|
|
Posts: 1,665
Country:
Star Sign:
Join Date: May 2012
Location: Lahore
Gender:
|
|
Good Topic
Baat asal men yeh hoti hey keh hum logon ka ilam itta zeyada nhi hota keh hum kisi bhi baat ki gehrai men khud jaa ke soch sken. So hum ko laazmi tore pe un logon ki tarf dekhna perta hey jin ke pass ilam hota hey,
Quote:
Niyaz is done on the occasion of the death of some saint or good person. Anyone who is considered to be a "Awliya Allah" by people. The intention in doing Niyaz is that the person for whom it is done will be pleased with the person who is doing it and after being pleased the saint will grant the needs of the asker or will solve his problem or will help him in the Akhirah. But all acts of servitude are for Allah alone. We should try to please him alone.
|
Yeh baat sub pe laagu nhi hoti, Asal baat niyet ki hoti hey keh aap jo amal kerne ko jaa rhe hen is ke peeche aap ki niyet kiya hey, Log waisi bhi niyet rakhte hen jaisa ke u ne mention kiya hey, mager bohat se log aisi niyet nhi rakhte. Me ki apni jo niyet jo niyet hoti hey jub me kisi qaber ya mazar pe jaata hon to me Fateh perhta hon ur un logon ke ke liye bhi dua kerta hon jo is wabar men hote hen ur un logon ke liye bhi jo abhi zinda hote hen, Apne liye bhi to kerne builkul nhi bholta,
Aksar jub me Data Sahib jata hon ur wahan pe gareeb ur musafer logon ko dekhta hon to Chawlon ki eik deg un men taqseen kerwa deta hon, us ke peeche builkul niyet yeh nhi hoti keh jo Sahib e Qaber hey wo khush hoga ur me ko us se kuch mil jaeiga, Haan mujhe un masaakeen ur gareeb logon ko khana khilane ka sawab zaror Allah ke haan se milega kionkeh us ne wada kiya howa hey, So us apne sawab men me jis ko chahe shamil ker lon, jo zinda hen in ko bhi ur jo duniya se guzer gay hen in ko bhi,
Sawab kya hota hey? Is ki haqeeqat kiya hey? Yeh eik alag topic hey, Yahan just men asaan fahm men itta kahonga keh insan ko jub yaqeen hota hey keh is waqt wo Allah se jo bhi dua karega wo qabool hogi to apni dua men wo dosron ke liye bhi maang leta hey, un ke liye bhi jo duniya se jaa chuke hote hen ur un ke liye bhi jo is duniya men mojod hote hen,
Quote:
"Forbidden to you (for food) are: dead meat blood the flesh of swine and that on which hath been invoked the name of other than Allah"
|
Quote:
"Is it not to Allah that sincere devotion is due? But those who take for protectors other than Allah (say): "We only serve them in order that they may bring us nearer to Allah." "
|
Quote:
"Whoever recommends and helps a good cause becomes a partner therein: and whoever recommends and helps an evil cause shares in its burden"
|
Quote:
"Is it not to Allah that sincere devotion is due? But those who take for protectors other than Allah (say): "We only serve them in order that they may bring us nearer to Allah." "
|
Kuch musalman aise hen jo is baat pe yaqeen rakhte hen keh jo Sahb e Qaber hey wo sunta bhi hey dekhta bhi hey, ur qeuamat ke din wo in ko dozakh ki aag se bacha bhi le ga, Mager aise logon ki tadaad bohat kum hey jo is baat pe yaqeen rakhte hen,
Hum qurbani Allah hi ke naam ki dete hen, Koi faqeer aa jay to wo bhi Allah hi ka naam le ke maangta hey, so jo kum tadaad men hen ur Mushrikaana amaal kerte hen un ke liye hum ko dua kerna chaiye ur Allah ur Allah ke Rasool (Peace be upon him) ki baten un ko sunani chaiye, Ur khud koshish yehi kerna chaiye keh un ko galt sabit kerne pe nah be'zid ho jaein kionkeh Islami taleemaat dene ke liye "Hikmat" se kaam lena chaiye,
|