Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
|
(#1)
![]() |
|
|||
dil dharakne ka sabab yad aya
wo teri yad thi ab yad aya aj mushkil tha sambhalna ai dost tu musibat main ajab yad aya din guzra tha bari mushkil se phir tera wada-e-shab yad aya tera bhula hua paiman-e-wafa mar rahenge agar ab yad aya phir kai log nazar se guzre phir koi shahar-e-tarab yad aya hal-e-dil ham bhi sunate lekin jab wo rukhsat hue tab yad aya baith kar saya-e-gul main 'Nasir' ham bahut roye wo jab yad aya
|
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
hoti hai tere nam se wahshat kabhi kabhi
barham hui hai yun bhi tabiyat kabhi kabhi ai dil kise nasib ye taufiq-e-iztirab milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi tere karam se ai alam-e-husn-e-afrin dil ban gaya hai dost ki khilwat kabhi kabhi dil ko kahan nasib ye taufiq-e-iztirab milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi josh-e-junun main dard ki tugyaniyon k sath ashkon main dhal gai teri surat kabhi kabhi tere qarib rah k bhi dil mutmain na tha guzri hai mujh pe bhi ye qayamat kabhi kabhi kuch apna hosh tha na tumhara khayal tha yun bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi ai dost ham ne tark-e-muhabbat k bawajud mahsus ki hai teri zarurat kabhi kabh
|
(#3)
![]() |
|
|||
wo sahilon pe gane wale kya hue
wo kashtiyan jalane wale kya hue wo subah ate ate rah gai kahan jo qafile the ane wale kya hue main jin ki rah dekhta hun rat bhar wo raushani dikhane wale kya hue ye kaun log hain mere idhar udhar wo dosti nibhane wale kya hue imaraten to jal k rakh ho gain imaraten banane wale kya hue ye ap ham to bojh hain zamin ka zamin ka bojh uthane wale kya hue
|
(#4)
![]() |
|
|||
Chehry Parrta Ankhein Likhta Rehta Hoon
Mein Bhi Kaisi Batein Likhta Rehta Hoon Sary Jism Darakhton Jaisy Lagty Hein Or Banhoo Ko Shakhein Likhta Rehta Hoon Tujh Ko Khat Likhny K Tevar Bhool Gaey Aarhi Tirchhi Satrein Likhta Rehta Hoon Tere Hijar Me Or Mujhy Kiya Karna He Tere Naam Kitabein Likhta Rehta Hoon Teri Zulf K Saey Dheyan Me Rehty Hein Mein Subhoon Ko Shamein Likhta Rehta Hoon Apny Peyar Ki Phool Mehakti Rahoon Me Logon Ki Deewarin Likhta Rehta Hoon Tujh Se Mil Kar Sary Dukh Dohraon Ga Hijar Ki Sari Batein Likhta Rehta Hoon Sokhy Phol Kitabein Zakhum Judai K Teri Sab Soghatin Likhta Rehta Hoon Os Ki Bheegi Palkein Hansti Rehti Hein Mohsin Jab Tak Ghazlein Likhta Rehta Hoon
|
(#5)
![]() |
|
|||
-==Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan==-
Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan Jaisy Mahtab Ko Beant Samondar Chahy Jaisy Soraj Ki Kiran Seep K Dil Me Utry Jaisy Khushbo Ko Hawa Rang Se Hat Kar Chahy Jaisy Pathar K Kalaijy Se Kiran Phootti He Jaisy Ghunchy Khuly Mousam Se Hina Mangty Hein Jaisy Khabon Me Kheyalon Ki Kaman Tootti He Jaisy Barish Ki Dua Aabla Pa Mangty Hein Mera Her Khab Mere Sach Ki Gawahi De Ga Wosat E Deed Ne Tujh Se Teri Khahish Ki He Meri Sochon Me Kabhi Dekh Sarapa Apna Mein Ne Dunya Se Alag Teri Parastish Ki He Khahish E Deed Ka Mousam Jo Kabhi Dhundla Howa Noch Dali Hein Zamano Ki Naqabein Mein Ne Teri Palkon Pe Otarti Hoi Sobhon K Liye Torr Dali Hein Sitaroon Ki Tanabein Mein Ne Mein Ne Chaha K Tere Husan Ki Gulnar Fiza Meri