Ghamgheen/Sad shayari !! Share Only Ghamgheen /Sad shayari Here!! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#11)
![]() |
|
|||
Na Mila Karo Sar-E-Sham Mujhay Main TaNha TaNha Theek Hun Mujhay Chahton Se Dar Lagta Hay Main Nafraton Mein Theek Hun Mujhay Rastoon Mein Chor Do Mujahy Justuju-E-Manzil Nahi Na Dekhao Mujhay Raasta Main Bhatka Hua He Theek Hun Meray Dosto Mujhay Chor Do Na Suljhaoo Meri Uljhanain Mujhay Adavatain He Pasand Hain Main Dushmanoon Mein Theek Hun Mujhay Khushi Ki Koi Talab nahi Mujhay Apna Ghum Bhi Nawaz Do Mujhay Ansu Peena Pasand Hay Mujhay Aansoun Mein He Chor Do
|
Sponsored Links |
|
(#12)
![]() |
|
|||
Hum kawaboon k beopari thay per is main hua nuqsan bara kuch bakht main dheroon kaalak thee kuch ab k ghazab ka kaal para hum raakh leye hain jhooli main aur sur pe sahokar karra yahan bund nahain hey dewey main woh baj beaj ki bat karey hum bhaanjh zameen ko taktay hain woh dhhor anaj ki bat karey hum kuch din ki muhlat mangain woh aaj hi aaj ki bat karey jab dharti sehra sehra thee hum darya darya roye thay jab hath ki rekhaiin chup thee aur sur sangeet main soye they jab hum ne jewan khhetee main kuch khawab ankhoye boye thay kuch khawab sajal muskano k kuch geet khabat diwano k kuch neer wafa ki shamoon k kuch per pagal perwano k kuch lafaz jinhain maanii na miley kuch geet shikista jano k phir apni ghaayal ankhoon se khush ho k lahoo chhirkaya tha matti main maas ki khhad bharee aur nas nas ko zakhmaya tha aur bhool geye pichhli rut main kya khhoya tha kya paya tha
|
(#13)
![]() |
|
|||
ye ajeeb fasl-e-firaq hai! k na lab pe hurfe talab koi na udasion ka sabab koi na hujoom-e-derd k shoq main! koi zakham ab k hara hoa na kaman badast ado hoe na malamat-e-saf-e-dostaan pe ye dil kisi se khafa hoa koi taar apne lebas ka na hawa ne hum se talab kia sar-e-rahguzer wafa berhi na diya jalane ki arzoo pe charha gham-e-do jahan na koi maseeha na charager na kisi kahayal ki justuju na khalish kisi k wisaal ki na thakan rah-o-mah-o saal ki na dimagh rang rukh batan! na talash lashker nasehan!! wahi aik haal hai zabt ka wahi aik chaal hai deher ki wahi aik rang hai shoq ka wahi aik rasm hai sheher ki, na nazer main khof hai raat ka na fiza main din ka hiraas hai pe arz-e- haal sukhanwaran, wahi humsukhan hai rafeeq-e-jan, wahi hum shukhan jise dil kahen! wo to youn bhi kub ka udas hai. ye ajeb fasl-e-firaq hai, ye ajeeb fasl-e-firaq hai
|
(#14)
![]() |
|
|||
suna hay is muhabbat me bohat nuqsan hota hay mehakta jhoomta jivan ghamo k nam hota hay suna hay chain kho kar wo sehar se sham rota hay muhabbat jo bhi karta hay bohat badnam hota hay suna hay is muhabbat me kahin bhi dil nhi lagta bina us k nigahon me koi mosam nhi jachta khafa jis se muhabbat ho wo jivan bhr nahi hansta bohat anmol hay wo dil ujar kar phir nahi basta suna hay is muhabbat me bohat naqsan hota hay
|
(#15)
![]() |
(#16)
![]() |
|
|||
|
(#17)
![]() |
|
|||
Wo piyar ka saboot dikhaya karta tha. Wo piyar ka saboot dikhaya karta tha. Aansoo baha kr mjhe manaya krta tha. Ye zindagi sirf tum se wabasta hai. Aksar ye baat mjhe bataya karta tha. Us ki baton mein kuch aisa asar tha. Mein barish k bina he bheeg jaya karta tha. Soney ki fursat kis ko thi. Wo mjhe sari raat jagaya karta tha. Bechaini jab had se barh jati the. Wo ji bhar k galae lagaya karta tha. Wo itni Muhabbat krne wala badal gaya. Jo sath nibhane ki qasam khaya karta tha.
|
(#18)
![]() |
|
|||
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
kehtaa, main, thaa |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
maiN chahta bi yehi thaa | waheed ahmed | Mohabbat shayari | 4 | 01-06-2015 09:18 AM |
maiN ruswaye shahr thaa | waheed ahmed | Your Own Poetry | 1 | 10-11-2014 10:56 AM |
maiN ne aksar socha thaa | waheed ahmed | Your Own Poetry | 7 | 10-10-2014 01:35 AM |
Wo jo ishq thaa, wo junoon thaa, | hairtransplantpakistan | Funny Poetry | 4 | 02-22-2012 10:14 AM |
Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin | ROSE | Miscellaneous/Mix Poetry | 2 | 12-17-2011 11:56 AM |