Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
|
Thread Tools | Display Modes |
|
(#1)
![]() |
|
|||
BACHPAN KA DECEMBER… ![]() han mujhay yad hy bachpan ka wo december thetherti dhalti shamoon main aangan ki deevar sy sarakti dhoop jaltay huay koilay ki mehk aur mairy phatay huay galoon per lakeeren bnatay wo jamay huay ansu…. asman per jamti wo badloon ki dhund daukh ker ami ka derwazay per kharay ho ker pukarna aur hum sub ka mitti bhery kanchay sanbhal ker apnay apnay gharoon ko bhagna raat bher chup chup ker asman ko daikhna barf girnay ki duaeen kerna aur phir subha poo phoot,tay hi sehn main girti barf k sitaray chun,na aur barf giratay asmaan ko daikh daikh ker khud ko bhi barf k galoon k sath urtay huay mehsoos kerna phir tum a gaenn…………………….. aur bachpan ka december beet gia tab pehroon main sarakti thandi dhoop talay aur un thatharti thandi shamoon main main tumhari aik jhalak daikhnay k liay asman sy girti barf ki chandi apnay wajood per sjata raha aur zameen per bichi is sufaid chader per mairy qadmoon ka her nishan tumharay gher ki dehleez tak hi jata raha phir wo december bhi beet gia aur daikho……… main ab bhi gali ki usi nuker per khara hun thatherti sarakti shaam main per sunehri doop nhe serakti waqt jaisy tham sa gia hy barf k sitaray mairy galoon per chandi bikhair to rahay hain per inheen bhigoo nhe patay yeh kaise berfeli sham hy jis ki serdi mairy ansu jama nhe paa rahi jaltay koily ka dhuwan aankh to jalata hy per is main wo mehk nhe aur daikho mairy gher ka derwaza paat kholay khara to hy laiken ami ki dant na janay kahan kho gai hy..?? tumharay gher ki janib jatay sab rastay is qader sunsaan kun paray hain…?? is berfeli shaam main aur mairy bachpan k december main kitna farq hy……. ![]()
![]() نیلگوں فضاؤں میں شور ہے بپا دل میں شدتوں کے موسم کی چاہتیں سوا دل میں حبس ہے بھرا دل میں میں اداس گلیوں کی اک اداس باسی ہوں بادلوں کے پردے سے واہموں کو ڈھکتی ہوں خوشبوئیں گلابوں کے جسم سے نکلتی ہیں روشنی کی امیدیں کونپلوں پہ چلتی ہیں پھر بہار آنے سے پہلے ٹوٹ جاتی ہیں چوڑیاں بھی ہاتھوں میں ٹوٹ پھوٹ جاتی ہیں جسم کے شگوفوں میں رنگ چھوڑ جاتی ہیں بس سنہرے لہجےکی روشنی ہے لو جیسی ہونٹ سے پرے دل میں کام کی دعا ایسی کس کو یہ خبر لیکن اِس سنہرے لہجے میں کھارے کھارے پانی سا بدگمانیوں سے پُر |
Sponsored Links |
|
Bookmarks |
Tags |
bachpan, december |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Bachpan | ~wish munda~ | Posting Games | 8 | 03-30-2012 08:18 PM |
Sohana bachpan | masoodjee | Pics And Images | 7 | 11-28-2011 04:25 PM |
Mera bachpan | PRINCE SHAAN | Ghamgheen/Sad shayari | 10 | 08-11-2011 06:30 AM |
bachpan | ! HEER | Image Poetry | 10 | 07-21-2010 06:36 PM |
Wo bachpan ki yaadein.. | K@IN@@T | Miscellaneous/Mix Poetry | 7 | 06-30-2010 03:41 AM |