dasht-e-tanhai main ai jan-e-jahan larzan hain
teri avaz k saye tere honthon k sarab
dasht-e-tanhai main duri k khas-o-khak tale
khil rahe hain tere pahlu k saman aur gulab
uth rahi hai kahin qurbat se teri sans ki anch
apni khushbu main sulagti hui madham madham
dur ufaq par chamakati hui qatra qatra
gir rahi hai teri dildar nazar ki shabnam
us qadar pyar se ai jan-e jahan rakha hai
dil k rukhsar pe is vaqt teri yad ne hath
yun guman hota hai garche hai abhi subah-e-firaq
dhal gaya hijr ka din a bhi gai vasl ki rat
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai...