Members Poetry Collections !! Share your Poetry Collections Here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#11)
![]() |
|
|||
bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain Char su gunjti ruswai kisay kehtay hain Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko Koi lamha ho teri yaad mai kho jatay hain Ab to khud ko bhe muyassar nahi aaa patay hain Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko Woh jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay aik saath hum mil ker raha kertey thay Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain Ab Jo bichray to ehsaas hua hai hum ko Hum Nay khud apni raahon mai bichaye kantay Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hain Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain Ab jo bichray to ehsaas hua hai hum ko
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے ![]() And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
|
Sponsored Links |
|
(#12)
![]() |
|
|||
|
(#13)
![]() |
|
|||
|
(#14)
![]() |
|
|||
|
(#15)
![]() |
|
|||
Mujhey arzoo e seher rahi yunhi raat bhar bari dair tak
Na bikhar sake na simat sake yunhi raat bhar bari dair tak Hai bohat azaab aur akaily hum, shab e gham bhi meri taweel tar Rahi zindagi bhi saraab aur rahi aankh tar bari dair tak Yahan har taraf hai ajeeb samaan, sabhi khud pasand, sabhi khud numa Dil e be-qaraaar ko na mila koi chara gar bari dair tak Mujhay zindagi hai aziz tar isi wastey mery hamsafar Mujhay qatra qatra pila zehr, jo karey asar bari dair tak Na sakoon e jaan na shreek e gham mila is jahan mein chaar su Teri yaad thi meray saath jo rahi dar ba dar bari dair tak Yahan shehar e dil bhi udaas hai aur ujaar ujaar si rah guzar Rahey teray baad dhwaan dhwaan meray baam o dar bari dair tak
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے ![]() And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
|
(#16)
![]() |
|
|||
Bay sada lafzon main
Wajh-e-zindagi keh kay Wasl ki zaroorat par Phir say zor detay hein Aaj aisa kertay hein Zikr wohi kertay hein Naam aur detay hein Zabt ke kinaaron say Dard aan lipta hai Toot'tay kinaaray ab Dard aur detay hein Aaj aisa kertay hein Dard say ulajhtay hein Zabt chor detay hein Taar taar daaman ko Khaar khaar raahon main Ranjishein bhula kay ham Aa kay jor detay hein Aaj aisa kertay hein Khud nahin palat'tay hein Raah mor detay hein Sabz sabz maosam main Laal laal aankhon kay Khwaab ki ragon se ham Khoon nichor detay hein Aaj aisa kertay hein Ye bhi kar guzartay hein Khwaab tor detay hein Aa keh ab duaaon ko Maatami ridaaon main Phir se kar kay alwidaa Mauqa auor detay hein Aaj aisa kertay hein Darya main utartay hein Rab pe chor detay hein
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے ![]() And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
|
(#17)
![]() |
|
|||
|
(#18)
![]() |
|
|||
![]() milo ke aaj koi baat rubaroo karlein
yeh kio hain dooriyaan kuch is pe guftugoo karlein karein ge phir hi ibadat tumahrei chahrey ki kei pahlei ankhon ko ashkon sei baawuzu karlein zara khayal na aaye humei bicharney ka ke dil me paida koi aisy aarzoo karlein Taweel fasley simat bhi saktey hain bus ek baar jo thori si justujoo karlein
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے ![]() And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
|
(#19)
![]() |
|
|||
...Uljhi Uljhi Pagal Larki...
![]() Gehri gehri aankhon wali Uljhi uljhi pagal larki Tu yeh kis ki dhun mein aakhir Lambi lambi palkoon ooper Motay motay aansoo lay kar Sundar komal pairon neechay, Julti balti dharti day ker Qariya qariya bhaag rahi hai, Kis ki khaatir jaag rahi hai Tujh ko yeh maaloom nahi kya Tujh jaisi najanay kitni Gehri gehri aankhoon wali Kaisi kaisi sundarta kay Dhair khazanay lay kar nikleen Lakin phir bhi us rastay say Manzil tak pohchanay wala Har ik saathi jhoota nikla Ik ik aasha dushman nikli Ik ik sapna dhoka nikla Sachha har ik khadsha nikla Dekho! Tum bhi janay do ab Nadaani ka jitna rasta Tum nay ab tak tay kar dala Us rastay say ghar ki manzil Ab bhi itni door nahi hai Ab bhi wapis ja sakti ho Sab kuch wapis pa sakti ho Ab bhi agar tum nadani kay Is rastay say ghar ko wapis na palti To phir ik din aisa ho ga Sundar aankhein mar jain gee Palkein khoon se bhar jain gee Jaan laboon par aa jaye gee Tan kay saaray ujlay pan ko Ghor musafat kha jaaye gee Uss din phir tum chilaao gee Lakin kuch haasil na ho ga Saray lams ke bhookay saathi Pankh laga kay urr jain gay Tum rastay mein reh jaao gee Rasta bhi woh keh jis kay peechay Darr ki gehri dadal ho gee Aagay gham ka jungle ho ga Sar par gehra badal ho ga Uss din kay aanay say pehlay Uss din tak jaanay say pehlay Waqat milay to dhalnay walay Har lamhay ki zaat pay socho Duniya ki bareek nazar say Duniya ki har baat pay socho Jazboon ki auqaat hi kiya hai Jazboon ki auqaat pe socho Woh dekho !! Ik saaye par phir weeranay mein bijli karki Gehri gehri aankhoon wali Uljhi ulhji pagal larki.........!
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے ![]() And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
|
(#20)
![]() |
|
|||
![]() wo nahi thi tou dil ek sheher e wafa tha jis mei
us ke honto ke tasawwar sei tapish aati thi unglia barq zada rehti thein, jaisey us ne apnei rukhsaaro ko chooney ki ijazat di hai us se ek lamha alag reh kar ek junoon hota tha ji me tha us ko na pain ge tou marjain ge wo nahi tou yeh be noor zamana kia hai teergi me kisey dhoondein ge kidher jain ge phir huwa yah lapaktey huway angaaron mei hum jaltey they magr us ka nasheman bhi jala bijliaa jis ki kaneezon me raha karti thi dekhne walo ne dekha wo khurman bhi jala is me ek usuf e gum gashta ke hatho ke siwa ek zulekha kudh agah ka daman bhi jala........
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے ![]() And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
shaam, yeh, zindagi |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Akhri Shaam .... Dedicated To Shaam Bhai | Zafina | MF Design Poetry | 29 | 07-27-2010 04:34 AM |
Kisi Shaam Gher Bhi Raha Karo (Shaam) | Shaam | Miscellaneous/Mix Poetry | 4 | 07-01-2010 09:35 PM |
Zindagi ki shaam hojaye | Hussain | Miscellaneous/Mix Poetry | 2 | 03-15-2009 04:31 PM |