Syedna Umer Farooq Razi Allah Taala Anha. - MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link|
MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community » Islam » Say For Islam » Syedna Umer Farooq Razi Allah Taala Anha.
Say For Islam !!!!Share Say For Islam!!!!

Advertisement
Post New Thread  Reply
 
Thread Tools Display Modes
(#1)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Loading Syedna Umer Farooq Razi Allah Taala Anha. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   12-04-2010, 03:20 PM

App Saw ne Allah sei dua ki ke ya Allah Do Umer me sei kisi ek ko islam se sarfaraz farma aur agr meri maan tou Umer bin Khattab ko islam me dakhil farma
Ek umer bhi hasham (abu jahal) aur ek Umar bin Khattab

Allah ka deen itna azeem o shaan deen us ke lia Umer ko Manga.
yah budh ki shaam ka waqia hai (wednesday)

is beech kafiro ne Syedna siddique e akber ko khana kaaba me bohat mara itna ke wo behosh hogaye.itna mara ke sar ke baal utar gaye . chahra naak barabar. Banu taim ne kaha agr abu bakar margaye tou hum utba ko qatal kardeinge.(utba bin abujahal)

jab hosh me aye tou qabilei walei jama they. poocha muhammad (saw) kaisey hain. khandan walo ne kaha tu abtak usi ka naam leiraha hai jis ki wajaah sei yah haal huwa
Farmaya Muhammad kaisey hain
Ma ne jawab dia mujhey kia pata tera sathi kaisa hai ( wo us waqct tak imaan nahi lain thein)
kaha umme jamil ko bulao (hazrat umer farooq ki behen)
wo again unsei poocha Muhammad kaha hain
kaha zaib bin arqam ke gher per hain , theik hain
kaha nahi le chalo dekh na loo qaraar nahi aye ga
tou haal yah tha ek ek hth maa ke kandhey per hath rakha aur ek hath ume jamil ke kandhey per aur ghistey huway waha gaye. aur jab nabuwat per nazar pari tou bohat rioye bohat roye aur maa ki imaan ke lia dua farmadein.
auir aap ne dua ki aur maa musalman hogai
wahein aap SAW ne dua ki ke ya Allah dono umar me sei ek umer deidei aur meri maan tou umer bin khattab ko deidei.
yah wednesday aur thursday ke darmian ka waqia hai.

dosri taraf khana e kaaba me mashwara horaha hai ke muhammad ka kia kiya jaye
Umr bin Khatttab ne kaha qatal kardia jaye
kaha kaun karei ga
aap ne kaha me Muhammad ko qatal karooga (upper kia faisla hogaya hai wo bekhabar they)

nangi talwar leikei jarahey hain yah jaanei bagher ke kudh qatal hone jarahey hain

rastey me kisi ne kaha umer kahan
kaha aaj muhammad ko qatal kardoonga
kaha ke gher ki khabar lei
teri behen aur behnoi musalman hochukei hain
sara gussa waha muntaqil hogaya
waha gaye darwazey per awaz lagai
waha khabbab quran parha rahey they
behen ne kaha umer agaye ab kia hoga
khabbab ander chup gaye
ander aaye aur ek thappar mara behen ke
aur behnoi koi maar maar ke khoon khoon kardia
saeed ibn zaib inke behnoi they
yah bhi fazilat e umer hai ke ek khandan me do log ashra e mubashira me sei hain
jab maar maar thak gaye tou behen ne kaha
umr jo karna hai karlei HAQ nahi chorein ge
gussa utarchuka tha ,,, quran bahar tha . kahnei lagei yah ki ahai dikhao
behen ne kaha nahi dikhaongi tu napaak hai
jaakei ghusal kia nadamat bhi thi behen ka khoon dekh kar
nahaya aur quiran pakra
wahein naseeb ke faislei badal gaye
wahein rehmat agai
wahein dil khul gaya
wahein kufr batil hogaya
wahein zehen khul gaya
wahein hidayat milgai
wahein sachaai samnei agai
wahein dua qubool hogai
wahein dunya ko ek azeem insan mila
wahein dil kapkapa gaya
wahein iman utargaya dil me
kaha mujhey Muhammad ke pass lei chalo
khabbab bahar niklei aur mubarak ho dua qubool hogai

