~~~~ Kuch Yadein Bithy Lamho Ki ~~~~ - Page 12 - MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link|
MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community » Poetry » Urdu Poetry Categories » Miscellaneous/Mix Poetry » ~~~~ Kuch Yadein Bithy Lamho Ki ~~~~
Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !!

Advertisement
 
Post New Thread  Reply
 
Thread Tools Display Modes
(#111)
Old
Dast-e-Tanhai Dast-e-Tanhai is offline
~Umeed E Sehar~
 


Posts: 10,545
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: in my loneliness
Gender: Male
Default >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   02-19-2009, 04:20 PM

Chehry Parrta Ankhein Likhta Rehta Hoon
Mein Bhi Kaisi Batein Likhta Rehta Hoon
Sary Jism Darakhton Jaisy Lagty Hein
Or Banhoo Ko Shakhein Likhta Rehta Hoon
Tujh Ko Khat Likhny K Tevar Bhool Gaey
Aarhi Tirchhi Satrein Likhta Rehta Hoon
Tere Hijar Me Or Mujhy Kiya Karna He
Tere Naam Kitabein Likhta Rehta Hoon
Teri Zulf K Saey Dheyan Me Rehty Hein
Mein Subhoon Ko Shamein Likhta Rehta Hoon
Apny Peyar Ki Phool Mehakti Rahoon Me
Logon Ki Deewarin Likhta Rehta Hoon
Tujh Se Mil Kar Sary Dukh Dohraon Ga
Hijar Ki Sari Batein Likhta Rehta Hoon
Sokhy Phol Kitabein Zakhum Judai K
Teri Sab Soghatin Likhta Rehta Hoon
Os Ki Bheegi Palkein Hansti Rehti Hein
Mohsin Jab Tak Ghazlein Likhta Rehta Hoon

 



Sponsored Links
(#112)
Old
Dast-e-Tanhai Dast-e-Tanhai is offline
~Umeed E Sehar~
 


Posts: 10,545
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: in my loneliness
Gender: Male
Default >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   02-19-2009, 04:21 PM

-==Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan==-

Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan
Jaisy Mahtab Ko Beant Samondar Chahy
Jaisy Soraj Ki Kiran Seep K Dil Me Utry
Jaisy Khushbo Ko Hawa Rang Se Hat Kar Chahy

Jaisy Pathar K Kalaijy Se Kiran Phootti He
Jaisy Ghunchy Khuly Mousam Se Hina Mangty Hein
Jaisy Khabon Me Kheyalon Ki Kaman Tootti He
Jaisy Barish Ki Dua Aabla Pa Mangty Hein

Mera Her Khab Mere Sach Ki Gawahi De Ga
Wosat E Deed Ne Tujh Se Teri Khahish Ki He
Meri Sochon Me Kabhi Dekh Sarapa Apna
Mein Ne Dunya Se Alag Teri Parastish Ki He

Khahish E Deed Ka Mousam Jo Kabhi Dhundla Howa
Noch Dali Hein Zamano Ki Naqabein Mein Ne
Teri Palkon Pe Otarti Hoi Sobhon K Liye
Torr Dali Hein Sitaroon Ki Tanabein Mein Ne

Mein Ne Chaha K Tere Husan Ki Gulnar Fiza
Meri Ghazalon Ki Qataron Se Dehakti Jaey
Mein Ne Chaha K Mere Fun K Gulistan Ki Bahar
Teri Ankhon K Gulabon Se Mehakti Jaey

Tey To Ye Tha K Sajata Rahy Lafzon K Kanwal
Mere Khamosh Kheyalon Me Takalum Tera
Raqs Karta Rahy Bharta Rahy Khushbo Ka Khumar
Meri Khahish K Jazeeron Me Tabasum Tera

Too Magar Ajnabi Mahool Ki Parwarda Kiran
Meri Bujhti Hoi Raton Ko Sehar Kar Na Saki
Teri Sanson Me Maseehai Thi Lekin Too Bhi
Chara E Zakham E Gham E Deeda E Tar Kar Na Saki

Tujh Ko Ehsas Hi Kab He K Kisi Dard Ka Dagh
Ankh Se Dil Me Utar Jaey To Kiya Hota He
Too K Seemab Tabiyat He Tujhy Keya Maloom
Mousam E Hijar Thehar Jaey To Keya Hota He

Tony Os Morr Pe Torra He Taluq K Jahan
Dekh Sakta Nahi Koi Bhi Palat Kar Janan
Ab Ye Aalam He K Ankhein Jo Khulein Gi Apni
Yad Aey Ga Teri Deed Ka Manzar Janan
Mujh Se Mangy Ga Tere Ohad E Mohabbat Ka Hisab
Tere Hijran Ka Dehakta Howa Mehshar Janan
You Mere Dil K Barabar Tera Ghum Aya He
Jaisy Sheeshy K Muqabil Koi Pathar Janan

Jaisy Mahtab Ko BeAnt Samondar Chahy
Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan

 



(#113)
Old
Dast-e-Tanhai Dast-e-Tanhai is offline
~Umeed E Sehar~
 


Posts: 10,545
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: in my loneliness
Gender: Male
Default >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   02-19-2009, 04:22 PM

Ojrry Hoey Logon Se Gurezaan Na Raha Kar
Halat Ki Qabroon K Katby Bhi Parrha Kar
Keya Janiye Keun Taiz Hawa Soch Me Gum He
Khabeeda Parindoon Ko Darakhton Se Orra Kar
Os Shakhs Se Tum Se Bhi Marasim Hein To Hongy
Wo Jhoot Na Boly Ga Mere Samny Aa Kar
Ab Dastakein De Ga Too Kahan Ae Gham E Ahbab
Mein Ne To Kaha Tha K Mere Dil Me Raha Kar
Har Waqt Ka Hansna Tujhy Barbad Na Kar Dy
Tanhai K Lamhoon Me Kabhi Roo Bhi Liya Kar
Wo Aj Bhi Sadyon Ki Musafit Pe Kharra He MohSin
Dhonda Tha Jisy Waqt Ki Deewar Gira Kar

 



(#114)
Old
Dast-e-Tanhai Dast-e-Tanhai is offline
~Umeed E Sehar~
 


Posts: 10,545
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: in my loneliness
Gender: Male
Default >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   02-19-2009, 04:23 PM

Maqrooz E Gham E Deeda E Tar He Tera Mohsin
Mudat Se Youhi Khak Basar He Tera Mohsin
Shayed Kisi Rasty Ki Hawa Teri Khabar De
Is Wasty Masroof E Safar He Tera Mohsin

 



(#115)
Old
Dast-e-Tanhai Dast-e-Tanhai is offline
~Umeed E Sehar~
 


Posts: 10,545
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: in my loneliness
Gender: Male
Default >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   02-19-2009, 04:23 PM

Toony Nafrat Se Jo Dekha To Mujhy Yad Aya !
Kaisy Rishty Teri Khatir Youhi Torr Aya Hoon

Kitny Dhundly Hein Ye Chehry Jinhe Apnaya He
Kitni Ojli Thee Wo Ankhein Jinhe Chorr Aya Hoon

 



(#116)
Old
Dast-e-Tanhai Dast-e-Tanhai is offline
~Umeed E Sehar~
 


Posts: 10,545
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: in my loneliness
Gender: Male
Default >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   02-19-2009, 04:49 PM


TUM ACHA NEHE KARTAY


Kabhi jo ehsaas ho tum ko k

Tum acha nehe kartay

Jo mujh ko youn Rulaatay ho

Lahoo maira jalatay ho

Agar is aag main jal kar

Main aik din RAAK hojaawoon

Mujhay Dil say Bhulaa denaa

Samandar main bahaa denaa

Magar ye yaad rakhnaa tum

Khudaa say ye Duaa karnaa

K jO achay lagay tum ko

Wo tum jaisaa har giz na ho.

 



(#117)
Old
Dast-e-Tanhai Dast-e-Tanhai is offline
~Umeed E Sehar~
 


Posts: 10,545
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: in my loneliness
Gender: Male
Default >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   02-19-2009, 04:50 PM


Aaj kya janiye kya yaad aaya


Jo bhi dukh yaad na tha yaad aaya,
Aaj kya janiye kya yaad aaya,


Phir koi haath hai dil par jaise,
Phir tera ahd-e-wafa yaad aaya,


Jis tarah dhund mein lipte hue phool,
Ek ek naksh tera yaad aaya,


Aisi majboori ke aalam mein koi,
Yaad aaya bhi to kya yaad aaya,


Yaad aaya tha bichhadna tera,
Phir nahi yaad ke kya yaad aaya,


Jab koi zakham bhara daag bana,
Jab koi bhool gaya yaad aaya,


Ye mohabbat bhi hai kya rog,
Jisko bhoole woh sada yaad aaya..!!!

