Qurbani - MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link|
MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community » Islam » Islamic Issues And Topics » Qurbani
Islamic Issues And Topics !!! Post Islamic Issues And Topics Here !!!

Advertisement
Post New Thread  Reply
 
Thread Tools Display Modes
(#1)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Loading Qurbani - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   11-16-2010, 06:11 PM

Assalam Alaikum
Tamaam Ahl e Islam ko EID ul Azha Mubarak.

Is post ka maqsad chand batein share karna hai jo mei nei apni buzurgo sei suni aur aap ne bhi yaqeenan suni hogi.

Eid islam ka tehwaar hai lughwi mainei eid ke "LAUT KE ANEI WALU YA BAR BAAR ANEI WALI KE HAIN" choonke eid her saal ati hai is lia is ko EID kahtey hain . Mijaazi mainey eid ke "Khushi ke Din" ke hain.

Khushi ya Happiness Islam aur Pleasure me thora sa fark hai. Pleasure ek waqti jazba hai jo ke thora sa acha waqt guzar kar halla gulla koi bhi kaam jo dil chahey karkei milsakta hai lekin us ke baad afsos bhio hosakta hai .
Jabke khushi ya happniness sirf Virtue ya NEKI ke zariye hasil hoti hai isi lia Islam me Eidein sei pahlei namaaz ka hukum hai ke yah neki ki ab jao aur khushyaa manao.
lekin yaha yah amar qabil e zikr hai ke khuhsyaa kia akele manai jaasakti hain ?

Eid ki namaz ijtimaa kahlati hai khulei maidaan me ya Jamya Masjiod me jaha hazaro log ek sath kharey hoke Allah ka shuker ada kartey hain.
Zaroorat is amar ki hai ke kia hum aaj ke din khushi ke lia Allah ke lia logo ko maf kar ke ya unse sulaah karkei sath eid mana saktey hain ?
Accept karsaktey hain unko jin sei ikhtilaaf hai ?
chahey wo maslak ka ikhtilaaf ho ya personal accept karna anaa chaiye.
insan apni aulaad sei lakh ikhtilaaf ke bawajood ek rabt rakhta hai
nikal nahi deita
sath rakhta hai
kio ke muhabbat hoti hai
ek musalman sei allah ke lia muhabbat hogi tou unko accept karna aaye ga
phir yah pagrio ke rango ka aur hath upper neechey bandhnei ke ikhlilaaf bohat sanvi nazar ayein ge
beher haal

Eid ul Azha Hazrat Ibrahim Khalil Ullah ki us qurbaani ki yaad hai jaha Allah ne apne peghamber sei kaha ke merei rastey me apnei lakht e jiger ko qurbaan kardo.

aur phir according to quran unki jagha ek mendha ya dumba lei aya gaya. (yaha yah baat note karlein ke Dumba qurban karna Allah ki choice thi)
matlab yah janwawr hamarei qayim muqaam hain. per qayim muqaam waqti tore per hotey hain azam yah hai ke aaj ya kal jab bhi zaroorat hooi hum Allah ki raah me kudh ko aisey hi qurban karsaktey hain INSHAALLAH.

nabi paak saw ne 2 dumbey qurban kiye aur qurban kartey waqt kaha "pahla muhammad ki ummat ki taraf sei aur doosra muhammad ki taraf sei "
Wo nabi jo her jagha ummat ko muaqaddam rakhta tha humei chaiye us ke lia qurbaani karein us ke naam perus ki khushi ke lia bhi.
is sei hut kar ek sahabi ne aap saw sei kaha mujhey qayamat ke din aap shifaat dijye ga tou aap saw ne kaha ke mei waha maujood honga. tou sahabi ne farmaya ke mei arbo logo kei majmey me aap ko kaha dhoondhooga tou ap SAW ne farmaya mei 3 jagha miloonga
1 . Meezan per
2. Pul e Sirat per
3. Hauz e kausar per

