Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#581)
![]() |
Sponsored Links |
|
(#582)
![]() |
|
||||
Dard Me Doobi Tehreer Teri
Dil Ke Taron Ko Chhed Gayi Kyon Ki Teri Aankhon Mein Besabab Udaasi Hai Kyon Ki Tere Chehre Pe Dukh Hai, Badhawasi Hai Kyon Saughawar Tera Daaman Hai Kyon Tere Lahje Me Ajnabi Pan Hai Woh Ke Umr Bhar Jisne Shahar Bhar Ke Logon Me Mujh Ko Ham Sukhan Jaana, Dil Se Aashna Likha Khud Se Meherbaan Samjha Dilruba Likha Lekin…… Ab Ke Saada Kaagaz Per Surkh Roshnai Se Tune Talkh Lahje Me Mere Naam Se Pahle Sirf “Bewafa” Likha Jaane Kyon Jaane Kyon Jaane Kyon ?????
|
(#583)
![]() |
|
||||
Mumkin Ho Aap Se Tuo Bhula Dijiyey Mujhay
Pathar Pe Hoon Lakeer, Mita Dijiyey Mujhay Hur Rooz Mujh Se Taaza Shikayat Hai Aap Ko Main Kia Hoon, Aik Baar Bata Dijiyey Mujhay Mere Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-E-Guftugu Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiyey Mujhay Main Kia Hoon, Kis Jagah Hoon, Mujhay Kuch Khabar Nahin Hain Aap Kitni Duur Zara Sada Dijiyey Mujhay Ki Main Ne Apne Zakham Ki Tash’heer Ja Baja Hum Mantey Hein Jurm, Saza Dijiyey Mujhay Qaim Tou Ho Sakey Koi Rishta Ap Key Saath Gehre Samandaroon Main Baha Dijiyey Mujhay Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasney Se Faida Hai Tairgi Tou Aag Laga Dijiyey Mujhay Jaltey Dinoon Main Khud Pas Deewar Baith Kar Saaye Ki Justuju Main Laga Dijiyey Mujhay Youn Tou Shoola-E-Jaan Sard Ho Chuka Laikin Sulag Uthoon Tou Hawa Dijiyey Mujhay
|
(#584)
![]() |
|
||||
Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jaga Di Thi
Khuwabon Ki Duniya Apni Us Se Hi Saja Di Thi Chaha Tha Us Ko Hum Ne Khud Se Bhi Bohat Barh Kar Us Chahat Mein Hum Ne Ye Hasti Hi Mita Di Thi Maloom Nahi Tha Hum Ko Woh Bewafa Bhi Hoga Us Per Bharosa Karke Khud Ko Hi Saza Di Thi Socha Tha Sath Mil Ke Kaatenge Zindagi Ko Us Ne To Ek Pal Main Har Baat Bhula Di Thi Kaisa Sitam Hai Dekho Woh Kab Se Judda Hai Mujh Se Apni Zindagi Jis Ka Saya Sa Bana Di Thi Kiya Tha Us Per Bharosa Kyun Hadh Se Barh Kar Us Ki Jafa Ne Dil Mein Ek Halchal Si Macha Di Thi
|
(#585)
![]() |
|
||||
Meri Mohabbat Ki Bas Itni Si Kahani Hai
Dard Main Doobi Hui Yeh Zindagani Hai Rista Hai Zakhm Ban Ke Aankh Ka Aansu Rooh Par Jafaaon Ki Gehri Nishaani Hai Saansen Hain Lekin Dhadkanen Nahin Hain Lahu Thama Sa Hai, Na Koi Ravaani Hai Kho Diya Jisne Umar Bhar Ka Sukoon Muskurati Hai Phir Bhi, Ladki Deewani Hai !!
|
(#586)
![]() |
|
||||
Abhi Kuch Dair Baqi Hai..!
Khizan K Beet Janay Main Guloun K Muskuranay Main Khushi K Geet Ganay Mein Baharon K Zamanay Main Abhi Kuch Dair Baqi Hai..! Main Tum Ko Bhool Jaonga Na Tum Ko Yaad Aaonga Main Tum Se Dour Reh K Bhi Tumhain Jee Ker Dikhaonga Tumhain Maloom Hay Laikin Yeh Sub Main Kar Na Paaonga K Tum Ko Bhool Janay Main Abhi Kuch Dair Baqi Hay..!
|
(#587)
![]() |
|
||||
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho Ga
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho Gi Tujhy Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho Ga Ho Kay Nidhal Mere Yadoon Say Tuu Nay Jaana Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga
|
(#588)
![]() |
(#589)
![]() |
|
||||
Tumen Bhooly Nahey Hain Hum
Tumhara Chand Sa Chera Humari Khaas Yadoon Kay Faraimun Mein Saja Hay, Muskarataa Hay Tumahara Lams Ehsasaat Kay Nazk Dareechun Par Abhi Tak Subt Hay Aur Jhilmilataa Hay Tumhari Muskarahat Raat Kay Pichlay Pehar Veraan Darwazun Par Dustak Day Kay Ghatnoon Gunganatii Hay Tumharay Raishmii Rukhsaar Par Meri Zard Poroon Kay Kinaroon Par Ugaay Hain Lehlahatay Hain Tumhen Bhooly Nahey Hain Hum Uddassi Ya Khushi Koii Bhee Mousam Hoo Humaray Lafz Sab Kuch Bhool Kar Ek Geet Gaatay Hain Tumhen Bhooly Nahey Hain Tumhen Bhooly Nahey Hain Tumhen Wapis Bulatay Hain!!
|
(#590)
![]() |
|
||||
Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe Ik Chand Mujhay Nazar Aaya Bas Ankhon Say Molaqat Hoe Es Chand Ki Naram Nigahon Say Es Dil Ki Har Ik Baat Hoe Es Chand Ki Ghani Zulfon Main Kab Sham Hoe Kab Raat Hoe Bas Yeahe Ik Baat Hoe Ik Naey Pyar Ki Shurwat Hoe Kal Raat Ik Mahfil Hoe Mahfil Main Ik Baat Hoe
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
collection, munda |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
saree collection | AYAZ | Sarees | 24 | 01-11-2012 12:38 PM |
~~~ eid sms collection ~~~ | umair8005 | Urdu Sms | 24 | 11-23-2011 06:01 PM |
~ * ~ Himi SmS CoLLecTiOn ~ * ~ | Hussain | Urdu Sms | 21 | 11-22-2011 02:05 PM |
~~ umair's eid collection ~~ | umair8005 | Urdu Sms | 10 | 11-21-2011 09:41 AM |
sms collection | DI@ | English Sms | 16 | 10-23-2011 03:31 AM |