 |
|
|
Posts: 61
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2009
Location: --> In HiS ♥...
Gender:
|
|
Wanna Share All my Fav Collections...!! =) 
`•.¸¸.•´´¯`••._.•`•.¸¸.•´´¯`••._.•`•.¸¸.•´´¯`••._. •
Tumne Jo Meri Kabr Par, Aakar Yun Muskura Diya
Bijli Chamak Kar Gir Padi, Sara Kafan Jala Diya……♥
Main So Raha Tha Chain Se, Yun Hi Kafan E Mazaar Mein,
Yahan Bhi Sataane Aa Gaye, Kisne Pata Bata Diya……♥
Tumne Chadhaye Phool To, Ehsaan Kya Kiya
Humne Tumhare Ishq Mein, Sara Chaman Luta Diya…..♥
Pucha Na Jeete Ji Kabhi, Dard E D...il Ka Haal
Aaye Ho Kabr Par Meri, Mitti Mein Jab Mila Diya…..♥
Aaye Ho Mazaar Par Mere, Dekh Liya Ab Mera Haal
Thukra Ke Mere Pyar Ko, Kisi Aur Ko Apna Bana Diya….♥
Ab Ho Gaya Hai Ilm Tumhein, Ek Shikayat Meri Jaan Lo
Kiya Jo Hashar Tumne Mera, Apno Ko Begana Bana Diya….♥
Main To Kafan Mein Hoon Ab, Meri Baat Aur Hai,
Karna Na Unka Haal Wo Ab, Jo Haal Mera Tumne Bana Diya….♥
Tumne Jo Meri Kabr Par, Aakar Yun Muskura Diya
Bijli Chamak Kar Gir Padi, Sara Kafan Jala Diya…..♥
`•.¸¸.•´´¯`••._.•`•.¸¸.•´´¯`••._.•`•.¸¸.•´´¯`••._. •
|