Members Poetry Collections !! Share your Poetry Collections Here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#581)
![]() |
|
|||
![]() ![]() Kabi yad ao toa is tarah, k laho ki sari tamaztain, Tmhein dhop dhop samait lain, Tmhein rung rung nikhar dain, Tmhein harf harf mein soch lain. Kabi yad ao toa is tarah k dil-o-nazr mein utar sako, Kabi khul sako shub-e-wasl mein, kbi khon-e-dil mein sanwar sako, Sar-e-rahguzr jo milo kabi, Na thaher sako na guzer sako, Mera durd phr sai guzal bny Kabi gungnao toa is tarah. Kabi muskrao toa is tarah. Meri dharknain b laruz uthain Kabi choat khao toa is tarah. Kabi yad ao toa is tarah........! ![]()
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
Sponsored Links |
|
(#582)
![]() |
|
|||
|
(#583)
![]() |
|
|||
~!~Youn Soty Howay Mat Chor Ker Jana ~!~
![]() Kaha Tha Na! K Youn Soty Howay Mat Chor Ker Jana Mujhy Baishak Bata Daina Jaga Daina Kaha Tha Na! Main Tumko Daikh Hi Leta Main Koi Dua Daita Ary Pagal Mohabbat Ki Tabiyet Mai Zaberdasti Nai Hoti Jise Rasta Badalna Ho Use Rasta Badlne Se Jise Had Se Nikalna Ho Use Had Se Niklne Se Na Koi Rok Paya hai Na Koi Rok Paye Ga Mere Sathi Yeh Haqeeqat Hai Tumhare Baat Khone Ko Mere Pass Kuch Nai Baqi MAGAR Main Ab Sone Se Darta Hon Main Ab Khone Se Darta Hon Kaha Tha Na K youn Soty Howay Mat Chor K jana
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#584)
![]() |
|
|||
aik jese lgti hein choryan aur larkyan
![]() aik jese lgti hein choryan aur larkyan totti hein hasti hein choryan aur larkiyan nazki ki inteha hai ik zara c thees se toot k bikharti hein choryan aur larkyan in k torne walon ko ehsas tak nahi hota toot ker kb jurti hein choryan aur larkiyan... zindagi ki dharkano ko ik rhytham sa deti hein zeest ko sajati hein choryan aur larkiyan....
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#585)
![]() |
|
|||
~MOHABAT ROG HAI JAANA~
![]() Mohabat rog hai jaana Ajaab sanjoog hai jaana Ye kaisa jog hai jaana Baray borhay batatay thay kaee qisaay sunatay thay Magar hum mantay kab thay Ye sab kuch jantay kab thay Ye batain zikar k qabil bhala gardantay kab thay ana k takht pay bethay Humain maloom hi kab tha Anaa k takht say oper Bohat saree bulandi par Kahin pariyon k jhurmut mein Teray pairoon ki payaal mein Teray chotay say gaoon mein taree zulfoon ki chaoon mein sitary chand suraj waalay hana raqs kartay hain hamain maloom he kab tha taray qadmon ke aahat per gulabi muskarahat per teray hontoon ke jumbish per teray sir kay ishray per sada-e-dolbarana per negaha-e-qatilana per jafa-e-mehrmana per ada-e-qatalana per chaaman kay phool saray is tarhan say dhayan daytay hain zara say wasl kay jhansay main apni jaan daytay hain hamian kab ilm tha jana teray paykar say dhul kar chaandani har so bikhrtee hai shab-e-mehtab ke doshezgi kaisay nikhrtee hai tere awaz weranay main kya jadu jagatee hai taray nagmay fiza main kis tarha jaltarang bajatay hain bohat pukhta iraday kis tarhaa say toot jatay hain hamain idraak he kab tha hamain kamil bharosa tha hamaray sath kisi surat bhee aisa nahi ho ga dil-e-nadan kabhi qaboo say bayqaboo nahi ho ga yeh dunya-daar dunya-daar say saadhuu nahi ho ga Magar............. Magar phi ryoun hoa jana na janay kyun hoa jana bara afsoon hoa jana jigar ka khoon hoa jana teray abroo ke ik jumbish say ghayal ho ga'ay hum bhee baray bay multafit phirtay thay maayal ho ga'ay hum bhe sakahwat karnay aay'ay thay aur sayal ho ga'ay hum bhee baray bhooron ke in baaton kay qayal ho ga'ay hum bhee K............ Mohabat Rog Hai Jana Ajab Sanjog Hai Jana Yeh Kaisa Jog Hai Jana..............!!!
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#586)
![]() |
|
|||
![]() ![]() wO aksar mujh sEY kEhta tha "tum lagti kaanch ki gurYa hO, mEraY dil kaY gulshan mEY chEhaknaY wali chirYa hO, dil baahoO’n mEY bharnaY kO jisEY bEY chain rEhta haY, pEr mEraY andEr ik dar mujh sEY kEhta haY, mEraY haathoO’n sEY kahEEn … tum chhoOt na jaaO, zara si thaEs puhnchaY aur tum toOt na jaaO, kabhi na bEY khudi mEY kahEEn … main aisEY bEh jaaoO’n kisi lamhaY ki grift hO kuch un chaaha sa kEh jaaoO’n", main naY kaha kYun is qadar tum qismat sEY dartEY hO, hEr pal kYun dil-O-dimaagh ki YE jang ladtEY hO, phir Yun huwa ki us naY apna hEr dar suna daala, YaadoO’n kaY jism pEY laga hEr zakhm dikha daala, "kaY zindagi kaY dahaktEY rang jO ab tak main naY hEin paalEY kabhi wO aisEY na bhadkaY kaY tum kO jala daalEY, badhtEY badhtEY na badh jaaEY tumhaarEY qurb ki khawhish is qadar, taqdEEr tumhaY durr khEEnchaY main paas aaOn jis qadar, tOu main naY chun liYa mushkil safar aur YE aalam-E-tanhaEE, tumhaY toOtta dEkhnaY sEY haY piYaari mujhaY judaEE", phir na ruka aik bhi lamhaY wO mEraY paas, aur saath apnaY lEY gEYa mEri hEr ik aas, pEhlaY tu phir bhi haasil tha mujhaY uska thOda saath, hEr pal ki aarzoO mEY pEr ab! rEh gaEE hoOn khaali haath, ![]()
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#587)
![]() |
(#588)
![]() |
|
|||
|
(#589)
![]() |
|
|||
|
(#590)
![]() |
|
|||
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
dairy, kuch, mari, yaadein |
|
|