waisey hi bahar niklei kaha auir zaib ki gher ki taraf chalei
logo ne dekha aur kaha ya rasool Allah umer araha hai
hazrat hamza ne kaha anei do ghalt iradey sei aya tou usi ki talwar sei garden uradi jaye gi
ander dakhil huway
aap Saw ne dekha daman pakra aur kaha " Umer kia bahi waqt nahi aya ke tu kahdei Laa ilaha illalah"
kaha ke han agaya waqt me kahta hoo" Laa ilaaha illahah muhammad dur rasoolullah"

usi waqct jibreal utrey kaha" Ya rasool Allah aapo ko umer ke islam ki khushi horahi hai " kaha han horahi hai
farmaya poora asmaan khush hai ke umer musalman hogaya.

kiaa maaon ke betey they kia insan they

22 lakh meel ka badshah aur jharoo derahey they
22 lakh meel ka badshah aur oont charaha hai
jo kandhey per ataa utha kar jarha hai
nahi aye ga dobara aisa kio badhshah aisa insan aisa musalman aisa Umer aisa mard aisa dost aisa sathi


Aap saw ne farmaya " umer wo ume rhai jis ne haq aur batil me farq karkei batadia (FAROOQ) hai yah farooq hai"

Itni bari saltant ke bwajood mujahido ke gher per khara hoke kahtey hain " beta tumahrei khawind jihad per hai mujhey batao me gher ka sauda lei aaon"

wo shaks jis ke samnei qaiser o kisra zer o zabar hogaye. room ki taqact tordi. iran ke khazanei madinei me laanei wala , fateh beit ul muqdas.... fateh e europe ... fateh e room iran

apnei kaprey me 14 pewand hain .... mashaAllah

Huzoor Saw ne farmaya merei 2 wazir asmaan per hain 2 zamin per asmaan per jibrael aur mikael aur zameen per abu bakar aur umer
farmaya "abu bakar aur umer kisi ek mashwarey peri jama hojain tou me inke khilaaf nahi karooga"
farmaya "abubakar teri misal ibrahim AS ki si hai Umer teri misaal Nooh AS ki si hai....abubakar teri misaal EEsa AS ki si hai Umer teri misal Mossa AS ki si hai
aap Saw ek baar masjid me aaye dain taraf abu bakar they aur bayein taraf umer they kaha dekho dekho"Qayamat ke din bhi hum aisey hath me hath deikei uthain jain ge"

Umer.....jis ke islam laanei sei islam buland huwa
jis ne nabi ka hath thaam kar kaha ao jis ko ana hai aao namaz parho dekhta hoo kaun rokta hai
jis ko ana hai din me namaz parho kaaba me kis me himmat hai merei samnei aye... aur batil aur jhootatou kabhi samnei nahi ataa....
jis ke raho sei shaitan rahein chordeta tha wo umer tha.

urfaat ka maidan tha sawa lkah sahaba they aap saw ne farmaya " mera Allah aaj merei saarei sahaba per fakhar karha hai aur umer per khas fakhar karha hai"

merei baad koi nabi hota tou umer hota" (yaha khatam e nabuwat ki tasdeeq bhi hogai ke jab umer nabi nahi tou koi auir nabi bhi nahi aasakta. hazrat eesa bhi ummati ki hasiyat sei ayein gei aur nabi SAW ka kalma parhein gei.

wo kia they jin ko nabi ke gher me qabar mili.
itni bari hasti itni basharato ke malik masjid e nabvi me rorahey hain. [poocha kio rotey hain ameer ul mominin kio rotey hain kaha dajla ke kinaarey kutta bhooka margaya pooch umer ki hogi.
kabhi bhook se bilaktey bacho ko kandhey per rashan utha kar janei lagei rotey jatey kahtey jatey ke mera baar hai me uthaoonga. ghulam ko kaha qayamat ke din mera wazan tu uthaye ga.. halwa banaya aur bacho ko khilaya. jab bachey sogaye tou kaha mei nei in bacho ko rota dekah kaha dil chaha ke hansta huwa dekhoo..
hukoomat is sei bari mili logo ko per futoohaat karkei yah khidmat karaha hoo aisa koi nahi aya na aye ga yah zameen phir nahi dekhey gi.

