Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
|
Thread Tools | Display Modes |
|
(#1)
![]() |
|
||||
![]() ![]() ![]() phir naya zakhm dene ke liye aai ho
phir mujhe chhod ke jaane ke liye aai ho reza-reza hoke bikhar gaya mera wajood phir na aaungi ye kehne ke liye aai ho kitne sangdil ho dil tumhaara pathar ka sitam mere dil pe dhaane ke liye aai ho chaak jigar karke naye naqsh chhod gai zor-e-kalam ko aazmaane ke liye aai ho lamha-lamha jee liya waqt se tujhe cheen liya ranj-o-gam se lipte kuch pal dene ke liye aai ho intezaar-e-sanam ab yehi mera muqaddar hai cheen kar mera sarapa rulaane ke liye aai ho kitni nafrat badgumaani dekhi har lafz main yakeen-e-kaamil ko jhutlaane ke liye aai ho na khel tu mere dil se dar khuda se ai sanam mere zarf ko phir se mitaane ke liye aai ho na thakunga main tere zulm-o-sitam se kabhi "MuNdA" ke zabt ki intehaa jaanne ke liye aai ho
|
Sponsored Links |
|
Bookmarks |
Tags |
aai, aazmaane, liye, zorekalam |
|
|