Shayari Pasand kerne walon se EK SAWAAL - MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

link| link| link
MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community » Poetry » Urdu Poetry Categories » Shayari games » Shayari Pasand kerne walon se EK SAWAAL
Shayari games Shayari games (Bait Bazi ya kisi aik word se shayari type game )

Advertisement
 
 
 
Thread Tools Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
(#19)
Old
Owi Owi is offline
 


Posts: 6,356
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Apr 2010
Location: Bay Aawaaz Gali Koochon Mein !
Gender: Male
love it Re: Shayari Pasand kerne walon se EK SAWAAL - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   09-20-2011, 09:01 PM

Shaairi tamaam uloom ki terseel ka mo’assar or aasaan zeriya hai
Shaairi k liye piyaar ka hona zaroori nahi hai
Shaairi ka apna mizaaj hai kiun k shaairi ka maqsad sirf itna hai k insaan maafi-al-zameer
Ko munzoom kalaam mein paish karay balaaghat ko paish-e-nazer rakhtay huway

Is baat per ghour kernay say jawaab samhaj mein aa jaaye ga

Baakhi aasaan alfaazon mein logon k liye is terhan keh sakta hoon k
Shaairi k acha lagnay k liye piyaar ka hona zaroori nahi
Ho to acha hai na ho to koi harj bhi nahi

Bilkul aisay hi ager main aap say sawaal karoon k

1: Kya kisi khoobsoorat emaarat ko pasand kernay k liye us emaarat say piyaar hona zaroori hai ?

2: Kya kisi novel k acha lagnay k liye us novel say piyaar hona zaroori hai ?

Yaqeenan aap ka jawaab hoga ”NAHI”

To phir shaairi k liye kiun ? ? ?

Zara is shair ko dekhiye

Kahaan Pay Dafan Karoon Main Sukhan Ki Taigh-e-hunaR
Ghazal Kahoon to Zamaanay Ki Jaan Jaati Hai

Bataaiye kya is shair k acha lagnay k liye pehlay piyaar kerna paray ga ?
Yaqeenan nahi

Agerchay dekha jaaye to poori duniya ki ab tak ki likhi gai shaairi mein 90 feesad kalaam ka ta’alluq majaazi mohabbat say nahi hai balkay daanishwaraana, falsafiyaana or saainsi mazaameen say hai
Baaqi 10 feesad mein say bhi koi 4 ya 5 feesad hi hoga jis ka ta’alluq majaazi mohabbat say hai.


Shaairi yaa tajurba yaa mushaahida yaani aap-beeti yaa jagg-beeti k liye piyaar hona zaroori nahi


Shaairi k liye piyaar ka hona yaa na hona shart nahi hai
Jazbaat k manzoom or izhaar ka naam shaairi hai
Or jazbaat kisi qisim k bhi ho saktay hein
Or in ka mu’arrikh koi bhi ho sakta hai
Tajurbah bhi, tajziyah bhi, mushaahidah bhi or mutaaliah bhi

Baaqi sab mafroozay hein
Dekhiye shaairi ki iqsaam mazaahiyah, tunziyah, turbiyah, almiyah, tanqeedi, mazahamati, inqaylaabi, qoumi, mazhabi, maqsadi or waghairah waghairah hein
In sab iqsaam k mukhtalif qisim k muharrikaat hein
Sirf ishqiya shaairi hai jis k liye piyaar honay ki shart kisi had tak lagaai jaa sakti hai.

 





•||•––––•||•––•Owi•––•||•––––•||•
 

Bookmarks

Tags
kerne, pasand, sawaal, shayari, walon


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Sawaal Pe Sawaal ( NO Answer ) M A H i GupShup 303 02-10-2017 04:22 PM
Dantoon ki peelahat ko dur kerne** ROSE Health & Care 5 06-02-2013 11:43 PM
Safar kerne wala ROSE Hadees Shareef 1 07-08-2012 07:57 PM
1 namaz qaza kerne wala ROSE Hadees Shareef 3 07-08-2012 06:42 PM
Meri Pasand (Hopefully aap ko b pasand aayegi) masoodjee Miscellaneous/Mix Poetry 53 04-18-2011 12:14 AM


All times are GMT +5. The time now is 03:40 PM.
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.

All the logos and copyrights are the property of their respective owners. All stuff found on this site is posted by members / users and displayed here as they are believed to be in the "public domain". If you are the rightful owner of any content posted here, and object to them being displayed, please contact us and it will be removed promptly.

Nav Item BG