Ghazalon Ki Qataron Se Dehakti Jaey Mein Ne Chaha K Mere Fun K Gulistan Ki Bahar Teri Ankhon K Gulabon Se Mehakti Jaey Tey To Ye Tha K Sajata Rahy Lafzon K Kanwal Mere Khamosh Kheyalon Me Takalum Tera Raqs Karta Rahy Bharta Rahy Khushbo Ka Khumar Meri Khahish K Jazeeron Me Tabasum Tera Too Magar Ajnabi Mahool Ki Parwarda Kiran Meri Bujhti Hoi Raton Ko Sehar Kar Na Saki Teri Sanson Me Maseehai Thi Lekin Too Bhi Chara E Zakham E Gham E Deeda E Tar Kar Na Saki Tujh Ko Ehsas Hi Kab He K Kisi Dard Ka Dagh Ankh Se Dil Me Utar Jaey To Kiya Hota He Too K Seemab Tabiyat He Tujhy Keya Maloom Mousam E Hijar Thehar Jaey To Keya Hota He Tony Os Morr Pe Torra He Taluq K Jahan Dekh Sakta Nahi Koi Bhi Palat Kar Janan Ab Ye Aalam He K Ankhein Jo Khulein Gi Apni Yad Aey Ga Teri Deed Ka Manzar Janan Mujh Se Mangy Ga Tere Ohad E Mohabbat Ka Hisab Tere Hijran Ka Dehakta Howa Mehshar Janan You Mere Dil K Barabar Tera Ghum Aya He Jaisy Sheeshy K Muqabil Koi Pathar Janan Jaisy Mahtab Ko BeAnt Samondar Chahy Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan
|
(#6)
![]() |
|
|||
Ojrry Hoey Logon Se Gurezaan Na Raha Kar
Halat Ki Qabroon K Katby Bhi Parrha Kar Keya Janiye Keun Taiz Hawa Soch Me Gum He Khabeeda Parindoon Ko Darakhton Se Orra Kar Os Shakhs Se Tum Se Bhi Marasim Hein To Hongy Wo Jhoot Na Boly Ga Mere Samny Aa Kar Ab Dastakein De Ga Too Kahan Ae Gham E Ahbab Mein Ne To Kaha Tha K Mere Dil Me Raha Kar Har Waqt Ka Hansna Tujhy Barbad Na Kar Dy Tanhai K Lamhoon Me Kabhi Roo Bhi Liya Kar Wo Aj Bhi Sadyon Ki Musafit Pe Kharra He MohSin Dhonda Tha Jisy Waqt Ki Deewar Gira Kar
|
(#7)
![]() |
|
|||
|
(#8)
![]() |
|
|||
|
(#9)
![]() |
|
|||
TUM ACHA NEHE KARTAY Kabhi jo ehsaas ho tum ko k
Tum acha nehe kartay Jo mujh ko youn Rulaatay ho Lahoo maira jalatay ho Agar is aag main jal kar Main aik din RAAK hojaawoon Mujhay Dil say Bhulaa denaa Samandar main bahaa denaa Magar ye yaad rakhnaa tum Khudaa say ye Duaa karnaa K jO achay lagay tum ko Wo tum jaisaa har giz na ho.
|
(#10)
![]() |
|
|||
Aaj kya janiye kya yaad aaya Jo bhi dukh yaad na tha yaad aaya,
Aaj kya janiye kya yaad aaya, Phir koi haath hai dil par jaise, Phir tera ahd-e-wafa yaad aaya, Jis tarah dhund mein lipte hue phool, Ek ek naksh tera yaad aaya, Aisi majboori ke aalam mein koi, Yaad aaya bhi to kya yaad aaya, Yaad aaya tha bichhadna tera, Phir nahi yaad ke kya yaad aaya, Jab koi zakham bhara daag bana, Jab koi bhool gaya yaad aaya, Ye mohabbat bhi hai kya rog, Jisko bhoole woh sada yaad aaya..!!!
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
bithy, kuch, lamho, yadein |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
kuch khatay kuch methay bol apnay sy opper walay k liye..! | -|A|- | Fun | 90 | 11-04-2011 02:20 AM |
kuch muhtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai | Hussain | Miscellaneous/Mix Poetry | 6 | 10-11-2011 02:12 PM |
Pyaar Ke Deep Jalane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai | ShArArTi MuNdA | Miscellaneous/Mix Poetry | 5 | 08-14-2011 12:23 AM |
~~ Apni yadein apni Batein ~~ | umair8005 | Miscellaneous/Mix Poetry | 11 | 06-30-2011 10:41 PM |
~guzartay lamho main thak gaya hoon~ | ShArArTi MuNdA | Ghamgheen/Sad shayari | 4 | 09-12-2008 09:50 AM |