Pul e sirat per ek ummati jarha hoga tou jagmagaye ga
aur cheenkhey ga
YA MUHAMMADA

AAp saw tashreed lain ge aur Allah sei kahein ke Allah aaj muhammad apbio beti FATIMA ke lia kuch nahi mangta aaj meri ummat ko bakhs dei. (aisa nabi aur hum jaisey ummati )

khair
tou yah qurbaani ka chota sa falsafa hai .

ab kia qurban karein kio karein
tou sab sei bahter qurbaani dumbey ki hoti hai kio ke yah Allah ne pasnd ki aur us ke nabi ne yahi kia
ab koi ger yah kahey ke us ko dumbey ke gosht me heak ati hai tou kharabi dumbey me nahi us insan ke rooh me hai
dunya ke sab sei nafees insan SAW they .. Touching stone aap ki zaat hai. mayaar aap ki zaat hai .
aap ko loki pasnd thi ... aap ko itr pasand tha
aap ko jo pasnd tha wo humei nahi ata psand tou kharabi beemari kasafat hamarei ander hai.



qurbaani karein
udhaar leikei karsaktey hain jab dunya ke lia kamo ke lia
parshanio ke lia udhaar lei saktey hain tou allah ke lia bhi lein aur us ko lautaanei ki fikr karein waha sawab milei ga
insan Allah ke lia pareshan ho kabhi Allah phir us ki fikr kareiga.


bohat sei log kahtey hain hamari beti ya beta chota hai kamata nahi
us ki qurbani nahi karsaktey tou yah sochein ke
ek bacha primary ka
us ki school parhaai tution van aur lawazmaat me 50 60 hazaar minimum hum kharch kartey hain saal mein
medical engineering me ho tou 1 sei 10 laakh yearly kharch hota hai tou
5 hazaar ka ek hissa nahi dalsakta ?


aaj ek aur trend hai 1 lac aur kahein kahein tou 20 25 lac ka janwar laanei ka
aur waja yah hai ke
qurbaani achi ho
jawaz banaya jasakt ahai per
sirf janwar ki qurbani achi ho
subha fajar me neend ki qurbaani hoti hai ?
namaz achi hoti hai
zbaan achi hai
zikr acha hai
zalkaat achi hai
roza acha haui
agr NAHI tou koi msla hai
kahein na kahein riya ka ansur hai

beherhaal is time jab log khudkushia karahey hain
bachey bech rahey hain aisy qurbaani na karein tou acha hai
30 hazar ka bhi janwar milta hai
aur bahter hai nabi khulfa e rashedeen aur buzurgaan e deen ki naam ki qurbaani bhi karein
unki rohoo ko eesal e sawab pohchey ga dua milei gi.

Allah mujh ko aur hum sab ke dil me Apni muhabbat paida karei . Yahi sab sei bari daulat hai aur yahi hasil e zindagi hai.




 

Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links
(#2)
Old
Noor ul huda Noor ul huda is offline
 


Posts: 4,114
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Jan 2010
Gender: Female
Default Re: Qurbani - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   11-22-2010, 03:47 PM

MashaALLAH....Great. !!

JazakALLAH for Sharing.

 

(#3)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Default Re: Qurbani - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   11-23-2010, 03:08 PM

thanks hijab chalo u r the second one who read it.

 

Post New Thread  Reply

Bookmarks

Tags
qurbani


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Eid ul Azha and Qurbani !!!!!!!! M A H i Islamic Issues And Topics 10 02-29-2012 04:09 PM
Fav Qurbani ~wish munda~ Polling both 12 11-14-2009 05:06 AM


All times are GMT +5. The time now is 03:24 PM.
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.

All the logos and copyrights are the property of their respective owners. All stuff found on this site is posted by members / users and displayed here as they are believed to be in the "public domain". If you are the rightful owner of any content posted here, and object to them being displayed, please contact us and it will be removed promptly.

Nav Item BG