Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#531)
![]() |
Sponsored Links |
|
(#532)
![]() |
|
||||
Kia Baat Kahon Un Ankhon Ki
Jin Ankhon Pe Main Marta Hoon Woh Ankhen Jheel Si Ankhen Hain Jin Main Doob Ke Rooz Ubherta Hoon Mujhe Dekhne Ke Liee Uthiti Hain Miltey Hi Nazar Woh Jhuktin Hain Sare Jahan Main Aesi Ankhen Nahi Jin Ankhon Pe Main Marta Hoon In Ankhon Main Koi Ansoo Na Aee Koi Kabhi Koi Gham Na Pass Aae Koi Sada Muskuratin Rahen Ye Har Dam Ye Dua Main Karta Hoon Kia Baat Kahon Un Ankhoon Ki Jin Ankhon Pe Main Marta Hoon
|
(#533)
![]() |
|
||||
Ankhon Ko Intzaar Ka Deke Hunar Chahla Gaya
Chaha Tha Ek Shakhs Ko Jane Kidhar Chala Gaya Din Ki Woh Mehfilein Gayii, Raaton Ke Ratjage Gaye Koi Samet Kar Mere Sham-O-Saher Chala Gaya, Jhonka Hai Ek Bahaar Ka,Rang-E-Khayal -E-Yaar Bhi Har Soo Bikhar Gayi Khushboo Jidhar Woh Chala Gaya Uske Hi Dam Se Dil Mein Aaj,Dhoop Bhi Chandni Hai Deke Woh Apni Yaad Ke ,Shams-O-Qamar Chala Gaya Kucha-B-Kucha ,Dar-O-Dar ,Kab Se Bhatak Raha Hai Dil Humko Bhula Ke Raah Woh Apni Dagar Chala Gaya
|
(#534)
![]() |
|
||||
Mairi Ankhoon Mein Ansoo Ke Tarhaan Aik Raat Aa Jaoo
Takaluf Say Banawat Say Adaa Say Choot Lagti Hai Mein Shapnam Ke Zubaan Say Pholoon Ke Awaz Sunta Hoon Ajab Ehsaas Hai Apni Sadda Say Choot Lagti Hai Aaj Ham Bichhre Hain To Kitane Rangiile Ho Gaye Merii Aankhen Surkh Tere Haath Piile Ho Gaye Kab Kii Patthar Ho Chukii Thii Muntazir Aankhen Magar Chhuu Ke Dekhaa To, Mere Haath Giile Ho Gaye
|
(#535)
![]() |
|
||||
Kuch Din To Baso Meri Aankhon Mein
Phir Khwab Agar Ho Jaao To Kya Koi Rang To Do Mere Chehre Ko Phir Zakhm Agar Mehkaao To Kya Jab Hum Hi Na Mehke Phir Sahib Tum Bad-E-Sbaa Kehlaao To Kya Ek Aaina Tha So Toot Gyaa Ab Khud Se Agar Sharmaao To Kya Mein Tanhaa Tha Mein Tanhaa Hoon Tum Aao To Kya Na Aao To Kya! Jab Dekhne Wala Koi Nahin Bujh Jaao To Kya Genaao To Kya Hai Yoon Bhi Zyaan Aur Yoon Bhi Zyaan Ji Jaao To Kya Marr Jaao To Kya
|
(#536)
![]() |
|
||||
Woh Khwab Khwab Si Aankhain Theen Baadalon Ki Safeer
Dhuaan Dhuaan Si Theen Sochon Main Janay Kab Se Aseer Thay Us K Hoonton K Taalay Bhi Zang Aalooda Usay Youn Daikh K Lagta Tha Jaisay Ik Bacha Gaya Tha Daikhnay Maila Kisi Ka Thaam K Haath Na Janay Bheer Main Tanha Woh Reh Gaya Kaisay Mujhay Woh Phool Laga Ik Gulab Ka Jis Ko Kisi Ne Shakh Se Tora Mager Nahi Songha Khud Apnay Pairon K Neechay Masal Masal Daala Sawal Us Se Kia Main Ne, Yeh Batao Zara Ho Kon, Kis Liay Is Qadar Khamosh Ho Bhala? Batao Khaar Ugaye Hain Kis Ne Raahon Main? Nami Khafi Se Hai Kaisi Tumhari Aankhon Main Meri Tarah Se Kaheen Tum Bhi Tu Nahi Tanha? Rah-E-Wafa Main Mili Tu Nahi Tumhain Bhi Dagha? Woh Chup Raha, Nahi Bola Tu Main Ne Berh K Usay Chuwa Tu Yeh Howa Idraak Meray Saamnay Tu Hai Aik Aayeena Aur Us Main Aks Hai Mera
|
(#537)
![]() |
|
||||
Un Jheel Si Gehri Aankhon Main
Ik Shaam Kahin Abad To Ho Us Jheel Kinaray Pal Do Pal Ik Khawab Ka Neela Phool Khilay Woh Phool Baha Dain Lehron Main Ik Roz Hum Sham Dhalay Us Phoolk Behtay Rangon Main Jis Waqt Larazta Chand Chalay Uswaqt Kahin Un Aankhon Main Us Bisray Palki Yaad To Ho Un Jheel Si Gehri Ankhon Main Ik Sham Kahin Abad To Ho Phir Chahay Umer Samunder Ki Her Moj Pareshan Ho Jaay Phir Chahay Aankh Dareechay Say Her Khawab Gurezan Ho Jaay Phir Chahay Phool Say Chehray Per Her Derd Numayan Ho Jaay Us Jheel Kinaray Pal Do Pal Woh Roop Nagar Eejad To Ho Din Raat K Is Ainay Say Woh Aks Kabhi Azad To Ho Un Jheel Si Gehri Aankhon Main Ik Sham Kahin Abad To Ho!!!