Namaz me khanjar laga
aaj ke din
namaz parhatey huway
yakum muharram .... maut nazar aai
betey ko bulaya ,...jaao ammaa ayesha sei pooch ke aao ke uimer apne sathio ke sath dafan hone ki ijazat chahta hai,... Umer kahna ameer ul momineen nahi sirf umer.
jab wo poochne gaye tou hazrat ayesha roraahi thein
kaha amaa jaan mera baap apne sathio ka paros chahta hai
kahnei lagein yah jagha mei nei apne lia rakhi thi
per ger umer chahtey hain tou yah dast bardaar hoti hooo
umer ko mujh per fazilat hai

wapis aye khushkhabri sunai ke ijazat milgai
farmaya ke nahi hosakta hai merei sharam me ijzat di ho
jab marjaon dobara jana
mera janaza darwazei pei rakhna aur phir ijazat leina
phir ijazat miljaye tou kardeina dafan warna baqi me dafan kardeina


itnei me hazrat ali aaye aur kaha umer kio maut sei dargaye
farmaya nahi maut sei nahi dara
maut ke baad ki manzilo sei dargaya hoo
hazrat ali ne farmaya daro ne merei kano nei kai kai baar suna hai
Allah ke nabi farmatey they abu bakar aur umer jannat ke bari umer ke mardo ke sardaar hain
farmaya tu gawahi deiga
kaha tu gawahi deiga
hazrat ali ne kaha mei bhi doonga aur mera beta hassan bhi deiga

phir bhi jo jannat ki basharein liye huway haina
ashra e mubashira naam leikeei farmaaya ek ek sahaba ka
kei sab jannati hain me insei raazi ho logo inka haq pehchaano
aur farmaya agr tum mei inme sei barei me kisi ek ke barei me kisi ek ke lia dil me bughz leikei margaye tou
kitni ibadat ki ho
kitni ibadat ki ho tou Allah tum ko moun ke bal jahanum me gira deiga


aisey log maut per kia kahtey hain
apne batey sei kaha mera sir zameen per daal deyu
goad me sar tha
zameen per rakh dia
tou chahra matti per rakhdia aur gaal ko zameen per malney lagei aur kahnei lagei
"Umer teri halakat hai agr terei rab ne tujhey maaf na kia" aur kahtey kahtey kahtey jaan deidi.


Matloob e mustafa...wazeer e mustafa....shadeed e musalla e rasool....ameer ul momineen....basharat e rasool....maut per yah kahrahey hain

apne baad khilafat kei lia 8 bachtey hain
apne betey abdullah bin uimar aur saeed bin zaid dono ka naam kaat dia
ashra e mubashira me sei they dono
kaha inko na banana
baaqi 6 me sei kisi ko banadeina


janaza rakh dia hujra e ayesha ke samnei aur abdullah bin umer ne kaha
ammaa jaan mera baap ander anei ki ijazat chahta hai.
hazrat ayesha ne chadar uthaai aur rotey huway bahar nikal gain..

ander dakhil huway ...abudllah bin abbas qabar khod rahey they
kandhey per kisi ne hath rakha
hazrat ali kharey they ro rahey they aur kaha
'mujhey apta tha tu yahein aye ga yaha koi nahi askata tere alawa" kio ke
mei nei Allah ke nabi sei itni baar suna itni baar suna ke mei abu bakar aur umer me abu bakar aur Umer


aur wo apnei sath Allah ke rasool ke sath qayamat tak ke lia araam farmaraha hai.


yahi log they jo hidayat they
yahi kamyaab they
yahi sachey they
yahi sach they
yahi haq they

kaha jatey hain west ki taraf
waha tou sooraj tak doob jata hai


yah log jannati they
yah log sab kuch paa gaye
yah log sab kuch hasil kargaye
yahi hamarei lia ideal hona chaiye


Allah aap sab ki aur meri zindagi Umer Farooq ki tarha aur sahaba ki tarha banadei aur aisy hi maut dei jaisy inko mili
ameen
....



