Mohabbat shayari !! Share Only Mohabbat shayari Here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
=== Kahin Aisa Na Ho Jaey (Nazm) === Mujhe Maloom Hai Tum Meray Baray Main Bhout Sanjeeda Rehti Ho Agar Mujh Ko Zara Sa Bhi Ghum Pohanchay Tu Zamanay Bhar Say Zeyada Dukh Tumharay Dil Ko Hota Hai Muhje Koi Khushi Mil Jaey Tu Misal-E-Baharan Jhoom Uthti Ho Magar Jaan-E-Tamana , Rahat-E-Jaan Meri Tum Say Eik Guzarish Hai (Tawaqo Hai Tum Is Ka Bura Har Giz Na Mano Gi ) Khudara Apnay Jazboon Aur Apni Sari Sochon Ko Meray Har Ghum Say Meri Fikar Say Azad Kar Dalo Kahin Na Ho Kay ! Meri Is Gehri Mohabbat Main Kahin Khud Ko Na Tum Kho Doh Aur Apnay App Ko Janaan Meray Ghum Main Dabo Do Tum Kahin Aisa Na Ho Jaey ? Kahin Aisa Na Ho Jaey ?
|
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
=== Happy Birth Day === Eik Din Guzra Do Din Betay Aur Phir Sara Hafta Mujh Ko Us Ka Phone Na Aya Eik Gehri Tashwesh Ki Lehrin Meray Maan Sagar Pay Ubrihin Mainay Socha ! Pehlay Tu Woh Din Bhar Mujh Ko Phone Pay Phone Karti Thi Akhir Aisi Keya Baat Hoi ? Keya Woh Mujh Ko Bhool Gaey Hai ? Nahi .... Nahi Yeh Na Mumkin Hai !! Phone Tu Main Bhi Kar Sakta Tha ? Likin Mujh Par Pabandi Thi Kyon Kay Phone Pay Us Ki Marzi Chalti Thi Sirf Us Ki Marzi Aur Phir Poray Haftay Baad Jab Us Ka Phone Aya Randhi Hoi Awaz Main Boli "Jaey ... Huh Jaey Hum App Say Baat Nahi Kartay App Wafa Say Na Waqif Hain App Kay Pass Tu Lafz Hi Lafz Hain Lafz Jin Kain Rooh Nahi Hai App Khandar Hain , Weerana Hain App Ko Parwa Nahi Kisi Kay Jazboon Ki " Main Heeran Tha !! Akhir Muhj Say Aisi Keya Galti Hoi Hai Woh Ghum Ki Tasweer Bani Hai Apnay Jurm Ki Noyiat Jab Pochi Tu Woh Phoot Kar Roei Aur Phir Rotay Rotay Uss Ny Mujh Ko Mera Jurum Bataya Tarap Kar Boli " Hafta Pehaly Jis Din Meri Salgirah Thi Mainay Nay App Ko Phone Keya Tha App Say Us Din Har Mozooh Par Baat Hoi Thi Likhin App Ko Yaaad Nahi Tha !! Eik Zara Sa " Wish" Karna Bhi Yaad Nahi Tha !! " Yeh Sun Kar Bey Sakta Mainay Apnay Sir Ko Patka Khud Ko Kosa Pechlay Saal Bhi Yeho Howa Tha Yani Pechlay Saal Bhi Us Ki Salgirah Main Bhool Gaya Tha " Duhray Qatal " Ka Mujrim Tha Main Kehtay Hain Kay Pas-E-Manzar Kay Aksar Manzar Jeevan Ka Hisa Hotay Hain Mujh Par Bachpan Tu Utra Tha Likhin Salgirah Ki Khushyan ? Main Inn Say Waqif Hi Kab Tha ? Aisay Mubarak Lamhay Meray Bacpan Main Agar Ai Hotay "Wish" Karnay Ki Aadat Mujh Main Rasik Hoti Bachpan Sagar Ki Yeh Lehrin Mujh Main Thatin Marti Rehtin ? Tahum Mainay Idhar Udhar Ki Batin Kar Kay Ussay Manaya Aur Iss Say Yeh Ehad Leya Kay Is Ki Salgirah Kay Din Ko Aglay Saal Nahi Bholon Ga Kabhi Na Ab Yeh Jurum Karon Ga !!
