Your Own Poetry !!! Post Ur Own Poetry Here !!! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]()
Tumharay Visal K Baad.. Aaj Aya Hoon Is Ghar Mein.. Jaha Dafna Gya Tha Yaad-e-Mazi.. Jaha Hansi Khanakhti Thi Tumhari.. Jaha Choti Choti Khushiya Panapti Thi.. Jaha Ruchi Basi Hay Tumhari Khushboo.. Ye Kaisa Ajeeb Ehsaas Hay.. Darwaza Khultay Hi Jaisay, Teri Khushbuwo'n Nay Aa Ghera Mujhko.. Kehdiya Zamana-e-Hazir Ko Alvida.. Ye Khirki Kitni Dhool Say Atti Hay.. Jaha Baith'ti Thi Tum.. Chand Ki Roshni Mein.. Parha Karti Thi Kitabain Apni Agay Barhtay Howay Jab Guzra Mein Rahdari Say You Gumaa'n Howa K Jaisay Tum Ho Waha'n Barhaya Hath To Paya Apnay Hatho'n Par Makri Ka Gharoonda Jo Tha Waha'n In Gard Alood Kitabo'n Ko Daikhta Hoon Shayad Pari Ho'n In Mein Wo Khusq Patiya.. Jo Thi Kabhi Shakl-e-Gulab.. Jo Thi Kabhi Taza Dum, Khushnuma, Khoobsoorat,.. Tum Jaisi.. Thori Fursat Mein Jab Kabhi Main Sochnay Baitho'n To Kai Sawalat Ronuma Hotay Hain.. Kay Aaalam-e-Arwaah Mein Tum Hogi Kaha'n? Kya Tumhain Un Yado'n Main Lotaya Jata Hoga?.. Kya Tumhain Khuda Nay Qudrat Di Hogi?.. K Un Lamho Ko Phir Say Waisay Mehsoos Kar Sako? Kya Tumhara Dil Bahel Jata Hoga Mere Baghair? Ya Phir Dyar-e-Ghair Say.. Tum Kahi Door Say Mujhay Roz Daikhti HOgi Ye Dunya Mein Ana Jana To Laga Rehta Hay Dil Mat Harna, Ajaonga Mein Bhi Aik Din! Nahi, Bura Mat Manana is Baat Ka Tum.. Himmat Nahi Hara Mein Na Mayoosi Hay Magar Dar Haqeeqat Irtaqa Say Anjam Tak Ye Rwayat Aik Haqeeqat Hay.. Jisay Bayan Karnay Mein.. Kuch Muzayeqa To Nahi.. Magar Phir Bhi Mujhay Muaf Karna Janta Hoon Naraz To Tum Hoti Thi In bato Par Lo.. Agya Yaad Mujhay Ab Ye Bhi.. K Meri Muafi K Baad Tum Hans Diya Karti Thi Tab Lay Laita Tha Mein Tumhain Apni Baho'n Mein Aur Ab.. hmm, Khair.. ![]() Acha To Ab Mein Chalta Hoon.. Tum Mujhay Darwaza Band Karnay K Baad Awaz Mat Daina.. Janay Walay Ko Awaz Daina.. Suna Hay.. Acha Nahi Hota.. Iraday Kamzor Hotay Hain,.. Himmat Toot Jati Hay.. Meri Himmat Bandhaye rakhna.. Mujhay Jana Hay, Chalta Hoon.. Khuda Hafiz.. Darwaza Band.. Najanay Kion Thaher Gya Hoon Shayad Koi Awaz Ayegi.. Rukiyee!!! Ahhhh Par Nahi Nahi.. Bilkul Nahi.. Is Ahh Mein Dukh Nahi, Mein Ghamzada Nahi.. Tum Pareshan Mat Hona.. Tum Pareshan Mat Hona..
