Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
Mout Ki Aaghosh Main Jab Thak Kai Soo Jati Hai Maa Tab Kaheen Ja Kar Sukoon Thora Sa Pa Jati Hai Maa Fikr Main Bachoon Ki Kuch Is Terha Ghul Jati Hai Maa Nojawaan Hotay Huwe Budhe Nazar Aati Hai Maa Rooh Kai Rishtay Ki Yeah Gehrayean To Daikheye Choot Lagti Hai Humaray Aur Chillati Hai Maa Kab Zarurat Ho Merai Bachay Ku Itna Sooch Kar Jaagti Rehti Hain Aankhain Aur Soo Jati Hai Maa Hudiyoon Ka Ras Pila kar Apnay Dil Kai Chain Ku Kitnee Hi Ratoon Mai Khali Pait Soo Jati Hai Maa Janai Kitne Barf Si Ratoon Mai Aysa Bhi Hua Bacha To Chaati Pai Hai Gelay Main Soo Jati hai Maa Jab Khilonai Ku Machalta Hai Koie Ghurbat Ka Phool Aansoon Kai Saaz Par Bachay Ku Bhailati Hai Maa Fiker Kai Shamshaan Mai Aakhir Chitaoon Ki Terha Jaisai Sookhi Lakreyaan, Is Terha Jal Jati Hai Maa Apnay Aanchal Sai Gulabi Aansuoon Ku Poonch Kar Dair Tak Gurbat Pai Apne Ashk Barsati Hai Maa Samnai Bachoon Kai Kush Rahti Hai Her Ik Haal Main Raat Ku Chup Chup Kai Lakin Ashk Bersati Hai Maa Haan Jism To Hota Hai Magar Jaan Nahi Hoti Wo Ghar Bhi Koi Ghar Hai Jahan Maa Nahi Hoti Phailay Bachoon Ku Kheelati Hai Sukoon-o-Chain Sai Baad Mai Jo Kuch Bacha Oh Shouk Sai Khati Hai Maa Mangti Hi Kuch Nahi Apnai Leye ALLAH Sai Apnai Bachoon Kai Leye Daman Ku Phailati Hai Maa Gar Javan Baiti Ho Ghar Main Aur Koie Rishta Na Ho Ek Naye Ehsas Ki Suli Pai Char Jati Hai Maa Har Eebadat Har Mohabbat Mai Nihan Hai Ek Gharz Be-Gharz, Be-Loos, Har Khidmat Ku Kar Jati Hai Maa Bazuwoon Mai Kheench Kai Aajaye Gi Jaisai Kayenat Apnai Bachay Kai Leye Bahoon Ku Phailati Hai Maa Zindagani Kai Safar Mai Gardishoon Ki Dhoop Mai Jab Koie Saya Nahi Milta To Yaad Aati Hai Maa Pyar Khaitai Hain Kisai Aur Mamta Kya Cheez Hai Koie Un Bachoon Sai Poocheye Jin Ki Mar Jati Hai Maa Safa-e-Hasti Pai Likhti Hai Usool-e-Zindagi Is Liye Ek Muktab-e-Islam Khailati Hai Maa Us Nai Duniyan Ku Deye Masoom Rahber Ise Leye Azmatoon Mai Sani-e-Quran Khailati Hai Maa Ghar Sai Jab Pardesh Ja Ta Hai Koie Noor-e-Nazar Haath Main Qur'an Lai Kar Dar Pai Aajati Hai Maa Dai Kai Bachay Ku Zamanat Main Raza-e-Pak Ki Peechay Peechay Sar Jhookaye Door Tak Jaati Hai Maa Kanpti Aawaz Sai Khaiti Hai Baita "Ulwida" Samnai Jab Tak Rahe Haatoon Ku Lehrati Hai Maa Jab Perayshani Mai Ghar Jatai Hain Hum Pardesh Main Aansuwoon Ku Poonch Nai Khawaboon Main Aajati Hai Maa Dair Ho Jati Hai Ghar Aanai Main Aksar Jab Hamain Rait Per Machle Ho Jaisay Aisay Ghabrati Hai Maa Martai Dam Tak Aasaka Bacha Na Ghar Pardesh Sai Apni Donoo Putliyaan Chokhat Pai Rakh Jati Hai Maa Baad Mar Janai Kai Phir Baite Ki Khidmat Kai Leye Bhaise Beti Ka Badal Kar Ghar Main Aajati Hai Maa Door Ho Jati Hai Sari Omer Ki Us Dum Thakan Bayha Kar Kai Betay Ka Jab Ghar Bahu Lati Hai Maa
Main Tere Hath Pe Rach Jaon Rango Ki Tarha, Tu Mera Naam Hathon Pe Kabhi Saja Kar To Daikh.. |
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
Allah hafiz...
|
(#3)
![]() |
|
|||
|
(#4)
![]() |
|
|||
[SIGPIC][/SIGPIC]
|
(#5)
![]() |
|
|||
|
(#6)
![]() |
|
|||
|
(#7)
![]() |
|
|||
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
mother, poem |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
mother | $@!RA | True Story | 8 | 06-05-2013 03:44 AM |
A poem on ramadan | DI@ | English Poetry | 16 | 08-26-2011 06:03 AM |
funny poem | DI@ | Funny Poetry | 10 | 08-24-2011 05:09 PM |
my mother, | life | English Poetry | 5 | 07-23-2011 03:09 AM |
Poem Cards | AYAZ | Image Poetry | 9 | 07-27-2010 06:07 PM |