 |
|
|
Posts: 10,633
Country:
Star Sign:
Join Date: Mar 2011
Gender:
|
|
wah kesa lafz ha..is lafz ko suntey he 99% logon ke dimaagh mein aik larkey aur larki ki mohabbat he aati ha..kyun aap ke zehn mein bhi yehi ha na????
Mohabbat...aap samjhtey han ke kesa skoooooooon wala lafz ha..lekin..
asal mein ye sab bakwas ha, mohabbat aik la-ilaaj marz ha, mohabat barbaadi ha, mohabbat khushiyaan kam aur dukh zyada deti ha...
arrey ghussa na hon..aisa man nahi keh raha bulkey nakaam o namuraad or waqti jazbey waley aashiq kehtey han..
kher ye to aiwain he aik starting wali lines thi..
man asal mein poochna ye chah raha tha ke aisa kyun ha ke larkey larki wali muhabbat to hum foran mehsoos ker letey han , jab ke muhabbat ka he aik doosra rukh hum asaani se mehsus nahi ker paatey..dossra rukh means, Khuda se muhabbat, waldain se , bachon se mohabbat wghera..jub tak hum in mein se kisi aik ko kho nahi detey ya takleef mein nahi dekhtey, tab tak hum unke liye mohabbat ko mehsus nahi ker paatey..
aisa kyun ha..kyun..akhir kyun???
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Last edited by )*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*(; 04-17-2011 at 10:31 AM..
|