Members Poetry Collections !! Share your Poetry Collections Here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#31)
![]() |
|
|||
Udas Logon Se Pyar Karna Koi To Seekhe Sufaid Lamhon Mein Rang Bharna Koi To Seekhe Koi To Aaye Khizan Mein Patte Ugane Wala Gulon Mein Khushbo Qaid Karna Koi To Seekhe Koi To Aaye Naye Ruton K Payam Le Kar Meri Nigahon Se Bat Karna Koi To Seekhe Koi To Aaye Aandherion Mein Charagh Ban Kar Andheri Raton Mein Chand Ban'na Koi To Seekhe Koi Payambar Koi Imaam-e-Zamaan Hi Aaye Aseer Zehnon Mein Soch Bharna Koi To Seekhe............
|
Sponsored Links |
|
(#32)
![]() |
|
|||
Bujhnay lag jain to phr shamaiN jala di jaiN Meri aankhaiN me're dushman ko laga di jaiN Be-hunr loog kahaN, harf ki sachai kahaN Ab kitabain kisi darya main baha di jain Un ki pehchaan ka dukh jaaN se guzr jata hai Ye shabeehaiN sar-e-Aaina ganwa di jaiN Ab bicharnay ka saleeqa hai na milnay ka hunr Ishq main tuhmataiN aaiN to bhula di jaiN Ya to khursheed chamakta rahay peshaani main Ya lakeeraiN me'ry mathy ki mitta di jaiN Kitni bholi huwi batain hamain aaj us ki Yaad aai hain to ab us ko bata di jaiN.....
|
(#33)
![]() |
|
|||
Muhabbat Kernay Walay Tu Hamesha Saath Rehtay HaiN Muhabbat Main Judaee Ka Koi Mausam Nahin Hota Zameen WalooN se Yeah Keh Ker Falak se Dhall Gaya Sooraj Ujaala BaanT Dainay se Ujaala Kam Nahin Hota Mujhay Tum Chorr Ker Khud bhi Tu Saari Umer Tarpe ho ... Koi Aesi Saza Datien, Tumhain Tu Gham Nahin Hota
|
(#34)
![]() |
|
|||
Raqs min jugnu, duaon ka safar. Neem shab ki khamoshi or chasham-e-tar. Phir teri yadon ki qandilen jalin. Jagmaga utha mera phir khwab ghar. Har taraf hen barzakhon k munh khule…. Zindagi he ya koi andhi qabar…. Din dhale ye kanpti chiryon ka shor. Kat gira hoga koi burha shajar. Min bhatakti rooh hon or char soo. Rat, tanhai, hawa, anjan nagar
|
(#35)
![]() |
|
|||
Wo Hijar Thehra Wisaal Thehra, Kia Aadmi Tha Kamaal Thehra, Afsurdagi K Har Ek Nagar Mein, Wo Qeh Qahon Ki Misaal Thehra, Wo Kis Ki Khatir Guzar Gia Hai, Sab Ki Khatir Sawal Thehra, Haan Us K Lehje Ki Tazgi Se, Jo Khawab Tha Wo Khayal Thehra, Kahan Se Lain Rafeeq Tujh Sa, Muhabbaton Mein Zawal Thehra, Too Ne Hum Ko Ye Dukh Dia Hai, K Ab To Jeena Mohaal Thehra..........
|
(#36)
![]() |
|
|||
Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi, Dil Ko Khushi K Sath Sath Hota Raha Malaal Bhi, Bat Wo Aadhi Rat Ki Rat Wo Poore Chand Ki, Chand Bhi Ain Cheet Ka Us Pe Tera Jamal Bhi, Sab Se Nazar Bacha K Wo Mujh Ko Kuch Aise Dekhta, Aik Dafa To Ruk Gai Gardis-E-Maah-O-Saal Bhi, Dil To Chamak Sake Ga Kia Phir Bhi Tarsh K Dekh Lein, Sheesha Giran-E-Shehr K Hath Ka Ye Kamal Bhi, Us Ko Na Pa Sake Thay Jab Dil Ka Ajeeb Haal Tha, Ab Jo Palat K Dekhiye Bat Thi Kuch Mahaal Bhi, Meri Talab Tha Aik Shakhs Wo Jo Nahi Mila To Phir, Hath Dua Se Youn Gira Bhool Gia Sawal Bhi, Us Ki Sukhan Tarzian Mere Liye Bhi Dhal Thein, Us Ki Hansi Mein Chup Gia Apne Ghamon Ka Haal Bhi, Gaah Qareeb-E-Shah Rag Gaah Baeed-E-Weham-E-Khawab, Us Ki Rafaqaton Mein Rat Hijar Bhi Tha Wisaal Bhi, Us K Hi Bazo'on Mein Aur Us Ko Hi Sochte Rahe, Sham Ki Na Samjh Hawa Pooch Rahi Ek Pata, Moj-E-Hawa-E-Koo-E-Yar Kuch To Mera Khayal Bhi..
