Ajeeb terha sey utri hai ab k tanhaai
Dewar-o-dar se baras nay lagi hai tanhai
ye merey ghar ki udasi se dar gai shayad
lipat k mujh se galay ro rahi hai tanhai
chalo k sham hui ab to lautna hai mujhey
k merey ghar pay meri muntazir hai tanhai
main ja k us ko sonata hon hal-e-dil apna
phir apna haal sonati hai mujh ko tanhai
woh rasta ho k manzil ho ya k mehfil ho
meri rafeeque---meri raazdar---tanhaai
bari talaash se us ko mila hai ghar mera
phiri hai merey liay dar badar ye tanhai
kabhi yahan bhi to qadmo ki aahatain aain
mujhi se kehnay lagi hai ye meri tanhaai
Main bhi kitni pagal hoon na
Sang hawa k urna chahoon
Titli ban kar nagri nagri
Gulshan Gulshan phirna chahoon
Phooloon k sab rang chura kar
Chunri apni rangna chahoon
Main bhi kitni pagal hoon na