|
(#3)
![]() |
|
|||
=== Koi Gila === Is Zamane Sey Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gay Dil Lagayein Gay To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gay Na Dikhayain Gay Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain Dard Uthey Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gay Jaan De Daingein Agar Aik Ishaara Kar De Ham Usey Apne Liye Bhi Na Bacha Rakhain Gay Sab Hata Daingay Teri Raah Ki Rukawat Hamdam Ghar Ke Darwazey Ko Har Waqt Khula Rakhain Gay Unki Har Baat Ko Bhooley Se Na Bhoolain Gein Kabhi Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gay Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki "Fahad" Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Ga
|
(#4)
![]() |
|
|||
=== Kia Meri Dua Ab Tak Na Mukamil Hai ?? === Abb To Sirf Umeeden Hi Reh Gai Hain Kyoun K Shayd Dua’Een... Apna Asar Kho Bethi Hain Dua'oon Ki Qabooliyat Se... Mera Yaqeen Dagmagata Ja Raha Hai Suna Tha Dua To Qismat Badal Deti Hai Kia Tou Meri Qismat Main Nahin Ya Kia Meri Dua Ab Tak Na Mukamil Hai??
|
(#5)
![]() |
|
|||
=== Jab Hum Na Hongay === Jab Hum Na Hon Gay Too Kia Ho Ga Yeh Hi Din Yeh Hi Ratain Hon Gee Janazay Ko Humaray Kandha Deney Kay Bad Yeh Hi Khoshian Yeh Hi Baratain Hon Gi Bhol Jaoo Gai Kay Hum Bhi Thay Kabhi Fehrist-E-Yaran Main Humarey Bad Yeh Hi Dost Yeh Hi Hansi Ki Batain Hon Gi Kisi Ney Such Hi Kaha Hai Murnay Walay Kay Sath Koi Nahi Mara Karta Humaray Bad Yeh Hi Log Aur Un Ki Tarkee Ki Nayee Batain Hon Gee Jab Hum Na Hon Gay
|
(#6)
![]() |
|
|||
=== Lut Gaya Hai Mera Ghar === Lut Gaya Hai Mera Ghar-O-Aangen Tamaam Rahber The Jo, Nikle Woh Rhazen Tamaam Yeh Bhi Teri Muhabbat Ka Silah Hai Ke Ter Bater Hai Lahoo Se Perahan Tamaam Woh Kiya Baat Nikli Meri Zubban Se Ranjish-E-Khatir Hai Mujh Se Chman Tamaam Kis Ke Gunah, Kis Ne Jhele Hain Kis Aag Main Jalta Hai Mera Watan Tamaam Jinhen Samjah Dost,Jin Par Takiya Kiya Waqat Aane Par Nike Mere Dushman Tamaam Yeh Be Zamana Musaferat Main Aaya "Fahad" Hazar Tukroon Se Huwa Mera Kafan Tamaam
|
(#7)
![]() |
|
|||
== Un Kahi Batien === Janay Kitni Mushkil Baat Thi Jo Main Tum Say Yeh Na Keh Saka Kay Tum Hi Tu Ho Jis Say Meray Dil Ko Qarar Hay Kay Tum Hi Ho Jis Say Meri Zindagi Men Bahar Hay Kay Tum Hi Ho Jis Ki Baatain Meray Chehray Pay Qaus-E-Qazah Sameet Ti Hain Kay Tum Hi Ho Jis Ki Maujoodgi Meri Zindagi Men Rang Bikhayr Ti Hay Kay Tum Hi Ho Sirf Tum Hi Tu Ho Jis Ki Judai Meri Aankhon Ko Ghanton Bhigaoy Dayti Hay
|
(#8)
![]() |
|
|||
