Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#12)
![]() |
|
|||
ik khuwab tha jo bikhar gaya ik dard aa kar thehar gaya me usssee rothho kiss tarhan mere rooh me jo uttar gaya me nikla khuwab ko bichne par haqiqatoo se dar gaya me kaise khod ko samait loo me ansoo ban kar bikhar gaya bara shoq tha tere deed ka ab yaad ban kar thehar gaya tere pyar ka he mojza tera aaks tha mee jidhar gaya karoo kaise na uss ka me shukriya mujhe ik shair wo kar gaya
|
(#13)
![]() |
|
|||
aap rooth kar na yun sazah di jiye baat jo hai dil men bata di jiye darmian men ho gaya hai jo faasla aap khuda ke waaste mita di jiye han yehan suroor aur chaa jayega aake aap chhat pe muskura di jiye gulshan-e-wafa ke phool khil jayen ge saath mere do ghadi kata di jiye ek shaam yaadgaar ban jaye gi aake pyaar ka diya jala di jiye toodkar ghamon ka nata parwaaz ka pyaar ka safar unhen kara di jiye
|
(#14)
![]() |
|
|||
Tum rooth jao mujhe se,eesa kabhi na karna me ik nazar ko tarsoon,eesa kabhi na karna me pooch pooch haroo,so so sawal kar k tum kuch jawab na do,eesa kabhi na karna tum chand ban kar rahna,me deakhte rahoon ge kissii roz tum na niklo,eesa kabhi na karna jo ghar se jaoo to deakho tumhara rasta tum loot kar na aao,eesa kabhi na karna
|
(#15)
![]() |
|
|||
|
(#16)
![]() |
|
|||
|
(#17)
![]() |
|
|||
Yeh dil tujhe itni shiddat se chahta kyu hai Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai Tu kitna bhi mujhse talkh e talluk rakhle Zikr phir bhi tera meri zaban pe aata kyu hai Youn to hai kayi fasle tere mere beech Lgata phir bhi tu mujhko meri jaan sa kyu hai Teri chahat mein tadapne ki ho chuki hai aadat meri Tere door hone ka phir bhi ehsaas mujko rulata kyu hai Ye jaanta hoon ke tujhko nahi mohabbat mujhse Magar phir bhi lab pe mere tera hi naam aata kyu hai Hai yaqeen tujhko paana na hoga mumqeen mere liye Ye dil phir bhi roz umeed ki shama jalata kyu hai Mehsoos ki hai berukhi teri baato mein kayi baar maine Lehja wo phir bhi tera mujhko itna bhata kyu hai Hai khabar mujhko nikalegi tu meri chahat ka janaza ek din Mann mera phir bhi tere khwab sajata kyu hai Gar bichadna hi hai to khuda humko milata kyu hai Mujhko ko akhir wo itna satata kyu hai . __________________
|
(#18)
![]() |
|
|||
Tujhse Door Hu To Keh Nahi Sakta Dard Apna, Teri Tasveer Ko Hi Apna Gum Suna Dete Hai. Tum Maano,na Maano,teri Yaad Rulaye Jab Bhi, Mere Aasu Teri Aankho Me Nazar Aate Hai. Roz Karta Hu Teri Tasveer Se Baatein Teri Yaado Ki, Uff !ye Sitam K Ye Dekhkar Log Aks Ko Deewana Kehte Hai. Laakh Sitam Kar Le Ye Duniya Mujhpar Koi Gum Nahi, Teri Tasveer Ko Har Zakhm Ki Dawaa Bana Lete Hai.
|
(#19)
![]() |
|
|||
Nai dil mein koi to bata wo khat mein salaam kiska tha Naa raqiib tha tera to wo naam kiska tha Mujhse chupaoge to kya paoge akhir tera "dil" hu Jo har roz bheja hai narzon se wo payam kiska tha Hunar chaiye Ishq k rutbe ko chupane k liye Chalo wo koi nai par tujhpar likha yeh kalaam kiska tha Aj kal sajne lage ko niharne lage ho khudko aino mein Teri ankho ko yeh bebq intezaar kiska tha Kehdo mujhse to khud bhi karar paoge is se Zehan mein yeh khayal subh o shaam kiska tha Mujhse kehti ho k Ishq hota kaise hai aye "Dil" Par ab bata tujhpe jaan yeh shumar kiska tha ek nazar mein tujhe ghayal karke wo betabi inaam kargaya Baal.i umar mein bata yeh nazr e katl ka kaam kiska tha?!
|
(#20)
![]() |
|
|||
Raqs-e-sharar kee ghungroo me humare sharab kum tha Tere aaneki khushi mein tere jaane ka ghum tha Rasm nibhane kee gham-e-hastee humsa beimaan tha Sharab pilayen kee kahen khuda ka imaan tha Wahm se kinaraa jo kiyen kee husn-e-maah mubahat tha Khuda se pooche hain kiun hume tujhse mohabbat tha Ghaafil-e-jahaan teri nazrein kee humara junoon tha Qatl-e-aam ke badnaami kiun jannat mein kanoon tha Kaun jaane hain wajood-e-aashiq terahi shararat tha Mohabbat kee nahin tujhe bewafaayee ka fursat tha Partav-e-khoor jo janaze kee ishq sa qayamat tha Shereen ke narazgi mein farhaan ka mohabbat tha Qulzum-e-khoon-e-hayaat kee haal-e-qatl-e-aam tha Ruswa kee tere jism se yunhi in ankhonke jaam tha Khud haathonse pilayen the yeh aankhon ke nasha tha Ankhon mein wahm hayjo tu tha aur tera zehr ka bosa tha Kehte hain jo jhute ilzaam se wafa-e-sharafat tha Wahan tu tha aur tera kambakht mohabbat tha Gauhar se nai_rang-e-nazar kuch yunhi tera deewana tha Woh din beet gayen jab humare haathonme paymana tha
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
collection, poetry |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
!My oWn !Poetry..!! | -|A|- | Your Own Poetry | 63 | 08-16-2012 07:06 PM |
iMAgE Poetry(my collection) | -|A|- | MF Design Poetry | 12 | 07-27-2010 04:24 AM |
~~~ eid poetry 3 ~~~ | umair8005 | Miscellaneous/Mix Poetry | 6 | 10-04-2008 12:31 AM |
~~~ eid poetry 4 ~~~ | umair8005 | Miscellaneous/Mix Poetry | 6 | 10-04-2008 12:31 AM |
~~~ eid poetry 5 ~~~ | umair8005 | Miscellaneous/Mix Poetry | 5 | 10-02-2008 02:46 AM |