam Sahi magar itna b aam nahi eay dost..
nigahein jhukti hein magar kisi kisi k liye...

Emaan_88
12-12-2008, 03:28 PM
Meri Ankhoon Kay SAmandar main Jalan kaisi Hai

Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaisi Hai



Ab Kisi Chaat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi

Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaisi Hai



Baraf Kay Roop Main dhaal Jain Gay Saray Rishtay

Mujh say Pocho Kay Muhabbat Main Agan kaisi Hai



Main Teray Wisal Ki Khuwahish Ko na Marnay Doon Ga

Mausam-e-Hijar Kay lehjay Main Takan Kaisi Hai



Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kantoon Ki RiDa

Uss Ki Majboor Sii Ankhoon Main Kiran Kaisi hai



Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai

ussay Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi HaI

Emaan_88
12-12-2008, 03:31 PM
jinkee yaad tumhain khushi keh lumhoon main aiy



sumjho keh tum unhay pyar kurtay ho



aur jo ghum main yaad aiy



jaan lo woh tum say pyar kurtay hein

Emaan_88
12-12-2008, 03:31 PM
jinkee yaad tumhain khushi keh lumhoon main aiy



sumjho keh tum unhay pyar kurtay ho



aur jo ghum main yaad aiy



jaan lo woh tum say pyar kurtay hein

Emaan_88
12-12-2008, 03:34 PM
Tere Dil Se agar uthar jaaein

Too hi batla ke hum kidher jaaein



Zinda Tere Bagher reh Lengein

Ranj Esa nahi ky Mar jaaein



Tu na Rakhe Sunmbhal kar jo humein

Rait ki tarah hum bikhar jaaein



Main naye musamon mein sochta hoon

Shayed is baar Zakhm bhar jaaein



Mere Humrah Ro rahe hai Wo

Sare Musam Yunhi Guzar jaaein

Emaan_88
12-12-2008, 03:35 PM
kitnay udaas ghar hain ujaalon say door door
jitni bhi roshni hai charaghon say chheen lo
sardi main kitnay jism hain begana-e-libaas
jitni bhi chadarain hain mazaaron say chheen lo

Emaan_88
12-12-2008, 03:36 PM
kitnay udaas ghar hain ujaalon say door door
jitni bhi roshni hai charaghon say chheen lo
sardi main kitnay jism hain begana-e-libaas
jitni bhi chadarain hain mazaaron say chheen lo

Emaan_88
12-12-2008, 03:36 PM
kitnay udaas ghar hain ujaalon say door door
jitni bhi roshni hai charaghon say chheen lo
sardi main kitnay jism hain begana-e-libaas
jitni bhi chadarain hain mazaaron say chheen lo

Emaan_88
12-12-2008, 03:36 PM
Ghazal Kahoo Kabhi Saada Say Khat Likho
Udaas Dil Kay Liye Mashgalay Talash Karon

Main Chup Hoon, Kabhi Be Waja Hans Paro Mohsin
Usay Ganwa Kay Ajab Hoslay Talash Karon

Emaan_88
12-12-2008, 03:36 PM
Ghazal Kahoo Kabhi Saada Say Khat Likho
Udaas Dil Kay Liye Mashgalay Talash Karon

Main Chup Hoon, Kabhi Be Waja Hans Paro Mohsin
Usay Ganwa Kay Ajab Hoslay Talash Karon

Emaan_88
12-12-2008, 03:37 PM
Main logon se Mulaqaton k Lamhay yaad rakhta hon,
Main baatein bhool bhi jaon to Lehjay yaad rakhta hon,

Sar-e-Mehfil Nigahein Mujhpe jin logon ki parti hain,
Nigahon k ma'inay se woh Chehray yaad rakhta hon,

Zara sa hat k chalta hon Zamanay ki rivayat se,
K jin pe bojh main daalon wo kandhay yaad rakhta hon,

Main Yun to bhool jata hon kharashein talkh baaton ki,
Magar Jo Zakham Gehray dain wo rawaiye yaad rakhta hon!!

Emaan_88
12-12-2008, 03:38 PM
Aasaib zada ghar ka main wo darr hun "FARAZ"

Deeamk ki tarha kha gae jisy dastak ki tamanna

Emaan_88
12-12-2008, 03:41 PM
Elaan-e-Marg hua to usnay bhi kaha Mohsin,
Acha hua mar gaya aksar Udaas rehta tha!
__________________

Emaan_88
12-12-2008, 03:43 PM
Hamaray Aks Main Hote Jo Zakham -e- Dil Ke Jhalak

Ham Aainay Ko Bhi Apni Tarah Rula Detay

Emaan_88
12-12-2008, 03:43 PM
Elaan-e-Marg hua to usnay bhi kaha Mohsin,
Acha hua mar gaya aksar Udaas rehta tha!
__________________

Emaan_88
12-12-2008, 03:50 PM
Hum nay rakha hai usay dil makan main barso
Jo kabhi hum sy shanasa sar e bazaar hua..!!

