Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
|
(#3)
![]() |
|
|||
|
(#4)
![]() |
|
|||
Ab Jo Lootey Ho Itnay Saloon Main
Dhop Ot'rri Hoyee Hai Baloon Main Tum Meri Ankh K Samandar Main Tum Meri Roh K Chaloon Main Phool Hee Phool Khel Uthay Mujh Main Ye Kon Aya Mere Khayaloon Main Main Ne Jee Bhar K Tujh Ko Dekh Leya Hai Tujh Ko Uljha K Kuch Sawaloon Main Meri Khuwaish Ki Kayenat Bhi Tu Tu Hee Dukh Dard K Hawaloon Main Jab Tera Dostoon Main Zeekar Ayee Taes Uth'ti Hai Dil K Chaloon Main Tum Say Abad Hai Ye Tanhayee Tum Hee Roshaan Ho Ghar K Jaloon Main Sanwali Shaam Ki Taran Hai Wo Wo Na Go'roon Main Hai Na Kaloon Main Kya Usay Yaad Araha Hai WASI Rang Obhray Hain Us K Galoon Main..!
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai... |
(#5)
![]() |
|
|||
Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya Kuch din to mera aks raha aaine pe naqsh phir youn huwa ke khud mera chehra badal gaya jab apnay apnay haal pay hum tum na reh sakay to kiya huwa jo hum say zamana badal gaya qadmon talay jo rait bichhi thi woh chal pari us nay chhuraya haath to sehra badal gaya koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi jaatay hi aik shakhs kay, kiya kiya badal gaya ik sarkhushi ki moj nay kaisa kiya kamal wo bay-niaaz saara ka saara badal gaya uth kar chala gaya koi waqfay kay darmiaan parda utha to saara tamasha badal gaya hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay baaton main apni baat ko kaisay badal gaya kehne ko ik sehan main deewar hi bani ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya shayad wafa kay khel se uktaa gaya tha who manzil kay paas aake jo rusta badal gaya qayem kisi bhi haal pay dunya nahin rahi taabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya manzar ka rang asal main saaya tha rang ka jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya andar kay mosamon ki khabar us ko ho gayee us no-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya aankhon mein jitna ashk thay jugnoo say ban gaye woh muskuraya or meri dunya badal gaya apni gali main apna hi ghar dhoondhtay hain log Amjad~ ye kon sheher ka naqsha badal gaya ..
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai... |
(#6)
![]() |
|
|||
tujhy ishaq ho khuda kary
koi usko tujhsy juda kary tery hont hansna bhool jain teri ankh purnam raha kry tou osko dekh k ruk pary wo tujhko dekh k chal pary tou uski batain kis kry tou oski batain suna kry tery khawab toot k bikhar jain to kirche kirche chuna kry tou nagar nagar phira kary tou gali gali sada kry tujhy ishaq ho pher yaqeen ho usy tasbion main parha kry main kahon k ishaq dhoong hai to nahi nahi kia kry...
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai... |
(#7)
![]() |
|
|||
bachpan k dukh b kitny achy hoty hain
tab to sirf khilony toota krty thy, wo khushian b kaisi khushian theen titlee k par nooch k uchla karty thy, paon mar k khud pani main apni nao app doboya karty thay, ab sochain to choot c parti hai dil par app bana k app khilony tora karty thay, choty thay makar o fareeb b chooty thay dana daal k chiriyan pakra karty thay, apny jal jany k ehsas b na tha jalty shooloon ko chaira karty thay, khushboo k urty he kiun murjhaya phool kitny bhooly paan say pocha karty thay, aaj b to tabeerain laho rulati hain bachpan main jo ham sapny dekha karty thay, ab to aik ansu b ruswa kar jata ha bachpan main gee bhar k roo lia krty thay ...
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai... |
(#8)
![]() |
|
|||
Bichra to dard rooh ki gahraiyun main tha
Ho k juda bhi tu meri tanhaiyun main tha Deewangee ko meri ishq mantay hain sab Ruswa tu bhi saath meri ruswaiyun main tha Ankhon say ansu'on k sath arman nikal gaye Yeh kaisa dard aaj in shehnaiyun main tha Tujh ko Pa k dil ko kabhi chain na mill saka Kitna sakoon haye un judaiyun main tha Fursat milay to dekh kabhi meri simt bhi Aasra tha tujh pay, teri khudaiyun pay tha Ban kay deewana aaj jo phirta hai darbadar Hai yaad kya tujhe tere shaidaiyun main tha Raton say main daron k neendon main a na jaye Subah bhi meri dhoop ki parchaiyun main tha "Wasi" tu jis ka naam dill main basaye hai Badnaam wo gali gali harjaiyun main tha..
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai... |
(#9)
![]() |
|
|||
Aaj udhas hoon to zamana mujhey phochne aya ..
Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya.. Woh to ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai.. ajj udhas lamhon main phir kyon mujhe woh yaad aya.. Zindagi ki masrufiat ke woh chand din jo guzar chuke hain.. na hi un pe urooj aya,aur na hi aun pe zawaal aya... Bhool na chahta hoon har lamha,har waqt jo guzar gaya hai.. jitna bhi roka woh waqt utna woh mere sath chala aya... Guzra hua kal na tha mera,na hai mera aur na ho ga kabhi... yeh mein janta hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya.. woh wade teri woh kasmein woh sab yaad hain mujhe... magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhoola paya.. ana parast the tum to khudaar tha main bhi yeh rishta hi humare dermiyan na raas aya
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai... |
(#10)
![]() |
|
|||
Aa Baith Tu Merai Dard Ki Daastan Likh Dai Sanam
Lafz-E-Wafa Likh, Kahin Bewafa Likh Dai Sanam Har Saafay Per Dour-E-Ishq Ka Zikar Na Likhna Dard-E-Dawa Likh, Kahin Dard-E-Dil Likh Dai Sanam Raat Ka Zikar Kar, Taroon Ki Zubaan Na Likhna Khouf-E-Aandhera Likh, Kahin Sawaira Likh Dai Sanam Siyaahi Teri Qalam Ki Khatam Ho Jaaye Agar Armaan-E-Dil Likh, Khoon-E-Jigar Likh Dai Sanam...
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai... |
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
apna, aya, chand, devaan, hai, himesh, hissa, hon, hun, itna, jahan, khayal, krta, krty, mein, mera, mujy, mukhtalif, raat, shumar, tera, tha, tum, tutta, usny, woh, yad, yaksr, zikr |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
****===Congratulations Himesh****===For ur 12,OOOpOsts..! | Hani | Birthday & Other Wishes | 17 | 03-04-2009 05:07 PM |
Congratulation Himesh For 7,000+ PostS | Ghuncha | Birthday & Other Wishes | 20 | 12-24-2008 03:09 PM |
Congrates Himesh for 3,000 postin | AYAZ | Birthday & Other Wishes | 11 | 10-31-2008 11:24 PM |
!! Himesh is our new moderator !! | AYAZ | Announcement | 25 | 10-28-2008 10:39 PM |