|
(#538)
![]() |
|
||||
Teri Aankhon Main, Mere Dil Ka Nakhsa Ho Bhi Sakta Hai
Jise Deewar Samgha Hai Wuh, Wuh Rasta Ho Bhi Sakta Hai Zamana Gour Se Daikhey, Jisey Is Ne Khuda Samjha Hai Woh Is K Hath Ka Pather Tarasha Ho Bhi Sakta Hai Nazur Se Door Re Ker Bhi, Kisi Soch Main Rehna Kisi K Paas Rehney Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta Hai Woh Apni Sard Mehri Se, Mughey Hud Main To Rakhta Hai Mera Hud Se Guzurney Ka Irada Ho Bhi Sakta Hai Bhari Duniya Ka Meila Sath Ho To Koun Si Mushkil Mager Aik Shakhs Meley Main Akela Ho Bhi Sakta Hai Ye Seedhi Rah Per Chalna, Kahan Se Seekh Aye Ho Ye Rasta Doosti Ka Hai, Ye Terra Ho Bhi Sakta Hai Main Apney Jism O Jaan Ko Sath Rehtey Daikh Ker Samjha Nibhana Ho Jisey Mushkil Woh Rishta Ho Bhi Sakta Hai Uchalta, Thokarain Khata Howa Paani Ka Aik Dharaa Tere Dil Tak Pohanchney Ka Bahana Ho Bhi Sakta Hai Nikal Ker Bund Kamrey Se Zara Baazar Main Aao Ager Tum Daikhna Chaho, Tamasha Ho Bhi Sakta Hai
|
(#539)
![]() |
|
||||
Tumhari In Siyah Aankhoun Main
Meri Zindagi Ki Shama Jalti Hai Jab Tum Kareeb Se Meri Taraf Deakhtay Ho To Meri Zindagi Se Saansay Aur Barh Jati Hain Aur Jab Tum Musuratay Ho To Tumhari Is Muskurahat Se Mera Dil Aur Zor Se Dharakta Hai Aur Main Yeh Dua Mangti Hoon Kaash! KHUDA Karay Tumhari Aankhoun Ki Aur Hountoo Ki Muskurahat Sada Youn Hi Qaim Rahay
|
(#540)
![]() |
|
||||
Bhool Sakta Hay Bhala Kaon Yeh Pyaari Aankhain
Rang Mein Doobi Huii Neend Say Bhaari Aankhain Mairi Her Saans Nay Her Sooch Nay Chaaha Hay Tumhain Jab Say Daikha Hay Tumhain, Tab Sai Saraaha Hay Tumhain Bas Gaii Hain Mairi Aankhon Main Tumhaari Aankhain Tum Jo Nazron Ko Uthaao To Sitaray Jhuk Jaaeyn Tum Jo Palkon Ko Jhukaao To Zamanay Ruk Jaaeyn Kyun Na Ban Jaaeyn In Aankhon Ki Pujaari Aankhain Jaagti Raaton Ko Sapnon Ka Khazana Mil Jaaey Tum Jo Mil Jaao Jeenay Ka Bahaana Mil Jaaey Apni Qismat Pay Kerain Naaz Hamaari Aankhain
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
collection, munda |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
saree collection | AYAZ | Sarees | 24 | 01-11-2012 12:38 PM |
~~~ eid sms collection ~~~ | umair8005 | Urdu Sms | 24 | 11-23-2011 06:01 PM |
~ * ~ Himi SmS CoLLecTiOn ~ * ~ | Hussain | Urdu Sms | 21 | 11-22-2011 02:05 PM |
~~ umair's eid collection ~~ | umair8005 | Urdu Sms | 10 | 11-21-2011 09:41 AM |
sms collection | DI@ | English Sms | 16 | 10-23-2011 03:31 AM |