|
|
Posts: 74
Country:
Join Date: Jun 2011
Gender:
|
|
24 October main, Shamali Waziristan ki Tehsil-e Mir Ali main ek drone hamla hua jis main kuch log maare gaye. Ab dekhte hain ke is khabar ko media ne kis kis tarha pehlaaya hai. Nawai-e Waqt aur All Urdu main jaan-ba-haq hone walon ka number 3 qaraar diya hai jab ke Urdu Site aur Express News ne is number ko 5 report kiya hai. Isi tarha missiles ka number bhee 1 aur 2 kaha gaya hai aur ek jagah main kaha gaya hai ke ek missile ek gadi ko nishaana banaya. Aur ek report mai ek khatoon ko zikr kiya gaya hai. BBC ne sub se aaga chal kar is khatoon ko Wresham Jan naam ke kisi aadmi ka begum tareef karte hue kaha hai ke Wresham Jan, Hafiz Gul Bahadur se taluq rakhta tha. Itne reports ke baad, yeh pata bhee nahin chala ke kaun maara gaya, kitne log maare gaye, kitne missiles is hamla mai shaamil the, nishana ghar tha ya gadi. Ab in sawaalon ka jawab koi de nahin sakta kyon ke jab bhee koi drone hamla ho jaata hai, us jagah pe reporters jaa nahin sakte to jo khabrein hamaare media main aa jaata hai, us main kitna haqeeqat hai aur kitna jhoot, koi bata nahin sakta. Magar ek baat pakki hai, drone hamlon ka nishaana un ghair-mulki dehshatgardon par us waqt tak rahega jab tak woh hamaare mulk main chuppe hue ho. Agar dehshatgardi khatam ho jaaye, mere khayaal main, drone hamle bhee khatam ho jayenge.
|