Members Poetry Collections !! Share your Poetry Collections Here !! |
Advertisement |
|
Thread Tools | Display Modes |
|
(#1)
![]() |
|
|||
-:||:- QaidI -:||:- Ouk mein zindagi bhari saari
Qatrah qatrah tapakti jaati hai Umer yun hi nikalti jaati hai Waqt riss riss k behta rehta hai Main jitna phoonk say bujhaaoon isay Ye jawaani k jali jaati hai Lamha lamha samaitta hoon main Raakh haathon mein liye betha hoon Aag kaanon mein yun dehekti hai Jo sadaa pohanchay bhasm ho jaaye Zabaan pay lambi khaamoshi bichi hai Jisay ourhay aawaaz so jaaye Aankh khaali hai mager ab bhi kabhi Koi palkon pay chal k aata hai Mujhay lagta hai mout hi hogi K jis ka muntazir tha sadiyon say Jis k firaaq mein berson talak jaaga Ho na ho wo hi chaarah-garr hogi Mager palkon tak aati her aahat Mujh ko tunha hi chour jaati hai Chand saansein nichour jaati hai Or main saans laynay ka aadi Jiye jaata hoon, jiye jaata hoon !
![]() ||||Owi||||
|
Sponsored Links |
|
Bookmarks |
Tags |
qaidi |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Zindagi khud b tu qaidi hay ajal ki yaro | !«╬Ĵamil Malik╬«! | Miscellaneous/Mix Poetry | 3 | 01-13-2012 02:59 PM |