|
(#37)
![]() |
|
|||
Titlion Ka Mujhe Toota Howa Par Lagta Hai. Dil Pe Wo Naam Bhi Lekhte Howe Dar Lagta Hai. Raat Aai To Sitaron Bhari Chadar Tani. Khubsurat Mujhe Suraj Ka Safar Lagta Hai. Ye Bhi Sote Howe Bache Ki Tharah Hansta Hai. Aag Mein Phol Farishton Ka Hunar Lagta Hai. Zindagi To Ne Mujhe Qabar Se Kam Di Hai Zameen. Paon Phelaoon To Diwaar Mein Sar Lagta Hai. Mein Tere Sath Sitaron Se Guzar Sakta Hoon. Kitna Aasan Muhabbat Ka Safr Lagta Hai. Mujh Mein Rehta Hai Koi Dushman-e-Jani Mera. Khud Se Tanhai Mein Milte Howe Dar Lagta Hai. But Bhi Rakhe Hain, Namazen Bhi Ada Hoti Hain. Dil Mera Dil Nahi, KHUDA Ka Ghar Lagta Hai........!
|
(#38)
![]() |
|
|||
Meri ghazal ka unwaan poochtay hain loag, dil main kon rehta hay naam poochtayhain loag, chor kar chala gia muj ko akela sheher main, kitnay main hy bik gia daam poochtay hain loag, main sangdil tha ya woherjai, ek yahi baat sar-e-aam poochtay hain loag, kal kia ho ga mujy khud khabarnahi, meri muhabbat ka injaam poochtay hain loag..
|
(#39)
![]() |
|
|||
Kash K Kabhi Mohabbat Ki Saza Na Hoti Kash K Kabhi Zindagi Be Wafaa Na Hoti Chooti Chooti Baat Pe Larne Lag Jate Hain Kash K Kabhi Insaan Mai Itni Ana Na Hoti Cheer K Nikle Jo Mazloom K Seene Se Kash K Kabhi B Aisi Koi Sada Na Hoti Gira K Rakh De Jo Ghareeb K Aashyne Ko Kash K Kabhi B Aisi Teez Hawa Na Hoti Cheen K Sahara Doosron Ka Jo Kush Rehte Hain Kash K Kabhi Un Ko Koi Khushi B Ata Na Hoti Karte Han Ham Jis Khata Se Bar Bar Tooba, Kash K Kabhi Humse Phir Wo Khata Na Hoti Tumhein Itni Mobahat De K Tumhara Daman Bhar Dia Kash K Kabhi B Mohabat Ki Koi Inteha Na Hoti Hum Bawafaa Thy Is Liye Thukra Dia Sanwal Kash K Kabhi Hum Main Wafaa Na Ho
|
(#40)
![]() |
|
|||
Resham Zulfo Nilam Aankho'n Wale Ache Lagte Hain, + Main Shaaiyar Hon Mujhe Uljhay Chehray Ache Lagte Hain, + Tum Socho Adhi Raat Ko Thanday Chand Ki Chao'n Main, + Tanha Raho Par Hum Dono Kitne Ache Lagte Hain, + Akhir Akhir Sache Qoul Bhi Chubte Hain Dil Walo Ko, + Pehle Pehle Piyar K Jhonte Wade Ache Lagte Hain, + Jb Se Wo Pardais Gaya Shehar Ki Ronaq Roth Gai, + Ab To Apne Ghar K Band Darichay Ache Lagte Hain, + Kali Raat Main Jagmag Karte Taare Kon Bujhata, + Is Dhulhan Ko Ye Moti Ye Gehne Ache Lagte Hain, + Kal Us Rothay Rothay Yaar Ko Dekha To Mehsos Hoa, + Ujhle Jisam Pe Kale Kapre Ache Lagte Hain..
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
collection, ghazls |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Bareeze New Collection | Bareeze Embroidered Classic | Bareeze Exclusive Eid Collection | sahaili | Embroidery Dresses | 2 | 10-31-2013 05:17 PM |
Exclusive Bridal Collection Bridal Collection | pakeeza | Bridal Dresses | 7 | 06-14-2013 01:27 PM |
~My Fav Collection~ | SHAYAN | Members Poetry Collections | 1108 | 12-16-2011 11:17 PM |
~~~ eid sms collection ~~~ | umair8005 | Urdu Sms | 24 | 11-23-2011 06:01 PM |
––––•(-•DUA'S Collection•-)•–––– | Maharani | Say For Islam | 14 | 09-01-2011 06:20 AM |