Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#21)
![]() |
|
|||
ek na ek rose to rokhsat karta woh mujh se kitni hi mohbat karta log mujh ko kahna paa saktay thay woh agar meri hifazat karta meray lahjay main garoor aya tha es ko huq tha k sikyat karta kuch to thi meri khta warna woh kyun es trah tark _e_ rafakat karta oar es se na rahi koi talab bus itna k woh meray piyar ki eazzat karta
|
Sponsored Links |
|
(#22)
![]() |
|
|||
![]()
Ajab Tamasha-Gar Hain Matti k ye Putlay "SAQI"
Bewafai Karo to Rote Hain, Wafa karo to Rulate Hain |
(#23)
![]() |
|
|||
mere saath tum bhii duaa karo yun kisii ke haq mein buraa na ho kahiin aur ho na ye haadasaa koii raaste mein judaa na ho mere ghar se raat kii sej tak vo ik aansuu kii lakiir hai zaraa barh ke chaand se puuchhanaa vo isii taraf se gayaa na ho sar-e-shaam Thaharii huii zamiin, aasamaan hai jhukaa huaa isii mor par mere vaaste vo charaag le kar kharaa na ho vo farishte aap hii dhuundhiye kahaaniyon kii kitaab mein jo buraa kahen na buraa sune koii shakhs un se Khafaa na ho vo visaal ho ke firaaq ho terii aag mahakegii ek din vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo charaag ban ke jalaa na ho mujhe yuun lagaa ki Khaamosh Khushbuu ke hont titalii ne chhuu liye inhiin zard patton kii ot mein koii phuul soyaa huaa na ho
|
(#24)
![]() |
|
|||
ranjish hi sahee dil hi dukhnay kay liyah aa aa phir say mujhay choor kay janay kay liyah aa pehlay say maraim na sahee phir bhi khabi to rasam-o-rah-e-dunya hi nibahnay kay liyah aa kis kis ko batain gay joodai ka sabub hum to mujh say khafa hai to zamanay kay liyah aa kuch to meray pandarrr-e-mohabbat ka baram rakh tu bhi to khabi mujh ko manany kay liyah aa ek umar say hoon lazat-e-garya say bhi mehroom ai rahat-r-jaan mujh ko roolany kay liyah aa ab tak dil-e-khush feham ko hain tujh say umeedain yeh akhiri shamain bhi boojanay kay liyah aa ..
|
(#25)
![]() |
|
|||
Bheegi hui aankho ka ye manzar na mille ga Ghar chor kay mat jao kahin ghar na mille ga Phir yaad bohut aaye gi zulfo ki ghani shaam Jab dhoop may saaya koi sar par na mille ga Aansoo ko kabhi aus ka qatra na samajhna Aisa tumhe chahat ka samandar na mille ga Is khwaab kay maahol may be khwab hay aankhe Jab neend bohut aaye gi bistar na mille ga Ye soch lo ab aakhri saaya hay mohabbat Is dar say utho gay tho koi dar na mille ga.
|
(#26)
![]() |
|
|||
Ab ke yoon dil ko saza di hum ne, uski har baat bhullaa di humne. Ek-ek phool yaad aayaa, shaakhn-e-gul jab woh jala di humne. Aaj talk jis pe woh sharmaate rahe, baat woh kab ki bhulla di humne. Aaj phir yaad bahut aaya woh, aaj phir usko duaa di humne. Koi to baat hai unmein, har khushi jis pe lutaa di humne
|
(#27)
![]() |
|
|||
Aap ki duniya hamare naam thi Aap ke bin zindagi kis kaam ki Aap ne hum se taalluq torr kar Ghair se rasm-e-muhabbat aam ki Umr bhar nisbet rahi jo aap se Aik pal mein doosrey ke naam ki Zindagi be-kaar ho ke reh gai Saans chalti hai bara-e-naam ki Khud se baigana banaya aap ne Yaad hai Allah ki na ram ki Ab to bus ik maut ki hai arzoo Aish ki daulat ki na araam Jaane kitne kar liye hum ne gunah umr kaati moorad-e-ilzam ki ab to chughtai sabhi kuch kho diya muft mein hum ho gae badnaam bhi
|
(#28)
![]() |
|
|||
|
(#29)
![]() |
|
|||
KAHA THA NAA kaha tha na yun sotte hoe chor k mat jana mujhe beshak jaga dena batta dena tumnhe rasta badalna he mere yaad se nikalna he tumhe kiss baat ka dar tha tumhe jane nai dette kahiin par qeed kar dete arre pagal.... mohabat k tabiyat me zabardaste nai hote jisse rasta badalna ho usse rasta badalne se jisse had se guzarna ho usse had se guzarne se na koi rok paya he na koi rok pae ga tumhe kiss baat ka dar tha mujhe beshak jaga deta
|
(#30)
![]() |
|
|||
![]()
[SIGPIC][/SIGPIC]
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
kambakht, zindagi |
Thread Tools | |
Display Modes | |
|
|