| Hadees Shareef !!!!Share Hadeesein here!!!! |
| Advertisement |
![]() |
|
|
Thread Tools | Display Modes |
|
(#554)
|
|
|||
|
JazakAllah. Is se pehle ke muhlat khatam ho jaye Eik badu Rasool-Allah (p.b.u.h) ke darbaar mein haazir hua aur arz ki: "Ya Rasool-Allah (p.b.u.h), main kuch poochna chahta hoon. Farmaya "Haan Kaho". Badu ne arz kiya:"Ya Rasool-Allah (p.b.u.h), Main ameer (ghani) banna chahta hoon" Farmaya: Qanaat ikhtiyaar karo, ameer ho jao ge Arz kiya : Main sab se bada aalim banna chahta hoon Farmaya: Taqwa ikhtiyaar karo, aalim ban jao ge Arz kiya: izzat waala banna chahta hoon Farmaya : Makhlooq ke saamne haath phailana band kar do, baizzat ho jao ge Arz kiya : Accha aadmi banna chahta hoon Farmaya: Logon ko nafa pohonchao Arz kiya: aadil banna chahta hoon Farmaya: Jisse apne liye accha samajhte ho wahi doosroun ke liye pasand karo Arz kiya: taaqatwar banna chahta hoon Farmaya: Allah par tawakkul karo Arz Kiya: Allah ke darbaar mein Khaas (khusoosiyat) darja chahta hoon Farmaya : Kasrat se zikar karo Arz Kiya: Rizq ki kushaadgi chahta hoon Farmaya: Hamesha bawuzoo raho Arz Kiya: duaon ki qubooliyat chahta hoon Farmaya: Haraam na khao Arz kiya: Eemaan ki takmeel chahta hoon Farmaaya: Ikhlaaq acche kar lo Arz kiya : Qayaamat ke roz Allah se gunaahon se paak ho kar milna chahta hoon Farmaaya: Janaabat ke fauran baad ghusl kiya karo Arz kiya: Gunaahon mein kami chahta hoon Farmaya: Kasrat se istighfaar kiya karo Arz kiya: Qayaamat ke roz noor mein utthna chahta hoon Farmaya : Zulm karna chod do Arz kiya: chahta hoon Allah mujh par reham kare Farmaya: Allah ke bandon par reham karo Arz kiya: Chahta hoon Allah meri pardaposhi kare Farmaya: Logon ki pardaposhi karo Arz kiya: Ruswai se bachna chahta hoon Farmaya: Zina se baccho Arz kiya: Chahta hoon Allah aur Us ke Rasool ka mehboob ban jaoon Farmaya: Jo Allah aur Us ke rasool ko mehboob ho use apna mehboob bana lo Arz kiya : Allah ka farmabardaar banna chahta hoon Farmaya: Faraiz ka ehtimaam karo Arz kiya : Ihsaan karne wala banna chahta hoon Farmaya: Allah ki yoon bandagi karo jaise tum Use dekh rahe ho ya jaise Who tumhein dekh raha hai Arz kiya : Ya Rasool-Allah (p.b.u.h) kya cheez guaahon se maafi dilaye gi Farmaya : ansoo, aajizi aur bemaari Arz Kiya : kya cheez dozakh ki aag thanda karegi Farmaya : Duniya ki museebaton par sabar Arz kiya : Allah ke ghusse ko kya cheez sard karti hai Farmaya : chupke chupke sadqa aur sila rehmi Arz kiya : Sab se badi buraye kya hai Farmaya : bad-ikhlaaqi aur bukhal Arz kiya : sab se badi acchai kya hai Farmaya : Acche ikhlaaq, tawazo aur sabar Arz kiya : Allah ke ghusse se bachna chahta hoon Farmaya: Logon par ghussa karna chor do
|
|
(#555)
|
|
|||
|
|
|
(#556)
|
|
|||
|
|
|
(#557)
|
|
|||
|
|
|
(#558)
|
|
|||
|
|
|
(#559)
|
|
|||
|
|
|
(#560)
|
|
|||
|
|
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| hadees |
|
|