Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
|
(#1)
![]() |
|
|||
Woh firaaq aur woh wisaal kahaaN ? Woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN ? Fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise ? Zauq-e-nazzaraa-e-jamaal kahaaN ? Dil to dil wo dimaaGH bhee na rahaa Shor-e-sauda-e-KHatt-o-KHaal kahaaN ? Thee woh ik shaKHs ke tasavvur se Ab woh raanaai-e-KHayaal kahaaN ? Eisa aasaaN naheeN lahoo rona Dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN ? Hamse chooTa qamaar_KHaana-e-ishq WaaN jo jawaiN, girah meiN maal kahaaN ? Fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooN MaiN kahaaN aur ye wabaal kahaaN ? Muzmahil ho gaye quwa'a 'GHalib' Wo anaasir meiN 'eitdaal kahaaN ?
I'M Not Really A BaD InfLuence But IN YouR CasE I'LL MaKe n EXCETION ![]() |
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
Woh aake KHwaab meiN taskeen-e-iztiraab to de.. Wale mujhe tapish-e-dil, mazaal-e-KHwaab to de.. Kare hai qatl lagaawat meiN tera ro dena.. Teree tarah koee teGH-e-nigah ko aab to de.. Dikhaake jumbish-e-lab hee tamaam kar hamko.. Na de jo bosa, to muNh se kaheeN jawaab to de.. Pila de oak se saaqee jo hamse nafrat hai.. Pyaala gar naheeN deta na de, sharaab to de.. 'Asad' KHushee se mere haath paaNv phool gaye.. Kaha jo usne zara mere paaNv daab to de.....!!
I'M Not Really A BaD InfLuence But IN YouR CasE I'LL MaKe n EXCETION ![]() |
(#3)
![]() |
|
|||
Us bazm meiN mujhe naheeN bantee haya kiye. BaiThaa raha agarche ishaare huwa kiye. Dil hee to hai, siyaasat-e-darbaaN se Dar gaya. MaiN, aur jaaooN dar se tere bin sada kiye ? Rakhta firooN hooN KHirqa-o-sajjaada rahn meiN. Muddat huee hai daavat-e-aab-o-hawa kiye. Be_sarfa hee guzartee hai, ho garche umr-e-KHijr. Hazarat bhee kal kahenge ki ham kya kiya kiye ? Maqdoor ho to KHaak se poochchooN, ke 'ei laeem. Toone woh ganj haay giraaN_maaya kya kiye ? Kis roz tohamataiN na taraasha kiye 'adoo. Kis din hamaare sar pe na aare chala kiye. Sohbat meiN GHair kee na paDee ho kaheeN yeh KHoo. Dene laga hai bose baGHair iltijaa kiye. Zid kee hai aur baat magar KHoo buree naheeN. Bhoole se usne saikDoN waade-wafa kiye. 'GHalib' tumheeN kaho ki milega jawaab kya ? Maana ki tum kaha kiye, aur woh suna kiye......!!
I'M Not Really A BaD InfLuence But IN YouR CasE I'LL MaKe n EXCETION ![]() |
(#4)
![]() |
|
|||
Taskin ko ham na roen jo zauq-e-nazr mile, Huraan-e-khuld mein teri surat magar mile. Apni gali mein mujhko na kar dafan baad-e-qatal, Mere pate se khalaq ko kyon tera ghar mile? Saqi gari ki sharm karo aaj warna ham, Har shab piya hi karte hain, mai jis qadar mile. Tujh se to kuchh kalaam nahin lekin ai nadim! Mera salaam kaheyo agar naama bar mile. Tum ko bhi ham dikhaenge Majnun ne kya kiya, Fursat kashaakash-e-gham-e-pinhaan se gar mile. Laazim nahin ke khizar ki ham pairwi karen, Maana ke ek bazurg hamen ham safar mile. Ai saaknaan-e-kucha-e-dildaar dekhna, Tum ko kahin jo Ghalib-e-aashufta sar mile.....!!
I'M Not Really A BaD InfLuence But IN YouR CasE I'LL MaKe n EXCETION ![]() |
(#5)
![]() |
|
|||
|
(#6)
![]() |
|
|||
|
(#7)
![]() |
|
|||
Shauq har rang raqeeb-e-sar-o-saamaaN niklaa. Qais tasveer ke parde meiN bhee uriyaaN niklaa. ZaKHm ne daad na dee, tangee-e-dil ki yaarab ! Teer bhee seena-e-bismil se par_afshaaN niklaa. Boo-e-gul, naala-e-dil, dood-e-charaaGH-e-mehfil. Jo teree bazm se nikla, so parishaaN niklaa. Thee nau_aamoz_fana'a himmat-e-dushwaar_pasand. SaKHt mushkil hai ki yah kaam bhee aasaaN nikla. Dil meiN fir giryaaN ne ik shor uThaaya 'GHalib' Aah jo qatra na nikla tha, so toofaaN nikla.....!!
