Quran !!!!Quran ki Nazar Sey!!!! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaaya ke ALLAH farmaate he ke jis ko Quran ne mere zikar aur mujh se sawal karne se baaz rakha, usay mein us se behtar doo ga jo maangne waalo ko deta hoo. jaisi ALLAH ki fazeelat us ki makhlooq pe he. (Tirmzi) Hazrat Muhammad (SAW) ka farmaan he: "sab se bara ibaadat guzaar woh he jo sab se ziada tilawat-e-Quran karne waala he" (Kanz ul umaal) Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaaya he ke beshak dilo ko bhi zang lag jata he jis tarha lohe ko bhi zang lag jata he jab usay paani lag jaye, araz kiya geya ke un ki safayi kaise ki jaaty he? farmaya, maut (death) ko kasrat se yaad karne aur Quran ki tilawat karne se. (Mashkwat) Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaaya, " jis ne kitaab ALLAH (Quran) ka aik harf parha us ke liya is ke badle aik naiki likhi jaaty he aur aik naiki ka sawaab 10 guna hota he. " (Mashkwat) Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaaya " bilashooba tum mein se afzal woh he jis ne Quran ki taleem haasil ki ya doosre ko is ki taleem di." (Bukhari) Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaaya " jis ke seene mein kuch Quran nahi he woh wiraan makaan ki tarha he". (Tirmzi) Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaaya ke ALLAH farmaate he ke jis ko Quran ne mere zikar aur mujh se sawal karne se baaz rakha, usay mein us se behtar doo ga jo maangne waalo ko deta hoo. jaisi ALLAH ki fazeelat us ki makhlooq pe he. (Tirmzi) Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaaya ke jis ne Quran parha aur usay yaad kar liya, us ke halaal ko halaal samjha aur haraam ko haraam. us ke ghar waalo mein se un 10 bando ke baare mein ALLAH us ki shafaat farmaye ga jin par jahanum wajib ho chuka he. (Tirmzi,ibn-e-maja) Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaaya har cheez ke liye dil he aur Quran ka dil "Surat Yaseen" he. jis ne Yaseen parhi ALLAH us ke liye 10 baar Quran parhane ke sawaab likhe ga. (Tirmzi) Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaya jo shaks ALLAH ki raza ke liya Surat Yaseen parhe ga, us ke saabka gunaho ki magfirat ho jaye gi. lihaaza is ko apne mardo ke paas parho. (Daarmi) Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaaya jo aik din mein 200 baar Surat Ikhlas parhe ga us ke 50 saal ke gunah mita diye jaye ge magar ye ke us par karz ho. (Tirmzi) Hazrat Muhammad (SAW) ne aik shaks ko Surat Ikhlaas parhate hua suna, farmaaya ke jannat waajib ho gayi. (Tirmzi) Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaaya jis ne Surat Ikhlaas ko namaz-e-fajar ki baad 10 baar parha to us din me usay koi gunah na pohanche ga agarche shaitaan kitni hi koshish kare. (Ibn Asakir)
|
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]()
|
(#3)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#4)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#5)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#6)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#7)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
kroo, main, quran, rokh, sakon, talwit |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
|kon rokh sakta hai| | Hussain | Urdu Sms | 17 | 11-21-2011 10:14 AM |
*~~ MujHy YAAD HAMESHA Kea KrOo ~~* | ZaHa | Miscellaneous/Mix Poetry | 6 | 08-04-2011 01:32 PM |
Lafzon main keh na sakon | ~ Bikhre Lamhe ~ | Share Your Favourite Videos | 4 | 06-01-2011 01:59 PM |
Ye dua kroo apny rab k hazor | Úƒƒƒ | Islamic Issues And Topics | 3 | 05-30-2010 10:01 AM |
Quran Ki Tafsir 3 Jumloo Main. | dont depend on others | Islamic Issues And Topics | 11 | 07-29-2009 10:24 AM |