 |
|
|
Posts: 19,769
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2008
Location: lahore
Gender:
|
|
kabhi kabhi mere dil mein khayal aataa hai
Ke zindagi teri zulfoon kee naram chaaon mein
Guzarane paati tu shadaab ho bhee saktee thee
Yeh teergi ju meri zeest kaa muqadar hai
Teri nazar kee shuaaon mein khoo bhee saktee thee
Ajab na thaa ke mein begaana-e-alam ho kar
Tere jamaal kee raanaaiyoon mein kho rehta
Tera gudaaz badan teri neem-baar aankhein
Inhein haseen fasaano mein mahoo rehta
Pukaartee mujhe jab talkhiyaan zamaane kee
Tere laboon se halaawat ke ghoont pee leta
Hayaat cheekhti phirtii barhana-sar, aur mein
Ghaneri zulfoon kee saaye mein chhup ke jee leta
Magar yeh ho na sakaa aur ab yeh aalam hai
Ke tu nahin, tera gumm, teri justaju bhee nahin
Guzar rahi hai kuch is tarha zindagi jaise
Isse kisee ke sahare kee arzoo bhee nahin
Na koee jaadaa na manzil na roshni ka suraag
Bhatak rahee hai khalaaon mein zindagi meri
Inheen khalaaon mein reh jaaon ga kabhi kho kar
Mein jaanta hoon meri ham nafas magar yuun hee
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aataa hai!
|