Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
|
(#3)
![]() |
|
|||
|
(#4)
![]() |
|
|||
|
(#5)
![]() |
|
|||
Mohabbat bhi kya ajeeb cheez hoti hai
Kabhi gham kabhi tanhai deti hai Kabhi aansoo kabhi ruswai deti hai Jis dard ki koi dawa nahi.aisa zakhm deti hai Kabhi ujaale to kabhi andhero mein bhatka deti hai Jo kabhi na mit sake wo ghao deti hai Khushi bohat kam milti hai kisi kisi ko Aksar ko to udaasiyoun mein duba deti hai Mohabbat karo to sonch samajh kar karna Kyoun kimohabbat zindagi tabah kar deti hai Mujhe to na mili kamiyabi mohabbat mein Ae DIL-E-UdAsS ye judai ke baad har kisi ko bewafa ka naam deti hai
|
(#6)
![]() |
|
|||
Ishq me hum tumhe kia batae
Ishq me hum tumhe kia batae Kiss kadar Chot khae hoe hai Moot ne hum ko mara hai aur hum Zindagi k satae hoe hai Ae lehad apni matti se keh de Daag lagne na pae kafan ko Aaj hi hum ne badle hai kapre Aaj hi hum nahae hoe hai Surh aankho me kajal laga hai Rukh pe ghaza sajae hoe hai Eese aae hai mayyat pe meri Jese shaadi me aae hoe hai Doshmano ki shikayat hame kia Doston se Gila kia Karen ge Kat chuke jin darakhto k pate Phir kahan un k saae hoe hai
|
(#7)
![]() |
|
|||
Gaya Zamana Buhat Suhana.
Jo Yaad Aaon To Laut Aana. Wo Aankhon Aankhon Main Baat kerna. Wo Baaton Baaton Main Raat Kerna. Hansi Chupane Ko Lab K Aagey. Haseen Komal Se Haath Kerna. Kabhi Hansana. Kabhi Rulana. Jo Yaad aaon to laut aana. Hamain Tumhari Hi Justuju Hai. Tumhari Chahat Ki Aarzu Hai. Ye Baat tum bhi Kabhi To Samjho. "Hamari Chup Main Bhi Guftagu Hai". Samajh Sako To Hamain Batana. Jo Yaad Aaon To Laut Aana.
|
(#8)
![]() |
|
|||
![]()
[SIGPIC][/SIGPIC]
|
(#9)
![]() |
|
|||
|
(#10)
![]() |
|
|||
Ajab din they Mohabbat k.
AJab din they chahat k. Kabhi jo yaad aa jaein to palkon par sitare jhilmilate hain. Kisi kiyaad men raton ko aksar jaagna maamool tha apna. kabhi jo neend aa jati to hum ye soch lete they. abhi to wo hamare waste roya nahin hoga. Abhi soya nahin hoga. Abhi hum b nahin rotey. Abhi hum b nahin sotey. To hum phir jaagtey they aur usko yaad kartey they. Akaile baith kar weeran dil abaad kartey they. Hamare saamne taron k jhurmat men akaila chand hota tha. Jo us k husn k agey boht hi maand hota tha. Falak par raks kartey an gint roshan sitaron ko, jo hum tarteeb daite they. To uska naam banta tha. Hum agley roz jab miltey, to pichli raat ki har be qali ka zikr kartey they. Har qissa sunatey they. Kahan, kis waqt, kaise, kis tarah dil dhadka batatey they. Main jab usko batata tha k janan! Aaj to main raat ko ik pal nahin soya. To wo khamosh rehti thi. Par uski neend men doobi do jheel c aankhen. Achanak bol uthti theen. Main jab usko batata tha, k jana! raat ko roshan sitaron men tumhara naam dekha tha. To wo kehti Tum jhoot kehtey ho. Sitare maine dekhey they. Aur un roshan sitaron par tumhara naam likha hai. Ajab maasoom ladki thi. Mujhe kehti thi k lagta hai wo apne sitare mil hi jaein ge. Magar usko khabar kya thi. Kinare mil nahin saktey. Mohabbat ki kahani men, Mohabbat karne walon k, sitare mil nahin saktey. sitare mil nahin saktey.....
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
dairy, mari |
Thread Tools | |
Display Modes | |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
~~Kuch YaaDein Mari Dairy Sy~~ | -|A|- | Members Poetry Collections | 751 | 02-06-2012 09:13 PM |