Kamtareen


Hammad






 

Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links
(#2)
Old
Truth Reveals Truth Reveals is offline
اک دن آئے گا
 


Posts: 556
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Sep 2010
Location: Lahore
Gender: Male
Default Re: Syedna Umer Farooq Razi Allah Taala Anha. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   12-04-2010, 04:36 PM

Jazak'Allah .. Bohat Hi Khoobsoorat Andaz-e-Bayan Tha.. Ye Bayan Parh Kar Hi Rongtay Kharay Hogaye To Agar Yehi Bayan Koi Muqarar Mimbar Par Bayan Karta To Yakeenan Wo Jazbat Paida Ho jatay K Ankho Say Ansoo Bhi Rawa Hojatay.. Mein Bohat Bara Fan Ho Hazrat Farooq-e-Azam "RA" Ka..

 

(#3)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Default Re: Syedna Umer Farooq Razi Allah Taala Anha. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   12-04-2010, 04:48 PM

ebshak Umer Behetreen insaano me sei ek insaan hain.

Allah humei deen qayim karne ki taufeeq aisey hi dei.
ameen.

 

(#4)
Old
-|A|- -|A|- is offline
BaiKaar MemBer !!
 


Posts: 8,871
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Location: karachi,Pakistan
Gender: Male
Default Re: Syedna Umer Farooq Razi Allah Taala Anha. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   12-04-2010, 05:38 PM

Shaam u have a done excllent job bro ..
or Apnay khubsorat Lafzoon k sath Umar bin Khattab ki shaan mein poraa insaaf kya hai

 

(#5)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Default Re: Syedna Umer Farooq Razi Allah Taala Anha. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   12-04-2010, 07:10 PM

nahi nahi bhai
Allah ka khauff karo
meri auqaat aur hasiyat nahi ke umer ki shaan bayan karsakoo
kuch bhi karloo wo ek lamhey ka bayaan nahi karsakta
kisi bhi sahabi ki ek pal ki azmat nahi bayaan karsakta.

 

(#6)
Old
life2 life2 is offline
 


Posts: 14,313
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Location: karachi
Gender: Female
Default Re: Syedna Umer Farooq Razi Allah Taala Anha. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   12-05-2010, 06:06 AM

jazakallah

 

(#7)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Default Re: Syedna Umer Farooq Razi Allah Taala Anha. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   12-05-2010, 04:16 PM

hmmm : )
shukria

 

(#8)
Old
Abewsha Abewsha is offline
Banned
 


Posts: 18,452
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: May 2011
Gender: Female
Default Re: Syedna Umer Farooq Razi Allah Taala Anha. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   09-01-2011, 06:59 AM

jazakallah

 

Post New Thread  Reply

Bookmarks

Tags
allah, anha, farooq, razi, syedna, taala, umer

« Previous Thread | Next Thread »

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
ALLAH TAALA (Farishton Sy)Farmata Hy: ROSE Quran 3 07-04-2012 03:24 PM
Sb sy jaldi razi hony wali hasti ALLAH ki Zat hy. Ghuncha Islamic Sms 22 10-15-2011 11:32 AM
!! Allah ko razi krne k tareeke~~~ Dashing Ahsan Say For Islam 8 09-01-2011 06:28 AM
<<ALLAH Taala Farmata Hai>> !~*AdOrAbLe*~! Islamic Issues And Topics 7 05-18-2010 11:25 PM
WeLcoMe farooq Ghuncha Welcome & Introduction 6 07-17-2009 06:36 PM


All times are GMT +5. The time now is 07:16 PM.
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.

All the logos and copyrights are the property of their respective owners. All stuff found on this site is posted by members / users and displayed here as they are believed to be in the "public domain". If you are the rightful owner of any content posted here, and object to them being displayed, please contact us and it will be removed promptly.

Nav Item BG