=== Kis Qadar Siyaah Hain Din === Kis Qadar Siyaah Hain Din Aur Safed Raaten Hain Maut Ki Khamoshy Mein Zindagy Ki Baaten Hain Waqt Ruk Gya Hai Aur Chaand Taaray Chaltay Hain Bujh Gya Hai Yeh Sooraj Jissm Saaray Jaltay Hain Dekhtay Hain Haath Aur Paer Aankh Sochty Hai Ab Lub Silay Huay Hain Aur Soch Bolty Hai Ab Saaanss Ab Dharakty Hai Dil Lahoo Mein Behta Hai Jissm Hai Mera Laikin Koi Aur Rehta Hai Dard Hain Meray Laikin Koi Aur Sehta Hai Dushmani Hai Yaaron Say Bolty Hain Tasweeren Raaz Saary Dunya Kay Kholty Hain Tasweeren Khaar Mein Hai Khushbu Aur Phool Khoon Rulaatay Hain Daen Sakoon Angaaray Hontt Ab Jalaatay Hain Raastay Bhi Seedhay Hain Manzilen Bhi Aassaan Hain Na Koi Musaafir Hai Naa Hi Koi Saamaan Hai Khaawhishen Nahin Hain Aur Naa Hi Hai Koi Maqsood Jissm-O-Rooh Ka Rishta Ab Kahin Nahin Mojood
|
(#9)
![]() |
|
|||
==== Ishq === Ishq Bhi Aadam Say Ab Baizar Hay Ishq Bina Zindagi Baikaar Hay Ishq Hi Say Zindagi Hay Rang Barang Ishq Hi Say Zindagi Main Khaar-O-Sang Ishq Hi Say Zindagi Moojood Hay Ishq Hi Say Aadami Mehzooz Hay Ishq Hi Say Hay Asal Sooz-E-Hayat Ishq Hi Say Zindagi-E-Kaienaat Kahin Khaar-O-Sang, Kahin Taroon Say Ishq Kahin Gull-O-Lalla, Sabza Zaroon Say Ishq Kahin Husn-E-Deedah Nazaroon Say Ishq Kahin Shoor-E-Mehshar Main Gharoon Say Ishq Kahin Ishq Say Sehra Main Baarish Hoee Kahin Ishq Say Soochoon Main Khaarish Hoee Kahin Ishq Say Aankhoon Say Aansoo Giray Kahin Ishq Samandar Say Darya Milay Ishiq Kia Hay, Ek Gham-E-Baydoosh Hay Bulbuloon Ka Naghma-E-Khamoosh Hay
|
(#10)
![]() |
|
|||
==== Apney Dil Sey ==== Aey Dil-E-Tabah Too Khawahishon Key Raston Per Kya Falah Paey Ga Is Jahan Key Hangamey Too Samajh Na Paey Ga Aisey Main Mitt Hee Jaey Ga.... Barf Kee Chitaano Main Ishq Kee Tapish Kahan Munjamid Hawao Main Parwaz Ka Hasil Kahan Woh Shakhs Teek Kehta Hay Jahan Main Jitney Dil Dukaaey Ga Utna Sakoon Paey Ga Per Too Yeh Bhee Ker Na Paey Ga..... Teree Is Dasht Nawardee Main Jo Aik Sarab Aaya Hay Jub Paas Us Key Jaey Ga To Kuch Bhee Too Na Paey Ga Pir Too Usey Bulaey Ga Aur Yeh Bhee Ker Na Paey Ga Aey Dil-E-Tabah Too Khawahishon Key Raston Per Kya Falah Paey Ga....
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
khamoosh, mohabbat |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Main Mohabbat hoon Mohabbat karke dekh | Janeeta | Miscellaneous/Mix Poetry | 7 | 10-25-2017 06:35 PM |
Meri diary k woh khamoosh kagaz | K@IN@@T | Your Own Poetry | 16 | 08-16-2012 09:58 PM |
Mohabbat karke dekho to Mohabbat kya nahi karti | §~|~µð€η~|~547 | Miscellaneous/Mix Poetry | 4 | 08-21-2011 02:54 AM |
Mohabbat Phir Mohabbat Hai.. | CaReLeSs | Mohabbat shayari | 6 | 07-19-2011 11:41 PM |
! Aankhoon Se Kaho Khamoosh Rahein !By ADoO | !~*AdOrAbLe*~! | Miscellaneous/Mix Poetry | 5 | 09-16-2010 03:55 AM |