Emaan_88
12-12-2008, 03:52 PM
Hum apni Rooh tere jism mein hi chor aye FARAZ
Tujhay galay se lagana to ek bahana tha!

Emaan_88
12-12-2008, 03:52 PM
Hum apni Rooh tere jism mein hi chor aye FARAZ
Tujhay galay se lagana to ek bahana tha!

Emaan_88
12-12-2008, 03:53 PM
Chhup chhup k muhabbat ko badnaam na kiya jaaye
Jo kaam kiya jaaye sar-e-aam kiya jaaye
.
.
Yeh dil k tere baad behalta hi nahin hai
Ab tu hi bata kaisay issay raam kiya jaaye?
.
.
Yeh tau mere harfon ka taqaaza hai meri jaan
Jo shair likha jaaye tere naam kiya jaaye
.
.
Thak haar k kal shaam kaha tha yeh hawa ne
Aawaara parindon ko tahi daam kiya jaaye
.
.
Kiya faayeda phir aisi jawani ka k jiss mein
Jab soch samajh kar hi har ik kaam kiya jaaye
.
.
Shayed woh palat aaye kabhi shab ka musafir
Roshan hi charaghon ko sar-e-shaam kiya jaaye
.
.
Kal shaam yeh ghar tau chhorr dena hai humain bhi
Behtar hai k kuch waqf-e-dar-o-baam kiya jaaye
.
.
FAIZAAN yeh duniya tau hai baazaar ki surat
Hai kiss ko khabar kal kissay neelaam kiya jaaye...!!!

Emaan_88
12-12-2008, 03:54 PM
Chhup chhup k muhabbat ko badnaam na kiya jaaye
Jo kaam kiya jaaye sar-e-aam kiya jaaye
.
.
Yeh dil k tere baad behalta hi nahin hai
Ab tu hi bata kaisay issay raam kiya jaaye?
.
.
Yeh tau mere harfon ka taqaaza hai meri jaan
Jo shair likha jaaye tere naam kiya jaaye
.
.
Thak haar k kal shaam kaha tha yeh hawa ne
Aawaara parindon ko tahi daam kiya jaaye
.
.
Kiya faayeda phir aisi jawani ka k jiss mein
Jab soch samajh kar hi har ik kaam kiya jaaye
.
.
Shayed woh palat aaye kabhi shab ka musafir
Roshan hi charaghon ko sar-e-shaam kiya jaaye
.
.
Kal shaam yeh ghar tau chhorr dena hai humain bhi
Behtar hai k kuch waqf-e-dar-o-baam kiya jaaye
.
.
FAIZAAN yeh duniya tau hai baazaar ki surat
Hai kiss ko khabar kal kissay neelaam kiya jaaye...!!!

Emaan_88
12-12-2008, 03:55 PM
Roz subha khud say aik waada kartay hain
Tujhay iss dil say bhulanay ka irada kartay hain
Apni he baat say mukkarr jatay hain maloom nahi kyoun
Bheegti ankhon ko khuwab tornay keliye amaadah kartay hain

Emaan_88
12-12-2008, 03:56 PM
Aa gayee yaad, shaam dhalte hee,
Bujh gayaa dil, chirag jalte hee,
Khul gaye saharo-gum ke darvaaze,
Ek zaraa see hawaa ke chalte hee,
Koun tha tu, ke phir na dekha tujhe,
Mit gayaa khwab, aankh milate hee

Emaan_88
12-12-2008, 03:56 PM
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai
Tanhai............
Rona Chahoon To, Rona Chahoon To............
Aansoon Na Aayein, Aisi Hai
Tanhai............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............
Saya Bhi Saath
Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............

Jo Aise Chor Ke Mehboob Jaaye............
To
Jeene Se Na Kyoon Dil Oobh Jaaye............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai
Tanhai............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............

Paya Humne Ye
Bin Tere............
Ranj Ki Raahein Aur Gam Ke Andhere............
Ranj Ki Raahein Aur Gam Ke
Andhere............
Woh Bhi To Humse, Woh Bhi To Humse............
Kho Gayee Hai, Aisi Hai
Tanhai............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............
Saya Bhi Saath
Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............

Yaad Aate Hain, Beetey Zamaane............
Jab Tum
Aaye The Humko Manaane............
Jab Tum Aaye The Humko Manaane............
Abh To Dil
Roothey, Abh To Dil Roothey............
Dard Manaaye, Aisi Hai Tanhai............
Saya Bhi
Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai
Tanhai............

Rona Chahoon To, Rona Chahoon To............
Aansoon Na Aayein, Aisi Hai
Tanhai............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............
Saya Bhi Saath
Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............

Emaan_88
12-12-2008, 03:57 PM
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai
Tanhai............
Rona Chahoon To, Rona Chahoon To............
Aansoon Na Aayein, Aisi Hai
Tanhai............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............
Saya Bhi Saath
Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............