Chal Fiqr Noo Goli Maar Yaar Hain Din Jindri Day Chaar! ![]() |
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#3)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#4)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#5)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]()
Tum Jaisi.. Thori Fursat Mein Jab Kabhi Main Sochnay Baitho'n To Kai Sawalat Ronuma Hotay Hain.. Kay Aaalam-e-Arwaah Mein Tum Hogi Kaha'n? Kya Tumhain Un Yado'n Main Lotaya Jata Hoga?.. Kya Tumhain Khuda Nay Qudrat Di Hogi?.. K Un Lamho Ko Phir Say Waisay Mehsoos Kar Sako? Kya Tumhara Dil Bahel Jata Hoga Mere Baghair? Ya Phir Dyar-e-Ghair Say.. Tum Kahi Door Say Mujhay Roz Daikhti HOgi Ye Dunya Mein Ana Jana To Laga Rehta Hay Dil Mat Harna, Ajaonga Mein Bhi Aik Din! Nahi, Bura Mat Manana is Baat Ka Tum.. Himmat Nahi Hara Mein Na Mayoosi Hay Magar Dar Haqeeqat Irtaqa Say Anjam Tak Ye Rwayat Aik Haqeeqat Hay.. Jisay Bayan Karnay Mein.. Kuch Muzayeqa To Nahi.. Magar Phir Bhi Mujhay Muaf Karna Janta Hoon Naraz To Tum Hoti Thi In bato Par Lo.. Agya Yaad Mujhay Ab Ye Bhi.. K Meri Muafi K Baad Tum Hans Diya Karti Thi Tab Lay Laita Tha Mein Tumhain Apni Baho'n Mein Aur Ab.. hmm, Khair.. Acha To Ab Mein Chalta Hoon.. Tum Mujhay Darwaza Band Karnay K Baad Awaz Mat Daina.. Janay Walay Ko Awaz Daina.. Suna Hay.. Acha Nahi Hota.. Iraday Kamzor Hotay Hain,.. Himmat Toot Jati Hay.. Meri Himmat Bandhaye rakhna.. Mujhay Jana Hay, Chalta Hoon.. Khuda Hafiz.. Darwaza Band.. Najanay Kion Thaher Gya Hoon Shayad Koi Awaz Ayegi.. Rukiyee!!! Ahhhh Par Nahi Nahi.. Bilkul Nahi.. Is Ahh Mein Dukh Nahi, Mein Ghamzada Nahi.. Tum Pareshan Mat Hona.. Tum Pareshan Mat Hona.. ahan bohat hi umda aur munfarid andaz_e_bayan hay :-bd kamal hay aazad shayer g go k shayri radeef_o_qafiya ki qaid se aazad hay par andaz_e_Ebayan bohay mutasir kun hay bohat bohat zabardast pehli waali may ye lines umda hain In Gard Alood Kitabo'n Ko Daikhta Hoon Shayad Pari Ho'n In Mein Wo Khusq Patiya.. Jo Thi Kabhi Shakl-e-Gulab.. Jo Thi Kabhi Taza Dum, Khushnuma, Khoobsoorat,.. thanx for sharing
|
(#6)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#7)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Quote:
Thankyou !~*AdOrAbLe*~!, your Comments motivate me to Do Something more Creative Comparitively This one.. Thanks For Appreciation
Chal Fiqr Noo Goli Maar Yaar Hain Din Jindri Day Chaar! ![]() |
(#8)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#9)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Quote:
Apkay Qeemti Lafzo'n Nay Mere Is Thread Mein Jaan Bhardi..
Bohat Shukriya .. Jeeti Rahain
Chal Fiqr Noo Goli Maar Yaar Hain Din Jindri Day Chaar! ![]() |
(#10)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
aur, baad, gharonda, mera, tere, wisal |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Iss Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki | !«╬Ĵamil Malik╬«! | Great Urdu Poets&Poetry | 28 | 08-25-2011 06:00 PM |
~Tere Jane K BaaD~ | SHAYAN | Image Poetry | 16 | 08-23-2011 11:01 PM |
Tere janay kai baad | (¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯) | Share Your Favourite Videos | 2 | 01-14-2010 03:43 AM |
;;;Tere Baad Yara;;;By ADoO | !~*AdOrAbLe*~! | Share Your Favourite Videos | 8 | 01-13-2010 07:18 AM |
Dasht e Hijran Mein Na Saya Na Sada Tere Baad | ! HEER | Miscellaneous/Mix Poetry | 5 | 12-18-2009 08:34 PM |