 



(#118)
Old
Dast-e-Tanhai Dast-e-Tanhai is offline
~Umeed E Sehar~
 


Posts: 10,545
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: in my loneliness
Gender: Male
Default >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   02-19-2009, 04:52 PM

Qadmoon Main Bechaon Ga


Har Khushi Tumharay Qadmoon Main Bechaon Ga
Mohabbat Ka Har, Tumhain Pyaar Say Pehnaon Ga
Tumhari Har Subh Ka Aaghaz Merey Pyaar Say Ho Ga
Nasheeli Aankhon Ko Choom Kar Rooz Tujhay Jagaon Ga
Apni Khata Ka Aazala Kuch Yohn Karain Gen Kaif
Hathon Ko Thaam Kar, Tumhain Bar Bar Manaon Ga
Merey Seenay Ki Tarap Tumhari Rah Dekhti Hai
Teri Bahoon Ka Haar Liey, Tumhain Galay Say Lagaon Ga
Terey Chaman Main Khilna Is Gulaab Ki Fitrat Hai
Apni Khushbu Say Tumhara Tan Man Mehkaon Ga

 



(#119)
Old
Dast-e-Tanhai Dast-e-Tanhai is offline
~Umeed E Sehar~
 


Posts: 10,545
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: in my loneliness
Gender: Male
Default >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   02-19-2009, 04:52 PM

Koi Bata Nahin Sakta



Mera Haal-E-Dil Hai Aisa Koi Bata Nahin Sakta
Suntay Hain Loog Magar Koi Suna Nahin Sakta
Hawaon Par Likha Hai Qissa Main Nay Apni Hayaat Ka
K Koi Laakh Chupaye Bhi Tu Chupa Nahin Sakta
Har Aik Chahta Hai K Phoolon Pay Ghuzaray Zindagi
Par Raah Main Paray Kaanton Ko Koi Hata Nahin Sakta
Dil Main Dukh Samoo K Kab Tak Hanstay Raho Gay
Aankhon Main Aansoun Ko Koi Chupa Nahin Sakta
Laakh Chahain In Mast Meloon Main Gum Ho Jayein
Magar Beetay Howay Lamhoon Ko Koi Bhula Nahin Sakta
Koi Rooth Jaaye Tum Say Tu Maana Lena
K Jaanay Waloon Ko Koi Wapis Bula Nahin Sakta

 



(#120)
Old
Dast-e-Tanhai Dast-e-Tanhai is offline
~Umeed E Sehar~
 


Posts: 10,545
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: in my loneliness
Gender: Male
Default >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   02-19-2009, 04:54 PM

Roona Aaya


Hum Ko Tu Gardish-E-Halaat Pay Roona Aaya
Roonay Walay.! Tujhay Kis Baat Pay Roona Aaya
Kaisey Jeetey Hain Yeh Kis Tarhan Jeeye Jaatay Hain
Ehl-E-Dil Ki Basar Ouqaat Pay Roona Aaya
Kaisey Mar Mar K Ghuzari Hai Tumhain Kia Maloom
Raat Bhar Taroon Bhari Raat Pay Roona Aaya
Husn Nay Apni Jafa'aon Pay Bahaye Aansoo
Ishq Ko Apni Shikayaat Pay Roona Aaya
Saif Yeh Din Tu Qayamat Ki Tarhan Ghuzra Hai
Jaanay Kia Baat Thi K Har Baat Pay Roona Aaya

 



Post New Thread  Reply

Bookmarks

Tags
bithy, kuch, lamho, yadein

« Previous Thread | Next Thread »

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
kuch khatay kuch methay bol apnay sy opper walay k liye..! -|A|- Fun 90 11-04-2011 02:20 AM
kuch muhtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai Hussain Miscellaneous/Mix Poetry 6 10-11-2011 02:12 PM
Pyaar Ke Deep Jalane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai ShArArTi MuNdA Miscellaneous/Mix Poetry 5 08-14-2011 12:23 AM
~~ Apni yadein apni Batein ~~ umair8005 Miscellaneous/Mix Poetry 11 06-30-2011 10:41 PM
~guzartay lamho main thak gaya hoon~ ShArArTi MuNdA Ghamgheen/Sad shayari 4 09-12-2008 09:50 AM


All times are GMT +5. The time now is 08:59 PM.
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.

All the logos and copyrights are the property of their respective owners. All stuff found on this site is posted by members / users and displayed here as they are believed to be in the "public domain". If you are the rightful owner of any content posted here, and object to them being displayed, please contact us and it will be removed promptly.

Nav Item BG