bezaar ho gaye the jo shayar hayaat se - MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link|
MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community » Poetry » Funny Poetry » bezaar ho gaye the jo shayar hayaat se
Funny Poetry !!! Post Funny Poetry Here !!!

Advertisement
 
 
 
Thread Tools Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
(#1)
Old
! HEER ! HEER is offline
AnSoOoOo AnMoL HoTe HaI
 


Posts: 2,234
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Location: dubai
Gender: Female
Talking bezaar ho gaye the jo shayar hayaat se - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   12-28-2008, 05:09 PM

bezaar ho gaye the jo shayar hayaat se
cricket ka match khel liya shayaraat se

waaqif na the jo dosto'n aurat ki zaat se
chauke laga rahe the khayalo'n mein raat se

aayi jo subah shaam ke naqshe bigad gaye
aur surro'n se hum ghareebo'n ke stump ukhad gaye

naaz-o-ada-o-husn ne jadoo jaga diye
pehle to opener ke hi chhakke chuda diye

one down per jo aaye to stump uda diye
are! Raah-e-faraar ke bhi to raste bhula diye

go catch very low tha magar bedhadak liya
ek mohtaram ko ek ne gali mein lapak liya

kya kya bayaan kijiye ek ek ka baankpan
jalwa figan zamee'n pe thi taaro'n ki anjuman

husn-o-shabaab-o-ishq se bharpoor har badan
aur shayar pavellion mein the pehne hue kafan

jitni thi beautiful wo slip per gali mein thi
jitni thi over age wo sab boundary pe thi

pariyo'n ke jis tarah se pare koh-e-kaaf per
ek long-on per thi to ek long-off per

ek thi cover mein ek haseena mid-off per
jo short pitch thi geind wo aati thi naaf per

thehre na wo creeze per jo the bade bade
aur mujh jaise teem -taam to wicketo'n pe phat pade

wo laal geind phool ho jaise gulab ka
jis tarah dast-e-naaz mein saghar sharaab ka

saayaa hawa mein naachta tha aaftaab ka
bouncer mein sara zor tha husn-o-shabaab ka

aise bhi apne ishq ka maidaa'n banaate the
umpire her appeal pe ungli uthate the

jab ball phenkti thi wo gesu sanwaar ke
nazdeek aur hote the haalaat haar ke

aur kehte the match dekhne wale pukaar ke
ustaad ja rahe hain shab-e-gham guzaar ke

ustaad keh rahe the ke phitkaar match per
do-do jhapat rahi hain shareefo'n ke catch per

 



[SIGPIC][/SIGPIC]


Main Tere Hath Pe Rach Jaon Rango Ki Tarha,

Tu Mera Naam Hathon Pe Kabhi Saja Kar To Daikh..
Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links
 

Bookmarks

Tags
bezaar, gaye, hayaat, shayar


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Meri Har Dua Bekaar Gaye Ghuncha Urdu Sms 9 11-12-2011 11:29 PM
Bichar Gaye safa Image Poetry 20 08-20-2011 04:23 AM
jab tum mil gaye RAJA_PAKIBOY Share Your Favourite Videos 6 05-30-2011 11:33 AM
*** Badal Gaye Hai *** SaHaR Miscellaneous/Mix Poetry 7 07-22-2009 10:07 PM
ghum ho gaye abdullah_mehrab Miscellaneous/Mix Poetry 6 11-04-2008 04:01 PM


All times are GMT +5. The time now is 06:27 PM.
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.

All the logos and copyrights are the property of their respective owners. All stuff found on this site is posted by members / users and displayed here as they are believed to be in the "public domain". If you are the rightful owner of any content posted here, and object to them being displayed, please contact us and it will be removed promptly.

Nav Item BG