Zamana Aya Hai Be-Hijabi Ka (Allama Iqbal) - MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link|
MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community » Poetry » Urdu Poetry Categories » Great Urdu Poets&Poetry » Zamana Aya Hai Be-Hijabi Ka (Allama Iqbal)
Great Urdu Poets&Poetry Share All Great Urdu Poets Poetry Here

Advertisement
 
 
 
Thread Tools Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
(#1)
Old
SHAYAN SHAYAN is offline
 


Posts: 84,290
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Gender: Male
Default Zamana Aya Hai Be-Hijabi Ka (Allama Iqbal) - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-09-2011, 12:33 AM

Zamana Aaya Hai Be-Hijabi Ka, Aam Deedar-e-Yaar Hoga;
Sakoot Tha PardaDaar Jiska Wo Raaz Ab Aashkaar Hoga.

Guzar Gaya Ab Wo Daur Saaqi, Ke Chupke Peetey The PeeneWaale;
Banega Saara Jahaan Mai'Khaana; Har Koi Badah Khwaar Hoga.

Kabhi Jo Aawarah Junoon The, Wo Bastiyon Mein Phir Aa Basenge;
BarahnaPaayi Wahi Rahegi, Magar Naya KhaarZaad Hoga.

Suna Diya Gosh-e-Muntazir Ko Hijaaz Ki Khamoshi Ne Aakhir;
Jo Ahad Sehra'iyon Se Baandha Gaya Tha Phir Ustawaar Hoga.

Nikal Ke Sehra Se Jisne Rooma Ki Saltanat Ko Ulat Diya Tha;
Suna Hai Ye Qudsiyon Se Maine Wo Sher Phir Hoshiyar Hoga.

Kiya Mera Tazkira Jo Saaqi Ne Badahkwaaron Ke Anjuman Mein;
Tho Peer-e-Majlis Ne Sunke Kehne Laga K Manphat Hai Khwar Hoga

Diyaar-e-Maghrib K Rehne Walon, Khuda Ki Basti Dukan Nahi Hai;
Khara Jise Tum Samajh Rahe Ho Wo Ab Zar-e-Kam 'Ayaar Hoga.

Tumhaari Tehzeeb Apne Khanjar Se Aap Hi Khudkashi Karegi;
Jo Shaakh-e-Naazuk Pe Aashiyana Banega Na-Payedaar Hoga.

Chaman Mein Lala Dikhaata Phirta Hai Daag Apna, Kali Kali Ko;
Ye Jaanta Hai Ke Is Dikhaawe Se Diljalon Mein Shumaar Hoga.

Jo Ek Tha Aye Nigaah Toone Hazaar Karke Hamein Dikhaaya;
Yahi Agar Kaifiyath Hai Teri Tho Phir Kise Aitebaar Hoga?

Khuda Ke Ashiq To Hain Hazaro Bano Mein Phirtey Hain Marey Marey
Main Uska Banda Banonga Jisko,Khuda Ke Bandon Se Pyar Hoga

Ye Rasm-e-Bazm-e-Fana Hai, Aye Dil! Gunah Hai Chumbish-e-Nazar Bhi;
Rahegi Kya Aabaru Hamaari Jo Tu Yahaan Beqaraar Hoga?

Main Zulmat-e-Shab Mein Leke Niklunga Apne DarManda Karwaan Ko;
Sharar Fashaan Hogi Aah Meri, Nafs Mera Sholabaar Hoga!

Na Pooch Iqbal Ka Thikaana, Abhi Wahi Kaifiyat Hai Uski;
Kahin Sar-e-Raah Guzaar Baitha, Sitam Kash-e-Intezaar Hoga.

 

Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links
 

Bookmarks

Tags
allama, aya, behijabi, hai, iqbal, zamana


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
:~~:Lab pe aati hai dua banke tamanna meri,By ALLAMA IQBAL (with english translation)~::~ (¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯) Great Urdu Poets&Poetry 23 09-15-2011 04:35 PM
Dr. Muhammad Iqbal (Allama Iqbal) pkmuslim Great Urdu Poets&Poetry 8 09-14-2011 07:34 PM
Allama Iqbal ........ Zafina MF Design Poetry 8 07-27-2010 04:29 AM
Allama Iqbal ~ABDULLAH~ Miscellaneous/Mix Poetry 6 07-02-2010 03:09 PM
Dr. Muhammad Iqbal (Allama Iqbal) pkmuslim Miscellaneous/Mix Poetry 6 06-12-2009 11:54 PM


All times are GMT +5. The time now is 01:28 PM.
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.

All the logos and copyrights are the property of their respective owners. All stuff found on this site is posted by members / users and displayed here as they are believed to be in the "public domain". If you are the rightful owner of any content posted here, and object to them being displayed, please contact us and it will be removed promptly.

Nav Item BG