Dosti naam hai sukh-dukh ke afsaane ka.
Yeh raaz hai sada muskuraane ka.
Yeh pal do pal ki rishtedaari nahi.
Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka.
Zindagi mein aakar kabhi na vaapas jaane ka.
Najaane kyu ek ajeeb si dor mein bandh jaane ka.
Ismein hoti nahi hain shartein.
Yeh to naam hai khud ek shart mein bandh jaane ka.
Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka.
Dosti dard nahi rone rulane ka.
Yeh to armaan hai ek khushi ke ashiyaane ka.
Ise kaanta na samajhna koi.
Yeh to phool hai Zindagi ki raahon ko mehkaane ka.
Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka.
Dosti naam hai doston mein khushiya bikher jane ka.
Ankhon ke ansuon ko noor me badal jane ka.
Yeh to apni hi taqdeer mein likhi hoti hai.
Dheere-dheere khud afsaana ban jati hai zamaane ka.
Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka.
Dosti naam hai kuch khokar bhi sab kuch paane ka.
Khud rokar bhi apne dost ko hasane ka.
Ismein pyaar bhi hai aur taqraar bhi.
Dosti toh naam hai us taqraar mein bhi apne yaar ko manaane ka.
Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka.
Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka....
Main bhi kitni pagal hoon na
Sang hawa k urna chahoon
Titli ban kar nagri nagri
Gulshan Gulshan phirna chahoon
Phooloon k sab rang chura kar
Chunri apni rangna chahoon
Main bhi kitni pagal hoon na