Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
|
(#1)
![]() |
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
||||
aaghaz to hota hai anjaam nahien hota ...
jab meri kahani mein wo naam nahien hota ... jab zulf ki kaalik mein ghul jaaye koi rahi ... bad-naam sahi lekin gum-naam nahien hota ... hans hans ke jawan dil ke hum kion na chunein tukarrey ... har shakhs ki qismat mein ina'am nahien hota ... bahtey hoye aansu ne aankhon se kaha tham kar ... jo mai se pighal jaye wo jaam nahien hota ... din doobey hain ya Doobi baaraat liye kashti ... sahil pe magar koi kohraam nahien hota ...
|
(#3)
![]() |
|
||||
zinda rahein to kya hai jo mar jaayein hum to kya...
duniya mein Khamoshii se guzar jaayein hum to kya... hasti hi apni kya hai zamaney ke saamney... ik khwaab hain jahan mein bikhar jaayein hum to kya... ab kaun muntazir hai hamarey liye wahan... shaam aa gai hai laut ke ghar jaayein hum to kya... dil ki Khalish to saath rahegi tamaam umr... dariya-e-gham ke paar utar jaayein hum to kya...
|
(#4)
![]() |
|
||||
Tuhmatai'n tou lagtee hai'n
Roshni ki khwahish mei'n Ghar sai baher anay ki Kuch saza tou milti hai Loag, loag hotay hai'n Oon ko kia khabar jana'n Aap k irado'n ki Khoobsoorat aankho'n mei'n Basnay walay khwabo'n kai Rang kaisay hotay hai'n Dil ki goad aangan mei'n Palnay wali bato'n kai Zakhm kaisay hotay hai'n Kitnay gehray hotay hai'n Kab yeh soch saktay hai'n Aisi bai gunah aankhai'n Ghar k konay khudro'n mei'n Chup k kitna roti hai'n Phir bhi yeh kahani sai Apni kaj bayani sai Is qadar rawani sai Dastaa'n sunatay hai'n Or yaqeen ki aankhai'n Sach kai gham zada'h dil sai Lag kai ronay lagtee hain Tum ko kia khabar jana'n Tuhmatain tou lagtee hai'n
|
(#5)
![]() |
|
||||
Bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kiun
Jo tu nahee hai to phir tera intezaar bhi kiun Akelepan ka safar jab mera muqaddar hai To phir ai waada shikan teri rehguzaar bhi kiun Usey ganwa ke raho ab khizaon ki zad mai Jo wo nahee hai to phir mausam-e-bahar bhi kiun Agar bhulaye huye usko aik umr hui To phir yeh aaj tabiyet hai sogwaar bhi kiun Wo jin labon pe yaqeene wafa mehek na sakey Phir unke lams ki khahish ho aik baar bhi kiun Jab usko shauq tha raston ki dhool honey ka Palat ke dekhta jaata tha baar baar bhi kiun
|
(#6)
![]() |
|
||||
Dil tha k khush khyal tujhey dekh ker hoa...
Ye shehr-e-bai-misal tujhey dekh ker hoa... Apney khilaf shehr k andhey hujoom main... Dil ko buhat malaal tujhey dekh ker hoa... Tool-e-shab-e-firaq teri khair ho k dil... Aamada-e-wisaal tujhey dekh ker hoa... Ye hum hi jaantey hain judai k morr per... Iss dil ka jo bhi haal tujhey dekh ker hoa... Aai na thi kabhi mere lafzon main roshni... Aur mujhsey ye kamaal tujhey dekh ker hoa... Bichrrey to jaisey zahen mua'ttal sa hogya... Shehr-e-sukhan bahaal tujhey dekh ker hoa... Phir log aagaye mera maazi kuraidney... Phir mujhse ik sawaal tujhey dekh ker hoa...
|
(#7)
![]() |
|
||||
Hum nay soch rakha hai
chahey dil ki her khwahish zindagi ki aankhon say ashk ban k beh jayey chahey ab makeenon per ghar ki sari dewarein chat sameit gir jayein aur be muqadar hum is badan k malbay mei khud he kyon na dub jayen TUM SAY KUCH NAHI KEHNA... Kesi neend thi apni kese khwab they apnay aur ab gulabon per neend wali aankhon per naram kho say khwabon per kyon azab totey hain TUM SAY KUCH NAHI KEHNA... ghir gayey hain raton mei be libas baton mei is tarhaan ki raaton mei kub chiragh jaltey hain kub azab tal-tey hain ab to in azabon saay bach k bhi nikalney ka raasta nahi Jaanan Jis tarhaan tumhain such k lazawal lamhon say waasta nahi Jaanan hum nay soch rakha hai TUM SAY KUCH NAHI KEHNA...
|
(#8)
![]() |
|
||||
Dhondnay jis mein zindagi nikli
Wohee us shakhs kee gali nikili Teray lehjay mein tha nahee kia kuchh Sirf such kee zara kami nikli Woh jo legti thi kanch ki guriya zZarb perhnay pe aahini nikli us haveli mein shaam dhelnay per her dereechay se roshni nikli Woh hawa tu nehi thi lerki thi Kis liye itni sirphri nikli Woh teray asmaan ka kia kerti Jis ki mitti se dosti nikli
|
(#9)
![]() |
|
||||
E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde. Bahut Dukh Sahe He Maine, Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde. Bahot Mushkil Lagta Hai Usse Duur Rehna, Judai Ke Safar Ko Kum Karde. Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse, Use Utna Kareeb Karde. Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam, To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.
|
(#10)
![]() |
|
||||
khusbo’on ki tarha meri har saans main
piyar apna basanay ka wada karo ranng jitnay tumhari mohabbat kay hain meray dil main sajanay ka wada karo hai tumhari wafaon pay mujko yakeen phir bhi dil chahta hai meray dil nasheen yoonhi meri tasali ki khatir zara mujko apna bananay ka wada karo jab mohabbat ka iqrar kartay ho tum dhadkanoon main naya rang bhartay ho tum baarha kar chukay ho, magar aj phir mujhko apna bananay ka wada karo sirf lafzoon say iqrar hota nahi ik janib say hi piyar hota nahi main tumhain yaad rakhnay ki khaon qasam tum mujko na bhulanay ka wada karo
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
collection, munda |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
saree collection | AYAZ | Sarees | 24 | 01-11-2012 12:38 PM |
~~~ eid sms collection ~~~ | umair8005 | Urdu Sms | 24 | 11-23-2011 06:01 PM |
~ * ~ Himi SmS CoLLecTiOn ~ * ~ | Hussain | Urdu Sms | 21 | 11-22-2011 02:05 PM |
~~ umair's eid collection ~~ | umair8005 | Urdu Sms | 10 | 11-21-2011 09:41 AM |
sms collection | DI@ | English Sms | 16 | 10-23-2011 03:31 AM |