I'M Not Really A BaD InfLuence But IN YouR CasE I'LL MaKe n EXCETION ![]() |
(#8)
![]() |
|
|||
Rone se aur ishq meiN be_baak ho gaye. Dhoye gaye ham 'eise ki bas paak ho gaye. Sarf-e-baha-e-mai hue aalaat-e-maikashee. The; ye hee do hisaab, so yoN paak ho gaye. Ruswa-e-dahar go hue aawaargee se tum. Baare tabeeyatoN ke to chaalaak ho gaye. Kehta hai kaun naala-e-bulbul ko be_asar. Parde meiN gul ke laakh jigar chaak ho gaye. Pooche hai kya wujood-o-adam 'ehl-e-shauq ka. Aap apnee aag se KHas-o-KHaashaak ho gaye. Karne gaye the; usse taGHaaful ka ham gila. Kee ek hee nigaah ki bas KHaak ho gaye. Is DHang se uTHaayee kal usne 'Asad' ki laash. Dushman bhee jisko dekhke GHamnaak ho gaye......!!
I'M Not Really A BaD InfLuence But IN YouR CasE I'LL MaKe n EXCETION ![]() |
(#9)
![]() |
|
|||
NuktaacheeN hai GHam-e-dil usko sunaaye na bane. Kya bane baat jahaaN baat banaaye na bane. MaiN bulaata to hooN usko magar 'ei jazba-e-dil. Uspe ban jaaye kuchch 'eisee ki bin aaye na bane. Khel samjha hai kaheeN choD na de, bhool na jaay. Kaash ! yooN bhee ho ki bin mere sataaye na bane. GHair firta hai liye yooN tere KHat ko ki agar. Koee pooche ki yeh kya hai ? to chipaaye na bane. Is nazaakat ka bura ho, woh bhale haiN to kya. HaaNth aaye to unhaiN haaNth lagaaye na bane. Keh sake kaun ki yeh jalwaa_garee kiskee hai. Parda choDa hai woh usne ki uTHaaye na bane. Maut kee raah na dekhooN ki bin aaye na rahe. Tumko chaahooN ki na aao, to bulaaye na bane. Bojh woh sar pe gira hai ki uTHaaye na uTHe. Kaam woh aan paDa hai, ki banaaye na bane. Ishq par zor naheeN, hai ye woh aatish 'GHalib' Ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane.....!!
I'M Not Really A BaD InfLuence But IN YouR CasE I'LL MaKe n EXCETION ![]() |
(#10)
![]() |
|
|||
Naqsh fariyaadee hai kiskee shoKHee-e-tehreer ka. KaaGHazee hai pairhan har paikar-e-tasweer ka. Kaave-kaave saKHt_jaanee haay tanhaaee na pooch. Subah karna shaam ka laana hai joo-e-sheer ka. Jazba-e-be_iKHtiyaar-e-shauq dekha chaahiye. Seena-e-shamsheer se baahar hai dam shamsheer ka. Aagahee daam-e-shuneedan jis qadar chaahe bichaaye. Mudda'a 'anqa hai apne aalam-e-taqreer ka. Bus ke hooN 'GHalib' aseeree meiN bhee aatish zer-e-pa. Moo-e-aatish_deeda hai halqa meree zanjeer ka.....!!
I'M Not Really A BaD InfLuence But IN YouR CasE I'LL MaKe n EXCETION ![]() |
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
ghalib |
Thread Tools | |
Display Modes | |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Ghalib | (¯`·._.·[FåIтH]·._.·´¯) | Mirza Ghalib | 12 | 02-12-2012 09:45 PM |
||~**ghalib**~|| | FarazAli | Urdu Sms | 21 | 11-11-2011 11:48 PM |
@@@ ghalib @@@ | Hussain | Jokes | 9 | 10-12-2011 01:57 AM |
Mirz ghalib | ROSE | Great Urdu Poets&Poetry | 5 | 09-14-2011 08:04 PM |
Ghalib | aryan | Designed Ashar's | 14 | 08-16-2011 03:39 AM |