Jo Aise Chor Ke Mehboob Jaaye............
To
Jeene Se Na Kyoon Dil Oobh Jaaye............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai
Tanhai............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............

Paya Humne Ye
Bin Tere............
Ranj Ki Raahein Aur Gam Ke Andhere............
Ranj Ki Raahein Aur Gam Ke
Andhere............
Woh Bhi To Humse, Woh Bhi To Humse............
Kho Gayee Hai, Aisi Hai
Tanhai............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............
Saya Bhi Saath
Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............

Yaad Aate Hain, Beetey Zamaane............
Jab Tum
Aaye The Humko Manaane............
Jab Tum Aaye The Humko Manaane............
Abh To Dil
Roothey, Abh To Dil Roothey............
Dard Manaaye, Aisi Hai Tanhai............
Saya Bhi
Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai
Tanhai............

Rona Chahoon To, Rona Chahoon To............
Aansoon Na Aayein, Aisi Hai
Tanhai............
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............
Saya Bhi Saath
Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai............

Emaan_88
12-12-2008, 03:57 PM
khuch khawab tabeer mangtay hein

soch ker tum dakho khawab
khawab tabeer mangtay hein

na milay tabeer tau kirecheeyan bun jatay hein

ashk bun ker ankhoon say yah laho bahatay hein

soch ker tum dakho khawab yah tabeer mangtay hein

na haseen lamhoon k hawab na sath rehany k khawab

zindagi ganwatay hein her pal yah tarpatay o rulatay hein

hosh say yah beygana kereen madhoshi mein rawana kereen

phool bun ker mehktay hein aag bun ker jalatay hein

birha ki aag mein pal pal yah jalatay hein


khuch khawab tabeer mangtya hein

Emaan_88
12-12-2008, 03:57 PM
khuch khawab tabeer mangtay hein

soch ker tum dakho khawab
khawab tabeer mangtay hein

na milay tabeer tau kirecheeyan bun jatay hein

ashk bun ker ankhoon say yah laho bahatay hein

soch ker tum dakho khawab yah tabeer mangtay hein

na haseen lamhoon k hawab na sath rehany k khawab

zindagi ganwatay hein her pal yah tarpatay o rulatay hein

hosh say yah beygana kereen madhoshi mein rawana kereen

phool bun ker mehktay hein aag bun ker jalatay hein

birha ki aag mein pal pal yah jalatay hein


khuch khawab tabeer mangtya hein

s_sableo
12-12-2008, 08:35 PM
v nice sharing jee keep it up

Emaan_88
12-12-2008, 09:52 PM
kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN

ab hai bus apna saamnaa darpesh
har kisii se guzar gayaa huuN maiN

Emaan_88
12-12-2008, 09:53 PM
badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN

tujhii pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raat
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN

Emaan_88
12-12-2008, 09:53 PM
bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN

Emaan_88
12-12-2008, 09:56 PM
patthar meN Dhal rahaa huuN
dekho, badal rahaa huuN

saahil-nashiiN kahaaN haiN
paanii pe chal rahaa huuN

Emaan_88
12-12-2008, 09:58 PM
Tum abhi shahir mein kia nay aey ho



ruk gay raha mein hadsa daikh kar



tum jenhein phool samjhay ho aankhain na hoon ,



paoun rakhna zameen per zara daikh kar



phir diye rakh gain teri parchhaiyaan ,



aaj darwaza dil ka khul'la daikh kr ,



Oski Aankh ka sawan barsnay laga



Baadaloon mein parinda ghira dikh kar



Shaam mein gahiri hui aur ghar door hey



Phool so jaein gay raasta dikh kar



Phool si ungaliyaan kanghiyaan ban gain



Uljhay baaloon sy maatha dhaka dikh kar

Emaan_88
12-12-2008, 09:59 PM
Ishq ke sahare jiya nahi karte,
Gum ke pyalo ko piya nahi karte,

Kuchh Nawab dost hain hamare,
Jinko Preshan na karo to wo yaad bhi kia nahi karte

-|A|-
12-12-2008, 10:10 PM
Very nice..!!

Emaan_88
12-12-2008, 11:41 PM
Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay,
Jo ruch jayain rag-o-pay main unhein socha nahin kertay,

Baharon k ghanay sayai mein talkhi bhi, chubhan bhi hay,
Ghamon ki dhoop ka tum say magar shikwa nahin kertay,

Nahin aatay kabhi bhi loot ker guzray howay mousam,
Barastay badalon ki aas mein tarsa nahin kertay,

Tajasus aur barhta hay machal jatay hain sun ker hum,
Achanak pyar ki baaton ka rukh mora nahin kertay,

Teri nazar inayat say howay jatay hain jo ghayal,
Unhein qatil nigahon say kabhi daikha nahin kertay

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.