MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community
»
Poetry
»
Urdu Poetry Categories
»
Miscellaneous/Mix Poetry
»
Dedicated to **Mahum Ali**
Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !!
|
 |
Banned
|
|
Posts: 23,626
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Location: USA
Gender:
|
|
This one is Dedicated to Mahum Ali ..... jinka yeh khayal hai k hum **Saryal** hain wesey yeh soch sirf mahum ki nahi kafi logon ki hai merey barey main
hum koi jug se niralay toa nahin hein logo
hum bhi uss daur mein jitey thay jahan
titlian phool hein aur khwab hein aiwanon mein
shehr humko bhi muqaddar mein mila hai jismein
dharkanein gum hein aur ik shoar se hoo ka alam
hum bhi uss ghar ke makeen hein jismein
waqt ke kaat’te bujh jati hai iss umr ki lau
aik bemasraf-o-gumnaam iraday ki terhan
hum bhi logon ki terhan hein ke hamein
dukh chupana bhi hai hansna sar-e-bazar bhi hai
hum pe bhi ehd-e-jawani ka azab utra hai
humnay bhi duur kisi shehr mein hanstay huey
bastay huey ik shakhs ko chaha hai bohat
in hawaon ko sada jana hai
jaise uss shehr se paigham-e-wafa laai hein
dharkanein ankh ka ansoo toa nahin hein laikin
humnay gin gin ke ganwai hein kisi shakhs ke naam
hum niralay hi toa hein………..
humnay iss gham ko gham-e-jaan sa bana rakha hai
umr jismein na koi aas na ansoo na hansee
humnay uss umr ka afsana bana rakha hai!
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
All times are GMT +5. The time now is 07:32 PM.
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.