True Story !!! Post True Stories Here !!! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
~* Mohabbat Ki Kahani *~ Ajab kahani thi shayad meri hee zabani thi .. Ik larki woh anjani thi .. beygani thi an chui si Woh chui mui si janey kahan kasey kab takra gaii ... Mujh ko bha gaii .. phir kuch aisa hua kai baatein huin Choti woh lambi raatein huein Woh aur main aksar dono ghanton ghanton bethey yunhi Baatein kya kertey thaey Janey kab kyun ahsas hua ... Mujh ko usi ka pass hua Woh us din shayad na ayi thi .. Jaan meri p'aey ban ayi thii ... Tarpa tarsa behka main .. Pershan hua saans lena mujh per muhal hua Ahsas hua mujh ko us din tab ho gaii mujh ko mohabbat ab Dhoonda main nai intazar kya Raat woh sari din bhi apna baeykar kya .. Baeychan hua nadan hua .. Phir sham hui woh wapis ayi Phir main nai us ko batlaya Jatlaya us ko behlaya Kaha us ko suno tum sai mohabbat .. Bohat hai mujh ko bohat hai Bas mujh ko tum sai mohabbat hai ... Ghabrai thi woh sharmai thi Kahin door ja ker simti thi Phir ghabrai woh .... Pershan hui ... Kuch daer ko woh chup ho ker Phir mujh sai woh mukhatib hui Na mil paon gi toh kya kero gai ? Socha main nai toh jaan nikli .... Baey inteha nikli baarha nikli ... Chup raha nahi bola kuch Phir yun hua kai justuju us ko hui Khamosh si woh bholi bhali si Ik din mujh sai kehney lagi Yun tum sai baatein kerti hoon Baeykar yeh raatei kerti hoon Tum sai kehti hoon main Na main yun Dil main rekhti hoon Haan main yun Kai mohabbat tum sai kerti hoon Par junoon tumharey sai derti hoon ... Yun laga mujh ko tab Seerab hua yeh sehra ab Main utha khushi sai naach gya Dil mera zor sai dhadka tab... Poocha phir yun shararat sai main nai jab Kaho kyun leti ho imtehan ab ? Woh hasti muskurati sharmati ba'l khati Uthi phir chal di par jatay jatay mujh ko Keh gaii ik anjan baat Boli ....!!! Meri majboori Kabhi ho gi na yeh aas poori... Main tha junoon main andha pagal Majnu bana main ranjha ghayal Jawab deya usey hosla deya Phir din raat main nai mehka deya Phir wasee hee hotein baatein thaein Khamosh si lambi raatein thaein Ham dono thaey bas ham dono Aur hamari mohabbat ki baatein thaein Phir yun hua kai us ka jana hua ... Ik khiley phool ka murjhana hua Meri zindagi gaii meri qismat gaii Mera junoon meri wehshat gaii Khali haath kashkoal liye Main dar dar talash main us ki bhatka .. Dhoonda bohat par mili nahi woh Khali paet nagey paon Tap'ti raet Pairon main phir ch'aley aye .. Jeena phir dushwar hua Mujh ko us din us ka deedar hua Main phatey puraney halon main Paon main parey ch'alon main Lambi dari maeley kaprey Ukhri saansien par chamki ankhein Dekha main nai us ko jab Pass gya gir gir jab .. Poocha us ko janti ho ? Kya tum mujh ko pehchanti ho ? Woh anjani si deewani si Bhooli si kisi pari si maysoomiat sai Mujh ko kehti hai Aey jogi tu toh adh mara sa Mujh ko kaisey janta hai ? Kasey tu pechanta hai ? Main na janoon kaun hai tu ......... Tha'tka main phir larkharaya Haath main us ka anchal aya Gir para phir tarap kai main Ik nazar jo us ko dekha tab ... Anchal us nai jhatkaya daman apna bachaya .. Ja rahee thi thamey kisi ka haath Chor ker mera sang or saath Saans at'ki dhadakna band hua Palkein moondhein jaan nikli thi Lash ko meri phir uthaya jab Na qafan na ghusal bin kye yeh sab Dafna aye mujh ko jogi char Shayad kai they woh merey yaar ... Qabar meri bhi kachi thi ... Meri mohabbat bin qafan hui Bin ghusal hee woh bhi dafan hui woh kahani phir yun khatam hui ..!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
|
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
|
(#3)
![]() |
|
|||
|
(#4)
![]() |
(#5)
![]() |
|
|||
|
(#6)
![]() |
|
|||
|
(#7)
![]() |
(#8)
![]() |
|
|||
|
(#9)
![]() |
|
|||
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
kahani, mohabbat |
|
|